Luke 8 (UGV3)
1 Is ke kuchh der bād Īsā muḳhtalif shahroṅ aur dehātoṅ meṅ se guzar kar safr karne lagā. Har jagah us ne Allāh kī bādshāhī ke bāre meṅ ḳhushḳhabrī sunāī. Us ke bārah shāgird us ke sāth the, 2 nīz kuchh ḳhawātīn bhī jinheṅ us ne badrūhoṅ se rihāī aur bīmāriyoṅ se shifā dī thī. In meṅ se ek Mariyam thī jo Magdalīnī kahlātī thī jis meṅ se sāt badrūheṅ nikālī gaī thīṅ. 3 Phir Yuannā jo Ḳhūzā kī bīwī thī. (Ḳhūzā Herodes Bādshāh kā ek afsar thā.) Sūsannā aur dīgar kaī ḳhawātīn bhī thīṅ jo apne mālī wasāyl se un kī ḳhidmat kartī thīṅ. 4 Ek din Īsā ne ek baṛe hujūm ko ek tamsīl sunāī. Log muḳhtalif shahroṅ se use sunane ke lie jamā ho gae the. 5 “Ek kisān bīj bone ke lie niklā. Jab bīj idhar-udhar bikhar gayā to kuchh dāne rāste par gire. Wahāṅ unheṅ pāṅwoṅ tale kuchlā gayā aur parindoṅ ne unheṅ chug liyā. 6 Kuchh pathrīlī zamīn par gire. Wahāṅ wuh ugne to lage, lekin namī kī kamī thī, is lie paude kuchh der ke bād sūkh gae. 7 Kuchh dāne ḳhudrau kāṅṭedār paudoṅ ke darmiyān bhī gire. Wahāṅ wuh ugne to lage, lekin ḳhudrau paudoṅ ne sāth sāth baṛh kar unheṅ phalne-phūlne kī jagah na dī. Chunāṅche wuh bhī ḳhatm ho gae. 8 Lekin aise dāne bhī the jo zarḳhez zamīn par gire. Wahāṅ wuh ug sake aur jab fasal pak gaī to sau gunā zyādā phal paidā huā.”Yih kah kar Īsā pukār uṭhā, “Jo sun saktā hai wuh sun le!” 9 Us ke shāgirdoṅ ne us se pūchhā ki is tamsīl kā kyā matlab hai? 10 Jawāb meṅ us ne kahā, “Tum ko to Allāh kī bādshāhī ke bhed samajhne kī liyāqat dī gaī hai. Lekin maiṅ dūsroṅ ko samjhāne ke lie tamsīleṅ istemāl kartā hūṅ tāki pāk kalām pūrā ho jāe ki ‘Wuh apnī āṅkhoṅ se dekheṅge magar kuchh nahīṅ jāneṅge, wuh apne kānoṅ se suneṅge magar kuchh nahīṅ samjheṅge.’ 11 Tamsīl kā matlab yih hai: Bīj se murād Allāh kā kalām hai. 12 Rāh par gire hue dāne wuh log haiṅ jo kalām sunte to haiṅ, lekin phir Iblīs ā kar use un ke diloṅ se chhīn letā hai, aisā na ho ki wuh īmān lā kar najāt pāeṅ. 13 Pathrīlī zamīn par gire hue dāne wuh log haiṅ jo kalām sun kar use ḳhushī se qabūl to kar lete haiṅ, lekin jaṛ nahīṅ pakaṛte. Natīje meṅ agarche wuh kuchh der ke lie īmān rakhte haiṅ to bhī jab kisī āzmāish kā sāmnā karnā paṛtā hai to wuh bargashtā ho jāte haiṅ. 14 Ḳhudrau kāṅṭedār paudoṅ ke darmiyān gire hue dāne wuh log haiṅ jo sunte to haiṅ, lekin jab wuh chale jāte haiṅ to rozmarrā kī pareshāniyāṅ, daulat aur zindagī kī aish-o-ishrat unheṅ phalne-phūlne nahīṅ detī. Natīje meṅ wuh phal lāne tak nahīṅ pahuṅchte. 15 Is ke muqābale meṅ zarḳhez zamīn meṅ gire hue dāne wuh log haiṅ jin kā dil diyānatdār aur achchhā hai. Jab wuh kalām sunte haiṅ to wuh use apnāte aur sābitqadmī se taraqqī karte karte phal lāte haiṅ. 16 Jab koī charāġh jalātā hai to wuh use kisī bartan yā chārpāī ke nīche nahīṅ rakhtā, balki use shamādān par rakh detā hai tāki us kī raushnī andar āne wāloṅ ko nazar āe. 17 Jo kuchh bhī is waqt poshīdā hai wuh āḳhir meṅ zāhir ho jāegā, aur jo kuchh bhī chhupā huā hai wuh mālūm ho jāegā aur raushnī meṅ lāyā jāegā. 18 Chunāṅche is par dhyān do ki tum kis tarah sunte ho. Kyoṅki jis ke pās kuchh hai use aur diyā jāegā, jabki jis ke pās kuchh nahīṅ hai us se wuh bhī chhīn liyā jāegā jis ke bāre meṅ wuh ḳhayāl kartā hai ki us kā hai.” 19 Ek din Īsā kī māṅ aur bhāī us ke pās āe, lekin wuh hujūm kī wajah se us tak na pahuṅch sake. 20 Chunāṅche Īsā ko ittalā dī gaī, “Āp kī māṅ aur bhāī bāhar khaṛe haiṅ aur āp se milnā chāhte haiṅ.” 21 Us ne jawāb diyā, “Merī māṅ aur bhāī wuh sab haiṅ jo Allāh kā kalām sun kar us par amal karte haiṅ.” 22 Ek din Īsā ne apne shāgirdoṅ se kahā, “Āo, ham jhīl ko pār kareṅ.” Chunāṅche wuh kashtī par sawār ho kar rawānā hue. 23 Jab kashtī chalī jā rahī thī to Īsā so gayā. Achānak jhīl par āṅdhī āī. Kashtī pānī se bharne lagī aur ḍūbne kā ḳhatrā thā. 24 Phir unhoṅ ne Īsā ke pās jā kar use jagā diyā aur kahā, “Ustād, ustād, ham tabāh ho rahe haiṅ.”Wuh jāg uṭhā aur āṅdhī aur maujoṅ ko ḍānṭā. Āṅdhī tham gaī aur lahreṅ bilkul sākit ho gaīṅ. 25 Phir us ne shāgirdoṅ se pūchhā, “Tumhārā īmān kahāṅ hai?”Un par ḳhauf tārī ho gayā aur wuh saḳht hairān ho kar āpas meṅ kahne lage, “Āḳhir yih kaun hai? Wuh hawā aur pānī ko bhī hukm detā hai, aur wuh us kī mānte haiṅ.” 26 Phir wuh safr jārī rakhte hue Garāsā ke ilāqe ke kināre par pahuṅche jo jhīl ke pār Galīl ke muqābil hai. 27 Jab Īsā kashtī se utrā to shahr kā ek ādmī Īsā ko milā jo badrūhoṅ kī girift meṅ thā. Wuh kāfī der se kapṛe pahne baġhair chaltā phirtā thā aur apne ghar ke bajāe qabroṅ meṅ rahtā thā. 28 Īsā ko dekh kar wuh chillāyā aur us ke sāmne gir gayā. Ūṅchī āwāz se us ne kahā, “Īsā Allāh T'ālā ke Farzand, merā āp ke sāth kyā wāstā hai? Maiṅ minnat kartā hūṅ, mujhe azāb meṅ na ḍāleṅ.” 29 Kyoṅki Īsā ne nāpāk rūh ko hukm diyā thā, “Ādmī meṅ se nikal jā!” Is badrūh ne baṛī der se us par qabzā kiyā huā thā, is lie logoṅ ne us ke hāth-pāṅw zanjīroṅ se bāndh kar us kī pahrādārī karne kī koshish kī thī, lekin befāydā. Wuh zanjīroṅ ko toṛ ḍāltā aur badrūh use wīrān ilāqoṅ meṅ bhagāe phirtī thī. 30 Īsā ne us se pūchhā, “Terā nām kyā hai?” Us ne jawāb diyā, “Lashkar.” Is nām kī wajah yih thī ki us meṅ bahut-sī badrūheṅ ghusī huī thīṅ. 31 Ab yih minnat karne lagīṅ, “Hameṅ athāh gaṛhe meṅ jāne ko na kaheṅ.” 32 Us waqt qarīb kī pahāṛī par suaroṅ kā baṛā ġhol char rahā thā. Badrūhoṅ ne Īsā se iltamās kī, “Hameṅ un suaroṅ meṅ dāḳhil hone deṅ.” Us ne ijāzat de dī. 33 Chunāṅche wuh us ādmī meṅ se nikal kar suaroṅ meṅ jā ghusīṅ. Is par pūre ġhol ke suar bhāg bhāg kar pahāṛī kī ḍhalān par se utre aur jhīl meṅ jhapaṭ kar ḍūb mare. 34 Yih dekh kar suaroṅ ke gallābān bhāg gae. Unhoṅ ne shahr aur dehāt meṅ is bāt kā charchā kiyā 35 to log yih mālūm karne ke lie ki kyā huā hai apnī jaghoṅ se nikal kar Īsā ke pās āe. Us ke pās pahuṅche to wuh ādmī milā jis se badrūheṅ nikal gaī thīṅ. Ab wuh kapṛe pahne Īsā ke pāṅwoṅ meṅ baiṭhā thā aur us kī zahnī hālat ṭhīk thī. Yih dekh kar wuh ḍar gae. 36 Jinhoṅ ne sab kuchh dekhā thā unhoṅ ne logoṅ ko batāyā ki is badrūh-giriftā ādmī ko kis tarah rihāī milī hai. 37 Phir us ilāqe ke tamām logoṅ ne Īsā se darḳhāst kī ki wuh unheṅ chhoṛ kar chalā jāe, kyoṅki un par baṛā ḳhauf chhā gayā thā. Chunāṅche Īsā kashtī par sawār ho kar wāpas chalā gayā. 38 Jis ādmī se badrūheṅ nikal gaī thīṅ us ne us se iltamās kī, “Mujhe bhī apne sāth jāne deṅ.”Lekin Īsā ne use ijāzat na dī balki kahā, 39 “Apne ghar wāpas chalā jā aur dūsroṅ ko wuh sab kuchh batā jo Allāh ne tere lie kiyā hai.”Chunāṅche wuh wāpas chalā gayā aur pūre shahr meṅ logoṅ ko batāne lagā ki Īsā ne mere lie kyā kuchh kiyā hai. 40 Jab Īsā jhīl ke dūsre kināre par wāpas pahuṅchā to logoṅ ne us kā istiqbāl kiyā, kyoṅki wuh us ke intazār meṅ the. 41 Itne meṅ ek ādmī Īsā ke pās āyā jis kā nām Yāīr thā. Wuh maqāmī ibādatḳhāne kā rāhnumā thā. Wuh Īsā ke pāṅwoṅ meṅ gir kar minnat karne lagā, “Mere ghar chaleṅ.” 42 Kyoṅki us kī iklautī beṭī jo taqrīban bārah sāl kī thī marne ko thī.Īsā chal paṛā. Hujūm ne use yoṅ gherā huā thā ki sāṅs lenā bhī mushkil thā. 43 Hujūm meṅ ek ḳhātūn thī jo bārah sāl se ḳhūn bahne ke marz se rihāī na pā sakī thī. Koī use shifā na de sakā thā. 44 Ab us ne pīchhe se ā kar Īsā ke libās ke kināre ko chhuā. Ḳhūn bahnā fauran band ho gayā. 45 Lekin Īsā ne pūchhā, “Kis ne mujhe chhuā hai?”Sab ne inkār kiyā aur Patras ne kahā, “Ustād, yih tamām log to āp ko gher kar dabā rahe haiṅ.” 46 Lekin Īsā ne isrār kiyā, “Kisī ne zarūr mujhe chhuā hai, kyoṅki mujhe mahsūs huā hai ki mujh meṅ se tawānāī niklī hai.” 47 Jab us ḳhātūn ne dekhā ki bhed khul gayā to wuh laraztī huī āī aur us ke sāmne gir gaī. Pūre hujūm kī maujūdagī meṅ us ne bayān kiyā ki us ne Īsā ko kyoṅ chhuā thā aur ki chhūte hī use shifā mil gaī thī. 48 Īsā ne kahā, “Beṭī, tere īmān ne tujhe bachā liyā hai. Salāmatī se chalī jā.” 49 Īsā ne yih bāt abhī ḳhatm nahīṅ kī thī ki ibādatḳhāne ke rāhnumā Yāīr ke ghar se koī shaḳhs ā pahuṅchā. Us ne kahā, “Āp kī beṭī faut ho chukī hai, ab ustād ko mazīd taklīf na deṅ.” 50 Lekin Īsā ne yih sun kar kahā, “Mat ghabrā. Faqt īmān rakh to wuh bach jāegī.” 51 Wuh ghar pahuṅch gae to Īsā ne kisī ko bhī siwāe Patras, Yūhannā, Yāqūb aur beṭī ke wālidain ke andar āne kī ijāzat na dī. 52 Tamām log ro rahe aur chhātī pīṭ pīṭ kar mātam kar rahe the. Īsā ne kahā, “Ḳhāmosh! Wuh mar nahīṅ gaī balki so rahī hai.” 53 Log haṅs kar us kā mazāq uṛāne lage, kyoṅki wuh jānte the ki laṛkī mar gaī hai. 54 Lekin Īsā ne laṛkī kā hāth pakaṛ kar ūṅchī āwāz se kahā, “Beṭī, jāg uṭh.” 55 Laṛkī kī jān wāpas ā gaī aur wuh fauran uṭh khaṛī huī. Phir Īsā ne hukm diyā ki use kuchh khāne ko diyā jāe. 56 Yih sab kuchh dekh kar us ke wālidain hairatzadā hue. Lekin us ne unheṅ kahā ki is ke bāre meṅ kisī ko bhī na batānā.