Mark 2 (UGV3)

1 Kuchh dinoṅ ke bād Īsā Kafarnahūm meṅ wāpas āyā. Jald hī ḳhabar phail gaī ki wuh ghar meṅ hai. 2 Is par itne log jamā ho gae ki pūrā ghar bhar gayā balki darwāze ke sāmne bhī jagah na rahī. Wuh unheṅ kalām-e-muqaddas sunāne lagā. 3 Itne meṅ kuchh log pahuṅche. Un meṅ se chār ādmī ek maflūj ko uṭhāe Īsā ke pās lānā chāhte the. 4 Magar wuh use hujūm kī wajah se Īsā tak na pahuṅchā sake, is lie unhoṅ ne chhat khol dī. Īsā ke ūpar kā hissā udheṛ kar unhoṅ ne chārpāī ko jis par maflūj leṭā thā utār diyā. 5 Jab Īsā ne un kā īmān dekhā to us ne maflūj se kahā, “Beṭā, tere gunāh muāf kar die gae haiṅ.” 6 Sharīat ke kuchh ālim wahāṅ baiṭhe the. Wuh yih sun kar soch-bichār meṅ paṛ gae. 7 “Yih kis tarah aisī bāteṅ kar saktā hai? Kufr bak rahā hai. Sirf Allāh hī gunāh muāf kar saktā hai.” 8 Īsā ne apnī rūh meṅ fauran jān liyā ki wuh kyā soch rahe haiṅ, is lie us ne un se pūchhā, “Tum dil meṅ is tarah kī bāteṅ kyoṅ soch rahe ho? 9 Kyā maflūj se yih kahnā āsān hai ki ‘Tere gunāh muāf kar die gae haiṅ’ yā yih ki ‘Uṭh, apnī chārpāī uṭhā kar chal-phir’? 10 Lekin maiṅ tum ko dikhātā hūṅ ki Ibn-e-Ādam ko wāqaī duniyā meṅ gunāh muāf karne kā iḳhtiyār hai.” Yih kah kar wuh maflūj se muḳhātib huā, 11 “Maiṅ tujh se kahtā hūṅ ki uṭh, apnī chārpāī uṭhā kar ghar chalā jā.” 12 Wuh ādmī khaṛā huā aur fauran apnī chārpāī uṭhā kar un ke deḳhte deḳhte chalā gayā. Sab saḳht hairatzadā hue aur Allāh kī tamjīd karke kahne lage, “Aisā kām ham ne kabhī nahīṅ dekhā!” 13 Phir Īsā nikal kar dubārā jhīl ke kināre gayā. Ek baṛī bhīṛ us ke pās āī to wuh unheṅ sikhāne lagā. 14 Chalte chalte us ne Halfaī ke beṭe Lāwī ko dekhā jo ṭaiks lene ke lie apnī chaukī par baiṭhā thā. Īsā ne us se kahā, “Mere pīchhe ho le.” Aur Lāwī uṭh kar us ke pīchhe ho liyā. 15 Bād meṅ Īsā Lāwī ke ghar meṅ khānā khā rahā thā. Us ke sāth na sirf us ke shāgird balki bahut-se ṭaiks lene wāle aur gunāhgār bhī the, kyoṅki un meṅ se bahutere us ke pairokār ban chuke the. 16 Sharīat ke kuchh Farīsī ālimoṅ ne use yoṅ ṭaiks lene wāloṅ aur gunāhgāroṅ ke sāth khāte dekhā to us ke shāgirdoṅ se pūchhā, “Yih ṭaiks lene wāloṅ aur gunāhgāroṅ ke sāth kyoṅ khātā hai?” 17 Yih sun kar Īsā ne jawāb diyā, “Sehhatmandoṅ ko ḍākṭar kī zarūrat nahīṅ hotī balki marīzoṅ ko. Maiṅ rāstbāzoṅ ko nahīṅ balki gunāhgāroṅ ko bulāne āyā hūṅ.” 18 Yahyā ke shāgird aur Farīsī rozā rakhā karte the. Ek mauqe par kuchh log Īsā ke pās āe aur pūchhā, “Āp ke shāgird rozā kyoṅ nahīṅ rakhte jabki Yahyā aur Farīsiyoṅ ke shāgird rozā rakhte haiṅ?” 19 Īsā ne jawāb diyā, “Shādī ke mehmān kis tarah rozā rakh sakte haiṅ jab dūlhā un ke darmiyān hai? Jab tak dūlhā un ke sāth hai wuh rozā nahīṅ rakh sakte. 20 Lekin ek din āegā jab dūlhā un se le liyā jāegā. Us waqt wuh zarūr rozā rakheṅge. 21 Koī bhī nae kapṛe kā ṭukṛā kisī purāne libās meṅ nahīṅ lagātā. Agar wuh aisā kare to nayā ṭukṛā bād meṅ sukaṛ kar purāne libās se alag ho jāegā. Yoṅ purāne libās kī phaṭī huī jagah pahle kī nisbat zyādā ḳharāb ho jāegī. 22 Isī tarah koī bhī angūr kā tāzā ras purānī aur belachak mashkoṅ meṅ nahīṅ ḍāltā. Agar wuh aisā kare to purānī mashkeṅ paidā hone wālī gais ke bāis phaṭ jāeṅgī. Natīje meṅ mai aur mashkeṅ donoṅ zāe ho jāeṅgī. Is lie angūr kā tāzā ras naī mashkoṅ meṅ ḍālā jātā hai jo lachakdār hotī haiṅ.” 23 Ek din Īsā anāj ke khetoṅ meṅ se guzar rahā thā. Chalte chalte us ke shāgird khāne ke lie anāj kī bāleṅ toṛne lage. Sabat kā din thā. 24 Yih dekh kar Farīsiyoṅ ne Īsā se pūchhā, “Dekho, yih kyoṅ aisā kar rahe haiṅ? Sabat ke din aisā karnā manā hai.” 25 Īsā ne jawāb diyā, “Kyā tum ne kabhī nahīṅ paṛhā ki Dāūd ne kyā kiyā jab use aur us ke sāthiyoṅ ko bhūk lagī aur un ke pās ḳhurāk nahīṅ thī? 26 Us waqt Abiyātar imām-e-āzam thā. Dāūd Allāh ke ghar meṅ dāḳhil huā aur Rab ke lie maḳhsūsshudā roṭiyāṅ le kar khāīṅ, agarche sirf imāmoṅ ko inheṅ khāne kī ijāzat hai. Aur us ne apne sāthiyoṅ ko bhī yih roṭiyāṅ khilāīṅ.” 27 Phir us ne kahā, “Insān ko Sabat ke din ke lie nahīṅ banāyā gayā balki Sabat kā din insān ke lie. 28 Chunāṅche Ibn-e-Ādam Sabat kā bhī mālik hai.”

In Other Versions

Mark 2 in the ANGEFD

Mark 2 in the ANTPNG2D

Mark 2 in the AS21

Mark 2 in the BAGH

Mark 2 in the BBPNG

Mark 2 in the BBT1E

Mark 2 in the BDS

Mark 2 in the BEV

Mark 2 in the BHAD

Mark 2 in the BIB

Mark 2 in the BLPT

Mark 2 in the BNT

Mark 2 in the BNTABOOT

Mark 2 in the BNTLV

Mark 2 in the BOATCB

Mark 2 in the BOATCB2

Mark 2 in the BOBCV

Mark 2 in the BOCNT

Mark 2 in the BOECS

Mark 2 in the BOGWICC

Mark 2 in the BOHCB

Mark 2 in the BOHCV

Mark 2 in the BOHLNT

Mark 2 in the BOHNTLTAL

Mark 2 in the BOICB

Mark 2 in the BOILNTAP

Mark 2 in the BOITCV

Mark 2 in the BOKCV

Mark 2 in the BOKCV2

Mark 2 in the BOKHWOG

Mark 2 in the BOKSSV

Mark 2 in the BOLCB

Mark 2 in the BOLCB2

Mark 2 in the BOMCV

Mark 2 in the BONAV

Mark 2 in the BONCB

Mark 2 in the BONLT

Mark 2 in the BONUT2

Mark 2 in the BOPLNT

Mark 2 in the BOSCB

Mark 2 in the BOSNC

Mark 2 in the BOTLNT

Mark 2 in the BOVCB

Mark 2 in the BOYCB

Mark 2 in the BPBB

Mark 2 in the BPH

Mark 2 in the BSB

Mark 2 in the CCB

Mark 2 in the CUV

Mark 2 in the CUVS

Mark 2 in the DBT

Mark 2 in the DGDNT

Mark 2 in the DHNT

Mark 2 in the DNT

Mark 2 in the ELBE

Mark 2 in the EMTV

Mark 2 in the ESV

Mark 2 in the FBV

Mark 2 in the FEB

Mark 2 in the GGMNT

Mark 2 in the GNT

Mark 2 in the HARY

Mark 2 in the HNT

Mark 2 in the IRVA

Mark 2 in the IRVB

Mark 2 in the IRVG

Mark 2 in the IRVH

Mark 2 in the IRVK

Mark 2 in the IRVM

Mark 2 in the IRVM2

Mark 2 in the IRVO

Mark 2 in the IRVP

Mark 2 in the IRVT

Mark 2 in the IRVT2

Mark 2 in the IRVU

Mark 2 in the ISVN

Mark 2 in the JSNT

Mark 2 in the KAPI

Mark 2 in the KBT1ETNIK

Mark 2 in the KBV

Mark 2 in the KJV

Mark 2 in the KNFD

Mark 2 in the LBA

Mark 2 in the LBLA

Mark 2 in the LNT

Mark 2 in the LSV

Mark 2 in the MAAL

Mark 2 in the MBV

Mark 2 in the MBV2

Mark 2 in the MHNT

Mark 2 in the MKNFD

Mark 2 in the MNG

Mark 2 in the MNT

Mark 2 in the MNT2

Mark 2 in the MRS1T

Mark 2 in the NAA

Mark 2 in the NASB

Mark 2 in the NBLA

Mark 2 in the NBS

Mark 2 in the NBVTP

Mark 2 in the NET2

Mark 2 in the NIV11

Mark 2 in the NNT

Mark 2 in the NNT2

Mark 2 in the NNT3

Mark 2 in the PDDPT

Mark 2 in the PFNT

Mark 2 in the RMNT

Mark 2 in the SBIAS

Mark 2 in the SBIBS

Mark 2 in the SBIBS2

Mark 2 in the SBICS

Mark 2 in the SBIDS

Mark 2 in the SBIGS

Mark 2 in the SBIHS

Mark 2 in the SBIIS

Mark 2 in the SBIIS2

Mark 2 in the SBIIS3

Mark 2 in the SBIKS

Mark 2 in the SBIKS2

Mark 2 in the SBIMS

Mark 2 in the SBIOS

Mark 2 in the SBIPS

Mark 2 in the SBISS

Mark 2 in the SBITS

Mark 2 in the SBITS2

Mark 2 in the SBITS3

Mark 2 in the SBITS4

Mark 2 in the SBIUS

Mark 2 in the SBIVS

Mark 2 in the SBT

Mark 2 in the SBT1E

Mark 2 in the SCHL

Mark 2 in the SNT

Mark 2 in the SUSU

Mark 2 in the SUSU2

Mark 2 in the SYNO

Mark 2 in the TBIAOTANT

Mark 2 in the TBT1E

Mark 2 in the TBT1E2

Mark 2 in the TFTIP

Mark 2 in the TFTU

Mark 2 in the TGNTATF3T

Mark 2 in the THAI

Mark 2 in the TNFD

Mark 2 in the TNT

Mark 2 in the TNTIK

Mark 2 in the TNTIL

Mark 2 in the TNTIN

Mark 2 in the TNTIP

Mark 2 in the TNTIZ

Mark 2 in the TOMA

Mark 2 in the TTENT

Mark 2 in the UBG

Mark 2 in the UGV

Mark 2 in the UGV2

Mark 2 in the VBL

Mark 2 in the VDCC

Mark 2 in the YALU

Mark 2 in the YAPE

Mark 2 in the YBVTP

Mark 2 in the ZBP