Proverbs 19 (UGV3)
1 Jo ġharīb be'ilzām zindagī guzāre wuh ṭeṛhī bāteṅ karne wāle ahmaq se kahīṅ behtar hai. 2 Agar ilm sāth na ho to sargarmī kā koī fāydā nahīṅ. Jaldbāz ġhalat rāh par ātā rahtā hai. 3 Go insān kī apnī hamāqat use bhaṭkā detī hai to bhī us kā dil Rab se nārāz hotā hai. 4 Daulatmand ke dostoṅ meṅ izāfā hotā hai, lekin ġharīb kā ek dost bhī us se alag ho jātā hai. 5 Jhūṭā gawāh sazā se nahīṅ bachegā, jo jhūṭī gawāhī de us kī jān nahīṅ chhūṭegī. 6 Muta'addid log baṛe ādmī kī ḳhushāmad karte haiṅ, aur har ek us ādmī kā dost hai jo tohfe detā hai. 7 Ġharīb ke tamām bhāī us se nafrat karte haiṅ, to phir us ke dost us se kyoṅ dūr na raheṅ. Wuh bāteṅ karte karte un kā pīchhā kartā hai, lekin wuh ġhāyb ho jāte haiṅ. 8 Jo hikmat apnā le wuh apnī jān se muhabbat rakhtā hai, jo samajh kī parwarish kare use kāmyābī hogī. 9 Jhūṭā gawāh sazā se nahīṅ bachegā, jhūṭī gawāhī dene wālā tabāh ho jāegā. 10 Ahmaq ke lie aish-o-ishrat se zindagī guzārnā mauzūṅ nahīṅ, lekin ġhulām kī hukmrānoṅ par hukūmat kahīṅ zyādā ġhairmunāsib hai. 11 Insān kī hikmat use tahammul sikhātī hai, aur dūsroṅ ke jarāym se darguzar karnā us kā faḳhr hai. 12 Bādshāh kā taish jawān sherbabar kī dahāṛoṅ kī mānind hai jabki us kī manzūrī ghās par shabnam kī tarah tar-o-tāzā kartī hai. 13 Ahmaq beṭā bāp kī tabāhī aur jhagaṛālū bīwī musalsal ṭapakne wālī chhat hai. 14 Maurūsī ghar aur milkiyat bāpdādā kī taraf se miltī hai, lekin samajhdār bīwī Rab kī taraf se hai. 15 Sust hone se insān gahrī nīnd so jātā hai, lekin ḍhīlā shaḳhs bhūke maregā. 16 Jo wafādārī se hukm par amal kare wuh apnī jān mahfūz rakhtā hai, lekin jo apnī rāhoṅ kī parwā na kare wuh mar jāegā. 17 Jo ġharīb par mehrbānī kare wuh Rab ko udhār detā hai, wuhī use ajr degā. 18 Jab tak ummīd kī kiran bāqī ho apne beṭe kī tādīb kar, lekin itne josh meṅ na ā ki wuh mar jāe. 19 Jo had se zyādā taish meṅ āe use jurmānā denā paṛegā. Use bachāne kī koshish mat kar warnā us kā taish aur baṛhegā. 20 Achchhā mashwarā apnā aur tarbiyat qabūl kar tāki āindā dānishmand ho. 21 Insān dil meṅ muta'addid mansūbe bāndhtā rahtā hai, lekin Rab kā irādā hameshā pūrā ho jātā hai. 22 Insān kā lālach us kī ruswāī kā bāis hai, aur ġharīb daroġhgo se behtar hai. 23 Rab kā ḳhauf zindagī kā mambā hai. Ḳhudātars ādmī ser ho kar sukūn se so jātā aur musībat se mahfūz rahtā hai. 24 Kāhil apnā hāth khāne ke bartan meṅ ḍāl kar use muṅh tak nahīṅ lā saktā. 25 Tānāzan ko mār to sādālauh sabaq sīkhegā, samajhdār ko ḍāṅṭ to us ke ilm meṅ izāfā hogā. 26 Jo apne bāp par zulm kare aur apnī māṅ ko nikāl de wuh wālidain ke lie sharm aur ruswāī kā bāis hai. 27 Mere beṭe, tarbiyat par dhyān dene se bāz na ā, warnā tū ilm-o-irfān kī rāh se bhaṭak jāegā. 28 Sharīr gawāh insāf kā mazāq uṛātā hai, aur bedīn kā muṅh āfat kī ḳhabreṅ phailātā hai. 29 Tānāzan ke lie sazā aur ahmaq kī pīṭh ke lie koṛā taiyār hai.
In Other Versions
Proverbs 19 in the ANGEFD
Proverbs 19 in the ANTPNG2D
Proverbs 19 in the AS21
Proverbs 19 in the BAGH
Proverbs 19 in the BBPNG
Proverbs 19 in the BBT1E
Proverbs 19 in the BDS
Proverbs 19 in the BEV
Proverbs 19 in the BHAD
Proverbs 19 in the BIB
Proverbs 19 in the BLPT
Proverbs 19 in the BNT
Proverbs 19 in the BNTABOOT
Proverbs 19 in the BNTLV
Proverbs 19 in the BOATCB
Proverbs 19 in the BOATCB2
Proverbs 19 in the BOBCV
Proverbs 19 in the BOCNT
Proverbs 19 in the BOECS
Proverbs 19 in the BOGWICC
Proverbs 19 in the BOHCB
Proverbs 19 in the BOHCV
Proverbs 19 in the BOHLNT
Proverbs 19 in the BOHNTLTAL
Proverbs 19 in the BOICB
Proverbs 19 in the BOILNTAP
Proverbs 19 in the BOITCV
Proverbs 19 in the BOKCV
Proverbs 19 in the BOKCV2
Proverbs 19 in the BOKHWOG
Proverbs 19 in the BOKSSV
Proverbs 19 in the BOLCB
Proverbs 19 in the BOLCB2
Proverbs 19 in the BOMCV
Proverbs 19 in the BONAV
Proverbs 19 in the BONCB
Proverbs 19 in the BONLT
Proverbs 19 in the BONUT2
Proverbs 19 in the BOPLNT
Proverbs 19 in the BOSCB
Proverbs 19 in the BOSNC
Proverbs 19 in the BOTLNT
Proverbs 19 in the BOVCB
Proverbs 19 in the BOYCB
Proverbs 19 in the BPBB
Proverbs 19 in the BPH
Proverbs 19 in the BSB
Proverbs 19 in the CCB
Proverbs 19 in the CUV
Proverbs 19 in the CUVS
Proverbs 19 in the DBT
Proverbs 19 in the DGDNT
Proverbs 19 in the DHNT
Proverbs 19 in the DNT
Proverbs 19 in the ELBE
Proverbs 19 in the EMTV
Proverbs 19 in the ESV
Proverbs 19 in the FBV
Proverbs 19 in the FEB
Proverbs 19 in the GGMNT
Proverbs 19 in the GNT
Proverbs 19 in the HARY
Proverbs 19 in the HNT
Proverbs 19 in the IRVA
Proverbs 19 in the IRVB
Proverbs 19 in the IRVG
Proverbs 19 in the IRVH
Proverbs 19 in the IRVK
Proverbs 19 in the IRVM
Proverbs 19 in the IRVM2
Proverbs 19 in the IRVO
Proverbs 19 in the IRVP
Proverbs 19 in the IRVT
Proverbs 19 in the IRVT2
Proverbs 19 in the IRVU
Proverbs 19 in the ISVN
Proverbs 19 in the JSNT
Proverbs 19 in the KAPI
Proverbs 19 in the KBT1ETNIK
Proverbs 19 in the KBV
Proverbs 19 in the KJV
Proverbs 19 in the KNFD
Proverbs 19 in the LBA
Proverbs 19 in the LBLA
Proverbs 19 in the LNT
Proverbs 19 in the LSV
Proverbs 19 in the MAAL
Proverbs 19 in the MBV
Proverbs 19 in the MBV2
Proverbs 19 in the MHNT
Proverbs 19 in the MKNFD
Proverbs 19 in the MNG
Proverbs 19 in the MNT
Proverbs 19 in the MNT2
Proverbs 19 in the MRS1T
Proverbs 19 in the NAA
Proverbs 19 in the NASB
Proverbs 19 in the NBLA
Proverbs 19 in the NBS
Proverbs 19 in the NBVTP
Proverbs 19 in the NET2
Proverbs 19 in the NIV11
Proverbs 19 in the NNT
Proverbs 19 in the NNT2
Proverbs 19 in the NNT3
Proverbs 19 in the PDDPT
Proverbs 19 in the PFNT
Proverbs 19 in the RMNT
Proverbs 19 in the SBIAS
Proverbs 19 in the SBIBS
Proverbs 19 in the SBIBS2
Proverbs 19 in the SBICS
Proverbs 19 in the SBIDS
Proverbs 19 in the SBIGS
Proverbs 19 in the SBIHS
Proverbs 19 in the SBIIS
Proverbs 19 in the SBIIS2
Proverbs 19 in the SBIIS3
Proverbs 19 in the SBIKS
Proverbs 19 in the SBIKS2
Proverbs 19 in the SBIMS
Proverbs 19 in the SBIOS
Proverbs 19 in the SBIPS
Proverbs 19 in the SBISS
Proverbs 19 in the SBITS
Proverbs 19 in the SBITS2
Proverbs 19 in the SBITS3
Proverbs 19 in the SBITS4
Proverbs 19 in the SBIUS
Proverbs 19 in the SBIVS
Proverbs 19 in the SBT
Proverbs 19 in the SBT1E
Proverbs 19 in the SCHL
Proverbs 19 in the SNT
Proverbs 19 in the SUSU
Proverbs 19 in the SUSU2
Proverbs 19 in the SYNO
Proverbs 19 in the TBIAOTANT
Proverbs 19 in the TBT1E
Proverbs 19 in the TBT1E2
Proverbs 19 in the TFTIP
Proverbs 19 in the TFTU
Proverbs 19 in the TGNTATF3T
Proverbs 19 in the THAI
Proverbs 19 in the TNFD
Proverbs 19 in the TNT
Proverbs 19 in the TNTIK
Proverbs 19 in the TNTIL
Proverbs 19 in the TNTIN
Proverbs 19 in the TNTIP
Proverbs 19 in the TNTIZ
Proverbs 19 in the TOMA
Proverbs 19 in the TTENT
Proverbs 19 in the UBG
Proverbs 19 in the UGV
Proverbs 19 in the UGV2
Proverbs 19 in the VBL
Proverbs 19 in the VDCC
Proverbs 19 in the YALU
Proverbs 19 in the YAPE
Proverbs 19 in the YBVTP
Proverbs 19 in the ZBP