Numbers 6 (UGV3)

1 Rab ne Mūsā se kahā, 2 “Isrāīliyoṅ ko hidāyat denā ki agar koī ādmī yā aurat mannat mān kar apne āp ko ek muqarrarā waqt ke lie Rab ke lie maḳhsūs kare 3 to wuh mai yā koī aur nashā-āwar chīz na pie. Na wuh angūr yā kisī aur chīz kā sirkā pie, na angūr kā ras. Wuh angūr yā kishmish na khāe. 4 Jab tak wuh maḳhsūs hai wuh angūr kī koī bhī paidāwār na khāe, yahāṅ tak ki angūr ke bīj yā chhilke bhī na khāe. 5 Jab tak wuh apnī mannat ke mutābiq maḳhsūs hai wuh apne bāl na kaṭwāe. Jitnī der ke lie us ne apne āp ko Rab ke lie maḳhsūs kiyā hai utnī der tak wuh muqaddas hai. Is lie wuh apne bāl baṛhne de. 6 Jab tak wuh maḳhsūs hai wuh kisī lāsh ke qarīb na jāe, 7 chāhe wuh us ke bāp, māṅ, bhāī yā bahan kī lāsh kyoṅ na ho. Kyoṅki is se wuh nāpāk ho jāegā jabki abhī tak us kī maḳhsūsiyat lambe bāloṅ kī sūrat meṅ nazar ātī hai. 8 Wuh apnī maḳhsūsiyat ke daurān Rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas hai. 9 Agar koī achānak mar jāe jab maḳhsūs shaḳhs us ke qarīb ho to us ke maḳhsūs bāl nāpāk ho jāeṅge. Aisī sūrat meṅ lāzim hai ki wuh apne āp ko pāk-sāf karke sātweṅ din apne sar ko munḍwāe. 10 Āṭhweṅ din wuh do qumriyāṅ yā do jawān kabūtar le kar mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze par āe aur imām ko de. 11 Imām in meṅ se ek ko gunāh kī qurbānī ke taur par chaṛhāe aur dūsre ko bhasm hone wālī qurbānī ke taur par. Yoṅ wuh us ke lie kaffārā degā jo lāsh ke qarīb hone se nāpāk ho gayā hai. Usī din wuh apne sar ko dubārā maḳhsūs kare 12 aur apne āp ko muqarrarā waqt ke lie dubārā Rab ke lie maḳhsūs kare. Wuh qusūr kī qurbānī ke taur par ek sāl kā bheṛ kā bachchā pesh kare. Jitne din us ne pahle maḳhsūsiyat kī hālat meṅ guzāre haiṅ wuh shumār nahīṅ kie jā sakte kyoṅki wuh maḳhsūsiyat kī hālat meṅ nāpāk ho gayā thā. Wuh dubārā pahle din se shurū kare. 13 Sharīat ke mutābiq jab maḳhsūs shaḳhs kā muqarrarā waqt guzar gayā ho to pahle use mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze par lāyā jāe. 14 Wahāṅ wuh Rab ko bhasm hone wālī qurbānī ke lie bheṛ kā ek beaib yaksālā nar bachchā, gunāh kī qurbānī ke lie ek beaib yaksālā bheṛ aur salāmatī kī qurbānī ke lie ek beaib menḍhā pesh kare. 15 Is ke alāwā wuh ek ṭokrī meṅ beḳhamīrī roṭiyāṅ jin meṅ behtarīn maidā aur tel milāyā gayā ho aur beḳhamīrī roṭiyāṅ jin par tel lagāyā gayā ho mutālliqā ġhallā kī nazar aur mai kī nazar ke sāth 16 Rab ko pesh kare. Pahle imām gunāh kī qurbānī aur bhasm hone wālī qurbānī Rab ke huzūr chaṛhāe. 17 Phir wuh menḍhe ko beḳhamīrī roṭiyoṅ ke sāth salāmatī kī qurbānī ke taur par pesh kare. Imām ġhallā kī nazar aur mai kī nazar bhī chaṛhāe. 18 Is daurān maḳhsūs shaḳhs mulāqāt ke ḳhaime par apne maḳhsūs kie gae sar ko munḍwā kar tamām bāl salāmatī kī qurbānī kī āg meṅ phaiṅke. 19 Phir imām menḍhe kā ek pakā huā shānā aur ṭokrī meṅ se donoṅ qismoṅ kī ek ek roṭī le kar maḳhsūs shaḳhs ke hāthoṅ par rakhe. 20 Is ke bād wuh yih chīzeṅ wāpas le kar unheṅ hilāne kī qurbānī ke taur par Rab ke sāmne hilāe. Yih ek muqaddas qurbānī hai jo imām kā hissā hai. Salāmatī kī qurbānī kā hilāyā huā Sīnā aur uṭhāī huī rān bhī imām kā hissā haiṅ. Qurbānī ke iḳhtitām par maḳhsūs kie hue shaḳhs ko mai pīne kī ijāzat hai. 21 Jo apne āp ko Rab ke lie maḳhsūs kartā hai wuh aisā hī kare. Lāzim hai ki wuh in hidāyāt ke mutābiq tamām qurbāniyāṅ pesh kare. Agar gunjāish ho to wuh aur bhī pesh kar saktā hai. Baharhāl lāzim hai ki wuh apnī mannat aur yih hidāyāt pūrī kare.” 22 Rab ne Mūsā se kahā, 23 “Hārūn aur us ke beṭoṅ ko batā denā ki wuh Isrāīliyoṅ ko yoṅ barkat deṅ, 24 ‘Rab tujhe barkat de aur terī hifāzat kare. 25 Rab apne chehre kā mehrbān nūr tujh par chamkāe aur tujh par rahm kare. 26 Rab kī nazar-e-karm tujh par ho, aur wuh tujhe salāmatī baḳhshe.’ 27 Yoṅ wuh merā nām le kar Isrāīliyoṅ ko barkat deṅ. Phir maiṅ unheṅ barkat dūṅgā.”

In Other Versions

Numbers 6 in the ANGEFD

Numbers 6 in the ANTPNG2D

Numbers 6 in the AS21

Numbers 6 in the BAGH

Numbers 6 in the BBPNG

Numbers 6 in the BBT1E

Numbers 6 in the BDS

Numbers 6 in the BEV

Numbers 6 in the BHAD

Numbers 6 in the BIB

Numbers 6 in the BLPT

Numbers 6 in the BNT

Numbers 6 in the BNTABOOT

Numbers 6 in the BNTLV

Numbers 6 in the BOATCB

Numbers 6 in the BOATCB2

Numbers 6 in the BOBCV

Numbers 6 in the BOCNT

Numbers 6 in the BOECS

Numbers 6 in the BOGWICC

Numbers 6 in the BOHCB

Numbers 6 in the BOHCV

Numbers 6 in the BOHLNT

Numbers 6 in the BOHNTLTAL

Numbers 6 in the BOICB

Numbers 6 in the BOILNTAP

Numbers 6 in the BOITCV

Numbers 6 in the BOKCV

Numbers 6 in the BOKCV2

Numbers 6 in the BOKHWOG

Numbers 6 in the BOKSSV

Numbers 6 in the BOLCB

Numbers 6 in the BOLCB2

Numbers 6 in the BOMCV

Numbers 6 in the BONAV

Numbers 6 in the BONCB

Numbers 6 in the BONLT

Numbers 6 in the BONUT2

Numbers 6 in the BOPLNT

Numbers 6 in the BOSCB

Numbers 6 in the BOSNC

Numbers 6 in the BOTLNT

Numbers 6 in the BOVCB

Numbers 6 in the BOYCB

Numbers 6 in the BPBB

Numbers 6 in the BPH

Numbers 6 in the BSB

Numbers 6 in the CCB

Numbers 6 in the CUV

Numbers 6 in the CUVS

Numbers 6 in the DBT

Numbers 6 in the DGDNT

Numbers 6 in the DHNT

Numbers 6 in the DNT

Numbers 6 in the ELBE

Numbers 6 in the EMTV

Numbers 6 in the ESV

Numbers 6 in the FBV

Numbers 6 in the FEB

Numbers 6 in the GGMNT

Numbers 6 in the GNT

Numbers 6 in the HARY

Numbers 6 in the HNT

Numbers 6 in the IRVA

Numbers 6 in the IRVB

Numbers 6 in the IRVG

Numbers 6 in the IRVH

Numbers 6 in the IRVK

Numbers 6 in the IRVM

Numbers 6 in the IRVM2

Numbers 6 in the IRVO

Numbers 6 in the IRVP

Numbers 6 in the IRVT

Numbers 6 in the IRVT2

Numbers 6 in the IRVU

Numbers 6 in the ISVN

Numbers 6 in the JSNT

Numbers 6 in the KAPI

Numbers 6 in the KBT1ETNIK

Numbers 6 in the KBV

Numbers 6 in the KJV

Numbers 6 in the KNFD

Numbers 6 in the LBA

Numbers 6 in the LBLA

Numbers 6 in the LNT

Numbers 6 in the LSV

Numbers 6 in the MAAL

Numbers 6 in the MBV

Numbers 6 in the MBV2

Numbers 6 in the MHNT

Numbers 6 in the MKNFD

Numbers 6 in the MNG

Numbers 6 in the MNT

Numbers 6 in the MNT2

Numbers 6 in the MRS1T

Numbers 6 in the NAA

Numbers 6 in the NASB

Numbers 6 in the NBLA

Numbers 6 in the NBS

Numbers 6 in the NBVTP

Numbers 6 in the NET2

Numbers 6 in the NIV11

Numbers 6 in the NNT

Numbers 6 in the NNT2

Numbers 6 in the NNT3

Numbers 6 in the PDDPT

Numbers 6 in the PFNT

Numbers 6 in the RMNT

Numbers 6 in the SBIAS

Numbers 6 in the SBIBS

Numbers 6 in the SBIBS2

Numbers 6 in the SBICS

Numbers 6 in the SBIDS

Numbers 6 in the SBIGS

Numbers 6 in the SBIHS

Numbers 6 in the SBIIS

Numbers 6 in the SBIIS2

Numbers 6 in the SBIIS3

Numbers 6 in the SBIKS

Numbers 6 in the SBIKS2

Numbers 6 in the SBIMS

Numbers 6 in the SBIOS

Numbers 6 in the SBIPS

Numbers 6 in the SBISS

Numbers 6 in the SBITS

Numbers 6 in the SBITS2

Numbers 6 in the SBITS3

Numbers 6 in the SBITS4

Numbers 6 in the SBIUS

Numbers 6 in the SBIVS

Numbers 6 in the SBT

Numbers 6 in the SBT1E

Numbers 6 in the SCHL

Numbers 6 in the SNT

Numbers 6 in the SUSU

Numbers 6 in the SUSU2

Numbers 6 in the SYNO

Numbers 6 in the TBIAOTANT

Numbers 6 in the TBT1E

Numbers 6 in the TBT1E2

Numbers 6 in the TFTIP

Numbers 6 in the TFTU

Numbers 6 in the TGNTATF3T

Numbers 6 in the THAI

Numbers 6 in the TNFD

Numbers 6 in the TNT

Numbers 6 in the TNTIK

Numbers 6 in the TNTIL

Numbers 6 in the TNTIN

Numbers 6 in the TNTIP

Numbers 6 in the TNTIZ

Numbers 6 in the TOMA

Numbers 6 in the TTENT

Numbers 6 in the UBG

Numbers 6 in the UGV

Numbers 6 in the UGV2

Numbers 6 in the VBL

Numbers 6 in the VDCC

Numbers 6 in the YALU

Numbers 6 in the YAPE

Numbers 6 in the YBVTP

Numbers 6 in the ZBP