John 18 (UGV3)

1 Yih kah kar Īsā apne shāgirdoṅ ke sāth niklā aur Wādī-e-Qidron ko pār karke ek bāġh meṅ dāḳhil huā. 2 Yahūdāh jo use dushman ke hawāle karne wālā thā wuh bhī is jagah se wāqif thā, kyoṅki Īsā wahāṅ apne shāgirdoṅ ke sāth jāyā kartā thā. 3 Rāhnumā imāmoṅ aur Farīsiyoṅ ne Yahūdāh ko Romī faujiyoṅ kā dastā aur Baitul-muqaddas ke kuchh pahredār die the. Ab yih mashāleṅ, lālṭain aur hathiyār lie bāġh meṅ pahuṅche. 4 Īsā ko mālūm thā ki use kyā pesh āegā. Chunāṅche us ne nikal kar un se pūchhā, “Tum kis ko ḍhūnḍ rahe ho?” 5 Unhoṅ ne jawāb diyā, “Īsā Nāsarī ko.”Īsā ne unheṅ batāyā, “Maiṅ hī hūṅ.”Yahūdāh jo use dushman ke hawāle karnā chāhtā thā, wuh bhī un ke sāth khaṛā thā. 6 Jab Īsā ne elān kiyā, “Maiṅ hī hūṅ,” to sab pīchhe haṭ kar zamīn par gir paṛe. 7 Ek aur bār Īsā ne un se sawāl kiyā, “Tum kis ko ḍhūnḍ rahe ho?”Unhoṅ ne jawāb diyā, “Īsā Nāsarī ko.” 8 Us ne kahā, “Maiṅ tum ko batā chukā hūṅ ki maiṅ hī hūṅ. Agar tum mujhe ḍhūnḍ rahe ho to in ko jāne do.” 9 Yoṅ us kī yih bāt pūrī huī, “Maiṅ ne un meṅ se jo tū ne mujhe die haiṅ ek ko bhī nahīṅ khoyā.” 10 Shamāūn Patras ke pās talwār thī. Ab us ne use miyān se nikāl kar imām-e-āzam ke ġhulām kā dahnā kān uṛā diyā. (Ġhulām kā nām malḳhus thā.) 11 Lekin Īsā ne Patras se kahā, “Talwār ko miyān meṅ rakh. Kyā maiṅ wuh pyālā na piyūṅ jo Bāp ne mujhe diyā hai?” 12 Phir faujī daste, un ke afsar aur Baitul-muqaddas ke Yahūdī pahredāroṅ ne Īsā ko giriftār karke bāndh liyā. 13 Pahle wuh use Hannā ke pās le gae. Hannā us sāl ke imām-e-āzam Kāyfā kā susar thā. 14 Kāyfā hī ne Yahūdiyoṅ ko yih mashwarā diyā thā ki behtar yih hai ki ek hī ādmī ummat ke lie mar jāe. 15 Shamāūn Patras kisī aur shāgird ke sāth Īsā ke pīchhe ho liyā thā. Yih dūsrā shāgird imām-e-āzam kā jānane wālā thā, is lie wuh Īsā ke sāth imām-e-āzam ke sahan meṅ dāḳhil huā. 16 Patras bāhar darwāze par khaṛā rahā. Phir imām-e-āzam kā jānane wālā shāgird dubārā nikal āyā. Us ne geṭ kī nigarānī karne wālī aurat se bāt kī to use Patras ko apne sāth andar le jāne kī ijāzat milī. 17 Us aurat ne Patras se pūchhā, “Tum bhī is ādmī ke shāgird ho ki nahīṅ?”Us ne jawāb diyā, “Nahīṅ, maiṅ nahīṅ hūṅ.” 18 Ṭhanḍ thī, is lie ġhulāmoṅ aur pahredāroṅ ne lakaṛī ke koeloṅ se āg jalāī. Ab wuh us ke pās khaṛe tāp rahe the. Patras bhī un ke sāth khaṛā tāp rahā thā. 19 Itne meṅ imām-e-āzam Īsā kī pūchh-gachh karke us ke shāgirdoṅ aur tālīm ke bāre meṅ taftīsh karne lagā. 20 Īsā ne jawāb meṅ kahā, “Maiṅ ne duniyā meṅ khul kar bāt kī hai. Maiṅ hameshā Yahūdī ibādatḳhānoṅ aur Baitul-muqaddas meṅ tālīm detā rahā, wahāṅ jahāṅ tamām Yahūdī jamā huā karte haiṅ. Poshīdagī meṅ to maiṅ ne kuchh nahīṅ kahā. 21 Āp mujh se kyoṅ pūchh rahe haiṅ? Un se dariyāft kareṅ jinhoṅ ne merī bāteṅ sunī haiṅ. Un ko mālūm hai ki maiṅ ne kyā kuchh kahā hai.” 22 Is par sāth khaṛe Baitul-muqaddas ke pahredāroṅ meṅ se ek ne Īsā ke muṅh par thappaṛ mār kar kahā, “Kyā yih imām-e-āzam se bāt karne kā tarīqā hai jab wuh tum se kuchh pūchhe?” 23 Īsā ne jawāb diyā, “Agar maiṅ ne burī bāt kī hai to sābit kar. Lekin agar sach kahā, to tū ne mujhe kyoṅ mārā?” 24 Phir Hannā ne Īsā ko bandhī huī hālat meṅ imām-e-āzam Kāyfā ke pās bhej diyā. 25 Shamāūn Patras ab tak āg ke pās khaṛā tāp rahā thā. Itne meṅ dūsre us se pūchhne lage, “Tum bhī us ke shāgird ho ki nahīṅ?”Lekin Patras ne inkār kiyā, “Nahīṅ, maiṅ nahīṅ hūṅ.” 26 Phir imām-e-āzam kā ek ġhulām bol uṭhā jo us ādmī kā rishtedār thā jis kā kān Patras ne uṛā diyā thā, “Kyā maiṅ ne tum ko bāġh meṅ us ke sāth nahīṅ dekhā thā?” 27 Patras ne ek bār phir inkār kiyā, aur inkār karte hī murġh kī bāṅg sunāī dī. 28 Phir Yahūdī Īsā ko Kāyfā se le kar Romī gawarnar ke mahal banām Praiṭoriyum ke pās pahuṅch gae. Ab subah ho chukī thī aur chūṅki Yahūdī Fasah kī Īd ke khāne meṅ sharīk honā chāhte the, is lie wuh mahal meṅ dāḳhil na hue, warnā wuh nāpāk ho jāte. 29 Chunāṅche Pīlātus nikal kar un ke pās āyā aur pūchhā, “Tum is ādmī par kyā ilzām lagā rahe ho?” 30 Unhoṅ ne jawāb diyā, “Agar yih mujrim na hotā to ham ise āp ke hawāle na karte.” 31 Pīlātus ne kahā, “Phir ise le jāo aur apnī sharaī adālatoṅ meṅ pesh karo.”Lekin Yahūdiyoṅ ne etarāz kiyā, “Hameṅ kisī ko sazā-e-maut dene kī ijāzat nahīṅ.” 32 Īsā ne is taraf ishārā kiyā thā ki wuh kis tarah maregā aur ab us kī yih bāt pūrī huī. 33 Tab Pīlātus phir apne mahal meṅ gayā. Wahāṅ se us ne Īsā ko bulāyā aur us se pūchhā, “Kyā tum Yahūdiyoṅ ke Bādshāh ho?” 34 Īsā ne pūchhā, “Kyā āp apnī taraf se yih sawāl kar rahe haiṅ, yā auroṅ ne āp ko mere bāre meṅ batāyā hai?” 35 Pīlātus ne jawāb diyā, “Kyā maiṅ Yahūdī hūṅ? Tumhārī apnī qaum aur rāhnumā imāmoṅ hī ne tumheṅ mere hawāle kiyā hai. Tum se kyā kuchh sarzad huā hai?” 36 Īsā ne kahā, “Merī bādshāhī is duniyā kī nahīṅ hai. Agar wuh is duniyā kī hotī to mere ḳhādim saḳht jidd-o-jahd karte tāki mujhe Yahūdiyoṅ ke hawāle na kiyā jātā. Lekin aisā nahīṅ hai. Ab merī bādshāhī yahāṅ kī nahīṅ hai.” 37 Pīlātus ne kahā, “To phir tum wāqaī bādshāh ho?”Īsā ne jawāb diyā, “Āp sahīh kahte haiṅ, maiṅ bādshāh hūṅ. Maiṅ isī maqsad ke lie paidā ho kar duniyā meṅ āyā ki sachchāī kī gawāhī dūṅ. Jo bhī sachchāī kī taraf se hai wuh merī suntā hai.” 38 Pīlātus ne pūchhā, “Sachchāī kyā hai?”Phir wuh dubārā nikal kar Yahūdiyoṅ ke pās gayā. Us ne elān kiyā, “Mujhe use mujrim ṭhahrāne kī koī wajah nahīṅ milī. 39 Lekin tumhārī ek rasm hai jis ke mutābiq mujhe Īd-e-Fasah ke mauqe par tumhāre lie ek qaidī ko rihā karnā hai. Kyā tum chāhte ho ki maiṅ ‘Yahūdiyoṅ ke Bādshāh’ ko rihā kar dūṅ?” 40 Lekin jawāb meṅ log chillāne lage, “Nahīṅ, is ko nahīṅ balki Bar-abbā ko.” (Bar-abbā ḍākū thā).

In Other Versions

John 18 in the ANGEFD

John 18 in the ANTPNG2D

John 18 in the AS21

John 18 in the BAGH

John 18 in the BBPNG

John 18 in the BBT1E

John 18 in the BDS

John 18 in the BEV

John 18 in the BHAD

John 18 in the BIB

John 18 in the BLPT

John 18 in the BNT

John 18 in the BNTABOOT

John 18 in the BNTLV

John 18 in the BOATCB

John 18 in the BOATCB2

John 18 in the BOBCV

John 18 in the BOCNT

John 18 in the BOECS

John 18 in the BOGWICC

John 18 in the BOHCB

John 18 in the BOHCV

John 18 in the BOHLNT

John 18 in the BOHNTLTAL

John 18 in the BOICB

John 18 in the BOILNTAP

John 18 in the BOITCV

John 18 in the BOKCV

John 18 in the BOKCV2

John 18 in the BOKHWOG

John 18 in the BOKSSV

John 18 in the BOLCB

John 18 in the BOLCB2

John 18 in the BOMCV

John 18 in the BONAV

John 18 in the BONCB

John 18 in the BONLT

John 18 in the BONUT2

John 18 in the BOPLNT

John 18 in the BOSCB

John 18 in the BOSNC

John 18 in the BOTLNT

John 18 in the BOVCB

John 18 in the BOYCB

John 18 in the BPBB

John 18 in the BPH

John 18 in the BSB

John 18 in the CCB

John 18 in the CUV

John 18 in the CUVS

John 18 in the DBT

John 18 in the DGDNT

John 18 in the DHNT

John 18 in the DNT

John 18 in the ELBE

John 18 in the EMTV

John 18 in the ESV

John 18 in the FBV

John 18 in the FEB

John 18 in the GGMNT

John 18 in the GNT

John 18 in the HARY

John 18 in the HNT

John 18 in the IRVA

John 18 in the IRVB

John 18 in the IRVG

John 18 in the IRVH

John 18 in the IRVK

John 18 in the IRVM

John 18 in the IRVM2

John 18 in the IRVO

John 18 in the IRVP

John 18 in the IRVT

John 18 in the IRVT2

John 18 in the IRVU

John 18 in the ISVN

John 18 in the JSNT

John 18 in the KAPI

John 18 in the KBT1ETNIK

John 18 in the KBV

John 18 in the KJV

John 18 in the KNFD

John 18 in the LBA

John 18 in the LBLA

John 18 in the LNT

John 18 in the LSV

John 18 in the MAAL

John 18 in the MBV

John 18 in the MBV2

John 18 in the MHNT

John 18 in the MKNFD

John 18 in the MNG

John 18 in the MNT

John 18 in the MNT2

John 18 in the MRS1T

John 18 in the NAA

John 18 in the NASB

John 18 in the NBLA

John 18 in the NBS

John 18 in the NBVTP

John 18 in the NET2

John 18 in the NIV11

John 18 in the NNT

John 18 in the NNT2

John 18 in the NNT3

John 18 in the PDDPT

John 18 in the PFNT

John 18 in the RMNT

John 18 in the SBIAS

John 18 in the SBIBS

John 18 in the SBIBS2

John 18 in the SBICS

John 18 in the SBIDS

John 18 in the SBIGS

John 18 in the SBIHS

John 18 in the SBIIS

John 18 in the SBIIS2

John 18 in the SBIIS3

John 18 in the SBIKS

John 18 in the SBIKS2

John 18 in the SBIMS

John 18 in the SBIOS

John 18 in the SBIPS

John 18 in the SBISS

John 18 in the SBITS

John 18 in the SBITS2

John 18 in the SBITS3

John 18 in the SBITS4

John 18 in the SBIUS

John 18 in the SBIVS

John 18 in the SBT

John 18 in the SBT1E

John 18 in the SCHL

John 18 in the SNT

John 18 in the SUSU

John 18 in the SUSU2

John 18 in the SYNO

John 18 in the TBIAOTANT

John 18 in the TBT1E

John 18 in the TBT1E2

John 18 in the TFTIP

John 18 in the TFTU

John 18 in the TGNTATF3T

John 18 in the THAI

John 18 in the TNFD

John 18 in the TNT

John 18 in the TNTIK

John 18 in the TNTIL

John 18 in the TNTIN

John 18 in the TNTIP

John 18 in the TNTIZ

John 18 in the TOMA

John 18 in the TTENT

John 18 in the UBG

John 18 in the UGV

John 18 in the UGV2

John 18 in the VBL

John 18 in the VDCC

John 18 in the YALU

John 18 in the YAPE

John 18 in the YBVTP

John 18 in the ZBP