Psalms 129 (UGV3)
1 Ziyārat kā gīt.Isrāīl kahe, “Merī jawānī se hī mere dushman bār bār mujh par hamlā-āwar hue haiṅ. 2 Merī jawānī se hī wuh bār bār mujh par hamlā-āwar hue haiṅ. To bhī wuh mujh par ġhālib na āe.” 3 Hal chalāne wāloṅ ne merī pīṭh par hal chalā kar us par apnī lambī lambī reghāriyāṅ banāī haiṅ. 4 Rab rāst hai. Us ne bedīnoṅ ke rasse kāṭ kar mujhe āzād kar diyā hai. 5 Allāh kare ki jitne bhī Siyyūn se nafrat rakheṅ wuh sharmindā ho kar pīchhe haṭ jāeṅ. 6 Wuh chhatoṅ par kī ghās kī mānind hoṅ jo sahīh taur par baṛhne se pahle hī murjhā jātī hai 7 aur jis se na fasal kāṭne wālā apnā hāth, na pūle bāndhne wālā apnā bāzū bhar sake. 8 Jo bhī un se guzare wuh na kahe, “Rab tumheṅ barkat de.”Ham Rab kā nām le kar tumheṅ barkat dete haiṅ!