Acts 28 (UGV3)

1 Tūfān se bachne par hameṅ mālūm huā ki jazīre kā nām Milite hai. 2 Maqāmī logoṅ ne hameṅ ġhairmāmūlī mehrbānī dikhāī. Unhoṅ ne āg jalā kar hamārā istiqbāl kiyā, kyoṅki bārish shurū ho chukī thī aur ṭhanḍ thī. 3 Paulus ne bhī lakaṛī kā ḍher jamā kiyā. Lekin jyoṅ hī us ne use āg meṅ phaiṅkā ek zahrīlā sāṅp āg kī tapish se bhāg kar nikal āyā aur Paulus ke hāth se chimaṭ kar use ḍas liyā. 4 Maqāmī logoṅ ne sāṅp ko Paulus ke hāth se lage dekhā to ek dūsre se kahne lage, “Yih ādmī zarūr qātil hogā. Go yih samundar se bach gayā, lekin insāf kī dewī ise jīne nahīṅ detī.” 5 Lekin Paulus ne sāṅp ko jhaṭak kar āg meṅ phaiṅk diyā, aur sāṅp kā koī burā asar us par na huā. 6 Log is intazār meṅ rahe ki wuh sūj jāe yā achānak gir paṛe, lekin kāfī der ke bād bhī kuchh na huā. Is par unhoṅ ne apnā ḳhayāl badal kar use dewatā qarār diyā. 7 Qarīb hī jazīre ke sab se baṛe ādmī kī zamīneṅ thīṅ. Us kā nām Publiyus thā. Us ne apne ghar meṅ hamārā istiqbāl kiyā aur tīn din tak hamārī ḳhūb mehmān-nawāzī kī. 8 Us kā bāp bīmār paṛā thā, wuh buḳhār aur pechish ke marz meṅ mubtalā thā. Paulus us ke kamre meṅ gayā, us ke lie duā kī aur apne hāth us par rakh die. Is par marīz ko shifā milī. 9 Jab yih huā to jazīre ke bāqī tamām marīzoṅ ne Paulus ke pās ā kar shifā pāī. 10 Natīje meṅ unhoṅ ne kaī tarah se hamārī izzat kī. Aur jab rawānā hone kā waqt ā gayā to unhoṅ ne hameṅ wuh sab kuchh muhaiyā kiyā jo safr ke lie darkār thā. 11 Jazīre par tīn māh guzar gae. Phir ham ek jahāz par sawār hue jo sardiyoṅ ke mausam ke lie wahāṅ ṭhahar gayā thā. Yih jahāz Iskandariyā kā thā aur us ke māthe par juṛwāṅ dewatāoṅ ‘Kāsṭar’ aur ‘Polluks’ kī mūrat nasab thī. Ham wahāṅ se ruḳhsat ho kar 12 Surkūsā Shahr pahuṅche. Tīn din ke bād 13 ham wahāṅ se Regiyum Shahr gae jahāṅ ham sirf ek din ṭhahre. Phir junūb se hawā uṭhī, is lie ham agle din Putiyolī pahuṅche. 14 Is shahr meṅ hamārī mulāqāt kuchh bhāiyoṅ se huī. Unhoṅ ne hameṅ apne pās ek haftā rahne kī dāwat dī. Yoṅ ham Rom pahuṅch gae. 15 Rom ke bhāiyoṅ ne hamāre bāre meṅ sun rakhā thā, aur kuchh hamārā istiqbāl karne ke lie qasbā banām appiyus ke chauk tak āe jabki kuchh sirf ‘Tīn-sarāy’ tak ā sake. Unheṅ dekh kar Paulus ne Allāh kā shukr kiyā aur nayā hauslā pāyā. 16 Hamāre Rom meṅ pahuṅchne par Paulus ko apne kirāe ke makān meṅ rahne kī ijāzat milī, go ek faujī us kī pahrādārī karne ke lie us ke sāth rahā. 17 Tīn din guzar gae to Paulus ne Yahūdī rāhnumāoṅ ko bulāyā. Jab wuh jamā hue to us ne un se kahā, “Bhāiyo, mujhe Yarūshalam meṅ giriftār karke Romiyoṅ ke hawāle kar diyā gayā hālāṅki maiṅ ne apnī qaum yā apne bāpdādā ke rasm-o-riwāj ke ḳhilāf kuchh nahīṅ kiyā thā. 18 Romī merā jāyzā le kar mujhe rihā karnā chāhte the, kyoṅki unheṅ mujhe sazā-e-maut dene kā koī sabab na milā thā. 19 Lekin Yahūdiyoṅ ne etarāz kiyā aur yoṅ mujhe shahanshāh se apīl karne par majbūr kar diyā gayā, go merā yih irādā nahīṅ hai ki maiṅ apnī qaum par koī ilzām lagāūṅ. 20 Maiṅ ne is lie āp ko bulāyā tāki āp se milūṅ aur guftgū karūṅ. Maiṅ us shaḳhs kī ḳhātir in zanjīroṅ se jakaṛā huā hūṅ jis ke āne kī ummīd Isrāīl rakhtā hai.” 21 Yahūdiyoṅ ne use jawāb diyā, “Hameṅ Yahūdiyā se āp ke bāre meṅ koī bhī ḳhat nahīṅ milā. Aur jitne bhāī wahāṅ se āe haiṅ un meṅ se ek ne bhī āp ke bāre meṅ na to koī manfī riporṭ dī na koī burī bāt batāī. 22 Lekin ham āp se sunanā chāhte haiṅ ki āp ke ḳhayālāt kyā haiṅ, kyoṅki ham itnā jānte haiṅ ki har jagah log is firqe ke ḳhilāf bāteṅ kar rahe haiṅ.” 23 Chunāṅche unhoṅ ne milne kā ek din muqarrar kiyā. Jab Yahūdī dubārā us jagah āe jahāṅ Paulus rahtā thā to un kī tādād bahut zyādā thī. Subah se le kar shām tak us ne Allāh kī bādshāhī bayān kī aur us kī gawāhī dī. Us ne unheṅ Mūsā kī sharīat aur nabiyoṅ ke hawālājāt pesh kar karke Īsā ke bāre meṅ qāyl karne kī koshish kī. 24 Kuchh to qāyl ho gae. Lekin bāqī īmān na lāe. 25 Un meṅ nā-ittafāqī paidā huī to wuh chale gae. Jab wuh jāne lage to Paulus ne un se kahā, “Rūhul-quds ne Yasāyāh Nabī kī mārifat āp ke bāpdādā se ṭhīk kahā ki 26 Jā, is qaum ko batā, ‘Tum apne kānoṅ se sunogemagar kuchh nahīṅ samjhoge,tum apnī āṅkhoṅ se dekhogemagar kuchh nahīṅ jānoge. 27 Kyoṅki is qaum kā dil behis ho gayā hai.Wuh mushkil se apne kānoṅ se sunte haiṅ,unhoṅ ne apnī āṅkhoṅ ko band kar rakhā hai,aisā na ho ki wuh apnī āṅkhoṅ se dekheṅ,apne kānoṅ se suneṅ,apne dil se samjheṅ,merī taraf rujū kareṅaur maiṅ unheṅ shifā dūṅ.’” 28 Paulus ne apnī bāt in alfāz se ḳhatm kī, “Ab jān leṅ ki Allāh kī taraf se yih najāt Ġhairyahūdiyoṅ ko bhī pesh kī gaī hai aur wuh suneṅge bhī!” 29 [Jab us ne yih kahā to Yahūdī āpas meṅ bahs-mubāhasā karte hue chale gae.] 30 Paulus pūre do sāl apne kirāe ke ghar meṅ rahā. Jo bhī us ke pās āyā us kā us ne istiqbāl karke 31 dilerī se Allāh kī bādshāhī kī munādī kī aur Ḳhudāwand Īsā Masīh kī tālīm dī. Aur kisī ne mudāḳhalat na kī.

In Other Versions

Acts 28 in the ANGEFD

Acts 28 in the ANTPNG2D

Acts 28 in the AS21

Acts 28 in the BAGH

Acts 28 in the BBPNG

Acts 28 in the BBT1E

Acts 28 in the BDS

Acts 28 in the BEV

Acts 28 in the BHAD

Acts 28 in the BIB

Acts 28 in the BLPT

Acts 28 in the BNT

Acts 28 in the BNTABOOT

Acts 28 in the BNTLV

Acts 28 in the BOATCB

Acts 28 in the BOATCB2

Acts 28 in the BOBCV

Acts 28 in the BOCNT

Acts 28 in the BOECS

Acts 28 in the BOGWICC

Acts 28 in the BOHCB

Acts 28 in the BOHCV

Acts 28 in the BOHLNT

Acts 28 in the BOHNTLTAL

Acts 28 in the BOICB

Acts 28 in the BOILNTAP

Acts 28 in the BOITCV

Acts 28 in the BOKCV

Acts 28 in the BOKCV2

Acts 28 in the BOKHWOG

Acts 28 in the BOKSSV

Acts 28 in the BOLCB

Acts 28 in the BOLCB2

Acts 28 in the BOMCV

Acts 28 in the BONAV

Acts 28 in the BONCB

Acts 28 in the BONLT

Acts 28 in the BONUT2

Acts 28 in the BOPLNT

Acts 28 in the BOSCB

Acts 28 in the BOSNC

Acts 28 in the BOTLNT

Acts 28 in the BOVCB

Acts 28 in the BOYCB

Acts 28 in the BPBB

Acts 28 in the BPH

Acts 28 in the BSB

Acts 28 in the CCB

Acts 28 in the CUV

Acts 28 in the CUVS

Acts 28 in the DBT

Acts 28 in the DGDNT

Acts 28 in the DHNT

Acts 28 in the DNT

Acts 28 in the ELBE

Acts 28 in the EMTV

Acts 28 in the ESV

Acts 28 in the FBV

Acts 28 in the FEB

Acts 28 in the GGMNT

Acts 28 in the GNT

Acts 28 in the HARY

Acts 28 in the HNT

Acts 28 in the IRVA

Acts 28 in the IRVB

Acts 28 in the IRVG

Acts 28 in the IRVH

Acts 28 in the IRVK

Acts 28 in the IRVM

Acts 28 in the IRVM2

Acts 28 in the IRVO

Acts 28 in the IRVP

Acts 28 in the IRVT

Acts 28 in the IRVT2

Acts 28 in the IRVU

Acts 28 in the ISVN

Acts 28 in the JSNT

Acts 28 in the KAPI

Acts 28 in the KBT1ETNIK

Acts 28 in the KBV

Acts 28 in the KJV

Acts 28 in the KNFD

Acts 28 in the LBA

Acts 28 in the LBLA

Acts 28 in the LNT

Acts 28 in the LSV

Acts 28 in the MAAL

Acts 28 in the MBV

Acts 28 in the MBV2

Acts 28 in the MHNT

Acts 28 in the MKNFD

Acts 28 in the MNG

Acts 28 in the MNT

Acts 28 in the MNT2

Acts 28 in the MRS1T

Acts 28 in the NAA

Acts 28 in the NASB

Acts 28 in the NBLA

Acts 28 in the NBS

Acts 28 in the NBVTP

Acts 28 in the NET2

Acts 28 in the NIV11

Acts 28 in the NNT

Acts 28 in the NNT2

Acts 28 in the NNT3

Acts 28 in the PDDPT

Acts 28 in the PFNT

Acts 28 in the RMNT

Acts 28 in the SBIAS

Acts 28 in the SBIBS

Acts 28 in the SBIBS2

Acts 28 in the SBICS

Acts 28 in the SBIDS

Acts 28 in the SBIGS

Acts 28 in the SBIHS

Acts 28 in the SBIIS

Acts 28 in the SBIIS2

Acts 28 in the SBIIS3

Acts 28 in the SBIKS

Acts 28 in the SBIKS2

Acts 28 in the SBIMS

Acts 28 in the SBIOS

Acts 28 in the SBIPS

Acts 28 in the SBISS

Acts 28 in the SBITS

Acts 28 in the SBITS2

Acts 28 in the SBITS3

Acts 28 in the SBITS4

Acts 28 in the SBIUS

Acts 28 in the SBIVS

Acts 28 in the SBT

Acts 28 in the SBT1E

Acts 28 in the SCHL

Acts 28 in the SNT

Acts 28 in the SUSU

Acts 28 in the SUSU2

Acts 28 in the SYNO

Acts 28 in the TBIAOTANT

Acts 28 in the TBT1E

Acts 28 in the TBT1E2

Acts 28 in the TFTIP

Acts 28 in the TFTU

Acts 28 in the TGNTATF3T

Acts 28 in the THAI

Acts 28 in the TNFD

Acts 28 in the TNT

Acts 28 in the TNTIK

Acts 28 in the TNTIL

Acts 28 in the TNTIN

Acts 28 in the TNTIP

Acts 28 in the TNTIZ

Acts 28 in the TOMA

Acts 28 in the TTENT

Acts 28 in the UBG

Acts 28 in the UGV

Acts 28 in the UGV2

Acts 28 in the VBL

Acts 28 in the VDCC

Acts 28 in the YALU

Acts 28 in the YAPE

Acts 28 in the YBVTP

Acts 28 in the ZBP