Isaiah 14 (UGV3)
1 Kyoṅki Rab Yāqūb par tars khāegā, wuh dubārā Isrāīliyoṅ ko chun kar unheṅ un ke apne mulk meṅ basā degā. Pardesī bhī un ke sāth mil jāeṅge, wuh Yāqūb ke gharāne se munsalik ho jāeṅge. 2 Dīgar qaumeṅ Isrāīliyoṅ ko le kar un ke watan meṅ wāpas pahuṅchā deṅgī. Tab Isrāīl kā gharānā in pardesiyoṅ ko wirse meṅ pāegā, aur yih Rab ke mulk meṅ un ke naukar-naukarāniyāṅ ban kar un kī ḳhidmat kareṅge. Jinhoṅ ne unheṅ jilāwatan kiyā thā unhīṅ ko wuh jilāwatan kie rakheṅge, jinhoṅ ne un par zulm kiyā thā unhīṅ par wuh hukūmat kareṅge. 3 Jis din Rab tujhe musībat, bechainī aur zālimānā ġhulāmī se ārām degā 4 us din tū Bābal ke bādshāh par tanz kā gīt gāegā,“Yih kaisī bāt hai? Zālim nest-o-nābūd aur us ke hamle ḳhatm ho gae haiṅ. 5 Rab ne bedīnoṅ kī lāṭhī toṛ kar hukmrānoṅ kā wuh shāhī asā ṭukṛe ṭukṛe kar diyā hai 6 jo taish meṅ ā kar qaumoṅ ko musalsal mārtā rahā aur ġhusse se un par hukūmat kartā, berahmī se un ke pīchhe paṛā rahā. 7 Ab pūrī duniyā ko ārām-o-sukūn hāsil huā hai, ab har taraf ḳhushī ke nāre sunāī de rahe haiṅ. 8 Jūnīpar ke daraḳht aur Lubnān ke deodār bhī tere anjām par ḳhush ho kar kahte haiṅ, ‘Shukr hai! Jab se tū girā diyā gayā koī yahāṅ chaṛh kar hameṅ kāṭne nahīṅ ātā.’ 9 Pātāl tere utarne ke bāis hil gayā hai. Tere intazār meṅ wuh murdā rūhoṅ ko harkat meṅ lā rahā hai. Wahāṅ duniyā ke tamām ra'īs aur aqwām ke tamām bādshāh apne taḳhtoṅ se khaṛe ho kar terā istiqbāl kareṅge. 10 Sab mil kar tujh se kaheṅge, ‘Ab tū bhī ham jaisā kamzor ho gayā hai, tū bhī hamāre barābar ho gayā hai!’ 11 Terī tamām shān-o-shaukat Pātāl meṅ utar gaī hai, tere sitār ḳhāmosh ho gae haiṅ. Ab kīṛe terā gaddā aur keṅchwe terā kambal hoṅge. 12 Ai sitārā-e-subah ai Ibn-e-sahar, tū āsmān se kis tarah gir gayā hai! Jis ne dīgar mamālik ko shikast dī thī wuh ab ḳhud pāsh pāsh ho gayā hai. 13 Dil meṅ tū ne kahā, ‘Maiṅ āsmān par chaṛh kar apnā taḳht Allāh ke sitāroṅ ke ūpar lagā lūṅgā, maiṅ intahāī shimāl meṅ us pahāṛ par jahāṅ dewatā jamā hote haiṅ taḳhtnashīn hūṅgā. 14 Maiṅ bādaloṅ kī bulandiyoṅ par chaṛh kar Qādir-e-mutlaq ke bilkul barābar ho jāūṅgā.’ 15 Lekin tujhe to Pātāl meṅ utārā jāegā, us ke sab se gahre gaṛhe meṅ girāyā jāegā. 16 Jo bhī tujh par nazar ḍālegā wuh ġhaur se dekh kar pūchhegā, ‘Kyā yihī wuh ādmī hai jis ne zamīn ko hilā diyā, jis ke sāmne dīgar mamālik kāṅp uṭhe? 17 Kyā isī ne duniyā ko wīrān kar diyā aur us ke shahroṅ ko ḍhā kar qaidiyoṅ ko ghar wāpas jāne kī ijāzat na dī?’ 18 Dīgar mamālik ke tamām bādshāh baṛī izzat ke sāth apne apne maqbaroṅ meṅ paṛe hue haiṅ. 19 Lekin tujhe apnī qabr se dūr kisī bekār koṅpal kī tarah phaiṅk diyā jāegā. Tujhe maqtūloṅ se ḍhāṅkā jāegā, un se jin ko talwār se chhedā gayā hai, jo pathrīle gaṛhoṅ meṅ utar gae haiṅ. Tū pāṅwoṅ tale raundī huī lāsh jaisā hogā, 20 aur tadfīn ke waqt tū dīgar bādshāhoṅ se jā nahīṅ milegā. Kyoṅki tū ne apne mulk ko tabāh aur apnī qaum ko halāk kar diyā hai. Chunāṅche ab se abad tak in bedīnoṅ kī aulād kā zikr tak nahīṅ kiyā jāegā. 21 Is ādmī ke beṭoṅ ko phāṅsī dene kī jagah taiyār karo! Kyoṅki un ke bāpdādā kā qusūr itnā sangīn hai ki unheṅ marnā hī hai. Aisā na ho ki wuh dubārā uṭh kar duniyā par qabzā kar leṅ, ki rū-e-zamīn un ke shahroṅ se bhar jāe.” 22 Rabbul-afwāj farmātā hai, “Maiṅ un ke ḳhilāf yoṅ uṭhūṅgā ki Bābal kā nām-o-nishān tak nahīṅ rahegā. Maiṅ us kī aulād ko rū-e-zamīn par se miṭā dūṅgā, aur ek bhī nahīṅ bachne kā. 23 Bābal ḳhārpusht kā maskan aur daldal kā ilāqā ban jāegā, kyoṅki maiṅ ḳhud us meṅ tabāhī kā jhāṛū pher dūṅgā.” Yih Rabbul-afwāj kā farmān hai. 24 Rabbul-afwāj ne qasam khā kar farmāyā hai, “Yaqīnan sab kuchh mere mansūbe ke mutābiq hī hogā, merā irādā zarūr pūrā ho jāegā. 25 Maiṅ Asūr ko apne mulk meṅ chaknāchūr kar dūṅgā aur use apne pahāṛoṅ par kuchal ḍālūṅgā. Tab us kā juā merī qaum par se dūr ho jāegā, aur us kā bojh us ke kandhoṅ par se utar jāegā.” 26 Pūrī duniyā ke bāre meṅ yih mansūbā aṭal hai, aur Rab apnā hāth tamām qaumoṅ ke ḳhilāf baṛhā chukā hai. 27 Rabbul-afwāj ne faislā kar liyā hai, to kaun ise mansūḳh karegā? Us ne apnā hāth baṛhā diyā hai, to kaun use rokegā? 28 Zail kā kalām us sāl nāzil huā jab Āḳhaz Bādshāh ne wafāt pāī. 29 Ai tamām Filistī mulk, is par ḳhushī mat manā ki hameṅ mārne wālī lāṭhī ṭūṭ gaī hai. Kyoṅki sāṅp kī bachī huī jaṛ se zahrīlā sāṅp phūṭ niklegā, aur us kā phal sholāfishāṅ uṛanazhdahā hogā. 30 Tab zarūratmandoṅ ko charāgāh milegī, aur ġharīb mahfūz jagah par ārām kareṅge. Lekin terī jaṛ ko maiṅ kāl se mār dūṅgā, aur jo bach jāeṅ unheṅ bhī halāk kar dūṅgā. 31 Ai shahr ke darwāze, wāwailā kar! Ai shahr, zor se chīḳheṅ mār! Ai filistiyo, himmat hār kar laṛkhaṛāte jāo. Kyoṅki shimāl se tumhārī taraf dhuāṅ baṛh rahā hai, aur us kī safoṅ meṅ pīchhe rahne wālā koī nahīṅ hai. 32 To phir hamāre pās bheje hue qāsidoṅ ko ham kyā jawāb deṅ? Yih ki Rab ne Siyyūn ko qāym rakhā hai, ki us kī qaum ke mazlūm usī meṅ panāh leṅge.