Jeremiah 48 (UGV3)

1 Moāb ke bāre meṅ Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai,“Nabū Shahr par afsos, kyoṅki wuh tabāh ho gayā hai. Dushman ne Qiriyatāym kī behurmatī karke us par qabzā kar liyā hai. Chaṭān ke qile kī ruswāī ho gaī, wuh pāsh pāsh ho gayā hai. 2 Ab se koī Moāb kī tārīf nahīṅ karegā. Hasbon meṅ ādmī us kī shikast kī sāzisheṅ karke kah rahe haiṅ, āo, ham Moābī qaum ko nest-o-nābūd kareṅ. ‘Ai Madmīn, tū bhī tabāh ho jāegā, talwār tere bhī pīchhe paṛ jāegī.’ 3 Suno! Horonāym se chīḳheṅ buland ho rahī haiṅ. Tabāhī aur baṛī shikast kā shor mach rahā hai. 4 Moāb chūr chūr ho gayā hai, us ke bachche zor se chillā rahe haiṅ. 5 Log rote rote Lūhīt kī taraf chaṛh rahe haiṅ. Horonāym kī taraf utarte rāste par shikast kī āh-o-zārī sunāī de rahī hai. 6 Bhāg kar apnī jān bachāo! Registān meṅ jhāṛī kī mānind ban jāo. 7 Chūṅki tum Moābiyoṅ ne apnī kāmyābiyoṅ aur daulat par bharosā rakhā, is lie tum bhī qaid meṅ jāoge. Tumhārā dewatā Kamos bhī apne pujāriyoṅ aur buzurgoṅ samet jilāwatan ho jāegā. 8 Tabāh karne wālā har shahr par hamlā karegā, ek bhī nahīṅ bachegā. Jis tarah Rab ne farmāyā hai, wādī bhī tabāh ho jāegī aur maidān-e-murtafā bhī. 9 Moāb par namak ḍāl do, kyoṅki wuh mismār ho jāegā. Us ke shahr wīrān-o-sunsān ho jāeṅge, aur un meṅ koī nahīṅ basegā. 10 Us par lānat jo sustī se Rab kā kām kare! Us par lānat jo apnī talwār ko ḳhūn bahāne se rok le! 11 Apnī jawānī se le kar āj tak Moāb ārām-o-sukūn kī zindagī guzārtā āyā hai, us mai kī mānind jo kabhī nahīṅ chheṛī gaī aur kabhī ek bartan se dūsre meṅ unḍelī nahīṅ gaī. Is lie us kā mazā qāym aur zāyqā behtarīn rahā hai.” 12 Lekin Rab farmātā hai, “Wuh din āne wālā hai jab maiṅ aise ādmiyoṅ ko us ke pās bhejūṅgā jo mai ko bartanoṅ se nikāl kar zāe kar deṅge, aur bartanoṅ ko ḳhālī karne ke bād pāsh pāsh kar deṅge. 13 Tab Moāb ko apne dewatā Kamos par yoṅ sharm āegī jis tarah Isrāīl ko Baitel ke us but par sharm āī jis par wuh bharosā rakhtā thā. 14 Hāy, tum apne āp par kitnā faḳhr karte ho ki ham sūrme aur zabardast jangjū haiṅ. 15 Lekin duniyā kā Bādshāh jis kā nām Rabbul-afwāj hai farmātā hai ki Moāb tabāh ho jāegā, aur dushman us ke shahroṅ meṅ ghus āegā. Us ke behtarīn jawān qatl-o-ġhārat kī zad meṅ ā kar halāk ho jāeṅge. 16 Moāb kā anjām qarīb hī hai, āfat us par nāzil hone wālī hai. 17 Ai paṛos meṅ basne wālo, us par mātam karo! Jitne us kī shohrat jānte ho āh-o-zārī karo. Bolo, ‘Hāy, Moāb kā zordār asā-e-shāhī ṭūṭ gayā hai, us kī shān-o-shaukat kī alāmat ḳhāk meṅ milāī gaī hai.’ 18 Ai Dībon Beṭī, apne shāndār taḳht par se utar kar pyāsī zamīn par baiṭh jā. Kyoṅki Moāb ko tabāh karne wālā tere ḳhilāf bhī chaṛh āegā, wuh tere qilāband shahroṅ ko bhī mismār karegā. 19 Ai Aroīr kī rahne wālī, saṛak ke kināre khaṛī ho kar guzarne wāloṅ par ġhaur kar! Apnī jān bachāne wāloṅ se pūchh le ki kyā huā hai. 20 Tab tujhe jawāb milegā, ‘Moāb ruswā huā hai, wuh pāsh pāsh ho gayā hai. Buland āwāz se wāwailā karo! Dariyā-e-Arnon ke kināre elān karo ki Moāb ḳhatm hai.’ 21 Maidān-e-murtafā par Allāh kī adālat nāzil huī hai. Haulūn, Yahaz, Mifāt, 22 Dībon, Nabū, Bait-diblātāym, 23 Qiriyatāym, Bait-jamūl, Bait-maūn, 24 Qariyot aur Busrā, ġharz Moāb ke tamām shahroṅ kī adālat huī hai, ḳhāh wuh dūr hoṅ yā qarīb.” 25 Rab farmātā hai, “Moāb kī tāqat ṭūṭ gaī hai, us kā bāzū pāsh pāsh ho gayā hai. 26 Use mai pilā pilā kar matwālā karo, wuh apnī qai meṅ loṭ-poṭ ho kar sab ke lie mazāq kā nishānā ban jāe. Kyoṅki wuh maġhrūr ho kar Rab ke ḳhilāf khaṛā ho gayā hai. 27 Tum Moābiyoṅ ne Isrāīl ko apne mazāq kā nishānā banāyā thā. Tum yoṅ use gāliyāṅ dete rahe jaise use chorī karte waqt pakaṛā gayā ho. 28 Lekin ab tumhārī bārī ā gaī hai. Apne shahroṅ ko chhoṛ kar chaṭānoṅ meṅ jā baso! Kabūtar ban kar chaṭānoṅ kī darāṛoṅ meṅ apne ghoṅsle banāo. 29 Ham ne Moāb ke takabbur ke bāre meṅ sunā hai, kyoṅki wuh had se zyādā mutakabbir, maġhrūr, ghamanḍī, ḳhudpasand aur anāparast hai.” 30 Rab farmātā hai, “Maiṅ us ke takabbur se wāqif hūṅ. Lekin us kī ḍīṅgeṅ abas haiṅ, un ke pīchhe kuchh nahīṅ hai. 31 Is lie maiṅ Moāb par āh-o-zārī kar rahā, tamām Moāb ke sabab se chillā rahā hūṅ. Qīr-harāsat ke bāshindoṅ kā anjām dekh kar maiṅ āheṅ bhar rahā hūṅ. 32 Ai Sibmāh kī angūr kī bel, Yāzer kī nisbat maiṅ kahīṅ zyādā tujh par mātam kar rahā hūṅ. Terī koṅpleṅ Yāzer tak phailī huī thīṅ balki samundar ko pār bhī kartī thīṅ. Lekin ab tabāh karne wālā dushman tere pake hue angūroṅ aur mausam-e-garmā ke phal par ṭūṭ paṛā hai. 33 Ab ḳhushī-o-shādmānī Moāb ke bāġhoṅ aur khetoṅ se jātī rahī hai. Maiṅ ne angūr kā ras nikālne kā kām rok diyā hai. Koī ḳhushī ke nāre lagā lagā kar angūr ko pāṅwoṅ tale nahīṅ raundtā. Shor to mach rahā hai, lekin ḳhushī ke nāre buland nahīṅ ho rahe balki jang ke. 34 Hasbon meṅ log madad ke lie pukār rahe haiṅ, un kī āwāz Iliyālī aur Yahaz tak sunāī de rahī hai. Isī tarah Zuġhar kī chīḳheṅ Horonāym aur Ijlat-shalīshiyāh tak pahuṅch gaī haiṅ. Kyoṅki Nimrīm kā pānī bhī ḳhushk ho jāegā.” 35 Rab farmātā hai, “Moāb meṅ jo ūṅchī jaghoṅ par chaṛh kar apne dewatāoṅ ko baḳhūr aur bāqī qurbāniyāṅ pesh karte haiṅ un kā maiṅ ḳhātmā kar dūṅgā. 36 Is lie merā dil bāṅsrī ke mātamī sur nikāl kar Moāb aur Qīr-harāsat ke lie nohā kar rahā hai. Kyoṅki un kī hāsilshudā daulat jātī rahī hai. 37 Har sar ganjā, har dāṛhī munḍwāī gaī hai. Har hāth kī jild ko zaḳhmī kar diyā gayā hai, har kamr ṭāṭ se mulabbas hai. 38 Moāb kī tamām chhatoṅ par aur us ke chaukoṅ meṅ āh-o-zārī buland ho rahī hai.”Kyoṅki Rab farmātā hai, “Maiṅ ne Moāb ko bekār miṭṭī ke bartan kī tarah toṛ ḍālā hai. 39 Hāy, Moāb pāsh pāsh ho gayā hai! Log zār-o-qatār ro rahe haiṅ, aur Moāb ne sharm ke māre apnā muṅh ḍhāṅp liyā hai. Wuh mazāq kā nishānā ban gayā hai, use dekh kar tamām paṛosiyoṅ ke roṅgṭe khaṛe ho gae haiṅ.” 40 Rab farmātā hai, “Wuh dekho! Dushman uqāb kī tarah Moāb par jhapaṭṭā mārtā hai. Apne paroṅ ko phailā kar wuh pūre mulk par sāyā ḍāltā hai. 41 Qariyot qiloṅ samet us ke qabze meṅ ā gayā hai. Us din Moābī sūrmāoṅ kā dil dard-e-zah meṅ mubtalā aurat kī tarah pech-o-tāb khāegā. 42 Kyoṅki Moābī qaum safhā-e-hastī se miṭ jāegī, is lie ki wuh maġhrūr ho kar Rab ke ḳhilāf khaṛī ho gaī hai. 43 Ai Moābī qaum, dahshat, gaṛhā aur phandā tere nasīb meṅ haiṅ.” 44 Kyoṅki Rab farmātā hai, “Jo dahshat se bhāg kar bach jāe wuh gaṛhe meṅ gir jāegā, aur jo gaṛhe se nikal jāe wuh phande meṅ phaṅs jāegā. Kyoṅki maiṅ Moāb par us kī adālat kā sāl lāūṅgā. 45 Panāhguzīn thakehāre Hasbon ke sāy meṅ ruk jāte haiṅ. Lekin afsos, Hasbon se āg nikal āī hai aur Sīhon Bādshāh ke shahr meṅ se sholā bhaṛak uṭhā hai jo Moāb kī peshānī ko aur shor machāne wāloṅ ke chāṅdoṅ ko nazar-e-ātish karegā. 46 Ai Moāb, tujh par afsos! Kamos Dewatā ke parastār nest-o-nābūd haiṅ, tere beṭe-beṭiyāṅ qaidī ban kar jilāwatan ho gae haiṅ. 47 Lekin āne wāle dinoṅ meṅ maiṅ Moāb ko bahāl karūṅga.” Yih Rab kā farmān hai.Yahāṅ Moāb par adālat kā faislā iḳhtitām par pahuṅch gayā hai.

In Other Versions

Jeremiah 48 in the ANGEFD

Jeremiah 48 in the ANTPNG2D

Jeremiah 48 in the AS21

Jeremiah 48 in the BAGH

Jeremiah 48 in the BBPNG

Jeremiah 48 in the BBT1E

Jeremiah 48 in the BDS

Jeremiah 48 in the BEV

Jeremiah 48 in the BHAD

Jeremiah 48 in the BIB

Jeremiah 48 in the BLPT

Jeremiah 48 in the BNT

Jeremiah 48 in the BNTABOOT

Jeremiah 48 in the BNTLV

Jeremiah 48 in the BOATCB

Jeremiah 48 in the BOATCB2

Jeremiah 48 in the BOBCV

Jeremiah 48 in the BOCNT

Jeremiah 48 in the BOECS

Jeremiah 48 in the BOGWICC

Jeremiah 48 in the BOHCB

Jeremiah 48 in the BOHCV

Jeremiah 48 in the BOHLNT

Jeremiah 48 in the BOHNTLTAL

Jeremiah 48 in the BOICB

Jeremiah 48 in the BOILNTAP

Jeremiah 48 in the BOITCV

Jeremiah 48 in the BOKCV

Jeremiah 48 in the BOKCV2

Jeremiah 48 in the BOKHWOG

Jeremiah 48 in the BOKSSV

Jeremiah 48 in the BOLCB

Jeremiah 48 in the BOLCB2

Jeremiah 48 in the BOMCV

Jeremiah 48 in the BONAV

Jeremiah 48 in the BONCB

Jeremiah 48 in the BONLT

Jeremiah 48 in the BONUT2

Jeremiah 48 in the BOPLNT

Jeremiah 48 in the BOSCB

Jeremiah 48 in the BOSNC

Jeremiah 48 in the BOTLNT

Jeremiah 48 in the BOVCB

Jeremiah 48 in the BOYCB

Jeremiah 48 in the BPBB

Jeremiah 48 in the BPH

Jeremiah 48 in the BSB

Jeremiah 48 in the CCB

Jeremiah 48 in the CUV

Jeremiah 48 in the CUVS

Jeremiah 48 in the DBT

Jeremiah 48 in the DGDNT

Jeremiah 48 in the DHNT

Jeremiah 48 in the DNT

Jeremiah 48 in the ELBE

Jeremiah 48 in the EMTV

Jeremiah 48 in the ESV

Jeremiah 48 in the FBV

Jeremiah 48 in the FEB

Jeremiah 48 in the GGMNT

Jeremiah 48 in the GNT

Jeremiah 48 in the HARY

Jeremiah 48 in the HNT

Jeremiah 48 in the IRVA

Jeremiah 48 in the IRVB

Jeremiah 48 in the IRVG

Jeremiah 48 in the IRVH

Jeremiah 48 in the IRVK

Jeremiah 48 in the IRVM

Jeremiah 48 in the IRVM2

Jeremiah 48 in the IRVO

Jeremiah 48 in the IRVP

Jeremiah 48 in the IRVT

Jeremiah 48 in the IRVT2

Jeremiah 48 in the IRVU

Jeremiah 48 in the ISVN

Jeremiah 48 in the JSNT

Jeremiah 48 in the KAPI

Jeremiah 48 in the KBT1ETNIK

Jeremiah 48 in the KBV

Jeremiah 48 in the KJV

Jeremiah 48 in the KNFD

Jeremiah 48 in the LBA

Jeremiah 48 in the LBLA

Jeremiah 48 in the LNT

Jeremiah 48 in the LSV

Jeremiah 48 in the MAAL

Jeremiah 48 in the MBV

Jeremiah 48 in the MBV2

Jeremiah 48 in the MHNT

Jeremiah 48 in the MKNFD

Jeremiah 48 in the MNG

Jeremiah 48 in the MNT

Jeremiah 48 in the MNT2

Jeremiah 48 in the MRS1T

Jeremiah 48 in the NAA

Jeremiah 48 in the NASB

Jeremiah 48 in the NBLA

Jeremiah 48 in the NBS

Jeremiah 48 in the NBVTP

Jeremiah 48 in the NET2

Jeremiah 48 in the NIV11

Jeremiah 48 in the NNT

Jeremiah 48 in the NNT2

Jeremiah 48 in the NNT3

Jeremiah 48 in the PDDPT

Jeremiah 48 in the PFNT

Jeremiah 48 in the RMNT

Jeremiah 48 in the SBIAS

Jeremiah 48 in the SBIBS

Jeremiah 48 in the SBIBS2

Jeremiah 48 in the SBICS

Jeremiah 48 in the SBIDS

Jeremiah 48 in the SBIGS

Jeremiah 48 in the SBIHS

Jeremiah 48 in the SBIIS

Jeremiah 48 in the SBIIS2

Jeremiah 48 in the SBIIS3

Jeremiah 48 in the SBIKS

Jeremiah 48 in the SBIKS2

Jeremiah 48 in the SBIMS

Jeremiah 48 in the SBIOS

Jeremiah 48 in the SBIPS

Jeremiah 48 in the SBISS

Jeremiah 48 in the SBITS

Jeremiah 48 in the SBITS2

Jeremiah 48 in the SBITS3

Jeremiah 48 in the SBITS4

Jeremiah 48 in the SBIUS

Jeremiah 48 in the SBIVS

Jeremiah 48 in the SBT

Jeremiah 48 in the SBT1E

Jeremiah 48 in the SCHL

Jeremiah 48 in the SNT

Jeremiah 48 in the SUSU

Jeremiah 48 in the SUSU2

Jeremiah 48 in the SYNO

Jeremiah 48 in the TBIAOTANT

Jeremiah 48 in the TBT1E

Jeremiah 48 in the TBT1E2

Jeremiah 48 in the TFTIP

Jeremiah 48 in the TFTU

Jeremiah 48 in the TGNTATF3T

Jeremiah 48 in the THAI

Jeremiah 48 in the TNFD

Jeremiah 48 in the TNT

Jeremiah 48 in the TNTIK

Jeremiah 48 in the TNTIL

Jeremiah 48 in the TNTIN

Jeremiah 48 in the TNTIP

Jeremiah 48 in the TNTIZ

Jeremiah 48 in the TOMA

Jeremiah 48 in the TTENT

Jeremiah 48 in the UBG

Jeremiah 48 in the UGV

Jeremiah 48 in the UGV2

Jeremiah 48 in the VBL

Jeremiah 48 in the VDCC

Jeremiah 48 in the YALU

Jeremiah 48 in the YAPE

Jeremiah 48 in the YBVTP

Jeremiah 48 in the ZBP