Mark 11 (UGV3)

1 Wuh Yarūshalam ke qarīb Bait-fage aur Bait-aniyāh pahuṅchne lage. Yih gāṅw Zaitūn ke pahāṛ par wāqe the. Īsā ne apne shāgirdoṅ meṅ se do ko bhejā 2 aur kahā, “Sāmne wāle gāṅw meṅ jāo. Wahāṅ tum ek jawān gadhā dekhoge. Wuh bandhā huā hogā aur ab tak koī bhī us par sawār nahīṅ huā hai. Use khol kar yahāṅ le āo. 3 Agar koī pūchhe ki yih kyā kar rahe ho to use batā denā, ‘Ḳhudāwand ko is kī zarūrat hai. Wuh jald hī ise wāpas bhej deṅge.’” 4 Donoṅ shāgird wahāṅ gae to ek jawān gadhā dekhā jo bāhar galī meṅ kisī darwāze ke sāth bandhā huā thā. Jab wuh us kī rassī kholne lage 5 to wahāṅ khaṛe kuchh logoṅ ne pūchhā, “Tum yih kyā kar rahe ho? Jawān gadhe ko kyoṅ khol rahe ho?” 6 Unhoṅ ne jawāb meṅ wuh kuchh batā diyā jo Īsā ne unheṅ kahā thā. Is par logoṅ ne unheṅ kholne diyā. 7 Wuh jawān gadhe ko Īsā ke pās le āe aur apne kapṛe us par rakh die. Phir Īsā us par sawār huā. 8 Jab wuh chal paṛā to bahut-se logoṅ ne us ke āge āge rāste meṅ apne kapṛe bichhā die. Bāz ne harī shāḳheṅ bhī us ke āge bichhā dīṅ jo unhoṅ ne khetoṅ ke daraḳhtoṅ se kāṭ lī thīṅ. 9 Log Īsā ke āge aur pīchhe chal rahe the aur chillā chillā kar nāre lagā rahe the,“Hoshānā! Mubārak hai wuh jo Rab ke nām se ātā hai. 10 Mubārak hai hamāre bāp Dāūd kī bādshāhī jo ā rahī hai.Āsmān kī bulandiyoṅ par hoshānā.” 11 Yoṅ Īsā Yarūshalam meṅ dāḳhil huā. Wuh Baitul-muqaddas meṅ gayā aur apne irdgird nazar dauṛā kar sab kuchh deḳhne ke bād chalā gayā. Chūṅki shām kā pichhlā waqt thā is lie wuh bārah shāgirdoṅ samet shahr se nikal kar Bait-aniyāh wāpas gayā. 12 Agle din jab wuh Bait-aniyāh se nikal rahe the to Īsā ko bhūk lagī. 13 Us ne kuchh fāsile par anjīr kā ek daraḳht dekhā jis par patte the. Is lie wuh yih deḳhne ke lie us ke pās gayā ki āyā koī phal lagā hai yā nahīṅ. Lekin jab wuh wahāṅ pahuṅchā to dekhā ki patte hī patte haiṅ. Wajah yih thī ki anjīr kā mausam nahīṅ thā. 14 Is par Īsā ne daraḳht se kahā, “Ab se hameshā tak tujh se phal khāyā na jā sake!” Us ke shāgirdoṅ ne us kī yih bāt sun lī. 15 Wuh Yarūshalam pahuṅch gae. Aur Īsā Baitul-muqaddas meṅ jā kar unheṅ nikālne lagā jo wahāṅ qurbāniyoṅ ke lie darkār chīzoṅ kī ḳharīd-o-faroḳht kar rahe the. Us ne sikkoṅ kā tabādalā karne wāloṅ kī mezeṅ aur kabūtar bechne wāloṅ kī kursiyāṅ ulaṭ dīṅ 16 aur jo tijāratī māl le kar Baitul-muqaddas ke sahnoṅ meṅ se guzar rahe the unheṅ rok liyā. 17 Tālīm de kar us ne kahā, “Kyā kalām-e-muqaddas meṅ nahīṅ likhā hai, ‘Merā ghar tamām qaumoṅ ke lie duā kā ghar kahlāegā’? Lekin tum ne use ḍākuoṅ ke aḍḍe meṅ badal diyā hai.” 18 Rāhnumā imāmoṅ aur sharīat ke ulamā ne jab yih sunā to use qatl karne kā mauqā ḍhūṅḍne lage. Kyoṅki wuh us se ḍarte the is lie ki pūrā hujūm us kī tālīm se nihāyat hairān thā. 19 Jab shām huī to Īsā aur us ke shāgird shahr se nikal gae. 20 Agle din wuh subah-sawere anjīr ke us daraḳht ke pās se guzare jis par Īsā ne lānat bhejī thī. Jab unhoṅ ne us par ġhaur kiyā to mālūm huā ki wuh jaṛoṅ tak sūkh gayā hai. 21 Tab Patras ko wuh bāt yād āī jo Īsā ne kal anjīr ke daraḳht se kī thī. Us ne kahā, “Ustād, yih dekheṅ! Anjīr ke jis daraḳht par āp ne lānat bhejī thī wuh sūkh gayā hai.” 22 Īsā ne jawāb diyā, “Allāh par īmān rakho. 23 Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki agar koī is pahāṛ se kahe, ‘Uṭh, apne āp ko samundar meṅ girā de’ to yih ho jāegā. Shart sirf yih hai ki wuh shak na kare balki īmān rakhe ki jo kuchh us ne kahā hai wuh us ke lie ho jāegā. 24 Is lie maiṅ tum ko batātā hūṅ, jab bhī tum duā karke kuchh māṅgte ho to īmān rakho ki tum ko mil gayā hai. Phir wuh tumheṅ zarūr mil jāegā. 25 Aur jab tum khaṛe ho kar duā karte ho to agar tumheṅ kisī se shikāyat ho to pahle use muāf karo tāki āsmān par tumhārā Bāp bhī tumhāre gunāhoṅ ko muāf kare. 26 [Aur agar tum muāf na karo to tumhārā āsmānī Bāp tumhāre gunāh bhī muāf nahīṅ karegā.]” 27 Wuh ek aur dafā Yarūshalam pahuṅch gae. Aur jab Īsā Baitul-muqaddas meṅ phir rahā thā to rāhnumā imām, sharīat ke ulamā aur buzurg us ke pās āe. 28 Unhoṅ ne pūchhā, “Āp yih sab kuchh kis iḳhtiyār se kar rahe haiṅ? Kis ne āp ko yih karne kā iḳhtiyār diyā hai?” 29 Īsā ne jawāb diyā, “Merā bhī tum se ek sawāl hai. Is kā jawāb do to phir tum ko batā dūṅgā ki maiṅ yih kis iḳhtiyār se kar rahā hūṅ. 30 Mujhe batāo, kyā Yahyā kā baptismā āsmānī thā yā insānī?” 31 Wuh āpas meṅ bahs karne lage, “Agar ham kaheṅ ‘Āsmānī’ to wuh pūchhegā, ‘To phir tum us par īmān kyoṅ na lāe?’ 32 Lekin ham kaise kah sakte haiṅ ki wuh insānī thā?” Wajah yih thī ki wuh ām logoṅ se ḍarte the, kyoṅki sab mānte the ki Yahyā wāqaī nabī thā. 33 Chunāṅche unhoṅ ne jawāb diyā, “Ham nahīṅ jānte.”Īsā ne kahā, “To phir maiṅ bhī tum ko nahīṅ batātā ki maiṅ yih sab kuchh kis iḳhtiyār se kar rahā hūṅ.”

In Other Versions

Mark 11 in the ANGEFD

Mark 11 in the ANTPNG2D

Mark 11 in the AS21

Mark 11 in the BAGH

Mark 11 in the BBPNG

Mark 11 in the BBT1E

Mark 11 in the BDS

Mark 11 in the BEV

Mark 11 in the BHAD

Mark 11 in the BIB

Mark 11 in the BLPT

Mark 11 in the BNT

Mark 11 in the BNTABOOT

Mark 11 in the BNTLV

Mark 11 in the BOATCB

Mark 11 in the BOATCB2

Mark 11 in the BOBCV

Mark 11 in the BOCNT

Mark 11 in the BOECS

Mark 11 in the BOGWICC

Mark 11 in the BOHCB

Mark 11 in the BOHCV

Mark 11 in the BOHLNT

Mark 11 in the BOHNTLTAL

Mark 11 in the BOICB

Mark 11 in the BOILNTAP

Mark 11 in the BOITCV

Mark 11 in the BOKCV

Mark 11 in the BOKCV2

Mark 11 in the BOKHWOG

Mark 11 in the BOKSSV

Mark 11 in the BOLCB

Mark 11 in the BOLCB2

Mark 11 in the BOMCV

Mark 11 in the BONAV

Mark 11 in the BONCB

Mark 11 in the BONLT

Mark 11 in the BONUT2

Mark 11 in the BOPLNT

Mark 11 in the BOSCB

Mark 11 in the BOSNC

Mark 11 in the BOTLNT

Mark 11 in the BOVCB

Mark 11 in the BOYCB

Mark 11 in the BPBB

Mark 11 in the BPH

Mark 11 in the BSB

Mark 11 in the CCB

Mark 11 in the CUV

Mark 11 in the CUVS

Mark 11 in the DBT

Mark 11 in the DGDNT

Mark 11 in the DHNT

Mark 11 in the DNT

Mark 11 in the ELBE

Mark 11 in the EMTV

Mark 11 in the ESV

Mark 11 in the FBV

Mark 11 in the FEB

Mark 11 in the GGMNT

Mark 11 in the GNT

Mark 11 in the HARY

Mark 11 in the HNT

Mark 11 in the IRVA

Mark 11 in the IRVB

Mark 11 in the IRVG

Mark 11 in the IRVH

Mark 11 in the IRVK

Mark 11 in the IRVM

Mark 11 in the IRVM2

Mark 11 in the IRVO

Mark 11 in the IRVP

Mark 11 in the IRVT

Mark 11 in the IRVT2

Mark 11 in the IRVU

Mark 11 in the ISVN

Mark 11 in the JSNT

Mark 11 in the KAPI

Mark 11 in the KBT1ETNIK

Mark 11 in the KBV

Mark 11 in the KJV

Mark 11 in the KNFD

Mark 11 in the LBA

Mark 11 in the LBLA

Mark 11 in the LNT

Mark 11 in the LSV

Mark 11 in the MAAL

Mark 11 in the MBV

Mark 11 in the MBV2

Mark 11 in the MHNT

Mark 11 in the MKNFD

Mark 11 in the MNG

Mark 11 in the MNT

Mark 11 in the MNT2

Mark 11 in the MRS1T

Mark 11 in the NAA

Mark 11 in the NASB

Mark 11 in the NBLA

Mark 11 in the NBS

Mark 11 in the NBVTP

Mark 11 in the NET2

Mark 11 in the NIV11

Mark 11 in the NNT

Mark 11 in the NNT2

Mark 11 in the NNT3

Mark 11 in the PDDPT

Mark 11 in the PFNT

Mark 11 in the RMNT

Mark 11 in the SBIAS

Mark 11 in the SBIBS

Mark 11 in the SBIBS2

Mark 11 in the SBICS

Mark 11 in the SBIDS

Mark 11 in the SBIGS

Mark 11 in the SBIHS

Mark 11 in the SBIIS

Mark 11 in the SBIIS2

Mark 11 in the SBIIS3

Mark 11 in the SBIKS

Mark 11 in the SBIKS2

Mark 11 in the SBIMS

Mark 11 in the SBIOS

Mark 11 in the SBIPS

Mark 11 in the SBISS

Mark 11 in the SBITS

Mark 11 in the SBITS2

Mark 11 in the SBITS3

Mark 11 in the SBITS4

Mark 11 in the SBIUS

Mark 11 in the SBIVS

Mark 11 in the SBT

Mark 11 in the SBT1E

Mark 11 in the SCHL

Mark 11 in the SNT

Mark 11 in the SUSU

Mark 11 in the SUSU2

Mark 11 in the SYNO

Mark 11 in the TBIAOTANT

Mark 11 in the TBT1E

Mark 11 in the TBT1E2

Mark 11 in the TFTIP

Mark 11 in the TFTU

Mark 11 in the TGNTATF3T

Mark 11 in the THAI

Mark 11 in the TNFD

Mark 11 in the TNT

Mark 11 in the TNTIK

Mark 11 in the TNTIL

Mark 11 in the TNTIN

Mark 11 in the TNTIP

Mark 11 in the TNTIZ

Mark 11 in the TOMA

Mark 11 in the TTENT

Mark 11 in the UBG

Mark 11 in the UGV

Mark 11 in the UGV2

Mark 11 in the VBL

Mark 11 in the VDCC

Mark 11 in the YALU

Mark 11 in the YAPE

Mark 11 in the YBVTP

Mark 11 in the ZBP