Luke 24 (UGV3)

1 Itwār ke din yih aurateṅ apne taiyārshudā masāle le kar subah-sawere qabr par gaīṅ. 2 Wahāṅ pahuṅch kar unhoṅ ne dekhā ki qabr par kā patthar ek taraf luṛhkā huā hai. 3 Lekin jab wuh qabr meṅ gaīṅ to wahāṅ Ḳhudāwand Īsā kī lāsh na pāī. 4 Wuh abhī uljhan meṅ wahāṅ khaṛī thīṅ ki achānak do mard un ke pās ā khaṛe hue jin ke libās bijlī kī tarah chamak rahe the. 5 Aurateṅ dahshat khā kar muṅh ke bal jhuk gaīṅ, lekin un mardoṅ ne kahā, “Tum kyoṅ zindā ko murdoṅ meṅ ḍhūnḍ rahī ho? 6 Wuh yahāṅ nahīṅ hai, wuh to jī uṭhā hai. Wuh bāt yād karo jo us ne tum se us waqt kahī jab wuh Galīl meṅ thā. 7 ‘Lāzim hai ki Ibn-e-Ādam ko gunāhgāroṅ ke hawāle kar diyā jāe, maslūb kiyā jāe aur ki wuh tīsre din jī uṭhe.’” 8 Phir unheṅ yih bāt yād āī. 9 Aur qabr se wāpas ā kar unhoṅ ne yih sab kuchh gyārah rasūloṅ aur bāqī shāgirdoṅ ko sunā diyā. 10 Mariyam Magdalīnī, Yuannā, Yāqūb kī māṅ Mariyam aur chand ek aur aurateṅ un meṅ shāmil thīṅ jinhoṅ ne yih bāteṅ rasūloṅ ko batāīṅ. 11 Lekin un ko yih bāteṅ betukī-sī lag rahī thīṅ, is lie unheṅ yaqīn na āyā. 12 To bhī Patras uṭhā aur bhāg kar qabr ke pās āyā. Jab pahuṅchā to jhuk kar andar jhāṅkā, lekin sirf kafan hī nazar āyā. Yih hālāt dekh kar wuh hairān huā aur chalā gayā. 13 Usī din Īsā ke do pairokār ek gāṅw banām Immāus kī taraf chal rahe the. Yih gāṅw Yarūshalam se taqrīban das kilomīṭar dūr thā. 14 Chalte chalte wuh āpas meṅ un wāqiyāt kā zikr kar rahe the jo hue the. 15 Aur aisā huā ki jab wuh bāteṅ aur ek dūsre ke sāth bahs-mubāhasā kar rahe the to Īsā ḳhud qarīb ā kar un ke sāth chalne lagā. 16 Lekin un kī āṅkhoṅ par pardā ḍālā gayā thā, is lie wuh use pahchān na sake. 17 Īsā ne kahā, “Yih kaisī bāteṅ haiṅ jin ke bāre meṅ tum chalte chalte tabādalā-e-ḳhyāl kar rahe ho?”Yih sun kar wuh ġhamgīn se khaṛe ho gae. 18 Un meṅ se ek banām Kliyupās ne us se pūchhā, “Kyā āp Yarūshalam meṅ wāhid shaḳhs haiṅ jise mālūm nahīṅ ki in dinoṅ meṅ kyā kuchh huā hai?” 19 Us ne kahā, “Kyā huā hai?”Unhoṅ ne jawāb diyā, “Wuh jo Īsā Nāsarī ke sāth huā hai. Wuh nabī thā jise kalām aur kām meṅ Allāh aur tamām qaum ke sāmne zabardast quwwat hāsil thī. 20 Lekin hamāre rāhnumā imāmoṅ aur sardāroṅ ne use hukmrānoṅ ke hawāle kar diyā tāki use sazā-e-maut dī jāe, aur unhoṅ ne use maslūb kiyā. 21 Lekin hameṅ to ummīd thī ki wuhī Isrāīl ko najāt degā. In wāqiyāt ko tīn din ho gae haiṅ. 22 Lekin ham meṅ se kuchh ḳhawātīn ne bhī hameṅ hairān kar diyā hai. Wuh āj subah-sawere qabr par gaīṅ 23 to dekhā ki lāsh wahāṅ nahīṅ hai. Unhoṅ ne lauṭ kar hameṅ batāyā ki ham par farishte zāhir hue jinhoṅ ne kahā ki Īsā zindā hai. 24 Ham meṅ se kuchh qabr par gae aur use waisā hī pāyā jis tarah un auratoṅ ne kahā thā. Lekin use ḳhud unhoṅ ne nahīṅ dekhā.” 25 Phir Īsā ne un se kahā, “Are nādāno! Tum kitne kundzahan ho ki tumheṅ un tamām bātoṅ par yaqīn nahīṅ āyā jo nabiyoṅ ne farmāī haiṅ. 26 Kyā lāzim nahīṅ thā ki Masīh yih sab kuchh jhel kar apne jalāl meṅ dāḳhil ho jāe?” 27 Phir Mūsā aur tamām nabiyoṅ se shurū karke Īsā ne kalām-e-muqaddas kī har bāt kī tashrīh kī jahāṅ jahāṅ us kā zikr hai. 28 Chalte chalte wuh us gāṅw ke qarīb pahuṅche jahāṅ unheṅ jānā thā. Īsā ne aisā kiyā goyā ki wuh āge baṛhnā chāhtā hai, 29 lekin unhoṅ ne use majbūr karke kahā, “Hamāre pās ṭhahreṅ, kyoṅki shām hone ko hai aur din ḍhal gayā hai.” Chunāṅche wuh un ke sāth ṭhaharne ke lie andar gayā. 30 Aur aisā huā ki jab wuh khāne ke lie baiṭh gae to us ne roṭī le kar us ke lie shukrguzārī kī duā kī. Phir us ne use ṭukṛe karke unheṅ diyā. 31 Achānak un kī āṅkheṅ khul gaīṅ aur unhoṅ ne use pahchān liyā. Lekin usī lamhe wuh ojhal ho gayā. 32 Phir wuh ek dūsre se kahne lage, “Kyā hamāre dil josh se na bhar gae the jab wuh rāste meṅ ham se bāteṅ karte karte hameṅ sahīfoṅ kā matlab samjhā rahā thā?” 33 Aur wuh usī waqt uṭh kar Yarūshalam wāpas chale gae. Jab wuh wahāṅ pahuṅche to gyārah rasūl apne sāthiyoṅ samet pahle se jamā the 34 aur yih kah rahe the, “Ḳhudāwand wāqaī jī uṭhā hai! Wuh Shamāūn par zāhir huā hai.” 35 Phir Immāus ke do shāgirdoṅ ne unheṅ batāyā ki gāṅw kī taraf jāte hue kyā huā thā aur ki Īsā ke roṭī toṛte waqt unhoṅ ne use kaise pahchānā. 36 Wuh abhī yih bāteṅ sunā rahe the ki Īsā ḳhud un ke darmiyān ā khaṛā huā aur kahā, “Tumhārī salāmatī ho.” 37 Wuh ghabrā kar bahut ḍar gae. Kyoṅki un kā ḳhayāl thā ki koī bhūt-pret dekh rahe haiṅ. 38 Us ne un se kahā, “Tum kyoṅ pareshān ho gae ho? Kyā wajah hai ki tumhāre diloṅ meṅ shak ubhar āyā hai? 39 Mere hāthoṅ aur pāṅwoṅ ko dekho ki maiṅ hī hūṅ. Mujhe ṭaṭol kar dekho, kyoṅki bhūt ke gosht aur haḍḍiyāṅ nahīṅ hotīṅ jabki tum dekh rahe ho ki merā jism hai.” 40 Yih kah kar us ne unheṅ apne hāth aur pāṅw dikhāe. 41 Jab unheṅ ḳhushī ke māre yaqīn nahīṅ ā rahā thā aur tājjub kar rahe the to Īsā ne pūchhā, “Kyā yahāṅ tumhāre pās koī khāne kī chīz hai?” 42 Unhoṅ ne use bhunī huī machhlī kā ek ṭukṛā diyā 43 us ne use le kar un ke sāmne hī khā liyā. 44 Phir us ne un se kahā, “Yihī hai jo maiṅ ne tum ko us waqt batāyā thā jab tumhāre sāth thā ki jo kuchh bhī Mūsā kī sharīat, nabiyoṅ ke sahīfoṅ aur zabūr kī kitāb meṅ mere bāre meṅ likhā hai use pūrā honā hai.” 45 Phir us ne un ke zahan ko khol diyā tāki wuh Allāh kā kalām samajh sakeṅ. 46 Us ne un se kahā, “Kalām-e-muqaddas meṅ yoṅ likhā hai, Masīh dukh uṭhā kar tīsre din murdoṅ meṅ se jī uṭhegā. 47 Phir Yarūshalam se shurū karke us ke nām meṅ yih paiġhām tamām qaumoṅ ko sunāyā jāegā ki wuh taubā karke gunāhoṅ kī muāfī pāeṅ. 48 Tum in bātoṅ ke gawāh ho. 49 Aur maiṅ tumhāre pās use bhej dūṅgā jis kā wādā mere Bāp ne kiyā hai. Phir tum ko āsmān kī quwwat se mulabbas kiyā jāegā. Us waqt tak shahr se bāhar na nikalnā.” 50 Phir wuh shahr se nikal kar unheṅ Bait-aniyāh tak le gayā. Wahāṅ us ne apne hāth uṭhā kar unheṅ barkat dī. 51 Aur aisā huā ki barkat dete hue wuh un se judā ho kar āsmān par uṭhā liyā gayā. 52 Unhoṅ ne use sijdā kiyā aur phir baṛī ḳhushī se Yarūshalam wāpas chale gae. 53 Wahāṅ wuh apnā pūrā waqt Baitul-muqaddas meṅ guzār kar Allāh kī tamjīd karte rahe.

In Other Versions

Luke 24 in the ANGEFD

Luke 24 in the ANTPNG2D

Luke 24 in the AS21

Luke 24 in the BAGH

Luke 24 in the BBPNG

Luke 24 in the BBT1E

Luke 24 in the BDS

Luke 24 in the BEV

Luke 24 in the BHAD

Luke 24 in the BIB

Luke 24 in the BLPT

Luke 24 in the BNT

Luke 24 in the BNTABOOT

Luke 24 in the BNTLV

Luke 24 in the BOATCB

Luke 24 in the BOATCB2

Luke 24 in the BOBCV

Luke 24 in the BOCNT

Luke 24 in the BOECS

Luke 24 in the BOGWICC

Luke 24 in the BOHCB

Luke 24 in the BOHCV

Luke 24 in the BOHLNT

Luke 24 in the BOHNTLTAL

Luke 24 in the BOICB

Luke 24 in the BOILNTAP

Luke 24 in the BOITCV

Luke 24 in the BOKCV

Luke 24 in the BOKCV2

Luke 24 in the BOKHWOG

Luke 24 in the BOKSSV

Luke 24 in the BOLCB

Luke 24 in the BOLCB2

Luke 24 in the BOMCV

Luke 24 in the BONAV

Luke 24 in the BONCB

Luke 24 in the BONLT

Luke 24 in the BONUT2

Luke 24 in the BOPLNT

Luke 24 in the BOSCB

Luke 24 in the BOSNC

Luke 24 in the BOTLNT

Luke 24 in the BOVCB

Luke 24 in the BOYCB

Luke 24 in the BPBB

Luke 24 in the BPH

Luke 24 in the BSB

Luke 24 in the CCB

Luke 24 in the CUV

Luke 24 in the CUVS

Luke 24 in the DBT

Luke 24 in the DGDNT

Luke 24 in the DHNT

Luke 24 in the DNT

Luke 24 in the ELBE

Luke 24 in the EMTV

Luke 24 in the ESV

Luke 24 in the FBV

Luke 24 in the FEB

Luke 24 in the GGMNT

Luke 24 in the GNT

Luke 24 in the HARY

Luke 24 in the HNT

Luke 24 in the IRVA

Luke 24 in the IRVB

Luke 24 in the IRVG

Luke 24 in the IRVH

Luke 24 in the IRVK

Luke 24 in the IRVM

Luke 24 in the IRVM2

Luke 24 in the IRVO

Luke 24 in the IRVP

Luke 24 in the IRVT

Luke 24 in the IRVT2

Luke 24 in the IRVU

Luke 24 in the ISVN

Luke 24 in the JSNT

Luke 24 in the KAPI

Luke 24 in the KBT1ETNIK

Luke 24 in the KBV

Luke 24 in the KJV

Luke 24 in the KNFD

Luke 24 in the LBA

Luke 24 in the LBLA

Luke 24 in the LNT

Luke 24 in the LSV

Luke 24 in the MAAL

Luke 24 in the MBV

Luke 24 in the MBV2

Luke 24 in the MHNT

Luke 24 in the MKNFD

Luke 24 in the MNG

Luke 24 in the MNT

Luke 24 in the MNT2

Luke 24 in the MRS1T

Luke 24 in the NAA

Luke 24 in the NASB

Luke 24 in the NBLA

Luke 24 in the NBS

Luke 24 in the NBVTP

Luke 24 in the NET2

Luke 24 in the NIV11

Luke 24 in the NNT

Luke 24 in the NNT2

Luke 24 in the NNT3

Luke 24 in the PDDPT

Luke 24 in the PFNT

Luke 24 in the RMNT

Luke 24 in the SBIAS

Luke 24 in the SBIBS

Luke 24 in the SBIBS2

Luke 24 in the SBICS

Luke 24 in the SBIDS

Luke 24 in the SBIGS

Luke 24 in the SBIHS

Luke 24 in the SBIIS

Luke 24 in the SBIIS2

Luke 24 in the SBIIS3

Luke 24 in the SBIKS

Luke 24 in the SBIKS2

Luke 24 in the SBIMS

Luke 24 in the SBIOS

Luke 24 in the SBIPS

Luke 24 in the SBISS

Luke 24 in the SBITS

Luke 24 in the SBITS2

Luke 24 in the SBITS3

Luke 24 in the SBITS4

Luke 24 in the SBIUS

Luke 24 in the SBIVS

Luke 24 in the SBT

Luke 24 in the SBT1E

Luke 24 in the SCHL

Luke 24 in the SNT

Luke 24 in the SUSU

Luke 24 in the SUSU2

Luke 24 in the SYNO

Luke 24 in the TBIAOTANT

Luke 24 in the TBT1E

Luke 24 in the TBT1E2

Luke 24 in the TFTIP

Luke 24 in the TFTU

Luke 24 in the TGNTATF3T

Luke 24 in the THAI

Luke 24 in the TNFD

Luke 24 in the TNT

Luke 24 in the TNTIK

Luke 24 in the TNTIL

Luke 24 in the TNTIN

Luke 24 in the TNTIP

Luke 24 in the TNTIZ

Luke 24 in the TOMA

Luke 24 in the TTENT

Luke 24 in the UBG

Luke 24 in the UGV

Luke 24 in the UGV2

Luke 24 in the VBL

Luke 24 in the VDCC

Luke 24 in the YALU

Luke 24 in the YAPE

Luke 24 in the YBVTP

Luke 24 in the ZBP