Matthew 9 (UGV3)

1 Kashtī meṅ baiṭh kar Īsā ne jhīl ko pār kiyā aur apne shahr pahuṅch gayā. 2 Wahāṅ ek maflūj ādmī ko chārpāī par ḍāl kar us ke pās lāyā gayā. Un kā īmān dekh kar Īsā ne kahā, “Beṭā, hauslā rakh. Tere gunāh muāf kar die gae haiṅ.” 3 Yih sun kar sharīat ke kuchh ulamā dil meṅ kahne lage, “Yih kufr bak rahā hai!” 4 Īsā ne jān liyā ki yih kyā soch rahe haiṅ, is lie us ne un se pūchhā, 5 “Tum dil meṅ burī bāteṅ kyoṅ soch rahe ho? Kyā maflūj se yih kahnā zyādā āsān hai ki ‘Tere gunāh muāf kar die gae haiṅ’ yā yih ki ‘Uṭh aur chal-phir?’ 6 Lekin maiṅ tum ko dikhātā hūṅ ki Ibn-e-Ādam ko wāqaī duniyā meṅ gunāh muāf karne kā iḳhtiyār hai.” Yih kah kar wuh maflūj se muḳhātib huā, “Uṭh, apnī chārpāī uṭhā kar ghar chalā jā.” 7 Wuh ādmī khaṛā huā aur apne ghar chalā gayā. 8 Yih dekh kar hujūm par Allāh kā ḳhauf tārī ho gayā aur wuh Allāh kī tamjīd karne lage ki us ne insān ko is qism kā iḳhtiyār diyā hai. 9 Āge jā kar Īsā ne ek ādmī ko dekhā jo ṭaiks lene wāloṅ kī chaukī par baiṭhā thā. Us kā nām Mattī thā. Īsā ne us se kahā, “Mere pīchhe ho le.” Aur Mattī uṭh kar us ke pīchhe ho liyā. 10 Bād meṅ Īsā Mattī ke ghar meṅ khānā khā rahā thā. Bahut-se ṭaiks lene wāle aur gunāhgār bhī ā kar Īsā aur us ke shāgirdoṅ ke sāth khāne meṅ sharīk hue. 11 Yih dekh kar Farīsiyoṅ ne us ke shāgirdoṅ se pūchhā, “Āp kā ustād ṭaiks lene wāloṅ aur gunāhgāroṅ ke sāth kyoṅ khātā hai?” 12 Yih sun kar Īsā ne kahā, “Sehhatmandoṅ ko ḍākṭar kī zarūrat nahīṅ hotī balki marīzoṅ ko. 13 Pahle jāo aur kalām-e-muqaddas kī is bāt kā matlab jān lo ki ‘Maiṅ qurbānī nahīṅ balki rahm pasand kartā hūṅ.’ Kyoṅki maiṅ rāstbāzoṅ ko nahīṅ balki gunāhgāroṅ ko bulāne āyā hūṅ.” 14 Phir Yahyā ke shāgird us ke pās āe aur pūchhā, “Āp ke shāgird rozā kyoṅ nahīṅ rakhte jabki ham aur Farīsī rozā rakhte haiṅ?” 15 Īsā ne jawāb diyā, “Shādī ke mehmān kis tarah mātam kar sakte haiṅ jab tak dūlhā un ke darmiyān hai? Lekin ek din āegā jab dūlhā un se le liyā jāegā. Us waqt wuh zarūr rozā rakheṅge. 16 Koī bhī nae kapṛe kā ṭukṛā kisī purāne libās meṅ nahīṅ lagātā. Agar wuh aisā kare to nayā ṭukṛā bād meṅ sukaṛ kar purāne libās se alag ho jāegā. Yoṅ purāne libās kī phaṭī huī jagah pahle kī nisbat zyādā ḳharāb ho jāegī. 17 Isī tarah angūr kā tāzā ras purānī aur belachak mashkoṅ meṅ nahīṅ ḍālā jātā. Agar aisā kiyā jāe to purānī mashkeṅ paidā hone wālī gais ke bāis phaṭ jāeṅgī. Natīje meṅ mai aur mashkeṅ donoṅ zāe ho jāeṅgī. Is lie angūr kā tāzā ras naī mashkoṅ meṅ ḍālā jātā hai jo lachakdār hotī haiṅ. Yoṅ ras aur mashkeṅ donoṅ hī mahfūz rahte haiṅ.” 18 Īsā abhī yih bayān kar rahā thā ki ek Yahūdī rāhnumā ne gir kar use sijdā kiyā aur kahā, “Merī beṭī abhī abhī marī hai. Lekin ā kar apnā hāth us par rakheṅ to wuh dubārā zindā ho jāegī.” 19 Īsā uṭh kar apne shāgirdoṅ samet us ke sāth ho liyā. 20 Chalte chalte ek aurat ne pīchhe se ā kar Īsā ke libās kā kinārā chhuā. Yih aurat bārah sāl se ḳhūn bahne kī marīzā thī 21 aur wuh soch rahī thī, “Agar maiṅ sirf us ke libās ko hī chhū lūṅ to shifā pā lūṅgī.” 22 Īsā ne muṛ kar use dekhā aur kahā, “Beṭī, hauslā raḳh! Tere īmān ne tujhe bachā liyā hai.” Aur aurat ko usī waqt shifā mil gaī. 23 Phir Īsā rāhnumā ke ghar meṅ dāḳhil huā. Bāṅsrī bajāne wāle aur bahut-se log pahuṅch chuke the aur bahut shor-sharābā thā. Yih dekh kar 24 Īsā ne kahā, “Nikal jāo! Laṛkī mar nahīṅ gaī balki so rahī hai.” Log haṅs kar us kā mazāq uṛāne lage. 25 Lekin jab sab ko nikāl diyā gayā to wuh andar gayā. Us ne laṛkī kā hāth pakaṛā to wuh uṭh khaṛī huī. 26 Is mojize kī ḳhabar us pūre ilāqe meṅ phail gaī. 27 Jab Īsā wahāṅ se rawānā huā to do andhe us ke pīchhe chal kar chillāne lage, “Ibn-e-Dāūd, ham par rahm kareṅ.” 28 Jab Īsā kisī ke ghar meṅ dāḳhil huā to wuh us ke pās āe. Īsā ne un se pūchhā, “Kyā tumhārā īmān hai ki maiṅ yih kar saktā hūṅ?”Unhoṅ ne jawāb diyā, “Jī, Ḳhudāwand.” 29 Phir us ne un kī āṅkheṅ chhū kar kahā, “Tumhāre sāth tumhāre īmān ke mutābiq ho jāe.” 30 Un kī āṅkheṅ bahāl ho gaīṅ aur Īsā ne saḳhtī se unheṅ kahā, “Ḳhabardār, kisī ko bhī is kā patā na chale!” 31 Lekin wuh nikal kar pūre ilāqe meṅ us kī ḳhabar phailāne lage. 32 Jab wuh nikal rahe the to ek gūṅgā ādmī Īsā ke pās lāyā gayā jo kisī badrūh ke qabze meṅ thā. 33 Jab badrūh ko nikālā gayā to gūṅgā bolne lagā. Hujūm hairān rah gayā. Unhoṅ ne kahā, “Aisā kām Isrāīl meṅ kabhī nahīṅ dekhā gayā.” 34 Lekin Farīsiyoṅ ne kahā, “Wuh badrūhoṅ ke sardār hī kī madad se badrūhoṅ ko nikāltā hai.” 35 Aur Īsā safr karte karte tamām shahroṅ aur gāṅwoṅ meṅ se guzarā. Jahāṅ bhī wuh pahuṅchā wahāṅ us ne un ke ibādatḳhānoṅ meṅ tālīm dī, bādshāhī kī ḳhushḳhabrī sunāī aur har qism ke marz aur alālat se shifā dī. 36 Hujūm ko dekh kar use un par baṛā tars āyā, kyoṅki wuh pise hue aur bebas the, aisī bheṛoṅ kī tarah jin kā charwāhā na ho. 37 Us ne apne shāgirdoṅ se kahā, “Fasal bahut hai, lekin mazdūr kam. 38 Is lie fasal ke mālik se guzārish karo ki wuh apnī fasal kāṭne ke lie mazīd mazdūr bhej de.”

In Other Versions

Matthew 9 in the ANGEFD

Matthew 9 in the ANTPNG2D

Matthew 9 in the AS21

Matthew 9 in the BAGH

Matthew 9 in the BBPNG

Matthew 9 in the BBT1E

Matthew 9 in the BDS

Matthew 9 in the BEV

Matthew 9 in the BHAD

Matthew 9 in the BIB

Matthew 9 in the BLPT

Matthew 9 in the BNT

Matthew 9 in the BNTABOOT

Matthew 9 in the BNTLV

Matthew 9 in the BOATCB

Matthew 9 in the BOATCB2

Matthew 9 in the BOBCV

Matthew 9 in the BOCNT

Matthew 9 in the BOECS

Matthew 9 in the BOGWICC

Matthew 9 in the BOHCB

Matthew 9 in the BOHCV

Matthew 9 in the BOHLNT

Matthew 9 in the BOHNTLTAL

Matthew 9 in the BOICB

Matthew 9 in the BOILNTAP

Matthew 9 in the BOITCV

Matthew 9 in the BOKCV

Matthew 9 in the BOKCV2

Matthew 9 in the BOKHWOG

Matthew 9 in the BOKSSV

Matthew 9 in the BOLCB

Matthew 9 in the BOLCB2

Matthew 9 in the BOMCV

Matthew 9 in the BONAV

Matthew 9 in the BONCB

Matthew 9 in the BONLT

Matthew 9 in the BONUT2

Matthew 9 in the BOPLNT

Matthew 9 in the BOSCB

Matthew 9 in the BOSNC

Matthew 9 in the BOTLNT

Matthew 9 in the BOVCB

Matthew 9 in the BOYCB

Matthew 9 in the BPBB

Matthew 9 in the BPH

Matthew 9 in the BSB

Matthew 9 in the CCB

Matthew 9 in the CUV

Matthew 9 in the CUVS

Matthew 9 in the DBT

Matthew 9 in the DGDNT

Matthew 9 in the DHNT

Matthew 9 in the DNT

Matthew 9 in the ELBE

Matthew 9 in the EMTV

Matthew 9 in the ESV

Matthew 9 in the FBV

Matthew 9 in the FEB

Matthew 9 in the GGMNT

Matthew 9 in the GNT

Matthew 9 in the HARY

Matthew 9 in the HNT

Matthew 9 in the IRVA

Matthew 9 in the IRVB

Matthew 9 in the IRVG

Matthew 9 in the IRVH

Matthew 9 in the IRVK

Matthew 9 in the IRVM

Matthew 9 in the IRVM2

Matthew 9 in the IRVO

Matthew 9 in the IRVP

Matthew 9 in the IRVT

Matthew 9 in the IRVT2

Matthew 9 in the IRVU

Matthew 9 in the ISVN

Matthew 9 in the JSNT

Matthew 9 in the KAPI

Matthew 9 in the KBT1ETNIK

Matthew 9 in the KBV

Matthew 9 in the KJV

Matthew 9 in the KNFD

Matthew 9 in the LBA

Matthew 9 in the LBLA

Matthew 9 in the LNT

Matthew 9 in the LSV

Matthew 9 in the MAAL

Matthew 9 in the MBV

Matthew 9 in the MBV2

Matthew 9 in the MHNT

Matthew 9 in the MKNFD

Matthew 9 in the MNG

Matthew 9 in the MNT

Matthew 9 in the MNT2

Matthew 9 in the MRS1T

Matthew 9 in the NAA

Matthew 9 in the NASB

Matthew 9 in the NBLA

Matthew 9 in the NBS

Matthew 9 in the NBVTP

Matthew 9 in the NET2

Matthew 9 in the NIV11

Matthew 9 in the NNT

Matthew 9 in the NNT2

Matthew 9 in the NNT3

Matthew 9 in the PDDPT

Matthew 9 in the PFNT

Matthew 9 in the RMNT

Matthew 9 in the SBIAS

Matthew 9 in the SBIBS

Matthew 9 in the SBIBS2

Matthew 9 in the SBICS

Matthew 9 in the SBIDS

Matthew 9 in the SBIGS

Matthew 9 in the SBIHS

Matthew 9 in the SBIIS

Matthew 9 in the SBIIS2

Matthew 9 in the SBIIS3

Matthew 9 in the SBIKS

Matthew 9 in the SBIKS2

Matthew 9 in the SBIMS

Matthew 9 in the SBIOS

Matthew 9 in the SBIPS

Matthew 9 in the SBISS

Matthew 9 in the SBITS

Matthew 9 in the SBITS2

Matthew 9 in the SBITS3

Matthew 9 in the SBITS4

Matthew 9 in the SBIUS

Matthew 9 in the SBIVS

Matthew 9 in the SBT

Matthew 9 in the SBT1E

Matthew 9 in the SCHL

Matthew 9 in the SNT

Matthew 9 in the SUSU

Matthew 9 in the SUSU2

Matthew 9 in the SYNO

Matthew 9 in the TBIAOTANT

Matthew 9 in the TBT1E

Matthew 9 in the TBT1E2

Matthew 9 in the TFTIP

Matthew 9 in the TFTU

Matthew 9 in the TGNTATF3T

Matthew 9 in the THAI

Matthew 9 in the TNFD

Matthew 9 in the TNT

Matthew 9 in the TNTIK

Matthew 9 in the TNTIL

Matthew 9 in the TNTIN

Matthew 9 in the TNTIP

Matthew 9 in the TNTIZ

Matthew 9 in the TOMA

Matthew 9 in the TTENT

Matthew 9 in the UBG

Matthew 9 in the UGV

Matthew 9 in the UGV2

Matthew 9 in the VBL

Matthew 9 in the VDCC

Matthew 9 in the YALU

Matthew 9 in the YAPE

Matthew 9 in the YBVTP

Matthew 9 in the ZBP