Jeremiah 15 (UGV3)
1 Phir Rab mujh se hamkalām huā, “Ab se merā dil is qaum kī taraf māyl nahīṅ hogā, ḳhāh Mūsā aur Samuel mere sāmne ā kar un kī shafā'at kyoṅ na kareṅ. Unheṅ mere huzūr se nikāl de, wuh chale jāeṅ! 2 Agar wuh tujh se pūchheṅ, ‘Ham kidhar jāeṅ?’ To unheṅ jawāb de, ‘Rab farmātā hai ki jise marnā hai wuh mare, jise talwār kī zad meṅ ānā hai wuh talwār kā luqmā bane, jise bhūke marnā hai wuh bhūke mare, jise qaid meṅ jānā hai wuh qaid ho jāe.’” 3 Rab farmātā hai, “Maiṅ unheṅ chār qism kī sazā dūṅgā. Ek, talwār unheṅ qatl karegī. Dūsre, kutte un kī lāsheṅ ghasīṭ kar le jāeṅge. Tīsre aur chauthe, parinde aur darinde unheṅ khā khā kar ḳhatm kar deṅge. 4 Jab maiṅ apnī qaum se nipaṭ lūṅgā to duniyā ke tamām mamālik us kī hālat dekh kar kāṅp uṭheṅge. Un ke roṅgṭe khaṛe ho jāeṅge jab wuh Yahūdāh ke bādshāh Manassī bin Hizqiyāh kī un sharīr harkatoṅ kā anjām dekheṅge jo us ne Yarūshalam meṅ kī haiṅ. 5 Ai Yarūshalam, kaun tujh par tars khāegā, kaun hamdardī kā izhār karegā? Kaun tere ghar ā kar terā hāl pūchhegā?” 6 Rab farmātā hai, “Tū ne mujhe radd kiyā, apnā muṅh mujh se pher liyā hai. Ab maiṅ apnā hāth tere ḳhilāf baṛhā kar tujhe tabāh kar dūṅgā. Kyoṅki maiṅ hamdardī dikhāte dikhāte tang ā gayā hūṅ. 7 Jis tarah gandum ko hawā meṅ uchhāl kar bhūse se alag kiyā jātā hai usī tarah maiṅ unheṅ mulk ke darwāzoṅ ke sāmne phaṭkūṅgā. Chūṅki merī qaum ne apne ġhalat rāstoṅ ko tark na kiyā is lie maiṅ use beaulād banā kar barbād kar dūṅgā. 8 Us kī bewāeṅ samundar kī ret jaisī beshumār hoṅgī. Dopahar ke waqt hī maiṅ naujawānoṅ kī māoṅ par tabāhī nāzil karūṅga, achānak hī un par pech-o-tāb aur dahshat chhā jāegī. 9 Sāt bachchoṅ kī māṅ niḍhāl ho kar jān se hāth dho baiṭhegī. Din ke waqt hī us kā sūraj ḍūb jāegā, us kā faḳhr aur izzat jātī rahegī. Jo log bach jāeṅge unheṅ maiṅ dushman ke āge āge talwār se mār ḍālūṅgā.” Yih Rab kā farmān hai. 10 Ai merī māṅ, mujh par afsos! Afsos ki tū ne mujh jaise shaḳhs ko janm diyā jis ke sāth pūrā mulk jhagaṛtā aur laṛtā hai. Go maiṅ ne na udhār diyā na liyā to bhī sab mujh par lānat karte haiṅ. 11 Rab ne jawāb diyā, “Yaqīnan maiṅ tujhe mazbūt karke apnā achchhā maqsad pūrā karūṅga. Yaqīnan maiṅ hone dūṅgā ki musībat ke waqt dushman tujh se minnat kare. 12 Kyoṅki koī us lohe ko toṛ nahīṅ sakegā jo shimāl se āegā, hāṅ lohe aur pītal kā wuh sariyā toṛā nahīṅ jāegā. 13 Maiṅ tere ḳhazāne dushman ko muft meṅ dūṅgā. Tujhe tamām gunāhoṅ kā ajr milegā jab wuh pūre mulk meṅ terī daulat lūṭne āegā. 14 Tab maiṅ tujhe dushman ke zariye ek mulk meṅ pahuṅchā dūṅgā jis se tū nāwāqif hai. Kyoṅki mere ġhazab kī bhaṛaktī āg tujhe bhasm kar degī.” 15 Ai Rab, tū sab kuchh jāntā hai. Mujhe yād kar, merā ḳhayāl kar, tāqqub karne wāloṅ se merā intaqām le! Unheṅ yahāṅ tak bardāsht na kar ki āḳhirkār merā safāyā ho jāe. Ise dhyān meṅ rakh ki merī ruswāī terī hī ḳhātir ho rahī hai. 16 Ai Rab, lashkaroṅ ke Ḳhudā, jab bhī terā kalām mujh par nāzil huā to maiṅ ne use hazm kiyā, aur merā dil us se ḳhush-o-ḳhurram huā. Kyoṅki mujh par tere hī nām kā ṭhappā lagā hai. 17 Jab dīgar log rangraliyoṅ meṅ apne dil bahlāte the to maiṅ kabhī un ke sāth na baiṭhā, kabhī un kī bātoṅ se lutfandoz na huā. Nahīṅ, terā hāth mujh par thā, is lie maiṅ dūsroṅ se dūr hī baiṭhā rahā. Kyoṅki tū ne mere dil ko qaum par qahr se bhar diyā thā. 18 Kyā wajah hai ki merā dard kabhī ḳhatm nahīṅ hotā, ki merā zaḳhm lā'ilāj hai aur kabhī nahīṅ bhartā? Tū mere lie farebdeh chashmā ban gayā hai, aisī nadī jis ke pānī par etamād nahīṅ kiyā jā saktā. 19 Rab jawāb meṅ farmātā hai, “Agar tū mere pās wāpas āe to maiṅ tujhe wāpas āne dūṅgā, aur tū dubārā mere sāmne hāzir ho sakegā. Aur agar tū fuzūl bāteṅ na kare balki mere lāyq alfāz bole to merā tarjumān hogā. Lāzim hai ki log terī taraf rujū kareṅ, lekin ḳhabardār, kabhī un kī taraf rujū na kar!” 20 Rab farmātā hai, “Maiṅ tujhe pītal kī mazbūt dīwār banā dūṅgā tāki tū is qaum kā sāmnā kar sake. Yih tujh se laṛeṅge lekin tujh par ġhālib nahīṅ āeṅge, kyoṅki maiṅ tere sāth hūṅ, maiṅ terī madad karke tujhe bachāe rakhūṅgā. 21 Maiṅ tujhe bedīnoṅ ke hāth se bachāūṅgā aur fidyā de kar zālimoṅ kī girift se chhuṛāūṅgā.”