Luke 18 (UGV3)

1 Phir Īsā ne unheṅ ek tamsīl sunāī jo musalsal duā karne aur himmat na hārne kī zarūrat ko zāhir kartī hai. 2 Us ne kahā, “Kisī shahr meṅ ek jaj rahtā thā jo na Ḳhudā kā ḳhauf māntā, na kisī insān kā lihāz kartā thā. 3 Ab us shahr meṅ ek bewā bhī thī jo yih kah kar us ke pās ātī rahī ki ‘Mere muḳhālif ko jītne na deṅ balki merā insāf kareṅ.’ 4 Kuchh der ke lie jaj ne inkār kiyā. Lekin phir wuh dil meṅ kahne lagā, ‘Beshak maiṅ Ḳhudā kā ḳhauf nahīṅ māntā, na logoṅ kī parwā kartā hūṅ, 5 lekin yih bewā mujhe bār bār tang kar rahī hai. Is lie maiṅ us kā insāf karūṅga. Aisā na ho ki āḳhirkār wuh ā kar mere muṅh par thappaṛ māre.’” 6 Ḳhudāwand ne bāt jārī rakhī. “Is par dhyān do jo be'insāf jaj ne kahā. 7 Agar us ne āḳhirkār insāf kiyā to kyā Allāh apne chune hue logoṅ kā insāf nahīṅ karegā jo din rāt use madad ke lie pukārte haiṅ? Kyā wuh un kī bāt multawī kartā rahegā? 8 Hargiz nahīṅ! Maiṅ tum ko batātā hūṅ ki wuh jaldī se un kā insāf karegā. Lekin kyā Ibn-e-Ādam jab duniyā meṅ āegā to īmān dekh pāegā?” 9 Bāz log maujūd the jo apnī rāstbāzī par bharosā rakhte aur dūsroṅ ko haqīr jānte the. Unheṅ Īsā ne yih tamsīl sunāī, 10 “Do ādmī Baitul-muqaddas meṅ duā karne āe. Ek Farīsī thā aur dūsrā ṭaiks lene wālā. 11 Farīsī khaṛā ho kar yih duā karne lagā, ‘Ai Ḳhudā, maiṅ terā shukr kartā hūṅ ki maiṅ bāqī logoṅ kī tarah nahīṅ hūṅ. Na maiṅ ḍākū hūṅ, na be'insāf, na zinākār. Maiṅ is ṭaiks lene wāle kī mānind bhī nahīṅ hūṅ. 12 Maiṅ hafte meṅ do martabā rozā rakhtā hūṅ aur tamām āmdanī kā daswāṅ hissā tere lie maḳhsūs kartā hūṅ.’ 13 Lekin ṭaiks lene wālā dūr hī khaṛā rahā. Us ne apnī āṅkheṅ āsmān kī taraf uṭhāne tak kī jurrat na kī balki apnī chhātī pīṭ pīṭ kar kahne lagā, ‘Ai Ḳhudā, mujh gunāhgār par rahm kar!’ 14 Maiṅ tum ko batātā hūṅ ki jab donoṅ apne apne ghar lauṭe to Farīsī nahīṅ balki yih ādmī Allāh ke nazdīk rāstbāz ṭhahrā. Kyoṅki jo bhī apne āp ko sarfarāz kare use past kiyā jāegā aur jo apne āp ko past kare use sarfarāz kiyā jāegā.” 15 Ek din log apne chhoṭe bachchoṅ ko bhī Īsā ke pās lāe tāki wuh unheṅ chhue. Yih dekh kar shāgirdoṅ ne un ko malāmat kī. 16 Lekin Īsā ne unheṅ apne pās bulā kar kahā, “Bachchoṅ ko mere pās āne do aur unheṅ na roko, kyoṅki Allāh kī bādshāhī in jaise logoṅ ko hāsil hai. 17 Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ, jo Allāh kī bādshāhī ko bachche kī tarah qabūl na kare wuh us meṅ dāḳhil nahīṅ hogā.” 18 Kisī rāhnumā ne us se pūchhā, “Nek ustād, maiṅ kyā karūṅ tāki mīrās meṅ abadī zindagī pāūṅ?” 19 Īsā ne jawāb diyā, “Tū mujhe nek kyoṅ kahtā hai? Koī nek nahīṅ siwāe ek ke aur wuh hai Allāh. 20 Tū sharīat ke ahkām se to wāqif hai ki zinā na karnā, qatl na karnā, chorī na karnā, jhūṭī gawāhī na denā, apne bāp aur apnī māṅ kī izzat karnā.” 21 Ādmī ne jawāb diyā, “Maiṅ ne jawānī se āj tak in tamām ahkām kī pairawī kī hai.” 22 Yih sun kar Īsā ne kahā, “Ek kām ab tak rah gayā hai. Apnī pūrī jāydād faroḳht karke paise ġharīboṅ meṅ taqsīm kar de. Phir tere lie āsmān par ḳhazānā jamā ho jāegā. Is ke bād ā kar mere pīchhe ho le.” 23 Yih sun kar ādmī ko bahut dukh huā, kyoṅki wuh nihāyat daulatmand thā. 24 Yih dekh kar Īsā ne kahā, “Daulatmandoṅ ke lie Allāh kī bādshāhī meṅ dāḳhil honā kitnā mushkil hai! 25 Amīr ke Allāh kī bādshāhī meṅ dāḳhil hone kī nisbat yih zyādā āsān hai ki ūṅṭ sūī ke nāke meṅ se guzar jāe.” 26 Yih bāt sun kar sunane wāloṅ ne pūchhā, “Phir kis ko najāt mil saktī hai?” 27 Īsā ne jawāb diyā, “Jo insān ke lie nāmumkin hai wuh Allāh ke lie mumkin hai.” 28 Patras ne us se kahā, “Ham to apnā sab kuchh chhoṛ kar āp ke pīchhe ho lie haiṅ.” 29 Īsā ne jawāb diyā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki jis ne bhī Allāh kī bādshāhī kī ḳhātir apne ghar, bīwī, bhāiyoṅ, wālidain yā bachchoṅ ko chhoṛ diyā hai 30 use is zamāne meṅ kaī gunā zyādā aur āne wāle zamāne meṅ abadī zindagī milegī.” 31 Īsā shāgirdoṅ ko ek taraf le jā kar un se kahne lagā, “Suno, ham Yarūshalam kī taraf baṛh rahe haiṅ. Wahāṅ sab kuchh pūrā ho jāegā jo nabiyoṅ kī mārifat Ibn-e-Ādam ke bāre meṅ likhā gayā hai. 32 Use Ġhairyahūdiyoṅ ke hawāle kar diyā jāegā jo us kā mazāq uṛāeṅge, us kī be'izzatī kareṅge, us par thūkeṅge, 33 us ko koṛe māreṅge aur use qatl kareṅge. Lekin tīsre din wuh jī uṭhegā.” 34 Lekin shāgirdoṅ kī samajh meṅ kuchh na āyā. Is bāt kā matlab un se chhupā rahā aur wuh na samjhe ki wuh kyā kah rahā hai. 35 Īsā Yarīhū ke qarīb pahuṅchā. Wahāṅ rāste ke kināre ek andhā baiṭhā bhīk māṅg rahā thā. 36 Bahut-se log us ke sāmne se guzarne lage to us ne yih sun kar pūchhā ki kyā ho rahā hai. 37 Unhoṅ ne kahā, “Īsā Nāsarī yahāṅ se guzar rahā hai.” 38 Andhā chillāne lagā, “Ai Īsā Ibn-e-Dāūd, mujh par rahm kareṅ.” 39 Āge chalne wāloṅ ne use ḍāṅṭ kar kahā, “Ḳhāmosh!” Lekin wuh mazīd ūṅchī āwāz se pukārtā rahā, “Ai Ibn-e-Dāūd, mujh par rahm kareṅ.” 40 Īsā ruk gayā aur hukm diyā, “Use mere pās lāo.” Jab wuh qarīb āyā to Īsā ne us se pūchhā, 41 “Tū kyā chāhtā hai ki maiṅ tere lie karūṅ?”Us ne jawāb diyā, “Ḳhudāwand, yih ki maiṅ dekh sakūṅ.” 42 Īsā ne us se kahā, “To phir deḳh! Tere īmān ne tujhe bachā liyā hai.” 43 Jyoṅ hī us ne yih kahā andhe kī āṅkheṅ bahāl ho gaīṅ aur wuh Allāh kī tamjīd karte hue us ke pīchhe ho liyā. Yih dekh kar pūre hujūm ne Allāh ko jalāl diyā.

In Other Versions

Luke 18 in the ANGEFD

Luke 18 in the ANTPNG2D

Luke 18 in the AS21

Luke 18 in the BAGH

Luke 18 in the BBPNG

Luke 18 in the BBT1E

Luke 18 in the BDS

Luke 18 in the BEV

Luke 18 in the BHAD

Luke 18 in the BIB

Luke 18 in the BLPT

Luke 18 in the BNT

Luke 18 in the BNTABOOT

Luke 18 in the BNTLV

Luke 18 in the BOATCB

Luke 18 in the BOATCB2

Luke 18 in the BOBCV

Luke 18 in the BOCNT

Luke 18 in the BOECS

Luke 18 in the BOGWICC

Luke 18 in the BOHCB

Luke 18 in the BOHCV

Luke 18 in the BOHLNT

Luke 18 in the BOHNTLTAL

Luke 18 in the BOICB

Luke 18 in the BOILNTAP

Luke 18 in the BOITCV

Luke 18 in the BOKCV

Luke 18 in the BOKCV2

Luke 18 in the BOKHWOG

Luke 18 in the BOKSSV

Luke 18 in the BOLCB

Luke 18 in the BOLCB2

Luke 18 in the BOMCV

Luke 18 in the BONAV

Luke 18 in the BONCB

Luke 18 in the BONLT

Luke 18 in the BONUT2

Luke 18 in the BOPLNT

Luke 18 in the BOSCB

Luke 18 in the BOSNC

Luke 18 in the BOTLNT

Luke 18 in the BOVCB

Luke 18 in the BOYCB

Luke 18 in the BPBB

Luke 18 in the BPH

Luke 18 in the BSB

Luke 18 in the CCB

Luke 18 in the CUV

Luke 18 in the CUVS

Luke 18 in the DBT

Luke 18 in the DGDNT

Luke 18 in the DHNT

Luke 18 in the DNT

Luke 18 in the ELBE

Luke 18 in the EMTV

Luke 18 in the ESV

Luke 18 in the FBV

Luke 18 in the FEB

Luke 18 in the GGMNT

Luke 18 in the GNT

Luke 18 in the HARY

Luke 18 in the HNT

Luke 18 in the IRVA

Luke 18 in the IRVB

Luke 18 in the IRVG

Luke 18 in the IRVH

Luke 18 in the IRVK

Luke 18 in the IRVM

Luke 18 in the IRVM2

Luke 18 in the IRVO

Luke 18 in the IRVP

Luke 18 in the IRVT

Luke 18 in the IRVT2

Luke 18 in the IRVU

Luke 18 in the ISVN

Luke 18 in the JSNT

Luke 18 in the KAPI

Luke 18 in the KBT1ETNIK

Luke 18 in the KBV

Luke 18 in the KJV

Luke 18 in the KNFD

Luke 18 in the LBA

Luke 18 in the LBLA

Luke 18 in the LNT

Luke 18 in the LSV

Luke 18 in the MAAL

Luke 18 in the MBV

Luke 18 in the MBV2

Luke 18 in the MHNT

Luke 18 in the MKNFD

Luke 18 in the MNG

Luke 18 in the MNT

Luke 18 in the MNT2

Luke 18 in the MRS1T

Luke 18 in the NAA

Luke 18 in the NASB

Luke 18 in the NBLA

Luke 18 in the NBS

Luke 18 in the NBVTP

Luke 18 in the NET2

Luke 18 in the NIV11

Luke 18 in the NNT

Luke 18 in the NNT2

Luke 18 in the NNT3

Luke 18 in the PDDPT

Luke 18 in the PFNT

Luke 18 in the RMNT

Luke 18 in the SBIAS

Luke 18 in the SBIBS

Luke 18 in the SBIBS2

Luke 18 in the SBICS

Luke 18 in the SBIDS

Luke 18 in the SBIGS

Luke 18 in the SBIHS

Luke 18 in the SBIIS

Luke 18 in the SBIIS2

Luke 18 in the SBIIS3

Luke 18 in the SBIKS

Luke 18 in the SBIKS2

Luke 18 in the SBIMS

Luke 18 in the SBIOS

Luke 18 in the SBIPS

Luke 18 in the SBISS

Luke 18 in the SBITS

Luke 18 in the SBITS2

Luke 18 in the SBITS3

Luke 18 in the SBITS4

Luke 18 in the SBIUS

Luke 18 in the SBIVS

Luke 18 in the SBT

Luke 18 in the SBT1E

Luke 18 in the SCHL

Luke 18 in the SNT

Luke 18 in the SUSU

Luke 18 in the SUSU2

Luke 18 in the SYNO

Luke 18 in the TBIAOTANT

Luke 18 in the TBT1E

Luke 18 in the TBT1E2

Luke 18 in the TFTIP

Luke 18 in the TFTU

Luke 18 in the TGNTATF3T

Luke 18 in the THAI

Luke 18 in the TNFD

Luke 18 in the TNT

Luke 18 in the TNTIK

Luke 18 in the TNTIL

Luke 18 in the TNTIN

Luke 18 in the TNTIP

Luke 18 in the TNTIZ

Luke 18 in the TOMA

Luke 18 in the TTENT

Luke 18 in the UBG

Luke 18 in the UGV

Luke 18 in the UGV2

Luke 18 in the VBL

Luke 18 in the VDCC

Luke 18 in the YALU

Luke 18 in the YAPE

Luke 18 in the YBVTP

Luke 18 in the ZBP