Mark 7 (UGV3)

1 Ek din Farīsī aur sharīat ke kuchh ālim Yarūshalam se Īsā se milne āe. 2 Jab wuh wahāṅ the to unhoṅ ne dekhā ki us ke kuchh shāgird apne hāth pāk-sāf kie baġhair yānī dhoe baġhair khānā khā rahe haiṅ. 3 (Kyoṅki Yahūdī aur ḳhāskar Farīsī firqe ke log is muāmale meṅ apne bāpdādā kī riwāyat ko mānte haiṅ. Wuh apne hāth achchhī tarah dhoe baġhair khānā nahīṅ khāte. 4 Isī tarah jab wuh kabhī bāzār se āte haiṅ to wuh ġhusl karke hī khānā khāte haiṅ. Wuh bahut-sī aur riwāyatoṅ par bhī amal karte haiṅ, masalan kap, jag aur ketlī ko dho kar pāk-sāf karne kī rasm par.) 5 Chunāṅche Farīsiyoṅ aur sharīat ke ālimoṅ ne Īsā se pūchhā, “Āp ke shāgird bāpdādā kī riwāyatoṅ ke mutābiq zindagī kyoṅ nahīṅ guzārte balki roṭī bhī hāth pāk-sāf kie baġhair khāte haiṅ?” 6 Īsā ne jawāb diyā, “Yasāyāh Nabī ne tum riyākāroṅ ke bāre meṅ ṭhīk kahā jab us ne yih nabuwwat kī,‘Yih qaum apne hoṅṭoṅ se to merā ehtirām kartī hailekin us kā dil mujh se dūr hai. 7 Wuh merī parastish karte to haiṅ, lekin befāydā.Kyoṅki wuh sirf insān hī ke ahkām sikhāte haiṅ.’ 8 Tum Allāh ke ahkām ko chhoṛ kar insānī riwāyāt kī pairawī karte ho.” 9 Īsā ne apnī bāt jārī rakhī, “Tum kitne salīqe se Allāh kā hukm mansūḳh karte ho tāki apnī riwāyāt ko qāym rakh sako. 10 Masalan Mūsā ne farmāyā, ‘Apne bāp aur apnī māṅ kī izzat karnā’ aur ‘Jo apne bāp yā māṅ par lānat kare use sazā-e-maut dī jāe.’ 11 Lekin jab koī apne wālidain se kahe, ‘Maiṅ āp kī madad nahīṅ kar saktā, kyoṅki maiṅ ne mannat mānī hai ki jo mujhe āp ko denā thā wuh Allāh ke lie qurbānī hai’ to tum ise jāyz qarār dete ho. 12 Yoṅ tum use apne māṅ-bāp kī madad karne se rok lete ho. 13 Aur isī tarah tum Allāh ke kalām ko apnī us riwāyat se mansūḳh kar lete ho jo tum ne nasl-dar-nasl muntaqil kī hai. Tum is qism kī bahut-sī harkateṅ karte ho.” 14 Phir Īsā ne dubārā hujūm ko apne pās bulāyā aur kahā, “Sab merī bāt suno aur ise samajhne kī koshish karo. 15 Koī aisī chīz hai nahīṅ jo insān meṅ dāḳhil ho kar use nāpāk kar sake, balki jo kuchh insān ke andar se nikaltā hai wuhī use nāpāk kar detā hai.” 16 [Agar koī sun saktā hai to wuh sun le.] 17 Phir wuh hujūm ko chhoṛ kar kisī ghar meṅ dāḳhil huā. Wahāṅ us ke shāgirdoṅ ne pūchhā, “Is tamsīl kā kyā matlab hai?” 18 Us ne kahā, “Kyā tum bhī itne nāsamajh ho? Kyā tum nahīṅ samajhte ki jo kuchh bāhar se insān meṅ dāḳhil hotā hai wuh use nāpāk nahīṅ kar saktā? 19 Wuh to us ke dil meṅ nahīṅ jātā balki us ke mede meṅ aur wahāṅ se nikal kar jā-e-zarūrat meṅ.” (Yih kah kar Īsā ne har qism kā khānā pāk-sāf qarār diyā.) 20 Us ne yih bhī kahā, “Jo kuchh insān ke andar se nikaltā hai wuhī use nāpāk kartā hai. 21 Kyoṅki logoṅ ke andar se, un ke diloṅ hī se bure ḳhayālāt, harāmkārī, chorī, qatl-o-ġhārat, 22 zinākārī, lālach, badkārī, dhokā, shahwatparastī, hasad, buhtān, ġhurūr aur hamāqat nikalte haiṅ. 23 Yih tamām burāiyāṅ andar hī se nikal kar insān ko nāpāk kar detī haiṅ.” 24 Phir Īsā Galīl se rawānā ho kar shimāl meṅ Sūr ke ilāqe meṅ āyā. Wahāṅ wuh kisī ghar meṅ dāḳhil huā. Wuh nahīṅ chāhtā thā ki kisī ko patā chale, lekin wuh poshīdā na rah sakā. 25 Fauran ek aurat us ke pās āī jis ne us ke bāre meṅ sun rakhā thā. Wuh us ke pāṅwoṅ meṅ gir gaī. Us kī chhoṭī beṭī kisī nāpāk rūh ke qabze meṅ thī, 26 aur us ne Īsā se guzārish kī, “Badrūh ko merī beṭī meṅ se nikāl deṅ.” Lekin wuh aurat Yūnānī thī aur Sūrufenīke ke ilāqe meṅ paidā huī thī, 27 is lie Īsā ne use batāyā, “Pahle bachchoṅ ko jī bhar kar khāne de, kyoṅki yih munāsib nahīṅ ki bachchoṅ se khānā le kar kuttoṅ ke sāmne phaiṅk diyā jāe.” 28 Us ne jawāb diyā, “Jī Ḳhudāwand, lekin mez ke nīche ke kutte bhī bachchoṅ ke gire hue ṭukṛe khāte haiṅ.” 29 Īsā ne kahā, “Tū ne achchhā jawāb diyā, is lie jā, badrūh terī beṭī meṅ se nikal gaī hai.” 30 Aurat apne ghar wāpas chalī gaī to dekhā ki laṛkī bistar par paṛī hai aur badrūh us meṅ se nikal chukī hai. 31 Jab Īsā Sūr se rawānā huā to wuh pahle shimāl meṅ wāqe shahr Saidā ko chalā gayā. Phir wahāṅ se bhī fāriġh ho kar wuh dubārā Galīl kī Jhīl ke kināre wāqe Dikapulis ke ilāqe meṅ pahuṅch gayā. 32 Wahāṅ us ke pās ek bahrā ādmī lāyā gayā jo mushkil hī se bol saktā thā. Unhoṅ ne minnat kī ki wuh apnā hāth us par rakhe. 33 Īsā use hujūm se dūr le gayā. Us ne apnī ungliyāṅ us ke kānoṅ meṅ ḍālīṅ aur thūk kar ādmī kī zabān ko chhuā. 34 Phir āsmān kī taraf nazar uṭhā kar us ne āh bharī aur us se kahā, “Iffatah!” (Is kā matlab hai “Khul jā!”) 35 Fauran ādmī ke kān khul gae. Zabān kā bandhan ṭūṭ gayā aur wuh ṭhīk ṭhīk bolne lagā. 36 Īsā ne hāzirīn ko hukm diyā ki wuh kisī ko yih bāt na batāeṅ. Lekin jitnā wuh manā kartā thā utnā hī log is kī ḳhabar phailāte the. 37 Wuh nihāyat hī hairān hue aur kahne lage, “Is ne sab kuchh achchhā kiyā hai, yih bahroṅ ko sunane kī tāqat detā hai aur gūṅgoṅ ko bolne kī.”

In Other Versions

Mark 7 in the ANGEFD

Mark 7 in the ANTPNG2D

Mark 7 in the AS21

Mark 7 in the BAGH

Mark 7 in the BBPNG

Mark 7 in the BBT1E

Mark 7 in the BDS

Mark 7 in the BEV

Mark 7 in the BHAD

Mark 7 in the BIB

Mark 7 in the BLPT

Mark 7 in the BNT

Mark 7 in the BNTABOOT

Mark 7 in the BNTLV

Mark 7 in the BOATCB

Mark 7 in the BOATCB2

Mark 7 in the BOBCV

Mark 7 in the BOCNT

Mark 7 in the BOECS

Mark 7 in the BOGWICC

Mark 7 in the BOHCB

Mark 7 in the BOHCV

Mark 7 in the BOHLNT

Mark 7 in the BOHNTLTAL

Mark 7 in the BOICB

Mark 7 in the BOILNTAP

Mark 7 in the BOITCV

Mark 7 in the BOKCV

Mark 7 in the BOKCV2

Mark 7 in the BOKHWOG

Mark 7 in the BOKSSV

Mark 7 in the BOLCB

Mark 7 in the BOLCB2

Mark 7 in the BOMCV

Mark 7 in the BONAV

Mark 7 in the BONCB

Mark 7 in the BONLT

Mark 7 in the BONUT2

Mark 7 in the BOPLNT

Mark 7 in the BOSCB

Mark 7 in the BOSNC

Mark 7 in the BOTLNT

Mark 7 in the BOVCB

Mark 7 in the BOYCB

Mark 7 in the BPBB

Mark 7 in the BPH

Mark 7 in the BSB

Mark 7 in the CCB

Mark 7 in the CUV

Mark 7 in the CUVS

Mark 7 in the DBT

Mark 7 in the DGDNT

Mark 7 in the DHNT

Mark 7 in the DNT

Mark 7 in the ELBE

Mark 7 in the EMTV

Mark 7 in the ESV

Mark 7 in the FBV

Mark 7 in the FEB

Mark 7 in the GGMNT

Mark 7 in the GNT

Mark 7 in the HARY

Mark 7 in the HNT

Mark 7 in the IRVA

Mark 7 in the IRVB

Mark 7 in the IRVG

Mark 7 in the IRVH

Mark 7 in the IRVK

Mark 7 in the IRVM

Mark 7 in the IRVM2

Mark 7 in the IRVO

Mark 7 in the IRVP

Mark 7 in the IRVT

Mark 7 in the IRVT2

Mark 7 in the IRVU

Mark 7 in the ISVN

Mark 7 in the JSNT

Mark 7 in the KAPI

Mark 7 in the KBT1ETNIK

Mark 7 in the KBV

Mark 7 in the KJV

Mark 7 in the KNFD

Mark 7 in the LBA

Mark 7 in the LBLA

Mark 7 in the LNT

Mark 7 in the LSV

Mark 7 in the MAAL

Mark 7 in the MBV

Mark 7 in the MBV2

Mark 7 in the MHNT

Mark 7 in the MKNFD

Mark 7 in the MNG

Mark 7 in the MNT

Mark 7 in the MNT2

Mark 7 in the MRS1T

Mark 7 in the NAA

Mark 7 in the NASB

Mark 7 in the NBLA

Mark 7 in the NBS

Mark 7 in the NBVTP

Mark 7 in the NET2

Mark 7 in the NIV11

Mark 7 in the NNT

Mark 7 in the NNT2

Mark 7 in the NNT3

Mark 7 in the PDDPT

Mark 7 in the PFNT

Mark 7 in the RMNT

Mark 7 in the SBIAS

Mark 7 in the SBIBS

Mark 7 in the SBIBS2

Mark 7 in the SBICS

Mark 7 in the SBIDS

Mark 7 in the SBIGS

Mark 7 in the SBIHS

Mark 7 in the SBIIS

Mark 7 in the SBIIS2

Mark 7 in the SBIIS3

Mark 7 in the SBIKS

Mark 7 in the SBIKS2

Mark 7 in the SBIMS

Mark 7 in the SBIOS

Mark 7 in the SBIPS

Mark 7 in the SBISS

Mark 7 in the SBITS

Mark 7 in the SBITS2

Mark 7 in the SBITS3

Mark 7 in the SBITS4

Mark 7 in the SBIUS

Mark 7 in the SBIVS

Mark 7 in the SBT

Mark 7 in the SBT1E

Mark 7 in the SCHL

Mark 7 in the SNT

Mark 7 in the SUSU

Mark 7 in the SUSU2

Mark 7 in the SYNO

Mark 7 in the TBIAOTANT

Mark 7 in the TBT1E

Mark 7 in the TBT1E2

Mark 7 in the TFTIP

Mark 7 in the TFTU

Mark 7 in the TGNTATF3T

Mark 7 in the THAI

Mark 7 in the TNFD

Mark 7 in the TNT

Mark 7 in the TNTIK

Mark 7 in the TNTIL

Mark 7 in the TNTIN

Mark 7 in the TNTIP

Mark 7 in the TNTIZ

Mark 7 in the TOMA

Mark 7 in the TTENT

Mark 7 in the UBG

Mark 7 in the UGV

Mark 7 in the UGV2

Mark 7 in the VBL

Mark 7 in the VDCC

Mark 7 in the YALU

Mark 7 in the YAPE

Mark 7 in the YBVTP

Mark 7 in the ZBP