Genesis 34 (UGV3)
1 Ek din Yāqūb aur Liyāh kī beṭī Dīnā Kanānī auratoṅ se milne ke lie ghar se niklī. 2 Shahr meṅ ek ādmī banām Sikam rahtā thā. Us kā wālid Hamor us ilāqe kā hukmrān thā aur Hiwwī qaum se tālluq rakhtā thā. Jab Sikam ne Dīnā ko dekhā to us ne use pakaṛ kar us kī ismatdarī kī. 3 Lekin us kā dil Dīnā se lag gayā. Wuh us se muhabbat karne lagā aur pyār se us se bāteṅ kartā rahā. 4 Us ne apne bāp se kahā, “Is laṛkī ke sāth merī shādī karā deṅ.” 5 Jab Yāqūb ne apnī beṭī kī ismatdarī kī ḳhabar sunī to us ke beṭe maweshiyoṅ ke sāth khule maidān meṅ the. Is lie wuh un ke wāpas āne tak ḳhāmosh rahā. 6 Sikam kā bāp Hamor shahr se nikal kar Yāqūb se bāt karne ke lie āyā. 7 Jab Yāqūb ke beṭoṅ ko Dīnā kī ismatdarī kī ḳhabar milī to un ke dil ranjish aur ġhusse se bhar gae ki Sikam ne Yāqūb kī beṭī kī ismatdarī se Isrāīl kī itnī be'izzatī kī hai. Wuh sīdhe khule maidān se wāpas āe. 8 Hamor ne Yāqūb se kahā, “Mere beṭe kā dil āp kī beṭī se lag gayā hai. Mehrbānī karke us kī shādī mere beṭe ke sāth kar deṅ. 9 Hamāre sāth rishtā bāndheṅ, hamāre beṭe-beṭiyoṅ ke sāth shādiyāṅ karāeṅ. 10 Phir āp hamāre sāth is mulk meṅ rah sakeṅge aur pūrā mulk āp ke lie khulā hogā. Āp jahāṅ bhī chāheṅ ābād ho sakeṅge, tijārat kar sakeṅge aur zamīn ḳharīd sakeṅge.” 11 Sikam ne ḳhud bhī Dīnā ke bāp aur bhāiyoṅ se minnat kī, “Agar merī yih darḳhāst manzūr ho to maiṅ jo kuchh āp kaheṅge adā kar dūṅgā. 12 Jitnā bhī mahr aur tohfe āp muqarrar kareṅ maiṅ de dūṅgā. Sirf merī yih ḳhāhish pūrī kareṅ ki yih laṛkī mere aqd meṅ ā jāe.” 13 Lekin Dīnā kī ismatdarī ke sabab se Yāqūb ke beṭoṅ ne Sikam aur us ke bāp Hamor se chālākī karke 14 kahā, “Ham aisā nahīṅ kar sakte. Ham apnī bahan kī shādī kisī aise ādmī se nahīṅ karā sakte jis kā ḳhatnā nahīṅ huā. Is se hamārī be'izzatī hotī hai. 15 Ham sirf is shart par rāzī hoṅge ki āp apne tamām laṛkoṅ aur mardoṅ kā ḳhatnā karwāne se hamārī mānind ho jāeṅ. 16 Phir āp ke beṭe-beṭiyoṅ ke sāth hamārī shādiyāṅ ho sakeṅgī aur ham āp ke sāth ek qaum ban jāeṅge. 17 Lekin agar āp ḳhatnā karāne ke lie taiyār nahīṅ haiṅ to ham apnī bahan ko le kar chale jāeṅge.” 18 Yih bāteṅ Hamor aur us ke beṭe Sikam ko achchhī lagīṅ. 19 Naujawān Sikam ne fauran un par amal kiyā, kyoṅki wuh Dīnā ko bahut pasand kartā thā. Sikam apne ḳhāndān meṅ sab se muazzaz thā. 20 Hamor apne beṭe Sikam ke sāth shahr ke darwāze par gayā jahāṅ shahr ke faisle kie jāte the. Wahāṅ unhoṅ ne bāqī shahriyoṅ se bāt kī. 21 “Yih ādmī ham se jhagaṛne wāle nahīṅ haiṅ, is lie kyoṅ na wuh is mulk meṅ hamāre sāth raheṅ aur hamāre darmiyān tijārat kareṅ? Hamāre mulk meṅ un ke lie bhī kāfī jagah hai. Āo, ham un kī beṭiyoṅ aur beṭoṅ se shādiyāṅ kareṅ. 22 Lekin yih ādmī sirf is shart par hamāre darmiyān rahne aur ek hī qaum banane ke lie taiyār haiṅ ki ham un kī tarah apne tamām laṛkoṅ aur mardoṅ kā ḳhatnā karāeṅ. 23 Agar ham aisā kareṅ to un ke tamām maweshī aur sārā māl hamārā hī hogā. Chunāṅche āo, ham muttafiq ho kar faislā kar leṅ tāki wuh hamāre darmiyān raheṅ.” 24 Sikam ke shahrī Hamor aur Sikam ke mashware par rāzī hue. Tamām laṛkoṅ aur mardoṅ kā ḳhatnā karāyā gayā. 25 Tīn din ke bād jab ḳhatne ke sabab se logoṅ kī hālat burī thī to Dīnā ke do bhāī Shamāūn aur Lāwī apnī talwāreṅ le kar shahr meṅ dāḳhil hue. Kisī ko shak tak nahīṅ thā ki kyā kuchh hogā. Andar jā kar unhoṅ ne bachchoṅ se le kar būṛhoṅ tak tamām mardoṅ ko qatl kar diyā 26 jin meṅ Hamor aur us kā beṭā Sikam bhī shāmil the. Phir wuh Dīnā ko Sikam ke ghar se le kar chale gae. 27 Is qatl-e-ām ke bād Yāqūb ke bāqī beṭe shahr par ṭūṭ paṛe aur use lūṭ liyā. Yoṅ unhoṅ ne apnī bahan kī ismatdarī kā badlā liyā. 28 Wuh bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail, gadhe aur shahr ke andar aur bāhar kā sab kuchh le kar chalte bane. 29 Unhoṅ ne sāre māl par qabzā kiyā, auratoṅ aur bachchoṅ ko qaidī banā liyā aur tamām gharoṅ kā sāmān bhī le gae. 30 Phir Yāqūb ne Shamāūn aur Lāwī se kahā, “Tum ne mujhe musībat meṅ ḍāl diyā hai. Ab Kanānī, Farizzī aur mulk ke bāqī bāshindoṅ meṅ merī badnāmī huī hai. Mere sāth kam ādmī haiṅ. Agar dūsre mil kar ham par hamlā kareṅ to hamāre pūre ḳhāndān kā satyānās ho jāegā.” 31 Lekin unhoṅ ne kahā, “Kyā yih ṭhīk thā ki us ne hamārī bahan ke sāth kasbī kā-sā sulūk kiyā?”