Acts 6 (UGV3)
1 Un dinoṅ meṅ jab Īsā ke shāgirdoṅ kī tādād baṛhtī gaī to Yūnānī zabān bolne wāle īmāndār Ibrānī bolne wāle īmāndāroṅ ke bāre meṅ buṛbuṛāne lage. Unhoṅ ne kahā, “Jab rozmarrā kā khānā taqsīm hotā hai to hamārī bewāoṅ ko nazarandāz kiyā jātā hai.” 2 Tab bārah rasūloṅ ne shāgirdoṅ kī pūrī jamāt ko ikaṭṭhā karke kahā, “Yih ṭhīk nahīṅ ki ham Allāh kā kalām sikhāne kī ḳhidmat ko chhoṛ kar khānā taqsīm karne meṅ masrūf raheṅ. 3 Bhāiyo, yih bāt pesh-e-nazar rakh kar apne meṅ se sāt ādmī chun leṅ, jin ke nek kirdār kī āp tasdīq kar sakte haiṅ aur jo Rūhul-quds aur hikmat se māmūr haiṅ. Phir ham unheṅ khānā taqsīm karne kī yih zimmedārī de kar 4 apnā pūrā waqt duā aur kalām kī ḳhidmat meṅ sarf kar sakeṅge.” 5 Yih bāt pūrī jamāt ko pasand āī aur unhoṅ ne sāt ādmī chun lie: Stifanus (jo īmān aur Rūhul-quds se māmūr thā), Filippus, Pruḳhurus, Nīkānor, Tīmon, Parminās aur Antākiyā kā Nīkulāus. (Nīkulāos Ġhairyahūdī thā jis ne Īsā par īmān lāne se pahle Yahūdī mazhab ko apnā liyā thā.) 6 In sāt ādmiyoṅ ko rasūloṅ ke sāmne pesh kiyā gayā to unhoṅ ne in par hāth rakh kar duā kī. 7 Yoṅ Allāh kā paiġhām phailtā gayā. Yarūshalam meṅ īmāndāroṅ kī tādād nihāyat baṛhtī gaī aur Baitul-muqaddas ke bahut-se imām bhī īmān le āe. 8 Stifanus Allāh ke fazl aur quwwat se māmūr thā aur logoṅ ke darmiyān baṛe baṛe mojize aur ilāhī nishān dikhātā thā. 9 Ek din kuchh Yahūdī Stifanus se bahs karne lage. (Wuh Kuren, Iskandariyā, Kilikiyā aur sūbā Āsiyā ke rahne wāle the aur un ke ibādatḳhāne kā nām Libartīniyoṅ yānī Āzād Kie Gae Ġhulāmoṅ kā Ibādatḳhānā thā.) 10 Lekin wuh na us kī hikmat kā sāmnā kar sake, na us Rūh kā jo kalām karte waqt us kī madad kartā thā. 11 Is lie unhoṅ ne bāz ādmiyoṅ ko yih kahne ko uksāyā ki “Is ne Mūsā aur Allāh ke bāre meṅ kufr bakā hai. Ham ḳhud is ke gawāh haiṅ.” 12 Yoṅ ām logoṅ, buzurgoṅ aur sharīat ke ulamā meṅ halchal mach gaī. Wuh Stifanus par chaṛh āe aur use ghasīṭ kar Yahūdī adālat-e-āliyā ke pās lāe. 13 Wahāṅ unhoṅ ne jhūṭe gawāh khaṛe kie jinhoṅ ne kahā, “Yih ādmī Baitul-muqaddas aur sharīat ke ḳhilāf bāteṅ karne se bāz nahīṅ ātā. 14 Ham ne is ke muṅh se sunā hai ki Īsā Nāsarī yih maqām tabāh karegā aur wuh rasm-o-riwāj badal degā jo Mūsā ne hamāre sapurd kie haiṅ.” 15 Jab ijlās meṅ baiṭhe tamām log ghūr ghūr kar Stifanus kī taraf deḳhne lage to us kā chehrā farishte kā-sā nazar āyā.
In Other Versions
Acts 6 in the ANGEFD
Acts 6 in the ANTPNG2D
Acts 6 in the AS21
Acts 6 in the BAGH
Acts 6 in the BBPNG
Acts 6 in the BBT1E
Acts 6 in the BDS
Acts 6 in the BEV
Acts 6 in the BHAD
Acts 6 in the BIB
Acts 6 in the BLPT
Acts 6 in the BNT
Acts 6 in the BNTABOOT
Acts 6 in the BNTLV
Acts 6 in the BOATCB
Acts 6 in the BOATCB2
Acts 6 in the BOBCV
Acts 6 in the BOCNT
Acts 6 in the BOECS
Acts 6 in the BOGWICC
Acts 6 in the BOHCB
Acts 6 in the BOHCV
Acts 6 in the BOHLNT
Acts 6 in the BOHNTLTAL
Acts 6 in the BOICB
Acts 6 in the BOILNTAP
Acts 6 in the BOITCV
Acts 6 in the BOKCV
Acts 6 in the BOKCV2
Acts 6 in the BOKHWOG
Acts 6 in the BOKSSV
Acts 6 in the BOLCB
Acts 6 in the BOLCB2
Acts 6 in the BOMCV
Acts 6 in the BONAV
Acts 6 in the BONCB
Acts 6 in the BONLT
Acts 6 in the BONUT2
Acts 6 in the BOPLNT
Acts 6 in the BOSCB
Acts 6 in the BOSNC
Acts 6 in the BOTLNT
Acts 6 in the BOVCB
Acts 6 in the BOYCB
Acts 6 in the BPBB
Acts 6 in the BPH
Acts 6 in the BSB
Acts 6 in the CCB
Acts 6 in the CUV
Acts 6 in the CUVS
Acts 6 in the DBT
Acts 6 in the DGDNT
Acts 6 in the DHNT
Acts 6 in the DNT
Acts 6 in the ELBE
Acts 6 in the EMTV
Acts 6 in the ESV
Acts 6 in the FBV
Acts 6 in the FEB
Acts 6 in the GGMNT
Acts 6 in the GNT
Acts 6 in the HARY
Acts 6 in the HNT
Acts 6 in the IRVA
Acts 6 in the IRVB
Acts 6 in the IRVG
Acts 6 in the IRVH
Acts 6 in the IRVK
Acts 6 in the IRVM
Acts 6 in the IRVM2
Acts 6 in the IRVO
Acts 6 in the IRVP
Acts 6 in the IRVT
Acts 6 in the IRVT2
Acts 6 in the IRVU
Acts 6 in the ISVN
Acts 6 in the JSNT
Acts 6 in the KAPI
Acts 6 in the KBT1ETNIK
Acts 6 in the KBV
Acts 6 in the KJV
Acts 6 in the KNFD
Acts 6 in the LBA
Acts 6 in the LBLA
Acts 6 in the LNT
Acts 6 in the LSV
Acts 6 in the MAAL
Acts 6 in the MBV
Acts 6 in the MBV2
Acts 6 in the MHNT
Acts 6 in the MKNFD
Acts 6 in the MNG
Acts 6 in the MNT
Acts 6 in the MNT2
Acts 6 in the MRS1T
Acts 6 in the NAA
Acts 6 in the NASB
Acts 6 in the NBLA
Acts 6 in the NBS
Acts 6 in the NBVTP
Acts 6 in the NET2
Acts 6 in the NIV11
Acts 6 in the NNT
Acts 6 in the NNT2
Acts 6 in the NNT3
Acts 6 in the PDDPT
Acts 6 in the PFNT
Acts 6 in the RMNT
Acts 6 in the SBIAS
Acts 6 in the SBIBS
Acts 6 in the SBIBS2
Acts 6 in the SBICS
Acts 6 in the SBIDS
Acts 6 in the SBIGS
Acts 6 in the SBIHS
Acts 6 in the SBIIS
Acts 6 in the SBIIS2
Acts 6 in the SBIIS3
Acts 6 in the SBIKS
Acts 6 in the SBIKS2
Acts 6 in the SBIMS
Acts 6 in the SBIOS
Acts 6 in the SBIPS
Acts 6 in the SBISS
Acts 6 in the SBITS
Acts 6 in the SBITS2
Acts 6 in the SBITS3
Acts 6 in the SBITS4
Acts 6 in the SBIUS
Acts 6 in the SBIVS
Acts 6 in the SBT
Acts 6 in the SBT1E
Acts 6 in the SCHL
Acts 6 in the SNT
Acts 6 in the SUSU
Acts 6 in the SUSU2
Acts 6 in the SYNO
Acts 6 in the TBIAOTANT
Acts 6 in the TBT1E
Acts 6 in the TBT1E2
Acts 6 in the TFTIP
Acts 6 in the TFTU
Acts 6 in the TGNTATF3T
Acts 6 in the THAI
Acts 6 in the TNFD
Acts 6 in the TNT
Acts 6 in the TNTIK
Acts 6 in the TNTIL
Acts 6 in the TNTIN
Acts 6 in the TNTIP
Acts 6 in the TNTIZ
Acts 6 in the TOMA
Acts 6 in the TTENT
Acts 6 in the UBG
Acts 6 in the UGV
Acts 6 in the UGV2
Acts 6 in the VBL
Acts 6 in the VDCC
Acts 6 in the YALU
Acts 6 in the YAPE
Acts 6 in the YBVTP
Acts 6 in the ZBP