Judges 13 (UGV3)

1 Phir Isrāīlī dubārā aisī harkateṅ karne lage jo Rab ko burī lagīṅ. Is lie us ne unheṅ Filistiyoṅ ke hawāle kar diyā jo unheṅ 40 sāl dabāte rahe. 2 Us waqt ek ādmī Sur'ā Shahr meṅ rahtā thā jis kā nām Manohā thā. Dān ke qabīle kā yih ādmī beaulād thā, kyoṅki us kī bīwī bāṅjh thī. 3 Ek din Rab kā farishtā Manohā kī bīwī par zāhir huā aur kahā, “Go tujh se bachche paidā nahīṅ ho sakte, ab tū hāmilā hogī, aur tere beṭā paidā hogā. 4 Mai yā koī aur nashā-āwar chīz mat pīnā, na koī nāpāk chīz khānā. 5 Kyoṅki jo beṭā paidā hogā wuh paidāish se hī Allāh ke lie maḳhsūs hogā. Lāzim hai ki us ke bāl kabhī na kāṭe jāeṅ. Yihī bachchā Isrāīl ko Filistiyoṅ se bachāne lagegā.” 6 Bīwī apne shauhar Manohā ke pās gaī aur use sab kuchh batāyā, “Allāh kā ek bandā mere pās āyā. Wuh Allāh kā farishtā lag rahā thā, yahāṅ tak ki maiṅ saḳht ghabrā gaī. Maiṅ ne us se na pūchhā ki wuh kahāṅ se hai, aur ḳhud us ne mujhe apnā nām na batāyā. 7 Lekin us ne mujhe batāyā, ‘Tū hāmilā hogī, aur tere beṭā paidā hogā. Ab mai yā koī aur nashā-āwar chīz mat pīnā, na koī nāpāk chīz khānā. Kyoṅki beṭā paidāish se hī maut tak Allāh ke lie maḳhsūs hogā.’” 8 Yih sun kar Manohā ne Rab se duā kī, “Ai Rab, barāh-e-karm mard-e-Ḳhudā ko dubārā hamāre pās bhej tāki wuh hameṅ sikhāe ki ham us beṭe ke sāth kyā kareṅ jo paidā hone wālā hai.” 9 Allāh ne us kī sunī aur apne farishte ko dubārā us kī bīwī ke pās bhej diyā. Us waqt wuh shauhar ke baġhair khet meṅ thī. 10 Farishte ko dekh kar wuh jaldī se Manohā ke pās āī aur use ittalā dī, “Jo ādmī pichhle dinoṅ meṅ mere pās āyā wuh dubārā mujh par zāhir huā hai!” 11 Manohā uṭh kar apnī bīwī ke pīchhe pīchhe farishte ke pās āyā. Us ne pūchhā, “Kyā āp wuhī ādmī haiṅ jis ne pichhle dinoṅ meṅ merī bīwī se bāt kī thī?” Farishte ne jawāb diyā, “Jī, maiṅ hī thā.” 12 Phir Manohā ne sawāl kiyā, “Jab āp kī peshgoī pūrī ho jāegī to hameṅ beṭe ke tarz-e-zindagī aur sulūk ke silsile meṅ kin kin bātoṅ kā ḳhayāl karnā hai?” 13 Rab ke farishte ne jawāb diyā, “Lāzim hai ki terī bīwī un tamām chīzoṅ se parhez kare jin kā zikr maiṅ ne kiyā. 14 Wuh angūr kī koī bhī paidāwār na khāe. Na wuh mai, na koī aur nashā-āwar chīz pie. Nāpāk chīzeṅ khānā bhī manā hai. Wuh merī har hidāyat par amal kare.” 15 Manohā ne Rab ke farishte se guzārish kī, “Mehrbānī karke thoṛī der hamāre pās ṭhahreṅ tāki ham bakrī kā bachchā zabah karke āp ke lie khānā taiyār kar sakeṅ.” 16 Ab tak Manohā ne yih bāt nahīṅ pahchānī thī ki mehmān asal meṅ Rab kā farishtā hai. Farishte ne jawāb diyā, “Ḳhāh tū mujhe roke bhī maiṅ kuchh nahīṅ khāūṅgā. Lekin agar tū kuchh karnā chāhe to bakrī kā bachchā Rab ko bhasm hone wālī qurbānī ke taur par pesh kar.” 17 Manohā ne us se pūchhā, “Āp kā kyā nām hai? Kyoṅki jab āp kī yih bāteṅ pūrī ho jāeṅgī to ham āp kī izzat karnā chāheṅge.” 18 Farishte ne sawāl kiyā, “Tū merā nām kyoṅ jānanā chāhtā hai? Wuh to terī samajh se bāhar hai.” 19 Phir Manohā ne ek baṛe patthar par Rab ko bakrī kā bachchā aur ġhallā kī nazar pesh kī. Tab Rab ne Manohā aur us kī bīwī ke deḳhte deḳhte ek hairatangez kām kiyā. 20 Jab āg ke shole āsmān kī taraf buland hue to Rab kā farishtā shole meṅ se ūpar chaṛh kar ojhal ho gayā. Manohā aur us kī bīwī muṅh ke bal gir gae. 21 Jab Rab kā farishtā dubārā Manohā aur us kī bīwī par zāhir na huā to Manohā ko samajh āī ki Rab kā farishtā hī thā. 22 Wuh pukār uṭhā, “Hāy, ham mar jāeṅge, kyoṅki ham ne Allāh ko dekhā hai!” 23 Lekin us kī bīwī ne etarāz kiyā, “Agar Rab hameṅ mār ḍālnā chāhtā to wuh hamārī qurbānī qabūl na kartā. Phir na wuh ham par yih sab kuchh zāhir kartā, na hameṅ aisī bāteṅ batātā.” 24 Kuchh der ke bād Manohā ke hāṅ beṭā paidā huā. Bīwī ne us kā nām Samsūn rakhā. Bachchā baṛā hotā gayā, aur Rab ne use barkat dī. 25 Allāh kā Rūh pahlī bār Mahane-dān meṅ jo Sur'ā aur Istāl ke darmiyān hai us par nāzil huā.

In Other Versions

Judges 13 in the ANGEFD

Judges 13 in the ANTPNG2D

Judges 13 in the AS21

Judges 13 in the BAGH

Judges 13 in the BBPNG

Judges 13 in the BBT1E

Judges 13 in the BDS

Judges 13 in the BEV

Judges 13 in the BHAD

Judges 13 in the BIB

Judges 13 in the BLPT

Judges 13 in the BNT

Judges 13 in the BNTABOOT

Judges 13 in the BNTLV

Judges 13 in the BOATCB

Judges 13 in the BOATCB2

Judges 13 in the BOBCV

Judges 13 in the BOCNT

Judges 13 in the BOECS

Judges 13 in the BOGWICC

Judges 13 in the BOHCB

Judges 13 in the BOHCV

Judges 13 in the BOHLNT

Judges 13 in the BOHNTLTAL

Judges 13 in the BOICB

Judges 13 in the BOILNTAP

Judges 13 in the BOITCV

Judges 13 in the BOKCV

Judges 13 in the BOKCV2

Judges 13 in the BOKHWOG

Judges 13 in the BOKSSV

Judges 13 in the BOLCB

Judges 13 in the BOLCB2

Judges 13 in the BOMCV

Judges 13 in the BONAV

Judges 13 in the BONCB

Judges 13 in the BONLT

Judges 13 in the BONUT2

Judges 13 in the BOPLNT

Judges 13 in the BOSCB

Judges 13 in the BOSNC

Judges 13 in the BOTLNT

Judges 13 in the BOVCB

Judges 13 in the BOYCB

Judges 13 in the BPBB

Judges 13 in the BPH

Judges 13 in the BSB

Judges 13 in the CCB

Judges 13 in the CUV

Judges 13 in the CUVS

Judges 13 in the DBT

Judges 13 in the DGDNT

Judges 13 in the DHNT

Judges 13 in the DNT

Judges 13 in the ELBE

Judges 13 in the EMTV

Judges 13 in the ESV

Judges 13 in the FBV

Judges 13 in the FEB

Judges 13 in the GGMNT

Judges 13 in the GNT

Judges 13 in the HARY

Judges 13 in the HNT

Judges 13 in the IRVA

Judges 13 in the IRVB

Judges 13 in the IRVG

Judges 13 in the IRVH

Judges 13 in the IRVK

Judges 13 in the IRVM

Judges 13 in the IRVM2

Judges 13 in the IRVO

Judges 13 in the IRVP

Judges 13 in the IRVT

Judges 13 in the IRVT2

Judges 13 in the IRVU

Judges 13 in the ISVN

Judges 13 in the JSNT

Judges 13 in the KAPI

Judges 13 in the KBT1ETNIK

Judges 13 in the KBV

Judges 13 in the KJV

Judges 13 in the KNFD

Judges 13 in the LBA

Judges 13 in the LBLA

Judges 13 in the LNT

Judges 13 in the LSV

Judges 13 in the MAAL

Judges 13 in the MBV

Judges 13 in the MBV2

Judges 13 in the MHNT

Judges 13 in the MKNFD

Judges 13 in the MNG

Judges 13 in the MNT

Judges 13 in the MNT2

Judges 13 in the MRS1T

Judges 13 in the NAA

Judges 13 in the NASB

Judges 13 in the NBLA

Judges 13 in the NBS

Judges 13 in the NBVTP

Judges 13 in the NET2

Judges 13 in the NIV11

Judges 13 in the NNT

Judges 13 in the NNT2

Judges 13 in the NNT3

Judges 13 in the PDDPT

Judges 13 in the PFNT

Judges 13 in the RMNT

Judges 13 in the SBIAS

Judges 13 in the SBIBS

Judges 13 in the SBIBS2

Judges 13 in the SBICS

Judges 13 in the SBIDS

Judges 13 in the SBIGS

Judges 13 in the SBIHS

Judges 13 in the SBIIS

Judges 13 in the SBIIS2

Judges 13 in the SBIIS3

Judges 13 in the SBIKS

Judges 13 in the SBIKS2

Judges 13 in the SBIMS

Judges 13 in the SBIOS

Judges 13 in the SBIPS

Judges 13 in the SBISS

Judges 13 in the SBITS

Judges 13 in the SBITS2

Judges 13 in the SBITS3

Judges 13 in the SBITS4

Judges 13 in the SBIUS

Judges 13 in the SBIVS

Judges 13 in the SBT

Judges 13 in the SBT1E

Judges 13 in the SCHL

Judges 13 in the SNT

Judges 13 in the SUSU

Judges 13 in the SUSU2

Judges 13 in the SYNO

Judges 13 in the TBIAOTANT

Judges 13 in the TBT1E

Judges 13 in the TBT1E2

Judges 13 in the TFTIP

Judges 13 in the TFTU

Judges 13 in the TGNTATF3T

Judges 13 in the THAI

Judges 13 in the TNFD

Judges 13 in the TNT

Judges 13 in the TNTIK

Judges 13 in the TNTIL

Judges 13 in the TNTIN

Judges 13 in the TNTIP

Judges 13 in the TNTIZ

Judges 13 in the TOMA

Judges 13 in the TTENT

Judges 13 in the UBG

Judges 13 in the UGV

Judges 13 in the UGV2

Judges 13 in the VBL

Judges 13 in the VDCC

Judges 13 in the YALU

Judges 13 in the YAPE

Judges 13 in the YBVTP

Judges 13 in the ZBP