1 Peter 4 (UGV3)
1 Ab chūṅki Masīh ne jismānī taur par dukh uṭhāyā is lie āp bhī apne āp ko us kī-sī soch se lais kareṅ. Kyoṅki jis ne Masīh kī ḳhātir jismānī taur par dukh sah liyā hai us ne gunāh se nipaṭ liyā hai. 2 Natīje meṅ wuh zamīn par apnī bāqī zindagī insān kī burī ḳhāhishāt pūrī karne meṅ nahīṅ guzāregā balki Allāh kī marzī pūrī karne meṅ. 3 Māzī meṅ āp ne kāfī waqt wuh kuchh karne meṅ guzārā jo ġhairīmāndār pasand karte haiṅ yānī aiyāshī, shahwatparastī, nashābāzī, sharābnoshī, rangraliyoṅ, nāch-rang aur ghinaunī butparastī meṅ. 4 Ab āp ke ġhairīmāndār dost tājjub karte haiṅ ki āp un ke sāth mil kar aiyāshī ke is tez dhāre meṅ chhalāṅg nahīṅ lagāte. Is lie wuh āp par kufr bakte haiṅ. 5 Lekin unheṅ Allāh ko jawāb denā paṛegā jo zindoṅ aur murdoṅ kī adālat karne ke lie taiyār khaṛā hai. 6 Yihī wajah hai ki Allāh kī ḳhushḳhabrī unheṅ bhī sunāī gaī jo ab murdā haiṅ. Maqsad yih thā ki wuh Allāh ke sāmne Rūh meṅ zindagī guzār sakeṅ agarche insānī lihāz se un ke jism kī adālat kī gaī hai. 7 Tamām chīzoṅ kā ḳhātmā qarīb ā gayā hai. Chunāṅche duā karne ke lie chust aur hoshmand raheṅ. 8 Sab se zarūrī bāt yih hai ki āp ek dūsre se lagātār muhabbat rakheṅ, kyoṅki muhabbat gunāhoṅ kī baṛī tādād par pardā ḍāl detī hai. 9 Buṛbuṛāe baġhair ek dūsre kī mehmān-nawāzī kareṅ. 10 Allāh apnā fazl muḳhtalif nematoṅ se zāhir kartā hai. Fazl kā yih intazām wafādārī se chalāte hue ek dūsre kī ḳhidmat kareṅ, har ek us nemat se jo use milī hai. 11 Agar koī bole to Allāh ke-se alfāz ke sāth bole. Agar koī ḳhidmat kare to us tāqat ke zariye jo Allāh use muhaiyā kartā hai, kyoṅki is tarah hī Allāh ko Īsā Masīh ke wasīle se jalāl diyā jāegā. Azal se abad tak jalāl aur qudrat usī kī ho! Āmīn. 12 Azīzo, īzārasānī kī us āg par tājjub na kareṅ jo āp ko āzmāne ke lie āp par ān paṛī hai. Yih mat sochnā ki mere sāth kaisī ġhairmāmūlī bāt ho rahī hai. 13 Balki ḳhushī manāeṅ ki āp Masīh ke dukhoṅ meṅ sharīk ho rahe haiṅ. Kyoṅki phir āp us waqt bhī ḳhushī manāeṅge jab Masīh kā jalāl zāhir hogā. 14 Agar log is lie āp kī be'izzatī karte haiṅ ki āp Masīh ke pairokār haiṅ to āp mubārak haiṅ. Kyoṅki is kā matlab hai ki Allāh kā jalālī Rūh āp par ṭhahrā huā hai. 15 Agar āp meṅ se kisī ko dukh uṭhānā paṛe to yih is lie nahīṅ honā chāhie ki āp qātil, chor, mujrim yā fasādī haiṅ. 16 Lekin agar āp ko Masīh ke pairokār hone kī wajah se dukh uṭhānā paṛe to na sharmāeṅ balki Masīh ke nām meṅ Allāh kī hamd-o-sanā kareṅ. 17 Kyoṅki ab waqt ā gayā hai ki Allāh kī adālat shurū ho jāe, aur pahle us ke ghar wāloṅ kī adālat kī jāegī. Agar aisā hai to phir is kā anjām un ke lie kyā hogā jo Allāh kī ḳhushḳhabrī ke tābe nahīṅ haiṅ? 18 Aur agar rāstbāz mushkil se bacheṅge to phir bedīn aur gunāhgār kā kyā hogā? 19 Chunāṅche jo Allāh kī marzī se dukh uṭhā rahe haiṅ wuh nek kām karne se bāz na āeṅ balki apnī jānoṅ ko usī ke hawāle kareṅ jo un kā wafādār Ḳhāliq hai.
In Other Versions
1 Peter 4 in the ANGEFD
1 Peter 4 in the ANTPNG2D
1 Peter 4 in the AS21
1 Peter 4 in the BAGH
1 Peter 4 in the BBPNG
1 Peter 4 in the BBT1E
1 Peter 4 in the BDS
1 Peter 4 in the BEV
1 Peter 4 in the BHAD
1 Peter 4 in the BIB
1 Peter 4 in the BLPT
1 Peter 4 in the BNT
1 Peter 4 in the BNTABOOT
1 Peter 4 in the BNTLV
1 Peter 4 in the BOATCB
1 Peter 4 in the BOATCB2
1 Peter 4 in the BOBCV
1 Peter 4 in the BOCNT
1 Peter 4 in the BOECS
1 Peter 4 in the BOGWICC
1 Peter 4 in the BOHCB
1 Peter 4 in the BOHCV
1 Peter 4 in the BOHLNT
1 Peter 4 in the BOHNTLTAL
1 Peter 4 in the BOICB
1 Peter 4 in the BOILNTAP
1 Peter 4 in the BOITCV
1 Peter 4 in the BOKCV
1 Peter 4 in the BOKCV2
1 Peter 4 in the BOKHWOG
1 Peter 4 in the BOKSSV
1 Peter 4 in the BOLCB
1 Peter 4 in the BOLCB2
1 Peter 4 in the BOMCV
1 Peter 4 in the BONAV
1 Peter 4 in the BONCB
1 Peter 4 in the BONLT
1 Peter 4 in the BONUT2
1 Peter 4 in the BOPLNT
1 Peter 4 in the BOSCB
1 Peter 4 in the BOSNC
1 Peter 4 in the BOTLNT
1 Peter 4 in the BOVCB
1 Peter 4 in the BOYCB
1 Peter 4 in the BPBB
1 Peter 4 in the BPH
1 Peter 4 in the BSB
1 Peter 4 in the CCB
1 Peter 4 in the CUV
1 Peter 4 in the CUVS
1 Peter 4 in the DBT
1 Peter 4 in the DGDNT
1 Peter 4 in the DHNT
1 Peter 4 in the DNT
1 Peter 4 in the ELBE
1 Peter 4 in the EMTV
1 Peter 4 in the ESV
1 Peter 4 in the FBV
1 Peter 4 in the FEB
1 Peter 4 in the GGMNT
1 Peter 4 in the GNT
1 Peter 4 in the HARY
1 Peter 4 in the HNT
1 Peter 4 in the IRVA
1 Peter 4 in the IRVB
1 Peter 4 in the IRVG
1 Peter 4 in the IRVH
1 Peter 4 in the IRVK
1 Peter 4 in the IRVM
1 Peter 4 in the IRVM2
1 Peter 4 in the IRVO
1 Peter 4 in the IRVP
1 Peter 4 in the IRVT
1 Peter 4 in the IRVT2
1 Peter 4 in the IRVU
1 Peter 4 in the ISVN
1 Peter 4 in the JSNT
1 Peter 4 in the KAPI
1 Peter 4 in the KBT1ETNIK
1 Peter 4 in the KBV
1 Peter 4 in the KJV
1 Peter 4 in the KNFD
1 Peter 4 in the LBA
1 Peter 4 in the LBLA
1 Peter 4 in the LNT
1 Peter 4 in the LSV
1 Peter 4 in the MAAL
1 Peter 4 in the MBV
1 Peter 4 in the MBV2
1 Peter 4 in the MHNT
1 Peter 4 in the MKNFD
1 Peter 4 in the MNG
1 Peter 4 in the MNT
1 Peter 4 in the MNT2
1 Peter 4 in the MRS1T
1 Peter 4 in the NAA
1 Peter 4 in the NASB
1 Peter 4 in the NBLA
1 Peter 4 in the NBS
1 Peter 4 in the NBVTP
1 Peter 4 in the NET2
1 Peter 4 in the NIV11
1 Peter 4 in the NNT
1 Peter 4 in the NNT2
1 Peter 4 in the NNT3
1 Peter 4 in the PDDPT
1 Peter 4 in the PFNT
1 Peter 4 in the RMNT
1 Peter 4 in the SBIAS
1 Peter 4 in the SBIBS
1 Peter 4 in the SBIBS2
1 Peter 4 in the SBICS
1 Peter 4 in the SBIDS
1 Peter 4 in the SBIGS
1 Peter 4 in the SBIHS
1 Peter 4 in the SBIIS
1 Peter 4 in the SBIIS2
1 Peter 4 in the SBIIS3
1 Peter 4 in the SBIKS
1 Peter 4 in the SBIKS2
1 Peter 4 in the SBIMS
1 Peter 4 in the SBIOS
1 Peter 4 in the SBIPS
1 Peter 4 in the SBISS
1 Peter 4 in the SBITS
1 Peter 4 in the SBITS2
1 Peter 4 in the SBITS3
1 Peter 4 in the SBITS4
1 Peter 4 in the SBIUS
1 Peter 4 in the SBIVS
1 Peter 4 in the SBT
1 Peter 4 in the SBT1E
1 Peter 4 in the SCHL
1 Peter 4 in the SNT
1 Peter 4 in the SUSU
1 Peter 4 in the SUSU2
1 Peter 4 in the SYNO
1 Peter 4 in the TBIAOTANT
1 Peter 4 in the TBT1E
1 Peter 4 in the TBT1E2
1 Peter 4 in the TFTIP
1 Peter 4 in the TFTU
1 Peter 4 in the TGNTATF3T
1 Peter 4 in the THAI
1 Peter 4 in the TNFD
1 Peter 4 in the TNT
1 Peter 4 in the TNTIK
1 Peter 4 in the TNTIL
1 Peter 4 in the TNTIN
1 Peter 4 in the TNTIP
1 Peter 4 in the TNTIZ
1 Peter 4 in the TOMA
1 Peter 4 in the TTENT
1 Peter 4 in the UBG
1 Peter 4 in the UGV
1 Peter 4 in the UGV2
1 Peter 4 in the VBL
1 Peter 4 in the VDCC
1 Peter 4 in the YALU
1 Peter 4 in the YAPE
1 Peter 4 in the YBVTP
1 Peter 4 in the ZBP