Judges 5 (UGV3)

1 Fatah ke din Daborā ne Baraq bin Abīnūsam ke sāth yih gīt gāyā, 2 “Allāh kī satāish ho! Kyoṅki Isrāīl ke sardāroṅ ne rāhnumāī kī, aur awām nikalne ke lie taiyār hue. 3 Ai bādshāho, suno! Ai hukmrāno, merī bāt par tawajjuh do! Maiṅ Rab kī tamjīd meṅ gīt gāūṅgī, Rab Isrāīl ke Ḳhudā kī madahsarāī karūṅgī. 4 Ai Rab, jab tū Saīr se nikal āyā aur Adom ke khule maidān se rawānā huā to zamīn kāṅp uṭhī aur āsmān se pānī ṭapakne lagā, bādaloṅ se bārish barasne lagī. 5 Koh-e-Sīnā ke Rab ke huzūr pahāṛ hilne lage, Rab Isrāīl ke Ḳhudā ke sāmne wuh kapkapāne lage. 6 Shamjar bin Anāt aur Yāel ke dinoṅ meṅ safr ke pakke aur sīdhe rāste ḳhālī rahe aur musāfir un se haṭ kar bal khāte hue chhoṭe chhoṭe rāstoṅ par chal kar apnī manzil tak pahuṅchte the. 7 Dehāt kī zindagī Sūnī ho gaī. Gāṅw meṅ rahnā mushkil thā jab tak maiṅ, Daborā jo Isrāīl kī māṅ hūṅ khaṛī na huī. 8 Shahr ke darwāzoṅ par jang chhiṛ gaī jab unhoṅ ne nae mābūdoṅ ko chun liyā. Us waqt Isrāīl ke 40,000 mardoṅ ke pās ek bhī ḍhāl yā nezā na thā. 9 Merā dil Isrāīl ke sardāroṅ ke sāth hai aur un ke sāth jo ḳhushī se jang ke lie nikle. Rab kī satāish karo! 10 Ai tum jo safed gadhoṅ par kapṛe bichhā kar un par sawār ho, Allāh kī tamjīd karo! Ai tum jo paidal chal rahe ho, Allāh kī tārīf karo! 11 Suno! Jahāṅ jānwaroṅ ko pānī pilāyā jātā hai wahāṅ log Rab ke najātbaḳhsh kāmoṅ kī tārīf kar rahe haiṅ, un najātbaḳhsh kāmoṅ kī jo us ne Isrāīl ke dehātiyoṅ kī ḳhātir kie. Tab Rab ke log shahr ke darwāzoṅ ke pās utar āe. 12 Ai Daborā, uṭheṅ, uṭheṅ! Uṭheṅ, hāṅ uṭheṅ aur gīt gāeṅ! Ai Baraq, khaṛe ho jāeṅ! Ai Abīnūsam ke beṭe, apne qaidiyoṅ ko bāndh kar le jāeṅ! 13 Phir bache hue faujī pahāṛī ilāqe se utar kar qaum ke shurafā ke pās āe, Rab kī qaum sūrmāoṅ ke sāth mere pās utar āī. 14 Ifrāīm se jis kī jaṛeṅ Amālīq meṅ haiṅ wuh utar āe, aur Binyamīn ke mard un ke pīchhe ho lie. Makīr se hukmrān aur Zabūlūn se sipahsālār utar āe. 15 Ishkār ke ra'īs bhī Daborā ke sāth the, aur us ke faujī Baraq ke pīchhe ho kar wādī meṅ dauṛ āe. Lekin Rūbin kā qabīlā apne ilāqe meṅ rah kar soch-bichār meṅ uljhā rahā. 16 Tū kyoṅ apne zīn ke do boroṅ ke darmiyān baiṭhā rahā? Kyā galloṅ ke darmiyān charwāhoṅ kī bāṅsriyoṅ kī āwāzeṅ sunane ke lie? Rūbin kā qabīlā apne ilāqe meṅ rah kar soch-bichār meṅ uljhā rahā. 17 Jiliyād ke gharāne Dariyā-e-Yardan ke mashriq meṅ ṭhahre rahe. Aur Dān kā qabīlā, wuh kyoṅ bahrī jahāzoṅ ke pās rahā? Āshar kā qabīlā bhī sāhil par baiṭhā rahā, wuh ārām se apnī bandargāhoṅ ke pās ṭhahrā rahā, 18 jabki Zabūlūn aur Naftālī apnī jān par khel kar maidān-e-jang meṅ ā gae. 19 Bādshāh āe aur laṛe, Kanān ke bādshāh Majiddo Nadī par Tānak ke pās Isrāīl se laṛe. Lekin wahāṅ se wuh chāṅdī kā lūṭā huā māl wāpas na lāe. 20 Āsmān se sitāroṅ ne Sīsarā par hamlā kiyā, apnī āsmānī rāhoṅ ko chhoṛ kar wuh us se aur us kī qaum se laṛne āe. 21 Qaison nadī unheṅ uṛā le gaī, wuh nadī jo qadīm zamāne se bahtī hai. Ai merī jān, mazbūtī se āge chaltī jā! 22 Us waqt ṭāpoṅ kā baṛā shor sunāī diyā. Dushman ke zabardast ghoṛe sarpā dauṛ rahe the. 23 Rab ke farishte ne kahā, ‘Mīroz Shahr par lānat karo, us ke bāshindoṅ par ḳhūb lānat karo! Kyoṅki wuh Rab kī madad karne na āe, wuh sūrmāoṅ ke ḳhilāf Rab kī madad karne na āe.’ 24 Hibar Qīnī kī bīwī mubārak hai! Ḳhaimoṅ meṅ rahne wālī auratoṅ meṅ se wuh sab se mubārak hai! 25 Jab Sīsarā ne pānī māṅgā to Yāel ne use dūdh pilāyā. Shāndār pyāle meṅ lassī ḍāl kar wuh use us ke pās lāī. 26 Lekin phir us ne apne hāth se meḳh aur apne dahne hāth se mazdūroṅ kā hathoṛā pakaṛ kar Sīsarā kā sar phoṛ diyā, us kī khopaṛī ṭukṛe ṭukṛe karke us kī kanpaṭī ko chhed diyā. 27 Us ke pāṅwoṅ meṅ wuh taṛap uṭhā. Wuh gir kar wahīṅ paṛā rahā. Hāṅ, wuh us ke pāṅwoṅ meṅ gir kar halāk huā. 28 Sīsarā kī māṅ ne khiṛkī meṅ se jhāṅkā aur darīche meṅ se deḳhtī deḳhtī rotī rahī, ‘Us ke rath ke pahuṅchne meṅ itnī der kyoṅ ho rahī hai? Rathoṅ kī āwāz ab tak kyoṅ sunāī nahīṅ de rahī?’ 29 Us kī dānishmand ḳhawātīn use tasallī detī haiṅ aur wuh ḳhud un kī bāt dohrātī hai, 30 ‘Wuh lūṭā huā māl āpas meṅ bāṅṭ rahe hoṅge. Har mard ke lie ek do laṛkiyāṅ aur Sīsarā ke lie rangdār libās hogā. Hāṅ, wuh rangdār libās aur merī gardan ko sajāne ke lie do nafīs rangdār kapṛe lā rahe hoṅge.’ 31 Ai Rab, tere tamām dushman Sīsarā kī tarah halāk ho jāeṅ! Lekin jo tujh se pyār karte haiṅ wuh pūre zor se tulū hone wāle sūraj kī mānind hoṅ.” Baraq kī is fatah ke bād Isrāīl meṅ 40 sāl amn-o-amān qāym rahā.

In Other Versions

Judges 5 in the ANGEFD

Judges 5 in the ANTPNG2D

Judges 5 in the AS21

Judges 5 in the BAGH

Judges 5 in the BBPNG

Judges 5 in the BBT1E

Judges 5 in the BDS

Judges 5 in the BEV

Judges 5 in the BHAD

Judges 5 in the BIB

Judges 5 in the BLPT

Judges 5 in the BNT

Judges 5 in the BNTABOOT

Judges 5 in the BNTLV

Judges 5 in the BOATCB

Judges 5 in the BOATCB2

Judges 5 in the BOBCV

Judges 5 in the BOCNT

Judges 5 in the BOECS

Judges 5 in the BOGWICC

Judges 5 in the BOHCB

Judges 5 in the BOHCV

Judges 5 in the BOHLNT

Judges 5 in the BOHNTLTAL

Judges 5 in the BOICB

Judges 5 in the BOILNTAP

Judges 5 in the BOITCV

Judges 5 in the BOKCV

Judges 5 in the BOKCV2

Judges 5 in the BOKHWOG

Judges 5 in the BOKSSV

Judges 5 in the BOLCB

Judges 5 in the BOLCB2

Judges 5 in the BOMCV

Judges 5 in the BONAV

Judges 5 in the BONCB

Judges 5 in the BONLT

Judges 5 in the BONUT2

Judges 5 in the BOPLNT

Judges 5 in the BOSCB

Judges 5 in the BOSNC

Judges 5 in the BOTLNT

Judges 5 in the BOVCB

Judges 5 in the BOYCB

Judges 5 in the BPBB

Judges 5 in the BPH

Judges 5 in the BSB

Judges 5 in the CCB

Judges 5 in the CUV

Judges 5 in the CUVS

Judges 5 in the DBT

Judges 5 in the DGDNT

Judges 5 in the DHNT

Judges 5 in the DNT

Judges 5 in the ELBE

Judges 5 in the EMTV

Judges 5 in the ESV

Judges 5 in the FBV

Judges 5 in the FEB

Judges 5 in the GGMNT

Judges 5 in the GNT

Judges 5 in the HARY

Judges 5 in the HNT

Judges 5 in the IRVA

Judges 5 in the IRVB

Judges 5 in the IRVG

Judges 5 in the IRVH

Judges 5 in the IRVK

Judges 5 in the IRVM

Judges 5 in the IRVM2

Judges 5 in the IRVO

Judges 5 in the IRVP

Judges 5 in the IRVT

Judges 5 in the IRVT2

Judges 5 in the IRVU

Judges 5 in the ISVN

Judges 5 in the JSNT

Judges 5 in the KAPI

Judges 5 in the KBT1ETNIK

Judges 5 in the KBV

Judges 5 in the KJV

Judges 5 in the KNFD

Judges 5 in the LBA

Judges 5 in the LBLA

Judges 5 in the LNT

Judges 5 in the LSV

Judges 5 in the MAAL

Judges 5 in the MBV

Judges 5 in the MBV2

Judges 5 in the MHNT

Judges 5 in the MKNFD

Judges 5 in the MNG

Judges 5 in the MNT

Judges 5 in the MNT2

Judges 5 in the MRS1T

Judges 5 in the NAA

Judges 5 in the NASB

Judges 5 in the NBLA

Judges 5 in the NBS

Judges 5 in the NBVTP

Judges 5 in the NET2

Judges 5 in the NIV11

Judges 5 in the NNT

Judges 5 in the NNT2

Judges 5 in the NNT3

Judges 5 in the PDDPT

Judges 5 in the PFNT

Judges 5 in the RMNT

Judges 5 in the SBIAS

Judges 5 in the SBIBS

Judges 5 in the SBIBS2

Judges 5 in the SBICS

Judges 5 in the SBIDS

Judges 5 in the SBIGS

Judges 5 in the SBIHS

Judges 5 in the SBIIS

Judges 5 in the SBIIS2

Judges 5 in the SBIIS3

Judges 5 in the SBIKS

Judges 5 in the SBIKS2

Judges 5 in the SBIMS

Judges 5 in the SBIOS

Judges 5 in the SBIPS

Judges 5 in the SBISS

Judges 5 in the SBITS

Judges 5 in the SBITS2

Judges 5 in the SBITS3

Judges 5 in the SBITS4

Judges 5 in the SBIUS

Judges 5 in the SBIVS

Judges 5 in the SBT

Judges 5 in the SBT1E

Judges 5 in the SCHL

Judges 5 in the SNT

Judges 5 in the SUSU

Judges 5 in the SUSU2

Judges 5 in the SYNO

Judges 5 in the TBIAOTANT

Judges 5 in the TBT1E

Judges 5 in the TBT1E2

Judges 5 in the TFTIP

Judges 5 in the TFTU

Judges 5 in the TGNTATF3T

Judges 5 in the THAI

Judges 5 in the TNFD

Judges 5 in the TNT

Judges 5 in the TNTIK

Judges 5 in the TNTIL

Judges 5 in the TNTIN

Judges 5 in the TNTIP

Judges 5 in the TNTIZ

Judges 5 in the TOMA

Judges 5 in the TTENT

Judges 5 in the UBG

Judges 5 in the UGV

Judges 5 in the UGV2

Judges 5 in the VBL

Judges 5 in the VDCC

Judges 5 in the YALU

Judges 5 in the YAPE

Judges 5 in the YBVTP

Judges 5 in the ZBP