Acts 15 (UGV3)

1 Us waqt kuchh ādmī Yahūdiyā se ā kar Shām ke Antākiyā meṅ bhāiyoṅ ko yih tālīm dene lage, “Lāzim hai ki āp kā Mūsā kī sharīat ke mutābiq ḳhatnā kiyā jāe, warnā āp najāt nahīṅ pā sakeṅge.” 2 Is se un ke aur Barnabās aur Paulus ke darmiyān nā-ittafāqī paidā ho gaī aur donoṅ un ke sāth ḳhūb bahs-mubāhasā karne lage. Āḳhirkār jamāt ne Paulus aur Barnabās ko muqarrar kiyā ki wuh chand ek aur maqāmī īmāndāroṅ ke sāth Yarūshalam jāeṅ aur wahāṅ ke rasūloṅ aur buzurgoṅ ko yih muāmalā pesh kareṅ. 3 Chunāṅche jamāt ne unheṅ rawānā kiyā aur wuh Fenīke aur Sāmariya meṅ se guzare. Rāste meṅ unhoṅ ne maqāmī īmāndāroṅ ko tafsīl se batāyā ki Ġhairyahūdī kis tarah Ḳhudāwand kī taraf rujū lā rahe haiṅ. Yih sun kar tamām bhāī nihāyat ḳhush hue. 4 Jab wuh Yarūshalam pahuṅch gae to jamāt ne apne rasūloṅ aur buzurgoṅ samet un kā istiqbāl kiyā. Phir Paulus aur Barnabās ne sab kuchh bayān kiyā jo un kī mārifat huā thā. 5 Yih sun kar kuchh īmāndār khaṛe hue jo Farīsī firqe meṅ se the. Unhoṅ ne kahā, “Lāzim hai ki Ġhairyahūdiyoṅ kā ḳhatnā kiyā jāe aur unheṅ hukm diyā jāe ki wuh Mūsā kī sharīat ke mutābiq zindagī guzāreṅ.” 6 Rasūl aur buzurg is muāmale par ġhaur karne ke lie jamā hue. 7 Bahut bahs-mubāhasā ke bād Patras khaṛā huā aur kahā, “Bhāiyo, āp jānte haiṅ ki Allāh ne bahut der huī āp meṅ se mujhe chun liyā ki Ġhairyahūdiyoṅ ko Allāh kī ḳhushḳhabrī sunāūṅ tāki wuh īmān lāeṅ. 8 Aur Allāh ne jo diloṅ ko jāntā hai is bāt kī tasdīq kī hai, kyoṅki us ne unheṅ wuhī Rūhul-quds baḳhshā hai jo us ne hameṅ bhī diyā thā. 9 Us ne ham meṅ aur un meṅ koī bhī farq na rakhā balki īmān se un ke diloṅ ko bhī pāk kar diyā. 10 Chunāṅche āp Allāh ko is meṅ kyoṅ āzmā rahe haiṅ ki āp Ġhairyahūdī shāgirdoṅ kī gardan par ek aisā juā rakhnā chāhte haiṅ jo na ham aur na hamāre bāpdādā uṭhā sakte the? 11 Dekheṅ, ham to īmān rakhte haiṅ ki ham sab ek hī tarīqe yānī Ḳhudāwand Īsā ke fazl hī se najāt pāte haiṅ.” 12 Tamām log chup rahe to Paulus aur Barnabās unheṅ un ilāhī nishānoṅ aur mojizoṅ ke bāre meṅ batāne lage jo Allāh ne un kī mārifat Ġhairyahūdiyoṅ ke darmiyān kie the. 13 Jab un kī bāt ḳhatm huī to Yāqūb ne kahā, “Bhāiyo, merī bāt suneṅ! 14 Shamāūn ne bayān kiyā hai ki Allāh ne kis tarah pahlā qadam uṭhā kar Ġhairyahūdiyoṅ par apnī fikrmandī kā izhār kiyā aur un meṅ se apne lie ek qaum chun lī. 15 Aur yih bāt nabiyoṅ kī peshgoiyoṅ ke bhī mutābiq hai. Chunāṅche likhā hai, 16 ‘Is ke bād maiṅ wāpas ā karDāūd ke tabāhshudā ghar ko nae sire se tāmīr karūṅga,maiṅ us ke khanḍarāt dubārā tāmīr karke bahāl karūṅga 17 tāki logoṅ kā bachā-khuchā hissā aur wuh tamām qaumeṅmujhe ḍhūnḍeṅ jin par mere nām kā ṭhappā lagā hai.Yih Rab kā farmān hai, aur wuh yih karegā bhī’ 18 balki yih use azal se mālūm hai. 19 Yihī pesh-e-nazar rakh kar merī rāy yih hai ki ham un Ġhairyahūdiyoṅ ko jo Allāh kī taraf rujū kar rahe haiṅ ġhairzarūrī taklīf na deṅ. 20 Is ke bajāe behtar yih hai ki ham unheṅ likh kar hidāyat deṅ ki wuh in chīzoṅ se parhez kareṅ: aise khānoṅ se jo butoṅ ko pesh kie jāne se nāpāk haiṅ, zinākārī se, aise jānwaroṅ kā gosht khāne se jinheṅ galā ghūṅṭ kar mār diyā gayā ho aur ḳhūn khāne se. 21 Kyoṅki Mūswī sharīat kī munādī karne wāle kaī nasloṅ se har shahr meṅ rah rahe haiṅ. Jis shahr meṅ bhī jāeṅ har Sabat ke din sharīat kī tilāwat kī jātī hai.” 22 Phir rasūloṅ aur buzurgoṅ ne pūrī jamāt samet faislā kiyā ki ham apne meṅ se kuchh ādmī chun kar Paulus aur Barnabās ke hamrāh Shām ke shahr Antākiyā bhej deṅ. Do ko chunā gayā jo bhāiyoṅ meṅ rāhnumā the, Yahūdāh Barsabbā aur Sīlās. 23 Un ke hāth unhoṅ ne yih ḳhat bhejā,“Yarūshalam ke rasūloṅ aur buzurgoṅ kī taraf se jo āp ke bhāī haiṅ.Azīz Ġhairyahūdī bhāiyo jo Antākiyā, Shām aur Kilikiyā meṅ rahte haiṅ, assalāmu alaikum! 24 Sunā hai ki ham meṅ se kuchh logoṅ ne āp ke pās ā kar āp ko pareshān karke bechain kar diyā hai, hālāṅki ham ne unheṅ nahīṅ bhejā thā. 25 Is lie ham sab is par muttafiq hue ki kuchh ādmiyoṅ ko chun kar apne pyāre bhāiyoṅ Barnabās aur Paulus ke hamrāh āp ke pās bhejeṅ. 26 Barnabās aur Paulus aise log haiṅ jinhoṅ ne hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh kī ḳhātir apnī jān ḳhatre meṅ ḍāl dī hai. 27 Un ke sāthī Yahūdāh aur Sīlās haiṅ jin ko ham ne is lie bhejā ki wuh zabānī bhī un bātoṅ kī tasdīq kareṅ jo ham ne likhī haiṅ. 28 Ham aur Rūhul-quds is par muttafiq hue haiṅ ki āp par siwāe in zarūrī bātoṅ ke koī bojh na ḍāleṅ: 29 Butoṅ ko pesh kiyā gayā khānā mat khānā, ḳhūn mat khānā, aise jānwaroṅ kā gosht mat khānā jo galā ghūṅṭ kar mār die gae hoṅ. Is ke alāwā zinākārī na kareṅ. In chīzoṅ se bāz raheṅge to achchhā kareṅge. Ḳhudā hāfiz.” 30 Paulus, Barnabās aur un ke sāthī ruḳhsat ho kar Antākiyā chale gae. Wahāṅ pahuṅch kar unhoṅ ne jamāt ikaṭṭhī karke use ḳhat de diyā. 31 Use paṛh kar īmāndār us ke hauslā-afzā paiġhām par ḳhush hue. 32 Yahūdāh aur Sīlās ne bhī jo ḳhud nabī the bhāiyoṅ kī hauslā-afzāī aur mazbūtī ke lie kāfī bāteṅ kīṅ. 33 Wuh kuchh der ke lie wahāṅ ṭhahre, phir maqāmī bhāiyoṅ ne unheṅ salāmatī se alwidā kahā tāki wuh bhejne wāloṅ ke pās wāpas jā sakeṅ. 34 [Lekin Sīlās ko wahāṅ ṭhaharnā achchhā lagā.] 35 Paulus aur Barnabās ḳhud kuchh aur der Antākiyā meṅ rahe. Wahāṅ wuh bahut-se aur logoṅ ke sāth Ḳhudāwand ke kalām kī tālīm dete aur us kī munādī karte rahe. 36 Kuchh dinoṅ ke bād Paulus ne Barnabās se kahā, “Āo, ham muṛ kar un tamām shahroṅ meṅ jāeṅ jahāṅ ham ne Ḳhudāwand ke kalām kī munādī kī hai aur wahāṅ ke bhāiyoṅ se mulāqāt karke un kā hāl mālūm kareṅ.” 37 Barnabās muttafiq ho kar Yūhannā Marqus ko sāth le jānā chāhtā thā, 38 lekin Paulus ne isrār kiyā ki wuh sāth na jāe, kyoṅki Yūhannā Marqus pahle daure ke daurān hī Pamfīliyā meṅ unheṅ chhoṛ kar un ke sāth ḳhidmat karne se bāz āyā thā. 39 Is se un meṅ itnā saḳht iḳhtilāf paidā huā ki wuh ek dūsre se judā ho gae. Barnabās Yūhannā Marqus ko sāth le kar jahāz meṅ baiṭh gayā aur Qubrus chalā gayā, 40 jabki Paulus ne Sīlās ko ḳhidmat ke lie chun liyā. Maqāmī bhāiyoṅ ne unheṅ Ḳhudāwand ke fazl ke sapurd kiyā aur wuh rawānā hue. 41 Yoṅ Paulus jamātoṅ ko mazbūt karte karte Shām aur Kilikiyā meṅ se guzarā.

In Other Versions

Acts 15 in the ANGEFD

Acts 15 in the ANTPNG2D

Acts 15 in the AS21

Acts 15 in the BAGH

Acts 15 in the BBPNG

Acts 15 in the BBT1E

Acts 15 in the BDS

Acts 15 in the BEV

Acts 15 in the BHAD

Acts 15 in the BIB

Acts 15 in the BLPT

Acts 15 in the BNT

Acts 15 in the BNTABOOT

Acts 15 in the BNTLV

Acts 15 in the BOATCB

Acts 15 in the BOATCB2

Acts 15 in the BOBCV

Acts 15 in the BOCNT

Acts 15 in the BOECS

Acts 15 in the BOGWICC

Acts 15 in the BOHCB

Acts 15 in the BOHCV

Acts 15 in the BOHLNT

Acts 15 in the BOHNTLTAL

Acts 15 in the BOICB

Acts 15 in the BOILNTAP

Acts 15 in the BOITCV

Acts 15 in the BOKCV

Acts 15 in the BOKCV2

Acts 15 in the BOKHWOG

Acts 15 in the BOKSSV

Acts 15 in the BOLCB

Acts 15 in the BOLCB2

Acts 15 in the BOMCV

Acts 15 in the BONAV

Acts 15 in the BONCB

Acts 15 in the BONLT

Acts 15 in the BONUT2

Acts 15 in the BOPLNT

Acts 15 in the BOSCB

Acts 15 in the BOSNC

Acts 15 in the BOTLNT

Acts 15 in the BOVCB

Acts 15 in the BOYCB

Acts 15 in the BPBB

Acts 15 in the BPH

Acts 15 in the BSB

Acts 15 in the CCB

Acts 15 in the CUV

Acts 15 in the CUVS

Acts 15 in the DBT

Acts 15 in the DGDNT

Acts 15 in the DHNT

Acts 15 in the DNT

Acts 15 in the ELBE

Acts 15 in the EMTV

Acts 15 in the ESV

Acts 15 in the FBV

Acts 15 in the FEB

Acts 15 in the GGMNT

Acts 15 in the GNT

Acts 15 in the HARY

Acts 15 in the HNT

Acts 15 in the IRVA

Acts 15 in the IRVB

Acts 15 in the IRVG

Acts 15 in the IRVH

Acts 15 in the IRVK

Acts 15 in the IRVM

Acts 15 in the IRVM2

Acts 15 in the IRVO

Acts 15 in the IRVP

Acts 15 in the IRVT

Acts 15 in the IRVT2

Acts 15 in the IRVU

Acts 15 in the ISVN

Acts 15 in the JSNT

Acts 15 in the KAPI

Acts 15 in the KBT1ETNIK

Acts 15 in the KBV

Acts 15 in the KJV

Acts 15 in the KNFD

Acts 15 in the LBA

Acts 15 in the LBLA

Acts 15 in the LNT

Acts 15 in the LSV

Acts 15 in the MAAL

Acts 15 in the MBV

Acts 15 in the MBV2

Acts 15 in the MHNT

Acts 15 in the MKNFD

Acts 15 in the MNG

Acts 15 in the MNT

Acts 15 in the MNT2

Acts 15 in the MRS1T

Acts 15 in the NAA

Acts 15 in the NASB

Acts 15 in the NBLA

Acts 15 in the NBS

Acts 15 in the NBVTP

Acts 15 in the NET2

Acts 15 in the NIV11

Acts 15 in the NNT

Acts 15 in the NNT2

Acts 15 in the NNT3

Acts 15 in the PDDPT

Acts 15 in the PFNT

Acts 15 in the RMNT

Acts 15 in the SBIAS

Acts 15 in the SBIBS

Acts 15 in the SBIBS2

Acts 15 in the SBICS

Acts 15 in the SBIDS

Acts 15 in the SBIGS

Acts 15 in the SBIHS

Acts 15 in the SBIIS

Acts 15 in the SBIIS2

Acts 15 in the SBIIS3

Acts 15 in the SBIKS

Acts 15 in the SBIKS2

Acts 15 in the SBIMS

Acts 15 in the SBIOS

Acts 15 in the SBIPS

Acts 15 in the SBISS

Acts 15 in the SBITS

Acts 15 in the SBITS2

Acts 15 in the SBITS3

Acts 15 in the SBITS4

Acts 15 in the SBIUS

Acts 15 in the SBIVS

Acts 15 in the SBT

Acts 15 in the SBT1E

Acts 15 in the SCHL

Acts 15 in the SNT

Acts 15 in the SUSU

Acts 15 in the SUSU2

Acts 15 in the SYNO

Acts 15 in the TBIAOTANT

Acts 15 in the TBT1E

Acts 15 in the TBT1E2

Acts 15 in the TFTIP

Acts 15 in the TFTU

Acts 15 in the TGNTATF3T

Acts 15 in the THAI

Acts 15 in the TNFD

Acts 15 in the TNT

Acts 15 in the TNTIK

Acts 15 in the TNTIL

Acts 15 in the TNTIN

Acts 15 in the TNTIP

Acts 15 in the TNTIZ

Acts 15 in the TOMA

Acts 15 in the TTENT

Acts 15 in the UBG

Acts 15 in the UGV

Acts 15 in the UGV2

Acts 15 in the VBL

Acts 15 in the VDCC

Acts 15 in the YALU

Acts 15 in the YAPE

Acts 15 in the YBVTP

Acts 15 in the ZBP