Proverbs 3 (UGV3)

1 Mere beṭe, merī hidāyat mat bhūlnā. Mere ahkām tere dil meṅ mahfūz raheṅ. 2 Kyoṅki inhīṅ se terī zindagī ke dinoṅ aur sāloṅ meṅ izāfā hogā aur terī ḳhushhālī baṛhegī. 3 Shafqat aur wafā terā dāman na chhoṛeṅ. Unheṅ apne gale se bāndhnā, apne dil kī taḳhtī par kandā karnā. 4 Tab tujhe Allāh aur insān ke sāmne mehrbānī aur qabūliyat hāsil hogī. 5 Pūre dil se Rab par bharosā rakh, aur apnī aql par takiyā na kar. 6 Jahāṅ bhī tū chale sirf usī ko jān le, phir wuh ḳhud terī rāhoṅ ko hamwār karegā. 7 Apne āp ko dānishmand mat samajhnā balki Rab kā ḳhauf mān kar burāī se dūr rah. 8 Is se terā badan sehhat pāegā aur terī haḍḍiyāṅ tar-o-tāzā ho jāeṅgī. 9 Apnī milkiyat aur apnī tamām paidāwār ke pahle phal se Rab kā ehtirām kar, 10 phir tere godām anāj se bhar jāeṅge aur tere bartan mai se chhalak uṭheṅge. 11 Mere beṭe, Rab kī tarbiyat ko radd na kar, jab wuh tujhe ḍānṭe to ranjīdā na ho. 12 Kyoṅki jo Rab ko pyārā hai us kī wuh tādīb kartā hai, jis tarah bāp us beṭe ko tambīh kartā hai jo use pasand hai. 13 Mubārak hai wuh jo hikmat pātā hai, jise samajh hāsil hotī hai. 14 Kyoṅki hikmat chāṅdī se kahīṅ zyādā sūdmand hai, aur us se sone se kahīṅ zyādā qīmtī chīzeṅ hāsil hotī haiṅ. 15 Hikmat motiyoṅ se zyādā nafīs hai, tere tamām ḳhazāne us kā muqābalā nahīṅ kar sakte. 16 Us ke dahne hāth meṅ umr kī darāzī aur bāeṅ hāth meṅ daulat aur izzat hai. 17 Us kī rāheṅ ḳhushgawār, us ke tamām rāste puramn haiṅ. 18 Jo us kā dāman pakaṛ le us ke lie wuh zindagī kā daraḳht hai. Mubārak hai wuh jo us se lipṭā rahe. 19 Rab ne hikmat ke wasīle se hī zamīn kī buniyād rakhī, samajh ke zariye hī āsmān ko mazbūtī se lagāyā. 20 Us ke irfān se hī gahrāiyoṅ kā pānī phūṭ niklā aur āsmān se shabnam ṭapak kar zamīn par paṛtī hai. 21 Mere beṭe, dānāī aur tamīz apne pās mahfūz rakh aur unheṅ apnī nazar se dūr na hone de. 22 Un se terī jān tar-o-tāzā aur terā galā ārāstā rahegā. 23 Tab tū chalte waqt mahfūz rahegā, aur terā pāṅw ṭhokar nahīṅ khāegā. 24 Tū pāṅw phailā kar so sakegā, koī sadmā tujhe nahīṅ pahuṅchegā balki tū leṭ kar gahrī nīnd soegā. 25 Nāgahāṅ āfat se mat ḍarnā, na us tabāhī se jo bedīn par ġhālib ātī hai, 26 kyoṅki Rab par terā etamād hai, wuhī tere pāṅwoṅ ko phaṅs jāne se mahfūz rakhegā. 27 Agar koī zarūratmand ho aur tū us kī madad kar sake to us ke sāth bhalāī karne se inkār na kar. 28 Agar tū āj kuchh de sake to apne paṛosī se mat kahnā, “Kal ānā to maiṅ āp ko kuchh de dūṅgā.” 29 Jo paṛosī befikr tere sāth rahtā hai us ke ḳhilāf bure mansūbe mat bāndhnā. 30 Jis ne tujhe nuqsān nahīṅ pahuṅchāyā adālat meṅ us par bebuniyād ilzām na lagānā. 31 Na zālim se hasad kar, na us kī koī rāh iḳhtiyār kar. 32 Kyoṅki burī rāh par chalne wāle se Rab ghin khātā hai jabki sīdhī rāh par chalne wāloṅ ko wuh apne rāzoṅ se āgāh kartā hai. 33 Bedīn ke ghar par Rab kī lānat ātī jabki rāstbāz ke ghar ko wuh barkat detā hai. 34 Mazāq uṛāne wāloṅ kā wuh mazāq uṛātā, lekin farotanoṅ par mehrbānī kartā hai. 35 Dānishmand mīrās meṅ izzat pāeṅge jabki ahmaq ke nasīb meṅ sharmindagī hogī.

In Other Versions

Proverbs 3 in the ANGEFD

Proverbs 3 in the ANTPNG2D

Proverbs 3 in the AS21

Proverbs 3 in the BAGH

Proverbs 3 in the BBPNG

Proverbs 3 in the BBT1E

Proverbs 3 in the BDS

Proverbs 3 in the BEV

Proverbs 3 in the BHAD

Proverbs 3 in the BIB

Proverbs 3 in the BLPT

Proverbs 3 in the BNT

Proverbs 3 in the BNTABOOT

Proverbs 3 in the BNTLV

Proverbs 3 in the BOATCB

Proverbs 3 in the BOATCB2

Proverbs 3 in the BOBCV

Proverbs 3 in the BOCNT

Proverbs 3 in the BOECS

Proverbs 3 in the BOGWICC

Proverbs 3 in the BOHCB

Proverbs 3 in the BOHCV

Proverbs 3 in the BOHLNT

Proverbs 3 in the BOHNTLTAL

Proverbs 3 in the BOICB

Proverbs 3 in the BOILNTAP

Proverbs 3 in the BOITCV

Proverbs 3 in the BOKCV

Proverbs 3 in the BOKCV2

Proverbs 3 in the BOKHWOG

Proverbs 3 in the BOKSSV

Proverbs 3 in the BOLCB

Proverbs 3 in the BOLCB2

Proverbs 3 in the BOMCV

Proverbs 3 in the BONAV

Proverbs 3 in the BONCB

Proverbs 3 in the BONLT

Proverbs 3 in the BONUT2

Proverbs 3 in the BOPLNT

Proverbs 3 in the BOSCB

Proverbs 3 in the BOSNC

Proverbs 3 in the BOTLNT

Proverbs 3 in the BOVCB

Proverbs 3 in the BOYCB

Proverbs 3 in the BPBB

Proverbs 3 in the BPH

Proverbs 3 in the BSB

Proverbs 3 in the CCB

Proverbs 3 in the CUV

Proverbs 3 in the CUVS

Proverbs 3 in the DBT

Proverbs 3 in the DGDNT

Proverbs 3 in the DHNT

Proverbs 3 in the DNT

Proverbs 3 in the ELBE

Proverbs 3 in the EMTV

Proverbs 3 in the ESV

Proverbs 3 in the FBV

Proverbs 3 in the FEB

Proverbs 3 in the GGMNT

Proverbs 3 in the GNT

Proverbs 3 in the HARY

Proverbs 3 in the HNT

Proverbs 3 in the IRVA

Proverbs 3 in the IRVB

Proverbs 3 in the IRVG

Proverbs 3 in the IRVH

Proverbs 3 in the IRVK

Proverbs 3 in the IRVM

Proverbs 3 in the IRVM2

Proverbs 3 in the IRVO

Proverbs 3 in the IRVP

Proverbs 3 in the IRVT

Proverbs 3 in the IRVT2

Proverbs 3 in the IRVU

Proverbs 3 in the ISVN

Proverbs 3 in the JSNT

Proverbs 3 in the KAPI

Proverbs 3 in the KBT1ETNIK

Proverbs 3 in the KBV

Proverbs 3 in the KJV

Proverbs 3 in the KNFD

Proverbs 3 in the LBA

Proverbs 3 in the LBLA

Proverbs 3 in the LNT

Proverbs 3 in the LSV

Proverbs 3 in the MAAL

Proverbs 3 in the MBV

Proverbs 3 in the MBV2

Proverbs 3 in the MHNT

Proverbs 3 in the MKNFD

Proverbs 3 in the MNG

Proverbs 3 in the MNT

Proverbs 3 in the MNT2

Proverbs 3 in the MRS1T

Proverbs 3 in the NAA

Proverbs 3 in the NASB

Proverbs 3 in the NBLA

Proverbs 3 in the NBS

Proverbs 3 in the NBVTP

Proverbs 3 in the NET2

Proverbs 3 in the NIV11

Proverbs 3 in the NNT

Proverbs 3 in the NNT2

Proverbs 3 in the NNT3

Proverbs 3 in the PDDPT

Proverbs 3 in the PFNT

Proverbs 3 in the RMNT

Proverbs 3 in the SBIAS

Proverbs 3 in the SBIBS

Proverbs 3 in the SBIBS2

Proverbs 3 in the SBICS

Proverbs 3 in the SBIDS

Proverbs 3 in the SBIGS

Proverbs 3 in the SBIHS

Proverbs 3 in the SBIIS

Proverbs 3 in the SBIIS2

Proverbs 3 in the SBIIS3

Proverbs 3 in the SBIKS

Proverbs 3 in the SBIKS2

Proverbs 3 in the SBIMS

Proverbs 3 in the SBIOS

Proverbs 3 in the SBIPS

Proverbs 3 in the SBISS

Proverbs 3 in the SBITS

Proverbs 3 in the SBITS2

Proverbs 3 in the SBITS3

Proverbs 3 in the SBITS4

Proverbs 3 in the SBIUS

Proverbs 3 in the SBIVS

Proverbs 3 in the SBT

Proverbs 3 in the SBT1E

Proverbs 3 in the SCHL

Proverbs 3 in the SNT

Proverbs 3 in the SUSU

Proverbs 3 in the SUSU2

Proverbs 3 in the SYNO

Proverbs 3 in the TBIAOTANT

Proverbs 3 in the TBT1E

Proverbs 3 in the TBT1E2

Proverbs 3 in the TFTIP

Proverbs 3 in the TFTU

Proverbs 3 in the TGNTATF3T

Proverbs 3 in the THAI

Proverbs 3 in the TNFD

Proverbs 3 in the TNT

Proverbs 3 in the TNTIK

Proverbs 3 in the TNTIL

Proverbs 3 in the TNTIN

Proverbs 3 in the TNTIP

Proverbs 3 in the TNTIZ

Proverbs 3 in the TOMA

Proverbs 3 in the TTENT

Proverbs 3 in the UBG

Proverbs 3 in the UGV

Proverbs 3 in the UGV2

Proverbs 3 in the VBL

Proverbs 3 in the VDCC

Proverbs 3 in the YALU

Proverbs 3 in the YAPE

Proverbs 3 in the YBVTP

Proverbs 3 in the ZBP