Titus 1 (UGV3)
1 Yih ḳhat Paulus kī taraf se hai jo Allāh kā ḳhādim aur Īsā Masīh kā rasūl hai.Mujhe chun kar bhejā gayā tāki maiṅ īmān lāne aur ḳhudātars zindagī kī sachchāī jān lene meṅ Allāh ke chune hue logoṅ kī madad karūṅ. 2 Kyoṅki us se unheṅ abadī zindagī kī ummīd dilāī jātī hai, aisī zindagī kī jis kā wādā Allāh ne duniyā ke zamānoṅ se peshtar hī kiyā thā. Aur wuh jhūṭ nahīṅ boltā. 3 Apne muqarrarā waqt par Allāh ne apne kalām kā elān karke use zāhir kar diyā. Yihī elān mere sapurd kiyā gayā hai aur maiṅ ise hamāre Najātdahindā Allāh ke hukm ke mutābiq sunātā hūṅ. 4 Maiṅ Titus ko likh rahā hūṅ jo hamāre mushtarakā īmān ke mutābiq merā haqīqī beṭā hai.Ḳhudā Bāp aur hamārā Najātdahindā Masīh Īsā āp ko fazl aur salāmatī atā kareṅ. 5 Maiṅ ne āp ko Krete meṅ is lie chhoṛā thā ki āp wuh kamiyāṅ durust kareṅ jo ab tak rah gaī thīṅ. Yih bhī ek maqsad thā ki āp har shahr kī jamāt meṅ buzurg muqarrar kareṅ, jis tarah maiṅ ne āp ko kahā thā. 6 Buzurg be'ilzām ho. Us kī sirf ek bīwī ho. Us ke bachche īmāndār hoṅ aur log un par aiyāsh yā sarkash hone kā ilzām na lagā sakeṅ. 7 Nigarān ko to Allāh kā gharānā saṅbhālne kī zimmedārī dī gaī hai, is lie lāzim hai ki wuh be'ilzām ho. Wuh ḳhudsar, ġhusīlā, sharābī, laṛākā yā lālchī na ho. 8 Is ke bajāe wuh mehmān-nawāz ho aur sab achchhī chīzoṅ se pyār karne wālā ho. Wuh samajhdār, rāstbāz aur muqaddas ho. Wuh apne āp par qābū rakh sake. 9 Wuh us kalām ke sāth lipṭā rahe jo qābil-e-etamād aur hamārī tālīm ke mutābiq hai. Kyoṅki is tarah hī wuh sehhatbaḳhsh tālīm de kar dūsroṅ kī hauslā-afzāī kar sakegā aur muḳhālafat karne wāloṅ ko samjhā bhī sakegā. 10 Bāt yih hai ki bahut-se aise log haiṅ jo sarkash haiṅ, jo fuzūl bāteṅ karke dūsroṅ ko dhokā dete haiṅ. Yih bāt ḳhāskar un par sādiq ātī hai jo Yahūdiyoṅ meṅ se haiṅ. 11 Lāzim hai ki unheṅ chup karā diyā jāe, kyoṅki yih lālach meṅ ā kar kaī logoṅ ke pūre ghar apnī ġhalat tālīm se ḳharāb kar rahe haiṅ. 12 Un ke apne ek nabī ne kahā hai, “Krete ke bāshinde hameshā jhūṭ bolne wāle, wahshī jānwar aur sust peṭū hote haiṅ.” 13 Us kī yih gawāhī durust hai. Is wajah se lāzim hai ki āp unheṅ saḳhtī se samjhāeṅ tāki un kā īmān sehhatmand rahe 14 aur wuh Yahūdī farzī kahāniyoṅ yā un insānoṅ ke ahkām par dhyān na deṅ jo sachchāī se haṭ gae haiṅ. 15 Jo log pāk-sāf haiṅ un ke lie sab kuchh pāk hai. Lekin jo nāpāk aur īmān se ḳhālī haiṅ un ke lie kuchh bhī pāk nahīṅ hotā balki un kā zahan aur un kā zamīr donoṅ nāpāk ho gae haiṅ. 16 Yih Allāh ko jānane kā dāwā to karte haiṅ, lekin un kī harkateṅ is bāt kā inkār kartī haiṅ. Yih ghinaune, nāfarmān aur koī bhī achchhā kām karne ke qābil nahīṅ haiṅ.
In Other Versions
Titus 1 in the ANGEFD
Titus 1 in the ANTPNG2D
Titus 1 in the AS21
Titus 1 in the BAGH
Titus 1 in the BBPNG
Titus 1 in the BBT1E
Titus 1 in the BDS
Titus 1 in the BEV
Titus 1 in the BHAD
Titus 1 in the BIB
Titus 1 in the BLPT
Titus 1 in the BNT
Titus 1 in the BNTABOOT
Titus 1 in the BNTLV
Titus 1 in the BOATCB
Titus 1 in the BOATCB2
Titus 1 in the BOBCV
Titus 1 in the BOCNT
Titus 1 in the BOECS
Titus 1 in the BOGWICC
Titus 1 in the BOHCB
Titus 1 in the BOHCV
Titus 1 in the BOHLNT
Titus 1 in the BOHNTLTAL
Titus 1 in the BOICB
Titus 1 in the BOILNTAP
Titus 1 in the BOITCV
Titus 1 in the BOKCV
Titus 1 in the BOKCV2
Titus 1 in the BOKHWOG
Titus 1 in the BOKSSV
Titus 1 in the BOLCB
Titus 1 in the BOLCB2
Titus 1 in the BOMCV
Titus 1 in the BONAV
Titus 1 in the BONCB
Titus 1 in the BONLT
Titus 1 in the BONUT2
Titus 1 in the BOPLNT
Titus 1 in the BOSCB
Titus 1 in the BOSNC
Titus 1 in the BOTLNT
Titus 1 in the BOVCB
Titus 1 in the BOYCB
Titus 1 in the BPBB
Titus 1 in the BPH
Titus 1 in the BSB
Titus 1 in the CCB
Titus 1 in the CUV
Titus 1 in the CUVS
Titus 1 in the DBT
Titus 1 in the DGDNT
Titus 1 in the DHNT
Titus 1 in the DNT
Titus 1 in the ELBE
Titus 1 in the EMTV
Titus 1 in the ESV
Titus 1 in the FBV
Titus 1 in the FEB
Titus 1 in the GGMNT
Titus 1 in the GNT
Titus 1 in the HARY
Titus 1 in the HNT
Titus 1 in the IRVA
Titus 1 in the IRVB
Titus 1 in the IRVG
Titus 1 in the IRVH
Titus 1 in the IRVK
Titus 1 in the IRVM
Titus 1 in the IRVM2
Titus 1 in the IRVO
Titus 1 in the IRVP
Titus 1 in the IRVT
Titus 1 in the IRVT2
Titus 1 in the IRVU
Titus 1 in the ISVN
Titus 1 in the JSNT
Titus 1 in the KAPI
Titus 1 in the KBT1ETNIK
Titus 1 in the KBV
Titus 1 in the KJV
Titus 1 in the KNFD
Titus 1 in the LBA
Titus 1 in the LBLA
Titus 1 in the LNT
Titus 1 in the LSV
Titus 1 in the MAAL
Titus 1 in the MBV
Titus 1 in the MBV2
Titus 1 in the MHNT
Titus 1 in the MKNFD
Titus 1 in the MNG
Titus 1 in the MNT
Titus 1 in the MNT2
Titus 1 in the MRS1T
Titus 1 in the NAA
Titus 1 in the NASB
Titus 1 in the NBLA
Titus 1 in the NBS
Titus 1 in the NBVTP
Titus 1 in the NET2
Titus 1 in the NIV11
Titus 1 in the NNT
Titus 1 in the NNT2
Titus 1 in the NNT3
Titus 1 in the PDDPT
Titus 1 in the PFNT
Titus 1 in the RMNT
Titus 1 in the SBIAS
Titus 1 in the SBIBS
Titus 1 in the SBIBS2
Titus 1 in the SBICS
Titus 1 in the SBIDS
Titus 1 in the SBIGS
Titus 1 in the SBIHS
Titus 1 in the SBIIS
Titus 1 in the SBIIS2
Titus 1 in the SBIIS3
Titus 1 in the SBIKS
Titus 1 in the SBIKS2
Titus 1 in the SBIMS
Titus 1 in the SBIOS
Titus 1 in the SBIPS
Titus 1 in the SBISS
Titus 1 in the SBITS
Titus 1 in the SBITS2
Titus 1 in the SBITS3
Titus 1 in the SBITS4
Titus 1 in the SBIUS
Titus 1 in the SBIVS
Titus 1 in the SBT
Titus 1 in the SBT1E
Titus 1 in the SCHL
Titus 1 in the SNT
Titus 1 in the SUSU
Titus 1 in the SUSU2
Titus 1 in the SYNO
Titus 1 in the TBIAOTANT
Titus 1 in the TBT1E
Titus 1 in the TBT1E2
Titus 1 in the TFTIP
Titus 1 in the TFTU
Titus 1 in the TGNTATF3T
Titus 1 in the THAI
Titus 1 in the TNFD
Titus 1 in the TNT
Titus 1 in the TNTIK
Titus 1 in the TNTIL
Titus 1 in the TNTIN
Titus 1 in the TNTIP
Titus 1 in the TNTIZ
Titus 1 in the TOMA
Titus 1 in the TTENT
Titus 1 in the UBG
Titus 1 in the UGV
Titus 1 in the UGV2
Titus 1 in the VBL
Titus 1 in the VDCC
Titus 1 in the YALU
Titus 1 in the YAPE
Titus 1 in the YBVTP
Titus 1 in the ZBP