Acts 22 (UGV3)

1 “Bhāiyo aur buzurgo, merī bāt suneṅ ki maiṅ apne difā meṅ kuchh batāūṅ.” 2 Jab unhoṅ ne sunā ki wuh Arāmī zabān meṅ bol rahā hai to wuh mazīd ḳhāmosh ho gae. Paulus ne apnī bāt jārī rakhī. 3 “Maiṅ Yahūdī hūṅ aur Kilikiyā ke shahr Tarsus meṅ paidā huā. Lekin maiṅ ne isī shahr Yarūshalam meṅ parwarish pāī aur Jamliyel ke zer-e-nigarānī tālīm hāsil kī. Unhoṅ ne mujhe tafsīl aur ehtiyāt se hamāre bāpdādā kī sharīat sikhāī. Us waqt maiṅ bhī āp kī tarah Allāh ke lie sargarm thā. 4 Is lie maiṅ ne is naī rāh ke pairokāroṅ kā pīchhā kiyā aur mardoṅ aur ḳhawātīn ko giriftār karke jel meṅ ḍalwā diyā yahāṅ tak ki marwā bhī diyā. 5 Imām-e-āzam aur Yahūdī adālat-e-āliyā ke membarān is bāt kī tasdīq kar sakte haiṅ. Unhīṅ se mujhe Damishq meṅ rahne wāle Yahūdī bhāiyoṅ ke lie sifārishī ḳhat mil gae tāki maiṅ wahāṅ bhī jā kar is nae firqe ke logoṅ ko giriftār karke sazā dene ke lie Yarūshalam lāūṅ. 6 Maiṅ is maqsad ke lie Damishq ke qarīb pahuṅch gayā thā ki achānak āsmān kī taraf se ek tez raushnī mere gird chamkī. 7 Maiṅ zamīn par gir paṛā to ek āwāz sunāī dī, ‘Sāūl, Sāūl, tū mujhe kyoṅ satātā hai?’ 8 Maiṅ ne pūchhā, ‘Ḳhudāwand, āp kaun haiṅ?’ Āwāz ne jawāb diyā, ‘Maiṅ Īsā Nāsarī hūṅ jise tū satātā hai.’ 9 Mere hamsafroṅ ne raushnī ko to dekhā, lekin mujh se muḳhātib hone wāle kī āwāz na sunī. 10 Maiṅ ne pūchhā, ‘Ḳhudāwand, maiṅ kyā karūṅ?’ Ḳhudāwand ne jawāb diyā, ‘Uṭh kar Damishq meṅ jā. Wahāṅ tujhe wuh sārā kām batāyā jāegā jo Allāh tere zimme lagāne kā irādā rakhtā hai.’ 11 Raushnī kī tezī ne mujhe andhā kar diyā thā, is lie mere sāthī merā hāth pakaṛ kar mujhe Damishq le gae. 12 Wahāṅ ek ādmī rahtā thā jis kā nām Hananiyāh thā. Wuh sharīat kā kaṭar pairokār thā aur wahāṅ ke rahne wāle Yahūdiyoṅ meṅ neknām. 13 Wuh āyā aur mere pās khaṛe ho kar kahā, ‘Sāūl bhāī, dubārā bīnā ho jāeṅ!’ Usī lamhe maiṅ use dekh sakā. 14 Phir us ne kahā, ‘Hamāre bāpdādā ke Ḳhudā ne āp ko is maqsad ke lie chun liyā hai ki āp us kī marzī jān kar us ke rāst ḳhādim ko dekheṅ aur us ke apne muṅh se us kī āwāz suneṅ. 15 Jo kuchh āp ne dekh aur sun liyā hai us kī gawāhī āp tamām logoṅ ko deṅge. 16 Chunāṅche āp kyoṅ der kar rahe haiṅ? Uṭheṅ aur us ke nām meṅ baptismā leṅ tāki āp ke gunāh dhul jāeṅ.’ 17 Jab maiṅ Yarūshalam wāpas āyā to maiṅ ek din Baitul-muqaddas meṅ gayā. Wahāṅ duā karte karte maiṅ wajd kī hālat meṅ ā gayā 18 aur Ḳhudāwand ko dekhā. Us ne farmāyā, ‘Jaldī kar! Yarūshalam ko fauran chhoṛ de kyoṅki log mere bāre meṅ terī gawāhī ko qabūl nahīṅ kareṅge.’ 19 Maiṅ ne etarāz kiyā, ‘Ai Ḳhudāwand, wuh to jānte haiṅ ki maiṅ ne jagah bajagah ibādatḳhāne meṅ jā kar tujh par īmān rakhne wāloṅ ko giriftār kiyā aur un kī piṭāī karwāī. 20 Aur us waqt bhī jab tere shahīd Stifanus ko qatl kiyā jā rahā thā maiṅ sāth khaṛā thā. Maiṅ rāzī thā aur un logoṅ ke kapṛoṅ kī nigarānī kar rahā thā jo use sangsār kar rahe the.’ 21 Lekin Ḳhudāwand ne kahā, ‘Jā, kyoṅki maiṅ tujhe dūr-darāz ilāqoṅ meṅ Ġhairyahūdiyoṅ ke pās bhej dūṅgā.’” 22 Yahāṅ tak hujūm Paulus kī bāteṅ suntā rahā. Lekin ab wuh chillā uṭhe, “Ise haṭā do! Ise jān se mār do! Yih zindā rahne ke lāyq nahīṅ!” 23 Wuh chīḳheṅ mār mār kar apnī chādareṅ utārne aur hawā meṅ gard uṛāne lage. 24 Is par kamānḍar ne hukm diyā ki Paulus ko qile meṅ le jāyā jāe aur koṛe lagā kar us kī pūchh-gachh kī jāe. Kyoṅki wuh mālūm karnā chāhtā thā ki log kis wajah se Paulus ke ḳhilāf yoṅ chīḳheṅ mār rahe haiṅ. 25 Jab wuh use koṛe lagāne ke lie le kar jā rahe the to Paulus ne sāth khaṛe afsar se kahā, “Kyā āp ke lie jāyz hai ki ek Romī shahrī ke koṛe lagwāeṅ aur wuh bhī adālat meṅ pesh kie baġhair?” 26 Afsar ne jab yih sunā to kamānḍar ke pās jā kar use ittalā dī, “Āp kyā karne ko haiṅ? Yih ādmī to Romī shahrī hai!” 27 Kamānḍar Paulus ke pās āyā aur pūchhā, “Mujhe sahīh batāeṅ, kyā āp Romī shahrī haiṅ?”Paulus ne jawāb diyā, “Jī hāṅ.” 28 Kamānḍar ne kahā, “Maiṅ to baṛī raqam de kar shahrī banā hūṅ.”Paulus ne jawāb diyā, “Lekin maiṅ to paidāishī shahrī hūṅ.” 29 Yih sunte hī wuh faujī jo us kī pūchh-gachh karne ko the pīchhe haṭ gae. Kamānḍar ḳhud ghabrā gayā ki maiṅ ne ek Romī shahrī ko zanjīroṅ meṅ jakaṛ rakhā hai. 30 Agle din kamānḍar sāf mālūm karnā chāhtā thā ki Yahūdī Paulus par kyoṅ ilzām lagā rahe haiṅ. Is lie us ne rāhnumā imāmoṅ aur Yahūdī adālat-e-āliyā ke tamām membarān kā ijlās mun'aqid karne kā hukm diyā. Phir Paulus ko āzād karke qile se nīche lāyā aur un ke sāmne khaṛā kiyā.

In Other Versions

Acts 22 in the ANGEFD

Acts 22 in the ANTPNG2D

Acts 22 in the AS21

Acts 22 in the BAGH

Acts 22 in the BBPNG

Acts 22 in the BBT1E

Acts 22 in the BDS

Acts 22 in the BEV

Acts 22 in the BHAD

Acts 22 in the BIB

Acts 22 in the BLPT

Acts 22 in the BNT

Acts 22 in the BNTABOOT

Acts 22 in the BNTLV

Acts 22 in the BOATCB

Acts 22 in the BOATCB2

Acts 22 in the BOBCV

Acts 22 in the BOCNT

Acts 22 in the BOECS

Acts 22 in the BOGWICC

Acts 22 in the BOHCB

Acts 22 in the BOHCV

Acts 22 in the BOHLNT

Acts 22 in the BOHNTLTAL

Acts 22 in the BOICB

Acts 22 in the BOILNTAP

Acts 22 in the BOITCV

Acts 22 in the BOKCV

Acts 22 in the BOKCV2

Acts 22 in the BOKHWOG

Acts 22 in the BOKSSV

Acts 22 in the BOLCB

Acts 22 in the BOLCB2

Acts 22 in the BOMCV

Acts 22 in the BONAV

Acts 22 in the BONCB

Acts 22 in the BONLT

Acts 22 in the BONUT2

Acts 22 in the BOPLNT

Acts 22 in the BOSCB

Acts 22 in the BOSNC

Acts 22 in the BOTLNT

Acts 22 in the BOVCB

Acts 22 in the BOYCB

Acts 22 in the BPBB

Acts 22 in the BPH

Acts 22 in the BSB

Acts 22 in the CCB

Acts 22 in the CUV

Acts 22 in the CUVS

Acts 22 in the DBT

Acts 22 in the DGDNT

Acts 22 in the DHNT

Acts 22 in the DNT

Acts 22 in the ELBE

Acts 22 in the EMTV

Acts 22 in the ESV

Acts 22 in the FBV

Acts 22 in the FEB

Acts 22 in the GGMNT

Acts 22 in the GNT

Acts 22 in the HARY

Acts 22 in the HNT

Acts 22 in the IRVA

Acts 22 in the IRVB

Acts 22 in the IRVG

Acts 22 in the IRVH

Acts 22 in the IRVK

Acts 22 in the IRVM

Acts 22 in the IRVM2

Acts 22 in the IRVO

Acts 22 in the IRVP

Acts 22 in the IRVT

Acts 22 in the IRVT2

Acts 22 in the IRVU

Acts 22 in the ISVN

Acts 22 in the JSNT

Acts 22 in the KAPI

Acts 22 in the KBT1ETNIK

Acts 22 in the KBV

Acts 22 in the KJV

Acts 22 in the KNFD

Acts 22 in the LBA

Acts 22 in the LBLA

Acts 22 in the LNT

Acts 22 in the LSV

Acts 22 in the MAAL

Acts 22 in the MBV

Acts 22 in the MBV2

Acts 22 in the MHNT

Acts 22 in the MKNFD

Acts 22 in the MNG

Acts 22 in the MNT

Acts 22 in the MNT2

Acts 22 in the MRS1T

Acts 22 in the NAA

Acts 22 in the NASB

Acts 22 in the NBLA

Acts 22 in the NBS

Acts 22 in the NBVTP

Acts 22 in the NET2

Acts 22 in the NIV11

Acts 22 in the NNT

Acts 22 in the NNT2

Acts 22 in the NNT3

Acts 22 in the PDDPT

Acts 22 in the PFNT

Acts 22 in the RMNT

Acts 22 in the SBIAS

Acts 22 in the SBIBS

Acts 22 in the SBIBS2

Acts 22 in the SBICS

Acts 22 in the SBIDS

Acts 22 in the SBIGS

Acts 22 in the SBIHS

Acts 22 in the SBIIS

Acts 22 in the SBIIS2

Acts 22 in the SBIIS3

Acts 22 in the SBIKS

Acts 22 in the SBIKS2

Acts 22 in the SBIMS

Acts 22 in the SBIOS

Acts 22 in the SBIPS

Acts 22 in the SBISS

Acts 22 in the SBITS

Acts 22 in the SBITS2

Acts 22 in the SBITS3

Acts 22 in the SBITS4

Acts 22 in the SBIUS

Acts 22 in the SBIVS

Acts 22 in the SBT

Acts 22 in the SBT1E

Acts 22 in the SCHL

Acts 22 in the SNT

Acts 22 in the SUSU

Acts 22 in the SUSU2

Acts 22 in the SYNO

Acts 22 in the TBIAOTANT

Acts 22 in the TBT1E

Acts 22 in the TBT1E2

Acts 22 in the TFTIP

Acts 22 in the TFTU

Acts 22 in the TGNTATF3T

Acts 22 in the THAI

Acts 22 in the TNFD

Acts 22 in the TNT

Acts 22 in the TNTIK

Acts 22 in the TNTIL

Acts 22 in the TNTIN

Acts 22 in the TNTIP

Acts 22 in the TNTIZ

Acts 22 in the TOMA

Acts 22 in the TTENT

Acts 22 in the UBG

Acts 22 in the UGV

Acts 22 in the UGV2

Acts 22 in the VBL

Acts 22 in the VDCC

Acts 22 in the YALU

Acts 22 in the YAPE

Acts 22 in the YBVTP

Acts 22 in the ZBP