Matthew 11 (UGV3)
1 Apne shāgirdoṅ ko yih hidāyāt dene ke bād Īsā un ke shahroṅ meṅ tālīm dene aur munādī karne ke lie rawānā huā. 2 Yahyā ne jo us waqt jel meṅ thā sunā ki Īsā kyā kyā kar rahā hai. Is par us ne apne shāgirdoṅ ko us ke pās bhej diyā 3 tāki wuh us se pūchheṅ, “Kyā āp wuhī haiṅ jise ānā hai yā ham kisī aur ke intazār meṅ raheṅ?” 4 Īsā ne jawāb diyā, “Yahyā ke pās wāpas jā kar use sab kuchh batā denā jo tum ne dekhā aur sunā hai. 5 ‘Andhe deḳhte, langaṛe chalte phirte haiṅ, koṛhiyoṅ ko pāk-sāf kiyā jātā hai, bahre sunte haiṅ, murdoṅ ko zindā kiyā jātā hai aur ġharīboṅ ko Allāh kī ḳhushḳhabrī sunāī jātī hai.’ 6 Mubārak hai wuh jo mere sabab se ṭhokar khā kar bargashtā nahīṅ hotā.” 7 Yahyā ke yih shāgird chale gae to Īsā hujūm se Yahyā ke bāre meṅ bāt karne lagā, “Tum registān meṅ kyā deḳhne gae the? Ek sarkanḍā jo hawā ke har jhoṅke se hiltā hai? Beshak nahīṅ. 8 Yā kyā wahāṅ jā kar aise ādmī kī tawaqqo kar rahe the jo nafīs aur mulāym libās pahne hue hai? Nahīṅ, jo shāndār kapṛe pahante haiṅ wuh shāhī mahaloṅ meṅ pāe jāte haiṅ. 9 To phir tum kyā deḳhne gae the? Ek nabī ko? Bilkul sahīh, balki meṅ tum ko batātā hūṅ ki wuh nabī se bhī baṛā hai. 10 Usī ke bāre meṅ kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, ‘Dekh, maiṅ apne paiġhambar ko tere āge āge bhej detā hūṅ jo tere sāmne rāstā taiyār karegā.’ 11 Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki is duniyā meṅ paidā hone wālā koī bhī shaḳhs Yahyā se baṛā nahīṅ hai. To bhī āsmān kī bādshāhī meṅ dāḳhil hone wālā sab se chhoṭā shaḳhs us se baṛā hai. 12 Yahyā baptismā dene wāle kī ḳhidmat se le kar āj tak āsmān kī bādshāhī par zabardastī kī jā rahī hai, aur zabardast use chhīn rahe haiṅ. 13 Kyoṅki tamām nabī aur Tauret ne Yahyā ke daur tak is ke bāre meṅ peshgoī kī hai. 14 Aur agar tum yih mānane ke lie taiyār ho to māno ki wuh Iliyās Nabī hai jise ānā thā. 15 Jo sun saktā hai wuh sun le! 16 Maiṅ is nasl ko kis se tashbīh dūṅ? Wuh un bachchoṅ kī mānind haiṅ jo bāzār meṅ baiṭhe khel rahe haiṅ. Un meṅ se kuchh ūṅchī āwāz se dūsre bachchoṅ se shikāyat kar rahe haiṅ, 17 ‘Ham ne bāṅsrī bajāī to tum na nāche. Phir ham ne nohā ke gīt gāe, lekin tum ne chhātī pīṭ kar mātam na kiyā.’ 18 Dekho, Yahyā āyā aur na khāyā, na piyā. Yih dekh kar log kahte haiṅ ki us meṅ badrūh hai. 19 Phir Ibn-e-Ādam khātā aur pītā huā āyā. Ab kahte haiṅ, ‘Dekho yih kaisā peṭū aur sharābī hai. Aur wuh ṭaiks lene wāloṅ aur gunāhgāroṅ kā dost bhī hai.’ Lekin hikmat apne āmāl se hī sahīh sābit huī hai.” 20 Phir Īsā un shahroṅ ko ḍānṭne lagā jin meṅ us ne zyādā mojize kie the, kyoṅki unhoṅ ne taubā nahīṅ kī thī. 21 “Ai Ḳhurāzīn, tujh par afsos! Bait-saidā, tujh par afsos! Agar Sūr aur Saidā meṅ wuh mojize kie gae hote jo tum meṅ hue to wahāṅ ke log kab ke ṭāṭ oṛh kar aur sar par rākh ḍāl kar taubā kar chuke hote. 22 Jī hāṅ, adālat ke din tumhārī nisbat Sūr aur Saidā kā hāl zyādā qābil-e-bardāsht hogā. 23 Aur ai Kafarnahūm, kyā tujhe āsmān tak sarfarāz kiyā jāegā? Hargiz nahīṅ, balki tū utartā utartā Pātāl tak pahuṅchegā. Agar Sadūm meṅ wuh mojize kie gae hote jo tujh meṅ hue haiṅ to wuh āj tak qāym rahtā. 24 Hāṅ, adālat ke din terī nisbat Sadūm kā hāl zyādā qābil-e-bardāsht hogā.” 25 Us waqt Īsā ne kahā, “Ai Bāp, āsmān-o-zamīn ke Mālik! Maiṅ terī tamjīd kartā hūṅ ki tū ne yih bāteṅ dānāoṅ aur aqalmandoṅ se chhupā kar chhoṭe bachchoṅ par zāhir kar dī haiṅ. 26 Hāṅ mere Bāp, yihī tujhe pasand āyā. 27 Mere Bāp ne sab kuchh mere sapurd kar diyā hai. Koī bhī Farzand ko nahīṅ jāntā siwāe Bāp ke. Aur koī Bāp ko nahīṅ jāntā siwāe Farzand ke aur un logoṅ ke jin par Farzand Bāp ko zāhir karnā chāhtā hai. 28 Ai thakemānde aur bojh tale dabe hue logo, sab mere pās āo! Maiṅ tum ko ārām dūṅgā. 29 Merā juā apne ūpar uṭhā kar mujh se sīkho, kyoṅki maiṅ halīm aur narmdil hūṅ. Yoṅ karne se tumhārī jāneṅ ārām pāeṅgī, 30 kyoṅki merā juā mulāym aur merā bojh halkā hai.”
In Other Versions
Matthew 11 in the ANGEFD
Matthew 11 in the ANTPNG2D
Matthew 11 in the AS21
Matthew 11 in the BAGH
Matthew 11 in the BBPNG
Matthew 11 in the BBT1E
Matthew 11 in the BDS
Matthew 11 in the BEV
Matthew 11 in the BHAD
Matthew 11 in the BIB
Matthew 11 in the BLPT
Matthew 11 in the BNT
Matthew 11 in the BNTABOOT
Matthew 11 in the BNTLV
Matthew 11 in the BOATCB
Matthew 11 in the BOATCB2
Matthew 11 in the BOBCV
Matthew 11 in the BOCNT
Matthew 11 in the BOECS
Matthew 11 in the BOGWICC
Matthew 11 in the BOHCB
Matthew 11 in the BOHCV
Matthew 11 in the BOHLNT
Matthew 11 in the BOHNTLTAL
Matthew 11 in the BOICB
Matthew 11 in the BOILNTAP
Matthew 11 in the BOITCV
Matthew 11 in the BOKCV
Matthew 11 in the BOKCV2
Matthew 11 in the BOKHWOG
Matthew 11 in the BOKSSV
Matthew 11 in the BOLCB
Matthew 11 in the BOLCB2
Matthew 11 in the BOMCV
Matthew 11 in the BONAV
Matthew 11 in the BONCB
Matthew 11 in the BONLT
Matthew 11 in the BONUT2
Matthew 11 in the BOPLNT
Matthew 11 in the BOSCB
Matthew 11 in the BOSNC
Matthew 11 in the BOTLNT
Matthew 11 in the BOVCB
Matthew 11 in the BOYCB
Matthew 11 in the BPBB
Matthew 11 in the BPH
Matthew 11 in the BSB
Matthew 11 in the CCB
Matthew 11 in the CUV
Matthew 11 in the CUVS
Matthew 11 in the DBT
Matthew 11 in the DGDNT
Matthew 11 in the DHNT
Matthew 11 in the DNT
Matthew 11 in the ELBE
Matthew 11 in the EMTV
Matthew 11 in the ESV
Matthew 11 in the FBV
Matthew 11 in the FEB
Matthew 11 in the GGMNT
Matthew 11 in the GNT
Matthew 11 in the HARY
Matthew 11 in the HNT
Matthew 11 in the IRVA
Matthew 11 in the IRVB
Matthew 11 in the IRVG
Matthew 11 in the IRVH
Matthew 11 in the IRVK
Matthew 11 in the IRVM
Matthew 11 in the IRVM2
Matthew 11 in the IRVO
Matthew 11 in the IRVP
Matthew 11 in the IRVT
Matthew 11 in the IRVT2
Matthew 11 in the IRVU
Matthew 11 in the ISVN
Matthew 11 in the JSNT
Matthew 11 in the KAPI
Matthew 11 in the KBT1ETNIK
Matthew 11 in the KBV
Matthew 11 in the KJV
Matthew 11 in the KNFD
Matthew 11 in the LBA
Matthew 11 in the LBLA
Matthew 11 in the LNT
Matthew 11 in the LSV
Matthew 11 in the MAAL
Matthew 11 in the MBV
Matthew 11 in the MBV2
Matthew 11 in the MHNT
Matthew 11 in the MKNFD
Matthew 11 in the MNG
Matthew 11 in the MNT
Matthew 11 in the MNT2
Matthew 11 in the MRS1T
Matthew 11 in the NAA
Matthew 11 in the NASB
Matthew 11 in the NBLA
Matthew 11 in the NBS
Matthew 11 in the NBVTP
Matthew 11 in the NET2
Matthew 11 in the NIV11
Matthew 11 in the NNT
Matthew 11 in the NNT2
Matthew 11 in the NNT3
Matthew 11 in the PDDPT
Matthew 11 in the PFNT
Matthew 11 in the RMNT
Matthew 11 in the SBIAS
Matthew 11 in the SBIBS
Matthew 11 in the SBIBS2
Matthew 11 in the SBICS
Matthew 11 in the SBIDS
Matthew 11 in the SBIGS
Matthew 11 in the SBIHS
Matthew 11 in the SBIIS
Matthew 11 in the SBIIS2
Matthew 11 in the SBIIS3
Matthew 11 in the SBIKS
Matthew 11 in the SBIKS2
Matthew 11 in the SBIMS
Matthew 11 in the SBIOS
Matthew 11 in the SBIPS
Matthew 11 in the SBISS
Matthew 11 in the SBITS
Matthew 11 in the SBITS2
Matthew 11 in the SBITS3
Matthew 11 in the SBITS4
Matthew 11 in the SBIUS
Matthew 11 in the SBIVS
Matthew 11 in the SBT
Matthew 11 in the SBT1E
Matthew 11 in the SCHL
Matthew 11 in the SNT
Matthew 11 in the SUSU
Matthew 11 in the SUSU2
Matthew 11 in the SYNO
Matthew 11 in the TBIAOTANT
Matthew 11 in the TBT1E
Matthew 11 in the TBT1E2
Matthew 11 in the TFTIP
Matthew 11 in the TFTU
Matthew 11 in the TGNTATF3T
Matthew 11 in the THAI
Matthew 11 in the TNFD
Matthew 11 in the TNT
Matthew 11 in the TNTIK
Matthew 11 in the TNTIL
Matthew 11 in the TNTIN
Matthew 11 in the TNTIP
Matthew 11 in the TNTIZ
Matthew 11 in the TOMA
Matthew 11 in the TTENT
Matthew 11 in the UBG
Matthew 11 in the UGV
Matthew 11 in the UGV2
Matthew 11 in the VBL
Matthew 11 in the VDCC
Matthew 11 in the YALU
Matthew 11 in the YAPE
Matthew 11 in the YBVTP
Matthew 11 in the ZBP