Numbers 20 (UGV3)
1 Pahle mahīne meṅ Isrāīl kī pūrī jamāt Dasht-e-Sīn meṅ pahuṅch kar Qādis meṅ rahne lagī. Wahāṅ Mariyam ne wafāt pāī aur wahīṅ use dafnāyā gayā. 2 Qādis meṅ pānī dastyāb nahīṅ thā, is lie log Mūsā aur Hārūn ke muqābale meṅ jamā hue. 3 Wuh Mūsā se yih kah kar jhagaṛne lage, “Kāsh ham apne bhāiyoṅ ke sāth Rab ke sāmne mar gae hote! 4 Āp Rab kī jamāt ko kyoṅ is registān meṅ le āe? Kyā is lie ki ham yahāṅ apne maweshiyoṅ samet mar jāeṅ? 5 Āp hameṅ Misr se nikāl kar us nāḳhushgawār jagah par kyoṅ le āe haiṅ? Yahāṅ na to anāj, na anjīr, angūr yā anār dastyāb haiṅ. Pānī bhī nahīṅ hai!” 6 Mūsā aur Hārūn logoṅ ko chhoṛ kar mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze par gae aur muṅh ke bal gire. Tab Rab kā jalāl un par zāhir huā. 7 Rab ne Mūsā se kahā, 8 “Ahd ke sandūq ke sāmne paṛī lāṭhī pakaṛ kar Hārūn ke sāth jamāt ko ikaṭṭhā kar. Un ke sāmne chaṭān se bāt karo to wuh apnā pānī degī. Yoṅ tū chaṭān meṅ se jamāt ke lie pānī nikāl kar unheṅ un ke maweshiyoṅ samet pānī pilāegā.” 9 Mūsā ne aisā hī kiyā. Us ne ahd ke sandūq ke sāmne paṛī lāṭhī uṭhāī 10 aur Hārūn ke sāth jamāt ko chaṭān ke sāmne ikaṭṭhā kiyā. Mūsā ne un se kahā, “Ai baġhāwat karne wālo, suno! Kyā ham is chaṭān meṅ se tumhāre lie pānī nikāleṅ?” 11 Us ne lāṭhī ko uṭhā kar chaṭān ko do martabā mārā to bahut-sā pānī phūṭ niklā. Jamāt aur un ke maweshiyoṅ ne ḳhūb pānī piyā. 12 Lekin Rab ne Mūsā aur Hārūn se kahā, “Tumhārā mujh par itnā īmān nahīṅ thā ki merī quddūsiyat ko Isrāīliyoṅ ke sāmne qāym rakhte. Is lie tum us jamāt ko us mulk meṅ nahīṅ le jāoge jo maiṅ unheṅ dūṅgā.” 13 Yih wāqiyā Marībā yānī ‘Jhagaṛnā’ ke pānī par huā. Wahāṅ Isrāīliyoṅ ne Rab se jhagaṛā kiyā, aur wahāṅ us ne un par zāhir kiyā ki wuh quddūs hai. 14 Qādis se Mūsā ne Adom ke bādshāh ko ittalā bhejī, “Āp ke bhāī Isrāīl kī taraf se ek guzārish hai. Āp ko un tamām musībatoṅ ke bāre meṅ ilm hai jo ham par ān paṛī haiṅ. 15 Hamāre bāpdādā Misr gae the aur wahāṅ ham bahut arse tak rahe. Misriyoṅ ne hamāre bāpdādā aur ham se burā sulūk kiyā. 16 Lekin jab ham ne chillā kar Rab se minnat kī to us ne hamārī sunī aur farishtā bhej kar hameṅ Misr se nikāl lāyā. Ab ham yahāṅ Qādis Shahr meṅ haiṅ jo āp kī sarhad par hai. 17 Mehrbānī karke hameṅ apne mulk meṅ se guzarne deṅ. Ham kisī khet yā angūr ke bāġh meṅ nahīṅ jāeṅge, na kisī kueṅ kā pānī pieṅge. Ham shāhrāh par hī raheṅge. Āp ke mulk meṅ se guzarte hue ham us se na dāīṅ aur na bāīṅ taraf haṭeṅge.” 18 Lekin Adomiyoṅ ne jawāb diyā, “Yahāṅ se na guzarnā, warnā ham nikal kar āp se laṛeṅge.” 19 Isrāīl ne dubārā ḳhabar bhejī, “Ham shāhrāh par rahte hue guzareṅge. Agar hameṅ yā hamāre jānwaroṅ ko pānī kī zarūrat huī to paise de kar ḳharīd leṅge. Ham paidal hī guzarnā chāhte haiṅ, aur kuchh nahīṅ chāhte.” 20 Lekin Adomiyoṅ ne dubārā inkār kiyā. Sāth hī unhoṅ ne un ke sāth laṛne ke lie ek baṛī aur tāqatwar fauj bhejī. 21 Chūṅki Adom ne unheṅ guzarne kī ijāzat na dī is lie Isrāīlī muṛ kar dūsre rāste se chale gae. 22 Isrāīl kī pūrī jamāt Qādis se rawānā ho kar Hor Pahāṛ ke pās pahuṅchī. 23 Yih pahāṛ Adom kī sarhad par wāqe thā. Wahāṅ Rab ne Mūsā aur Hārūn se kahā, 24 “Hārūn ab kūch karke apne bāpdādā se jā milegā. Wuh us mulk meṅ dāḳhil nahīṅ hogā jo maiṅ Isrāīliyoṅ ko dūṅgā, kyoṅki tum donoṅ ne Marībā ke pānī par mere hukm kī ḳhilāfwarzī kī. 25 Hārūn aur us ke beṭe Iliyazar ko le kar Hor Pahāṛ par chaṛh jā. 26 Hārūn ke kapṛe utār kar us ke beṭe Iliyazar ko pahnā denā. Phir Hārūn kūch karke apne bāpdādā se jā milegā.” 27 Mūsā ne aisā hī kiyā jaisā Rab ne kahā. Tīnoṅ pūrī jamāt ke deḳhte deḳhte Hor Pahāṛ par chaṛh gae. 28 Mūsā ne Hārūn ke kapṛe utarwā kar us ke beṭe Iliyazar ko pahnā die. Phir Hārūn wahāṅ pahāṛ kī choṭī par faut huā, aur Mūsā aur Iliyazar nīche utar gae. 29 Jab pūrī jamāt ko mālūm huā ki Hārūn intaqāl kar gayā hai to sab ne 30 din tak us ke lie mātam kiyā.
In Other Versions
Numbers 20 in the ANGEFD
Numbers 20 in the ANTPNG2D
Numbers 20 in the AS21
Numbers 20 in the BAGH
Numbers 20 in the BBPNG
Numbers 20 in the BBT1E
Numbers 20 in the BDS
Numbers 20 in the BEV
Numbers 20 in the BHAD
Numbers 20 in the BIB
Numbers 20 in the BLPT
Numbers 20 in the BNT
Numbers 20 in the BNTABOOT
Numbers 20 in the BNTLV
Numbers 20 in the BOATCB
Numbers 20 in the BOATCB2
Numbers 20 in the BOBCV
Numbers 20 in the BOCNT
Numbers 20 in the BOECS
Numbers 20 in the BOGWICC
Numbers 20 in the BOHCB
Numbers 20 in the BOHCV
Numbers 20 in the BOHLNT
Numbers 20 in the BOHNTLTAL
Numbers 20 in the BOICB
Numbers 20 in the BOILNTAP
Numbers 20 in the BOITCV
Numbers 20 in the BOKCV
Numbers 20 in the BOKCV2
Numbers 20 in the BOKHWOG
Numbers 20 in the BOKSSV
Numbers 20 in the BOLCB
Numbers 20 in the BOLCB2
Numbers 20 in the BOMCV
Numbers 20 in the BONAV
Numbers 20 in the BONCB
Numbers 20 in the BONLT
Numbers 20 in the BONUT2
Numbers 20 in the BOPLNT
Numbers 20 in the BOSCB
Numbers 20 in the BOSNC
Numbers 20 in the BOTLNT
Numbers 20 in the BOVCB
Numbers 20 in the BOYCB
Numbers 20 in the BPBB
Numbers 20 in the BPH
Numbers 20 in the BSB
Numbers 20 in the CCB
Numbers 20 in the CUV
Numbers 20 in the CUVS
Numbers 20 in the DBT
Numbers 20 in the DGDNT
Numbers 20 in the DHNT
Numbers 20 in the DNT
Numbers 20 in the ELBE
Numbers 20 in the EMTV
Numbers 20 in the ESV
Numbers 20 in the FBV
Numbers 20 in the FEB
Numbers 20 in the GGMNT
Numbers 20 in the GNT
Numbers 20 in the HARY
Numbers 20 in the HNT
Numbers 20 in the IRVA
Numbers 20 in the IRVB
Numbers 20 in the IRVG
Numbers 20 in the IRVH
Numbers 20 in the IRVK
Numbers 20 in the IRVM
Numbers 20 in the IRVM2
Numbers 20 in the IRVO
Numbers 20 in the IRVP
Numbers 20 in the IRVT
Numbers 20 in the IRVT2
Numbers 20 in the IRVU
Numbers 20 in the ISVN
Numbers 20 in the JSNT
Numbers 20 in the KAPI
Numbers 20 in the KBT1ETNIK
Numbers 20 in the KBV
Numbers 20 in the KJV
Numbers 20 in the KNFD
Numbers 20 in the LBA
Numbers 20 in the LBLA
Numbers 20 in the LNT
Numbers 20 in the LSV
Numbers 20 in the MAAL
Numbers 20 in the MBV
Numbers 20 in the MBV2
Numbers 20 in the MHNT
Numbers 20 in the MKNFD
Numbers 20 in the MNG
Numbers 20 in the MNT
Numbers 20 in the MNT2
Numbers 20 in the MRS1T
Numbers 20 in the NAA
Numbers 20 in the NASB
Numbers 20 in the NBLA
Numbers 20 in the NBS
Numbers 20 in the NBVTP
Numbers 20 in the NET2
Numbers 20 in the NIV11
Numbers 20 in the NNT
Numbers 20 in the NNT2
Numbers 20 in the NNT3
Numbers 20 in the PDDPT
Numbers 20 in the PFNT
Numbers 20 in the RMNT
Numbers 20 in the SBIAS
Numbers 20 in the SBIBS
Numbers 20 in the SBIBS2
Numbers 20 in the SBICS
Numbers 20 in the SBIDS
Numbers 20 in the SBIGS
Numbers 20 in the SBIHS
Numbers 20 in the SBIIS
Numbers 20 in the SBIIS2
Numbers 20 in the SBIIS3
Numbers 20 in the SBIKS
Numbers 20 in the SBIKS2
Numbers 20 in the SBIMS
Numbers 20 in the SBIOS
Numbers 20 in the SBIPS
Numbers 20 in the SBISS
Numbers 20 in the SBITS
Numbers 20 in the SBITS2
Numbers 20 in the SBITS3
Numbers 20 in the SBITS4
Numbers 20 in the SBIUS
Numbers 20 in the SBIVS
Numbers 20 in the SBT
Numbers 20 in the SBT1E
Numbers 20 in the SCHL
Numbers 20 in the SNT
Numbers 20 in the SUSU
Numbers 20 in the SUSU2
Numbers 20 in the SYNO
Numbers 20 in the TBIAOTANT
Numbers 20 in the TBT1E
Numbers 20 in the TBT1E2
Numbers 20 in the TFTIP
Numbers 20 in the TFTU
Numbers 20 in the TGNTATF3T
Numbers 20 in the THAI
Numbers 20 in the TNFD
Numbers 20 in the TNT
Numbers 20 in the TNTIK
Numbers 20 in the TNTIL
Numbers 20 in the TNTIN
Numbers 20 in the TNTIP
Numbers 20 in the TNTIZ
Numbers 20 in the TOMA
Numbers 20 in the TTENT
Numbers 20 in the UBG
Numbers 20 in the UGV
Numbers 20 in the UGV2
Numbers 20 in the VBL
Numbers 20 in the VDCC
Numbers 20 in the YALU
Numbers 20 in the YAPE
Numbers 20 in the YBVTP
Numbers 20 in the ZBP