James 1 (UGV3)

1 Yih ḳhat Allāh aur Ḳhudāwand Īsā Masīh ke ḳhādim Yāqūb kī taraf se hai.Ġhairyahūdī qaumoṅ meṅ bikhre hue bārah Isrāīlī qabīloṅ ko salām. 2 Mere bhāiyo, jab āp ko tarah tarah kī āzmāishoṅ kā sāmnā karnā paṛe to apne āp ko ḳhushqismat samjheṅ, 3 kyoṅki āp jānte haiṅ ki āp ke īmān ke āzmāe jāne se sābitqadmī paidā hotī hai. 4 Chunāṅche sābitqadmī ko baṛhne deṅ, kyoṅki jab wuh takmīl tak pahuṅchegī to āp bāliġh aur kāmil ban jāeṅge, aur āp meṅ koī bhī kamī nahīṅ pāī jāegī. 5 Lekin agar āp meṅ se kisī meṅ hikmat kī kamī ho to Allāh se māṅge jo sab ko faiyāzī se aur baġhair jhiṛkī die detā hai. Wuh zarūr āp ko hikmat degā. 6 Lekin apnī guzārish īmān ke sāth pesh kareṅ aur shak na kareṅ, kyoṅki shak karne wālā samundar kī mauj kī mānind hotā hai jo hawā se idhar-udhar uchhaltī bahtī jātī hai. 7 Aisā shaḳhs na samjhe ki mujhe Ḳhudāwand se kuchh milegā, 8 kyoṅki wuh dodilā aur apne har kām meṅ ġhairmustaqilmizāj hai. 9 Pasthāl bhāī Masīh meṅ apne ūṅche martabe par faḳhr kare 10 jabki daulatmand shaḳhs apne adnā martabe par faḳhr kare, kyoṅki wuh janglī phūl kī tarah jald hī jātā rahegā. 11 Jab sūraj tulū hotā hai to us kī jhulsā dene wālī dhūp meṅ paudā murjhā jātā, us kā phūl gir jātā aur us kī tamām ḳhūbsūratī ḳhatm ho jātī hai. Us tarah daulatmand shaḳhs bhī kām karte karte murjhā jāegā. 12 Mubārak hai wuh jo āzmāish ke waqt sābitqadam rahtā hai, kyoṅki qāym rahne par use zindagī kā wuh tāj milegā jis kā wādā Allāh ne un se kiyā hai jo us se muhabbat rakhte haiṅ. 13 Āzmāish ke waqt koī na kahe ki Allāh mujhe āzmāish meṅ phaṅsā rahā hai. Na to Allāh ko burāī se āzmāish meṅ phaṅsāyā jā saktā hai, na wuh kisī ko phaṅsātā hai. 14 Balki har ek kī apnī burī ḳhāhishāt use khīṅch kar aur uksā kar āzmāish meṅ phaṅsā detī haiṅ. 15 Phir yih ḳhāhishāt hāmilā ho kar gunāh ko janm detī haiṅ aur gunāh bāliġh ho kar maut ko janm detā hai. 16 Mere azīz bhāiyo, fareb mat khānā! 17 Har achchhī nemat aur har achchhā tohfā āsmān se nāzil hotā hai, nūroṅ ke Bāp se, jis meṅ na kabhī tabdīlī ātī hai, na badalte hue sāyoṅ kī-sī hālat pāī jātī hai. 18 Usī ne apnī marzī se hameṅ sachchāī ke kalām ke wasīle se paidā kiyā. Yoṅ ham ek tarah se us kī tamām maḳhlūqāt kā pahlā phal haiṅ. 19 Mere azīz bhāiyo, is kā ḳhayāl rakhnā, har shaḳhs sunane meṅ tez ho, lekin bolne aur ġhussā karne meṅ dhīmā. 20 Kyoṅki insān kā ġhussā wuh rāstbāzī paidā nahīṅ kartā jo Allāh chāhtā hai. 21 Chunāṅche apnī zindagī kī gandī ādateṅ aur sharīr chāl-chalan dūr karke halīmī se kalām-e-muqaddas kā wuh bīj qabūl kareṅ jo āp ke andar boyā gayā hai, kyoṅki yihī āp ko najāt de saktā hai. 22 Kalām-e-muqaddas ko na sirf suneṅ balki us par amal bhī kareṅ, warnā āp apne āp ko fareb deṅge. 23 Jo kalām ko sun kar us par amal nahīṅ kartā wuh us ādmī kī mānind hai jo āīne meṅ apne chehre par nazar ḍāltā hai. 24 Apne āp ko dekh kar wuh chalā jātā hai aur fauran bhūl jātā hai ki maiṅ ne kiyā kuchh dekhā. 25 Us kī nisbat wuh mubārak hai jo āzād karne wālī kāmil sharīat meṅ ġhaur se nazar ḍāl kar us meṅ qāym rahtā hai aur use sunane ke bād nahīṅ bhūltā balki us par amal kartā hai. 26 Kyā āp apne āp ko dīndār samajhte haiṅ? Agar āp apnī zabān par qābū nahīṅ rakh sakte to āp apne āp ko fareb dete haiṅ. Phir āp kī dīndārī kā izhār bekār hai. 27 Ḳhudā Bāp kī nazar meṅ dīndārī kā pāk aur bedāġh izhār yih hai, yatīmoṅ aur bewāoṅ kī dekh-bhāl karnā jab wuh musībat meṅ hoṅ aur apne āp ko duniyā kī ālūdagī se bachāe rakhnā.

In Other Versions

James 1 in the ANGEFD

James 1 in the ANTPNG2D

James 1 in the AS21

James 1 in the BAGH

James 1 in the BBPNG

James 1 in the BBT1E

James 1 in the BDS

James 1 in the BEV

James 1 in the BHAD

James 1 in the BIB

James 1 in the BLPT

James 1 in the BNT

James 1 in the BNTABOOT

James 1 in the BNTLV

James 1 in the BOATCB

James 1 in the BOATCB2

James 1 in the BOBCV

James 1 in the BOCNT

James 1 in the BOECS

James 1 in the BOGWICC

James 1 in the BOHCB

James 1 in the BOHCV

James 1 in the BOHLNT

James 1 in the BOHNTLTAL

James 1 in the BOICB

James 1 in the BOILNTAP

James 1 in the BOITCV

James 1 in the BOKCV

James 1 in the BOKCV2

James 1 in the BOKHWOG

James 1 in the BOKSSV

James 1 in the BOLCB

James 1 in the BOLCB2

James 1 in the BOMCV

James 1 in the BONAV

James 1 in the BONCB

James 1 in the BONLT

James 1 in the BONUT2

James 1 in the BOPLNT

James 1 in the BOSCB

James 1 in the BOSNC

James 1 in the BOTLNT

James 1 in the BOVCB

James 1 in the BOYCB

James 1 in the BPBB

James 1 in the BPH

James 1 in the BSB

James 1 in the CCB

James 1 in the CUV

James 1 in the CUVS

James 1 in the DBT

James 1 in the DGDNT

James 1 in the DHNT

James 1 in the DNT

James 1 in the ELBE

James 1 in the EMTV

James 1 in the ESV

James 1 in the FBV

James 1 in the FEB

James 1 in the GGMNT

James 1 in the GNT

James 1 in the HARY

James 1 in the HNT

James 1 in the IRVA

James 1 in the IRVB

James 1 in the IRVG

James 1 in the IRVH

James 1 in the IRVK

James 1 in the IRVM

James 1 in the IRVM2

James 1 in the IRVO

James 1 in the IRVP

James 1 in the IRVT

James 1 in the IRVT2

James 1 in the IRVU

James 1 in the ISVN

James 1 in the JSNT

James 1 in the KAPI

James 1 in the KBT1ETNIK

James 1 in the KBV

James 1 in the KJV

James 1 in the KNFD

James 1 in the LBA

James 1 in the LBLA

James 1 in the LNT

James 1 in the LSV

James 1 in the MAAL

James 1 in the MBV

James 1 in the MBV2

James 1 in the MHNT

James 1 in the MKNFD

James 1 in the MNG

James 1 in the MNT

James 1 in the MNT2

James 1 in the MRS1T

James 1 in the NAA

James 1 in the NASB

James 1 in the NBLA

James 1 in the NBS

James 1 in the NBVTP

James 1 in the NET2

James 1 in the NIV11

James 1 in the NNT

James 1 in the NNT2

James 1 in the NNT3

James 1 in the PDDPT

James 1 in the PFNT

James 1 in the RMNT

James 1 in the SBIAS

James 1 in the SBIBS

James 1 in the SBIBS2

James 1 in the SBICS

James 1 in the SBIDS

James 1 in the SBIGS

James 1 in the SBIHS

James 1 in the SBIIS

James 1 in the SBIIS2

James 1 in the SBIIS3

James 1 in the SBIKS

James 1 in the SBIKS2

James 1 in the SBIMS

James 1 in the SBIOS

James 1 in the SBIPS

James 1 in the SBISS

James 1 in the SBITS

James 1 in the SBITS2

James 1 in the SBITS3

James 1 in the SBITS4

James 1 in the SBIUS

James 1 in the SBIVS

James 1 in the SBT

James 1 in the SBT1E

James 1 in the SCHL

James 1 in the SNT

James 1 in the SUSU

James 1 in the SUSU2

James 1 in the SYNO

James 1 in the TBIAOTANT

James 1 in the TBT1E

James 1 in the TBT1E2

James 1 in the TFTIP

James 1 in the TFTU

James 1 in the TGNTATF3T

James 1 in the THAI

James 1 in the TNFD

James 1 in the TNT

James 1 in the TNTIK

James 1 in the TNTIL

James 1 in the TNTIN

James 1 in the TNTIP

James 1 in the TNTIZ

James 1 in the TOMA

James 1 in the TTENT

James 1 in the UBG

James 1 in the UGV

James 1 in the UGV2

James 1 in the VBL

James 1 in the VDCC

James 1 in the YALU

James 1 in the YAPE

James 1 in the YBVTP

James 1 in the ZBP