Psalms 126 (UGV3)
1 Ziyārat kā gīt.Jab Rab ne Siyyūn ko bahāl kiyā to aisā lag rahā thā ki ham ḳhāb dekh rahe haiṅ. 2 Tab hamārā muṅh haṅsī-ḳhushī se bhar gayā, aur hamārī zabān shādmānī ke nāre lagāne se ruk na sakī. Tab dīgar qaumoṅ meṅ kahā gayā, “Rab ne un ke lie zabardast kām kiyā hai.” 3 Rab ne wāqaī hamāre lie zabardast kām kiyā hai. Ham kitne ḳhush the, kitne ḳhush! 4 Ai Rab, hameṅ bahāl kar. Jis tarah mausam-e-barsāt meṅ Dasht-e-Najab ke ḳhushk nāle pānī se bhar jāte haiṅ usī tarah hameṅ bahāl kar. 5 Jo āṅsū bahā bahā kar bīj boeṅ wuh ḳhushī ke nāre lagā kar fasal kāṭeṅge. 6 Wuh rote hue bīj bone ke lie nikleṅge, lekin jab fasal pak jāe to ḳhushī ke nāre lagā kar pūle uṭhāe apne ghar lauṭeṅge.