Joshua 18 (UGV3)
1 Kanān par ġhālib āne ke bād Isrāīl kī pūrī jamāt Sailā Shahr meṅ jamā huī. Wahāṅ unhoṅ ne mulāqāt kā ḳhaimā khaṛā kiyā. 2 Ab tak sāt qabīloṅ ko zamīn nahīṅ milī thī. 3 Yashua ne Isrāīliyoṅ ko samjhā kar kahā, “Āp kitnī der tak sust raheṅge? Āp kab tak us mulk par qabzā nahīṅ kareṅge jo Rab āp ke bāpdādā ke Ḳhudā ne āp ko de diyā hai? 4 Ab har qabīle ke tīn tīn ādmiyoṅ ko chun leṅ. Unheṅ maiṅ mulk kā daurā karne ke lie bhej dūṅgā tāki wuh tamām qabāylī ilāqoṅ kī fahrist taiyār kareṅ. Is ke bād wuh mere pās wāpas ā kar 5 mulk ko sāt ilāqoṅ meṅ taqsīm kareṅ. Lekin dhyān rakheṅ ki junūb meṅ Yahūdāh kā ilāqā aur shimāl meṅ Ifrāīm aur Manassī kā ilāqā hai. Un kī sarhaddeṅ mat chheṛnā! 6 Wuh ādmī likh leṅ ki sāt nae qabāylī ilāqoṅ kī sarhaddeṅ kahāṅ kahāṅ tak haiṅ aur phir in kī fahristeṅ pesh kareṅ. Phir maiṅ Rab āp ke Ḳhudā ke huzūr muqaddas qurā ḍāl kar har ek kī zamīn muqarrar karūṅga. 7 Yād rahe ki Lāwiyoṅ ko koī ilāqā nahīṅ milnā hai. Un kā hissā yih hai ki wuh Rab ke imām haiṅ. Aur Jad, Rūbin aur Manassī ke ādhe qabīle ko bhī mazīd kuchh nahīṅ milnā hai, kyoṅki unheṅ Rab ke ḳhādim Mūsā se Dariyā-e-Yardan ke mashriq meṅ un kā hissā mil chukā hai.” 8 Tab wuh ādmī rawānā hone ke lie taiyār hue jinheṅ mulk kā daurā karne ke lie chunā gayā thā. Yashua ne unheṅ hukm diyā, “Pūre mulk meṅ se guzar kar tamām shahroṅ kī fahrist banāeṅ. Jab fahrist mukammal ho jāe to use mere pās le āeṅ. Phir maiṅ Sailā meṅ Rab ke huzūr āp ke lie qurā ḍāl dūṅgā.” 9 Ādmī chale gae aur pūre mulk meṅ se guzar kar tamām shahroṅ kī fahrist banā lī. Unhoṅ ne mulk ko sāt hissoṅ meṅ taqsīm karke tamām tafsīlāt kitāb meṅ darj kīṅ aur yih kitāb Sailā kī ḳhaimāgāh meṅ Yashua ko de dī. 10 Phir Yashua ne Rab ke huzūr qurā ḍāl kar yih ilāqe bāqī sāt qabīloṅ aur un ke kunboṅ meṅ taqsīm kar die. 11 Jab qurā ḍālā gayā to Binyamīn ke qabīle aur us ke kunboṅ ko pahlā hissā mil gayā. Us kī zamīn Yahūdāh aur Yūsuf ke qabīloṅ ke darmiyān thī. 12 Us kī shimālī sarhad Dariyā-e-Yardan se shurū huī aur Yarīhū ke shimāl meṅ pahāṛī ḍhalān par chaṛh kar pahāṛī ilāqe meṅ se maġhrib kī taraf guzarī. Bait-āwan ke bayābān ko pahuṅchne par 13 wuh Lūz yānī Baitel kī taraf baṛh kar shahr ke junūb meṅ pahāṛī ḍhalān par chaltī chaltī āge nikal gaī. Wahāṅ se wuh Atārāt-addār aur us pahāṛī tak pahuṅchī jo Nashebī Bait-haurūn ke junūb meṅ hai. 14 Phir wuh junūb kī taraf muṛ kar maġhribī sarhad ke taur par Qiriyat-bāl yānī Qiriyat-yārīm ke pās āī jo Yahūdāh ke qabīle kī milkiyat thī. 15 Binyamīn kī junūbī sarhad Qiriyat-yārīm ke maġhribī kināre se shurū ho kar Niftūh chashmā tak pahuṅchī. 16 Phir wuh us pahāṛ ke dāman par utar āī jo Wādī-e-Bin-hinnūm ke maġhrib meṅ aur Maidān-e-Rafāīm ke shimāl meṅ wāqe hai. Is ke bād sarhad Yabūsiyoṅ ke shahr ke junūb meṅ se guzarī aur yoṅ Wādī-e-Hinnūm ko pār karke Ain-rājil ke pās āī. 17 Phir wuh shimāl kī taraf muṛ kar Ain-shams ke pās se guzarī aur Darrā-e-Adummīm ke muqābil shahr Jalīlot tak pahuṅch kar Rūbin ke beṭe Bohan ke patthar ke pās utar āī. 18 Wahāṅ se wuh us ḍhalān ke shimālī ruḳh par se guzarī jo Wādī-e-Yardan ke maġhribī kināre par hai. Phir wuh wādī meṅ utar kar 19 Bait-hujlāh kī shimālī pahāṛī ḍhalān se guzarī aur Bahīrā-e-Murdār ke shimālī kināre par ḳhatm huī, wahāṅ jahāṅ Dariyā-e-Yardan us meṅ bahtā hai. Yih thī Binyamīn kī junūbī sarhad. 20 Us kī mashriqī sarhad Dariyā-e-Yardan thī. Yihī wuh ilāqā thā jo Binyamīn ke qabīle ko us ke kunboṅ ke mutābiq diyā gayā. 21 Zail ke shahr is ilāqe meṅ shāmil the: Yarīhū, Bait-hujlāh, Imaq-qasīs, 22 Bait-arābā, Samraim, Baitel, 23 Awwīm, Fārā, Ufrā, 24 Kafarul-ammonī, Ufnī aur Jibā. Yih kul 12 shahr the. Har shahr ke gird-o-nawāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ. 25 In ke alāwā yih shahr bhī the: Jibaūn, Rāmā, Bairot, 26 Misfāh, Kafīrā, Mauzā, 27 Raqam, Irfael, Tarālā, 28 Zilā, Alif, Yabūsiyoṅ kā shahr Yarūshalam, Jibiyā aur Qiriyat-yārīm. In shahroṅ kī tādād 14 thī. Har shahr ke gird-o-nawāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ. Yih tamām shahr Binyamīn aur us ke kunboṅ kī milkiyat the.