Luke 17 (UGV3)
1 Īsā ne apne shāgirdoṅ se kahā, “Āzmāishoṅ ko to ānā hī ānā hai, lekin us par afsos jis kī mārifat wuh āeṅ. 2 Agar wuh in chhoṭoṅ meṅ se kisī ko gunāh karne par uksāe to us ke lie behtar hai ki us ke gale meṅ baṛī chakkī kā pāṭ bāndhā jāe aur use samundar meṅ phaiṅk diyā jāe. 3 Ḳhabardār raho!Agar tumhārā bhāī gunāh kare to use samjhāo. Agar wuh is par taubā kare to use muāf kar do. 4 Ab farz karo ki wuh ek din ke andar sāt bār tumhārā gunāh kare, lekin har dafā wāpas ā kar taubā kā izhār kare, to bhī use har dafā muāf kar do.” 5 Rasūloṅ ne Ḳhudāwand se kahā, “Hamāre īmān ko baṛhā deṅ.” 6 Ḳhudāwand ne jawāb diyā, “Agar tumhārā īmān rāī ke dāne jaisā chhoṭā bhī ho to tum shahtūt ke is daraḳht ko kah sakte ho, ‘Ukhaṛ kar samundar meṅ jā lag’ to wuh tumhārī bāt par amal karegā. 7 Farz karo ki tum meṅ se kisī ne hal chalāne yā jānwar charāne ke lie ek ġhulām rakhā hai. Jab yih ġhulām khet se ghar āegā to kyā us kā mālik kahegā, ‘Idhar āo, khāne ke lie baiṭh jāo?’ 8 Hargiz nahīṅ, balki wuh yih kahegā, ‘Merā khānā taiyār karo, ḍyūṭī ke kapṛe pahan kar merī ḳhidmat karo jab tak maiṅ khā-pī na lūṅ. Is ke bād tum bhī khā aur pī sakoge.’ 9 Aur kyā wuh apne ġhulām kī us ḳhidmat kā shukriyā adā karegā jo us ne use karne ko kahā thā? Hargiz nahīṅ! 10 Isī tarah jab tum sab kuchh jo tumheṅ karne ko kahā gayā hai kar chuko tab tum ko yih kahnā chāhie, ‘Ham nālāyq naukar haiṅ. Ham ne sirf apnā farz adā kiyā hai.’” 11 Aisā huā ki Yarūshalam kī taraf safr karte karte Īsā Sāmariya aur Galīl meṅ se guzarā. 12 Ek din wuh kisī gāṅw meṅ dāḳhil ho rahā thā ki koṛh ke das marīz us ko milne āe. Wuh kuchh fāsile par khaṛe ho kar 13 ūṅchī āwāz se kahne lage, “Ai Īsā, ustād, ham par rahm kareṅ.” 14 Us ne unheṅ dekhā to kahā, “Jāo, apne āp ko imāmoṅ ko dikhāo tāki wuh tumhārā muāynā kareṅ.”Aur aisā huā ki wuh chalte chalte apnī bīmārī se pāk-sāf ho gae. 15 Un meṅ se ek ne jab dekhā ki shifā mil gaī hai to wuh muṛ kar ūṅchī āwāz se Allāh kī tamjīd karne lagā, 16 aur Īsā ke sāmne muṅh ke bal gir kar shukriyā adā kiyā. Yih ādmī Sāmariya kā bāshindā thā. 17 Īsā ne pūchhā, “Kyā das ke das ādmī apnī bīmārī se pāk-sāf nahīṅ hue? Bāqī nau kahāṅ haiṅ? 18 Kyā is ġhairmulkī ke alāwā koī aur wāpas ā kar Allāh kī tamjīd karne ke lie taiyār nahīṅ thā?” 19 Phir us ne us se kahā, “Uṭh kar chalā jā. Tere īmān ne tujhe bachā liyā hai.” 20 Kuchh Farīsiyoṅ ne Īsā se pūchhā, “Allāh kī bādshāhī kab āegī?” Us ne jawāb diyā, “Allāh kī bādshāhī yoṅ nahīṅ ā rahī ki use zāhirī nishānoṅ se pahchānā jāe. 21 Log yih bhī nahīṅ kah sakeṅge, ‘Wuh yahāṅ hai’ yā ‘Wuh wahāṅ hai’ kyoṅki Allāh kī bādshāhī tumhāre darmiyān hai.” 22 Phir us ne apne shāgirdoṅ se kahā, “Aise din āeṅge ki tum Ibn-e-Ādam kā kam az kam ek din deḳhne kī tamannā karoge, lekin nahīṅ dekhoge. 23 Log tum ko batāeṅge, ‘Wuh wahāṅ hai’ yā ‘Wuh yahāṅ hai.’ Lekin mat jānā aur un ke pīchhe na lagnā. 24 Kyoṅki jab Ibn-e-Ādam kā din āegā to wuh bijlī kī mānind hogā jis kī chamak āsmān ko ek sire se le kar dūsre sire tak raushan kar detī hai. 25 Lekin pahle lāzim hai ki wuh bahut dukh uṭhāe aur is nasl ke hāthoṅ radd kiyā jāe. 26 Jab Ibn-e-Ādam kā waqt āegā to hālāt Nūh ke dinoṅ jaise hoṅge. 27 Log us din tak khāne-pīne aur shādī karne karwāne meṅ lage rahe jab tak Nūh kashtī meṅ dāḳhil na ho gayā. Phir sailāb ne ā kar un sab ko tabāh kar diyā. 28 Bilkul yihī kuchh Lūt ke aiyām meṅ huā. Log khāne-pīne, ḳharīd-o-faroḳht, kāshtkārī aur tāmīr ke kām meṅ lage rahe. 29 Lekin jab Lūt Sadūm ko chhoṛ kar niklā to āg aur gandhak ne āsmān se baras kar un sab ko tabāh kar diyā. 30 Ibn-e-Ādam ke zuhūr ke waqt aise hī hālāt hoṅge. 31 Jo shaḳhs us din chhat par ho wuh ghar kā sāmān sāth le jāne ke lie nīche na utre. Isī tarah jo khet meṅ ho wuh apne pīchhe paṛī chīzoṅ ko sāth le jāne ke lie ghar na lauṭe. 32 Lūt kī bīwī ko yād rakho. 33 Jo apnī jān bachāne kī koshish karegā wuh use kho degā, aur jo apnī jān kho degā wuhī use bachāe rakhegā. 34 Maiṅ tum ko batātā hūṅ ki us rāt do afrād ek bistar meṅ soe hoṅge, ek ko sāth le liyā jāegā jabki dūsre ko pīchhe chhoṛ diyā jāegā. 35 Do ḳhawātīn chakkī par gandum pīs rahī hoṅgī, ek ko sāth le liyā jāegā jabki dūsrī ko pīchhe chhoṛ diyā jāegā. 36 [Do afrād khet meṅ hoṅge, ek ko sāth le liyā jāegā jabki dūsre ko pīchhe chhoṛ diyā jāegā.]” 37 Unhoṅ ne pūchhā, “Ḳhudāwand, yih kahāṅ hogā?” Us ne jawāb diyā, “Jahāṅ lāsh paṛī ho wahāṅ giddh jamā ho jāeṅge.”