Proverbs 10 (UGV3)
1 Zail meṅ Sulemān kī amsāl qalamband haiṅ.Dānishmand beṭā apne bāp ko ḳhushī dilātā jabki ahmaq beṭā apnī māṅ ko dukh pahuṅchātā hai. 2 Ḳhazānoṅ kā koī fāydā nahīṅ agar wuh bedīn tarīqoṅ se jamā ho gae hoṅ, lekin rāstbāzī maut se bachāe rakhtī hai. 3 Rab rāstbāz ko bhūke marne nahīṅ detā, lekin bedīnoṅ kā lālach rok detā hai. 4 Ḍhīle hāth ġhurbat aur mehnatī hāth daulat kī taraf le jāte haiṅ. 5 Jo garmiyoṅ meṅ fasal jamā kartā hai wuh dānishmand beṭā hai jabki jo fasal kī kaṭāī ke waqt soyā rahtā hai wuh wālidain ke lie sharm kā bāis hai. 6 Rāstbāz kā sar barkat ke tāj se ārāstā rahtā hai jabki bedīnoṅ ke muṅh par zulm kā pardā paṛā rahtā hai. 7 Log rāstbāz ko yād karke use mubārak kahte haiṅ, lekin bedīn kā nām saṛ kar miṭ jāegā. 8 Jo dil se dānishmand hai wuh ahkām qabūl kartā hai, lekin bakwāsī tabāh ho jāegā. 9 Jis kā chāl-chalan be'ilzām hai wuh sukūn se zindagī guzārtā hai, lekin jo ṭeṛhā rāstā iḳhtiyār kare use pakaṛā jāegā. 10 Āṅkh mārne wālā dukh pahuṅchātā hai, aur bakwāsī tabāh ho jāegā. 11 Rāstbāz kā muṅh zindagī kā sarchashmā hai, lekin bedīn ke muṅh par zulm kā pardā paṛā rahtā hai. 12 Nafrat jhagaṛe chheṛtī rahtī jabki muhabbat tamām ḳhatāoṅ par pardā ḍāl detī hai. 13 Samajhdār ke hoṅṭoṅ par hikmat pāī jātī hai, lekin nāsamajh sirf ḍanḍe kā paiġhām samajhtā hai. 14 Dānishmand apnā ilm mahfūz rakhte haiṅ, lekin ahmaq kā muṅh jald hī tabāhī kī taraf le jātā hai. 15 Amīr kī daulat qilāband shahr hai jis meṅ wuh mahfūz hai jabki ġharīb kī ġhurbat us kī tabāhī kā bāis hai. 16 Jo kuchh rāstbāz kamā letā hai wuh zindagī kā bāis hai, lekin bedīn apnī rozī gunāh karne ke lie istemāl kartā hai. 17 Jo tarbiyat qabūl kare wuh dūsroṅ ko zindagī kī rāh par lātā hai, jo nasīhat nazarandāz kare wuh dūsroṅ ko sahīh rāh se dūr le jātā hai. 18 Jo apnī nafrat chhupāe rakhe wuh jhūṭ boltā hai, jo dūsroṅ ke bāre meṅ ġhalat ḳhabreṅ phailāe wuh ahmaq hai. 19 Jahāṅ bahut bāteṅ kī jātī haiṅ wahāṅ gunāh bhī ā maujūd hotā hai, jo apnī zabān ko qābū meṅ rakhe wuh dānishmand hai. 20 Rāstbāz kī zabān umdā chāṅdī hai jabki bedīn ke dil kī koī qadar nahīṅ. 21 Rāstbāz kī zabān bahutoṅ kī parwarish kartī hai, lekin ahmaq apnī beaqlī ke bāis halāk ho jāte haiṅ. 22 Rab kī barkat daulat kā bāis hai, hamārī apnī mehnat-mashaqqat is meṅ izāfā nahīṅ kartī. 23 Ahmaq ġhalat kām se apnā dil bahlātā, lekin samajhdār hikmat se lutfandoz hotā hai. 24 Jis chīz se bedīn dahshat khātā hai wuhī us par āegī, lekin rāstbāz kī ārzū pūrī ho jāegī. 25 Jab tūfān āte haiṅ to bedīn kā nām-o-nishān miṭ jātā jabki rāstbāz hameshā tak qāym rahtā hai. 26 Jis tarah dāṅt sirke se aur āṅkheṅ dhueṅ se tang ā jātī haiṅ usī tarah wuh tang ā jātā hai jo sust ādmī se kām karwātā hai. 27 Jo Rab kā ḳhauf māne us kī zindagī ke dinoṅ meṅ izāfā hotā hai jabki bedīn kī zindagī waqt se pahle hī ḳhatm ho jātī hai. 28 Rāstbāz āḳhirkār ḳhushī manāeṅge, kyoṅki un kī ummīd bar āegī. Lekin bedīnoṅ kī ummīd jātī rahegī. 29 Rab kī rāh be'ilzām shaḳhs ke lie panāhgāh, lekin badkār ke lie tabāhī kā bāis hai. 30 Rāstbāz kabhī ḍāṅwāṅḍol nahīṅ hogā, lekin bedīn mulk meṅ ābād nahīṅ raheṅge. 31 Rāstbāz kā muṅh hikmat kā phal lātā rahtā hai, lekin kajgo zabān ko kāṭ ḍālā jāegā. 32 Rāstbāz ke hoṅṭ jānte haiṅ ki Allāh ko kyā pasand hai, lekin bedīn kā muṅh ṭeṛhī bāteṅ hī jāntā hai.
In Other Versions
Proverbs 10 in the ANGEFD
Proverbs 10 in the ANTPNG2D
Proverbs 10 in the AS21
Proverbs 10 in the BAGH
Proverbs 10 in the BBPNG
Proverbs 10 in the BBT1E
Proverbs 10 in the BDS
Proverbs 10 in the BEV
Proverbs 10 in the BHAD
Proverbs 10 in the BIB
Proverbs 10 in the BLPT
Proverbs 10 in the BNT
Proverbs 10 in the BNTABOOT
Proverbs 10 in the BNTLV
Proverbs 10 in the BOATCB
Proverbs 10 in the BOATCB2
Proverbs 10 in the BOBCV
Proverbs 10 in the BOCNT
Proverbs 10 in the BOECS
Proverbs 10 in the BOGWICC
Proverbs 10 in the BOHCB
Proverbs 10 in the BOHCV
Proverbs 10 in the BOHLNT
Proverbs 10 in the BOHNTLTAL
Proverbs 10 in the BOICB
Proverbs 10 in the BOILNTAP
Proverbs 10 in the BOITCV
Proverbs 10 in the BOKCV
Proverbs 10 in the BOKCV2
Proverbs 10 in the BOKHWOG
Proverbs 10 in the BOKSSV
Proverbs 10 in the BOLCB
Proverbs 10 in the BOLCB2
Proverbs 10 in the BOMCV
Proverbs 10 in the BONAV
Proverbs 10 in the BONCB
Proverbs 10 in the BONLT
Proverbs 10 in the BONUT2
Proverbs 10 in the BOPLNT
Proverbs 10 in the BOSCB
Proverbs 10 in the BOSNC
Proverbs 10 in the BOTLNT
Proverbs 10 in the BOVCB
Proverbs 10 in the BOYCB
Proverbs 10 in the BPBB
Proverbs 10 in the BPH
Proverbs 10 in the BSB
Proverbs 10 in the CCB
Proverbs 10 in the CUV
Proverbs 10 in the CUVS
Proverbs 10 in the DBT
Proverbs 10 in the DGDNT
Proverbs 10 in the DHNT
Proverbs 10 in the DNT
Proverbs 10 in the ELBE
Proverbs 10 in the EMTV
Proverbs 10 in the ESV
Proverbs 10 in the FBV
Proverbs 10 in the FEB
Proverbs 10 in the GGMNT
Proverbs 10 in the GNT
Proverbs 10 in the HARY
Proverbs 10 in the HNT
Proverbs 10 in the IRVA
Proverbs 10 in the IRVB
Proverbs 10 in the IRVG
Proverbs 10 in the IRVH
Proverbs 10 in the IRVK
Proverbs 10 in the IRVM
Proverbs 10 in the IRVM2
Proverbs 10 in the IRVO
Proverbs 10 in the IRVP
Proverbs 10 in the IRVT
Proverbs 10 in the IRVT2
Proverbs 10 in the IRVU
Proverbs 10 in the ISVN
Proverbs 10 in the JSNT
Proverbs 10 in the KAPI
Proverbs 10 in the KBT1ETNIK
Proverbs 10 in the KBV
Proverbs 10 in the KJV
Proverbs 10 in the KNFD
Proverbs 10 in the LBA
Proverbs 10 in the LBLA
Proverbs 10 in the LNT
Proverbs 10 in the LSV
Proverbs 10 in the MAAL
Proverbs 10 in the MBV
Proverbs 10 in the MBV2
Proverbs 10 in the MHNT
Proverbs 10 in the MKNFD
Proverbs 10 in the MNG
Proverbs 10 in the MNT
Proverbs 10 in the MNT2
Proverbs 10 in the MRS1T
Proverbs 10 in the NAA
Proverbs 10 in the NASB
Proverbs 10 in the NBLA
Proverbs 10 in the NBS
Proverbs 10 in the NBVTP
Proverbs 10 in the NET2
Proverbs 10 in the NIV11
Proverbs 10 in the NNT
Proverbs 10 in the NNT2
Proverbs 10 in the NNT3
Proverbs 10 in the PDDPT
Proverbs 10 in the PFNT
Proverbs 10 in the RMNT
Proverbs 10 in the SBIAS
Proverbs 10 in the SBIBS
Proverbs 10 in the SBIBS2
Proverbs 10 in the SBICS
Proverbs 10 in the SBIDS
Proverbs 10 in the SBIGS
Proverbs 10 in the SBIHS
Proverbs 10 in the SBIIS
Proverbs 10 in the SBIIS2
Proverbs 10 in the SBIIS3
Proverbs 10 in the SBIKS
Proverbs 10 in the SBIKS2
Proverbs 10 in the SBIMS
Proverbs 10 in the SBIOS
Proverbs 10 in the SBIPS
Proverbs 10 in the SBISS
Proverbs 10 in the SBITS
Proverbs 10 in the SBITS2
Proverbs 10 in the SBITS3
Proverbs 10 in the SBITS4
Proverbs 10 in the SBIUS
Proverbs 10 in the SBIVS
Proverbs 10 in the SBT
Proverbs 10 in the SBT1E
Proverbs 10 in the SCHL
Proverbs 10 in the SNT
Proverbs 10 in the SUSU
Proverbs 10 in the SUSU2
Proverbs 10 in the SYNO
Proverbs 10 in the TBIAOTANT
Proverbs 10 in the TBT1E
Proverbs 10 in the TBT1E2
Proverbs 10 in the TFTIP
Proverbs 10 in the TFTU
Proverbs 10 in the TGNTATF3T
Proverbs 10 in the THAI
Proverbs 10 in the TNFD
Proverbs 10 in the TNT
Proverbs 10 in the TNTIK
Proverbs 10 in the TNTIL
Proverbs 10 in the TNTIN
Proverbs 10 in the TNTIP
Proverbs 10 in the TNTIZ
Proverbs 10 in the TOMA
Proverbs 10 in the TTENT
Proverbs 10 in the UBG
Proverbs 10 in the UGV
Proverbs 10 in the UGV2
Proverbs 10 in the VBL
Proverbs 10 in the VDCC
Proverbs 10 in the YALU
Proverbs 10 in the YAPE
Proverbs 10 in the YBVTP
Proverbs 10 in the ZBP