Nehemiah 8 (UGV3)
1 to sab log mil kar Pānī ke Darwāze ke chauk meṅ jamā ho gae. Unhoṅ ne sharīat ke ālim Azrā se darḳhāst kī ki wuh sharīat le āeṅ jo Rab ne Mūsā kī mārifat Isrāīlī qaum ko de dī thī. 2 Chunāṅche Azrā ne hāzirīn ke sāmne sharīat kī tilāwat kī. Sātweṅ mahīne kā pahlā din thā. Na sirf mard balki aurateṅ aur sharīat kī bāteṅ samajhne ke qābil tamām bachche bhī jamā hue the. 3 Subah-sawere se le kar dopahar tak Azrā Pānī ke Darwāze ke chauk meṅ paṛhtā rahā, aur tamām jamāt dhyān se sharīat kī bāteṅ suntī rahī. 4 Azrā lakaṛī ke ek chabūtare par khaṛā thā jo ḳhāskar is mauqe ke lie banāyā gayā thā. Us ke dāeṅ hāth Mattitiyāh, Samā, Anāyāh, Ūriyāh, Ḳhilqiyāh aur Māsiyāh khaṛe the. Us ke bāeṅ hāth Fidāyāh, Mīsāel, Malkiyāh, Hāshūm, Hasbaddānā, Zakariyāh aur Masullām khaṛe the. 5 Chūṅki Azrā ūṅchī jagah par khaṛā thā is lie wuh sab ko nazar āyā. Chunāṅche jab us ne kitāb ko khol diyā to sab log khaṛe ho gae. 6 Azrā ne Rab azīm Ḳhudā kī satāish kī, aur sab ne apne hāth uṭhā kar jawāb meṅ kahā, “Āmīn, āmīn.” Phir unhoṅ ne jhuk kar Rab ko sijdā kiyā. 7 Kuchh Lāwī hāzir the jinhoṅ ne logoṅ ke lie sharīat kī tashrīh kī. Un ke nām Yashua, Bānī, Saribiyāh, Yamīn, Aqqūb, Sabbatī, Hūdiyāh, Māsiyāh, Qalītā, Azariyāh, Yūzabad, Hanān aur Filāyāh the. Hāzirīn ab tak khaṛe the. 8 Sharīat kī tilāwat ke sāth sāth mazkūrā Lāwī qadam baqadam us kī tashrīh yoṅ karte gae ki log use achchhī tarah samajh sake. 9 Sharīat kī bāteṅ sun sun kar wuh rone lage. Lekin Nahmiyāh Gawarnar, sharīat ke ālim Azrā Imām aur sharīat kī tashrīh karne wāle Lāwiyoṅ ne unheṅ tasallī de kar kahā, “Udās na hoṅ aur mat roeṅ! Āj Rab āp ke Ḳhudā ke lie maḳhsūs-o-muqaddas īd hai. 10 Ab jāeṅ, umdā khānā khā kar aur pīne kī mīṭhī chīzeṅ pī kar ḳhushī manāeṅ. Jo apne lie kuchh taiyār na kar sakeṅ unheṅ apnī ḳhushī meṅ sharīk kareṅ. Yih din hamāre Rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas hai. Udās na hoṅ, kyoṅki Rab kī ḳhushī āp kī panāhgāh hai.” 11 Lāwiyoṅ ne bhī tamām logoṅ ko sukūn dilā kar kahā, “Udās na hoṅ, kyoṅki yih din Rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas hai.” 12 Phir sab apne apne ghar chale gae. Wahāṅ unhoṅ ne baṛī ḳhushī se khā-pī kar jashn manāyā. Sāth sāth unhoṅ ne dūsroṅ ko bhī apnī ḳhushī meṅ sharīk kiyā. Un kī baṛī ḳhushī kā sabab yih thā ki ab unheṅ un bātoṅ kī samajh āī thī jo unheṅ sunāī gaī thīṅ. 13 Agle din ḳhāndānī sarparast, imām aur Lāwī dubārā sharīat ke ālim Azrā ke pās jamā hue tāki sharīat kī mazīd tālīm pāeṅ. 14 Jab wuh sharīat kā mutāla'ā kar rahe the to unheṅ patā chalā ki Rab ne Mūsā kī mārifat hukm diyā thā ki Isrāīlī sātweṅ mahīne kī īd ke daurān jhoṅpṛiyoṅ meṅ raheṅ. 15 Chunāṅche unhoṅ ne Yarūshalam aur bāqī tamām shahroṅ meṅ elān kiyā, “Pahāṛoṅ par se zaitūn, ās, khajūr aur bāqī sāyādār daraḳhtoṅ kī shāḳheṅ toṛ kar apne ghar le jāeṅ. Wahāṅ un se jhoṅpṛiyāṅ banāeṅ, jis tarah sharīat ne hidāyat dī hai.” 16 Logoṅ ne aisā hī kiyā. Wuh gharoṅ se nikle aur daraḳhtoṅ kī shāḳheṅ toṛ kar le āe. Un se unhoṅ ne apne gharoṅ kī chhatoṅ par aur sahnoṅ meṅ jhoṅpṛiyāṅ banā līṅ. Bāz ne apnī jhoṅpṛiyoṅ ko Rab ke ghar ke sahnoṅ, Pānī ke Darwāze ke chauk aur Ifrāīm ke Darwāze ke chauk meṅ bhī banāyā. 17 Jitne bhī jilāwatanī se wāpas āe the wuh sab jhoṅpṛiyāṅ banā kar un meṅ rahne lage. Yashua bin Nūn ke zamāne se le kar us waqt tak yih īd is tarah nahīṅ manāī gaī thī. Sab nihāyat hī ḳhush the. 18 Īd ke har din Azrā ne Allāh kī sharīat kī tilāwat kī. Sāt din Isrāīliyoṅ ne īd manāī, aur āṭhweṅ din sab log ijtimā ke lie ikaṭṭhe hue, bilkul un hidāyāt ke mutābiq jo sharīat meṅ dī gaī haiṅ.
In Other Versions
Nehemiah 8 in the ANGEFD
Nehemiah 8 in the ANTPNG2D
Nehemiah 8 in the AS21
Nehemiah 8 in the BAGH
Nehemiah 8 in the BBPNG
Nehemiah 8 in the BBT1E
Nehemiah 8 in the BDS
Nehemiah 8 in the BEV
Nehemiah 8 in the BHAD
Nehemiah 8 in the BIB
Nehemiah 8 in the BLPT
Nehemiah 8 in the BNT
Nehemiah 8 in the BNTABOOT
Nehemiah 8 in the BNTLV
Nehemiah 8 in the BOATCB
Nehemiah 8 in the BOATCB2
Nehemiah 8 in the BOBCV
Nehemiah 8 in the BOCNT
Nehemiah 8 in the BOECS
Nehemiah 8 in the BOGWICC
Nehemiah 8 in the BOHCB
Nehemiah 8 in the BOHCV
Nehemiah 8 in the BOHLNT
Nehemiah 8 in the BOHNTLTAL
Nehemiah 8 in the BOICB
Nehemiah 8 in the BOILNTAP
Nehemiah 8 in the BOITCV
Nehemiah 8 in the BOKCV
Nehemiah 8 in the BOKCV2
Nehemiah 8 in the BOKHWOG
Nehemiah 8 in the BOKSSV
Nehemiah 8 in the BOLCB
Nehemiah 8 in the BOLCB2
Nehemiah 8 in the BOMCV
Nehemiah 8 in the BONAV
Nehemiah 8 in the BONCB
Nehemiah 8 in the BONLT
Nehemiah 8 in the BONUT2
Nehemiah 8 in the BOPLNT
Nehemiah 8 in the BOSCB
Nehemiah 8 in the BOSNC
Nehemiah 8 in the BOTLNT
Nehemiah 8 in the BOVCB
Nehemiah 8 in the BOYCB
Nehemiah 8 in the BPBB
Nehemiah 8 in the BPH
Nehemiah 8 in the BSB
Nehemiah 8 in the CCB
Nehemiah 8 in the CUV
Nehemiah 8 in the CUVS
Nehemiah 8 in the DBT
Nehemiah 8 in the DGDNT
Nehemiah 8 in the DHNT
Nehemiah 8 in the DNT
Nehemiah 8 in the ELBE
Nehemiah 8 in the EMTV
Nehemiah 8 in the ESV
Nehemiah 8 in the FBV
Nehemiah 8 in the FEB
Nehemiah 8 in the GGMNT
Nehemiah 8 in the GNT
Nehemiah 8 in the HARY
Nehemiah 8 in the HNT
Nehemiah 8 in the IRVA
Nehemiah 8 in the IRVB
Nehemiah 8 in the IRVG
Nehemiah 8 in the IRVH
Nehemiah 8 in the IRVK
Nehemiah 8 in the IRVM
Nehemiah 8 in the IRVM2
Nehemiah 8 in the IRVO
Nehemiah 8 in the IRVP
Nehemiah 8 in the IRVT
Nehemiah 8 in the IRVT2
Nehemiah 8 in the IRVU
Nehemiah 8 in the ISVN
Nehemiah 8 in the JSNT
Nehemiah 8 in the KAPI
Nehemiah 8 in the KBT1ETNIK
Nehemiah 8 in the KBV
Nehemiah 8 in the KJV
Nehemiah 8 in the KNFD
Nehemiah 8 in the LBA
Nehemiah 8 in the LBLA
Nehemiah 8 in the LNT
Nehemiah 8 in the LSV
Nehemiah 8 in the MAAL
Nehemiah 8 in the MBV
Nehemiah 8 in the MBV2
Nehemiah 8 in the MHNT
Nehemiah 8 in the MKNFD
Nehemiah 8 in the MNG
Nehemiah 8 in the MNT
Nehemiah 8 in the MNT2
Nehemiah 8 in the MRS1T
Nehemiah 8 in the NAA
Nehemiah 8 in the NASB
Nehemiah 8 in the NBLA
Nehemiah 8 in the NBS
Nehemiah 8 in the NBVTP
Nehemiah 8 in the NET2
Nehemiah 8 in the NIV11
Nehemiah 8 in the NNT
Nehemiah 8 in the NNT2
Nehemiah 8 in the NNT3
Nehemiah 8 in the PDDPT
Nehemiah 8 in the PFNT
Nehemiah 8 in the RMNT
Nehemiah 8 in the SBIAS
Nehemiah 8 in the SBIBS
Nehemiah 8 in the SBIBS2
Nehemiah 8 in the SBICS
Nehemiah 8 in the SBIDS
Nehemiah 8 in the SBIGS
Nehemiah 8 in the SBIHS
Nehemiah 8 in the SBIIS
Nehemiah 8 in the SBIIS2
Nehemiah 8 in the SBIIS3
Nehemiah 8 in the SBIKS
Nehemiah 8 in the SBIKS2
Nehemiah 8 in the SBIMS
Nehemiah 8 in the SBIOS
Nehemiah 8 in the SBIPS
Nehemiah 8 in the SBISS
Nehemiah 8 in the SBITS
Nehemiah 8 in the SBITS2
Nehemiah 8 in the SBITS3
Nehemiah 8 in the SBITS4
Nehemiah 8 in the SBIUS
Nehemiah 8 in the SBIVS
Nehemiah 8 in the SBT
Nehemiah 8 in the SBT1E
Nehemiah 8 in the SCHL
Nehemiah 8 in the SNT
Nehemiah 8 in the SUSU
Nehemiah 8 in the SUSU2
Nehemiah 8 in the SYNO
Nehemiah 8 in the TBIAOTANT
Nehemiah 8 in the TBT1E
Nehemiah 8 in the TBT1E2
Nehemiah 8 in the TFTIP
Nehemiah 8 in the TFTU
Nehemiah 8 in the TGNTATF3T
Nehemiah 8 in the THAI
Nehemiah 8 in the TNFD
Nehemiah 8 in the TNT
Nehemiah 8 in the TNTIK
Nehemiah 8 in the TNTIL
Nehemiah 8 in the TNTIN
Nehemiah 8 in the TNTIP
Nehemiah 8 in the TNTIZ
Nehemiah 8 in the TOMA
Nehemiah 8 in the TTENT
Nehemiah 8 in the UBG
Nehemiah 8 in the UGV
Nehemiah 8 in the UGV2
Nehemiah 8 in the VBL
Nehemiah 8 in the VDCC
Nehemiah 8 in the YALU
Nehemiah 8 in the YAPE
Nehemiah 8 in the YBVTP
Nehemiah 8 in the ZBP