Isaiah 40 (UGV3)

1 Tumhārā Rab farmātā hai, “Tasallī do, merī qaum ko tasallī do! 2 Narmī se Yarūshalam se bāt karo, buland āwāz se use batāo ki terī ġhulāmī ke din pūre ho gae haiṅ, terā qusūr muāf ho gayā hai. Kyoṅki tujhe Rab ke hāth se tamām gunāhoṅ kī dugnī sazā mil gaī hai.” 3 Ek āwāz pukār rahī hai, “Registān meṅ Rab kī rāh taiyār karo! Bayābān meṅ hamāre Ḳhudā kā rāstā sīdhā banāo. 4 Lāzim hai ki har wādī bhar dī jāe, zarūrī hai ki har pahāṛ aur buland jagah maidān ban jāe. Jo ṭeṛhā hai use sīdhā kiyā jāe, jo nāhamwār hai use hamwār kiyā jāe. 5 Tab Allāh kā jalāl zāhir ho jāegā, aur tamām insān mil kar use dekheṅge. Yih Rab ke apne muṅh kā farmān hai.” 6 Ek āwāz ne kahā, “Zor se āwāz de!” Maiṅ ne pūchhā, “Maiṅ kyā kahūṅ?” “Yih ki tamām insān ghās hī haiṅ, un kī tamām shān-o-shaukat janglī phūl kī mānind hai. 7 Jab Rab kā sāṅs un par se guzare to ghās murjhā jātī aur phūl gir jātā hai, kyoṅki insān ghās hī hai. 8 Ghās to murjhā jātī aur phūl gir jātā hai, lekin hamāre Ḳhudā kā kalām abad tak qāym rahtā hai.” 9 Ai Siyyūn, ai ḳhushḳhabrī ke paiġhambar, bulandiyoṅ par chaṛh jā! Ai Yarūshalam, ai ḳhushḳhabrī ke paiġhambar, zor se āwāz de! Pukār kar kah aur ḳhauf mat khā. Yahūdāh ke shahroṅ ko batā, “Wuh dekho, tumhārā Ḳhudā!” 10 Dekho, Rab Qādir-e-mutlaq baṛī qudrat ke sāth ā rahā hai, wuh baṛī tāqat ke sāth hukūmat karegā. Dekho, us kā ajr us ke pās hai, aur us kā inām us ke āge āge chaltā hai. 11 Wuh charwāhe kī tarah apne galle kī gallābānī karegā. Wuh bheṛ ke bachchoṅ ko apne bāzuoṅ meṅ mahfūz rakh kar sīne ke sāth lagāe phiregā aur un kī māoṅ ko baṛe dhyān se apne sāth le chalegā. 12 Kis ne apne hāth se duniyā kā pānī nāp liyā hai? Kis ne apne hāth se āsmān kī paimāish kī hai? Kis ne zamīn kī miṭṭī kī miqdār mālūm kī yā tarāzū se pahāṛoṅ kā kul wazn muta'ayyin kiyā hai? 13 Kis ne Rab ke Rūh kī tahqīq kar pāī? Kyā us kā koī mushīr hai jo use tālīm de? 14 Kyā use kisī se mashwarā lene kī zarūrat hai tāki use samajh ā kar rāst rāh kī tālīm mil jāe? Hargiz nahīṅ! Kyā kisī ne kabhī use ilm-o-irfān yā samajhdār zindagī guzārne kā fan sikhāyā hai? Hargiz nahīṅ! 15 Yaqīnan tamām aqwām Rab ke nazdīk bālṭī ke ek qatre yā tarāzū meṅ gard kī mānind haiṅ. Jazīroṅ ko wuh ret ke zarroṅ kī tarah uṭhā letā hai. 16 Ḳhāh Lubnān ke tamām daraḳht aur jānwar Rab ke lie qurbān kyoṅ na hote to bhī munāsib qurbānī ke lie kāfī na hote. 17 Us ke sāmne tamām aqwām kuchh bhī nahīṅ haiṅ. Us kī nazar meṅ wuh hech aur nāchīz haiṅ. 18 Allāh kā muwāzanā kis se ho saktā hai? Us kā muqābalā kis taswīr yā mujassame se ho saktā hai? 19 But to yoṅ bantā hai ki pahle dastkār use ḍhāl detā hai, phir sunār us par sonā chaṛhā kar use chāṅdī kī zanjīroṅ se sajā detā hai. 20 Jo ġhurbat ke bāis yih nahīṅ karwā saktā wuh kam az kam koī aisī lakaṛī chun letā hai jo gal saṛ nahīṅ jātī. Phir wuh kisī māhir dastkār se but ko yoṅ banwātā hai ki wuh apnī jagah se na hile. 21 Kyā tum ko mālūm nahīṅ? Kyā tum ne bāt nahīṅ sunī? Kyā tumheṅ ibtidā se sunāyā nahīṅ gayā? Kyā tumheṅ duniyā ke qiyām se le kar āj tak samajh nahīṅ āī? 22 Rab rū-e-zamīn ke ūpar bulandiyoṅ par taḳhtnashīn hai jahāṅ se insān ṭiḍḍiyoṅ jaise lagte haiṅ. Wuh āsmān ko parde kī tarah tān kar aur har taraf khīṅch kar rahne ke qābil ḳhaimā banā detā hai. 23 Wuh sardāroṅ ko nāchīz aur duniyā ke qāziyoṅ ko hech banā detā hai. 24 Wuh nae paudoṅ kī mānind haiṅ jin kī panīrī abhī abhī lagī hai, bīj abhī abhī boe gae haiṅ, paudoṅ ne abhī abhī jaṛ pakaṛī hai ki Rab un par phūṅk mārtā hai aur wuh murjhā jāte haiṅ. Tab āṅdhī unheṅ bhūse kī tarah uṛā le jātī hai. 25 Quddūs Ḳhudā farmātā hai, “Tum merā muwāzanā kis se karnā chāhte ho? Kaun mere barābar hai?” 26 Apnī nazar uṭhā kar āsmān kī taraf dekho. Kis ne yih sab kuchh ḳhalaq kiyā? Wuh jo āsmānī lashkar kī pūrī tādād bāhar lā kar har ek ko nām le kar bulātā hai. Us kī qudrat aur zabardast tāqat itnī azīm hai ki ek bhī dūr nahīṅ rahtā. 27 Ai Yāqūb kī qaum, tū kyoṅ kahtī hai ki merī rāh Rab kī nazar se chhupī rahtī hai? Ai Isrāīl, tū kyoṅ shikāyat kartā hai ki merā muāmalā mere Ḳhudā ke ilm meṅ nahīṅ ātā? 28 Kyā tujhe mālūm nahīṅ, kyā tū ne nahīṅ sunā ki Rab lāzawāl Ḳhudā aur duniyā kī intahā tak kā Ḳhāliq hai? Wuh kabhī nahīṅ thaktā, kabhī niḍhāl nahīṅ hotā. Koī bhī us kī samajh kī gahrāiyoṅ tak nahīṅ pahuṅch saktā. 29 Wuh thakemāndoṅ ko tāzagī aur bebasoṅ ko taqwiyat detā hai. 30 Go naujawān thak kar niḍhāl ho jāeṅ aur jawān ādmī ṭhokar khā kar gir jāeṅ, 31 lekin Rab se ummīd rakhne wāle naī tāqat pāeṅge aur uqāb ke-se par phailā kar bulandiyoṅ tak uṛeṅge. Na wuh dauṛte hue thakeṅge, na chalte hue niḍhāl ho jāeṅge.

In Other Versions

Isaiah 40 in the ANGEFD

Isaiah 40 in the ANTPNG2D

Isaiah 40 in the AS21

Isaiah 40 in the BAGH

Isaiah 40 in the BBPNG

Isaiah 40 in the BBT1E

Isaiah 40 in the BDS

Isaiah 40 in the BEV

Isaiah 40 in the BHAD

Isaiah 40 in the BIB

Isaiah 40 in the BLPT

Isaiah 40 in the BNT

Isaiah 40 in the BNTABOOT

Isaiah 40 in the BNTLV

Isaiah 40 in the BOATCB

Isaiah 40 in the BOATCB2

Isaiah 40 in the BOBCV

Isaiah 40 in the BOCNT

Isaiah 40 in the BOECS

Isaiah 40 in the BOGWICC

Isaiah 40 in the BOHCB

Isaiah 40 in the BOHCV

Isaiah 40 in the BOHLNT

Isaiah 40 in the BOHNTLTAL

Isaiah 40 in the BOICB

Isaiah 40 in the BOILNTAP

Isaiah 40 in the BOITCV

Isaiah 40 in the BOKCV

Isaiah 40 in the BOKCV2

Isaiah 40 in the BOKHWOG

Isaiah 40 in the BOKSSV

Isaiah 40 in the BOLCB

Isaiah 40 in the BOLCB2

Isaiah 40 in the BOMCV

Isaiah 40 in the BONAV

Isaiah 40 in the BONCB

Isaiah 40 in the BONLT

Isaiah 40 in the BONUT2

Isaiah 40 in the BOPLNT

Isaiah 40 in the BOSCB

Isaiah 40 in the BOSNC

Isaiah 40 in the BOTLNT

Isaiah 40 in the BOVCB

Isaiah 40 in the BOYCB

Isaiah 40 in the BPBB

Isaiah 40 in the BPH

Isaiah 40 in the BSB

Isaiah 40 in the CCB

Isaiah 40 in the CUV

Isaiah 40 in the CUVS

Isaiah 40 in the DBT

Isaiah 40 in the DGDNT

Isaiah 40 in the DHNT

Isaiah 40 in the DNT

Isaiah 40 in the ELBE

Isaiah 40 in the EMTV

Isaiah 40 in the ESV

Isaiah 40 in the FBV

Isaiah 40 in the FEB

Isaiah 40 in the GGMNT

Isaiah 40 in the GNT

Isaiah 40 in the HARY

Isaiah 40 in the HNT

Isaiah 40 in the IRVA

Isaiah 40 in the IRVB

Isaiah 40 in the IRVG

Isaiah 40 in the IRVH

Isaiah 40 in the IRVK

Isaiah 40 in the IRVM

Isaiah 40 in the IRVM2

Isaiah 40 in the IRVO

Isaiah 40 in the IRVP

Isaiah 40 in the IRVT

Isaiah 40 in the IRVT2

Isaiah 40 in the IRVU

Isaiah 40 in the ISVN

Isaiah 40 in the JSNT

Isaiah 40 in the KAPI

Isaiah 40 in the KBT1ETNIK

Isaiah 40 in the KBV

Isaiah 40 in the KJV

Isaiah 40 in the KNFD

Isaiah 40 in the LBA

Isaiah 40 in the LBLA

Isaiah 40 in the LNT

Isaiah 40 in the LSV

Isaiah 40 in the MAAL

Isaiah 40 in the MBV

Isaiah 40 in the MBV2

Isaiah 40 in the MHNT

Isaiah 40 in the MKNFD

Isaiah 40 in the MNG

Isaiah 40 in the MNT

Isaiah 40 in the MNT2

Isaiah 40 in the MRS1T

Isaiah 40 in the NAA

Isaiah 40 in the NASB

Isaiah 40 in the NBLA

Isaiah 40 in the NBS

Isaiah 40 in the NBVTP

Isaiah 40 in the NET2

Isaiah 40 in the NIV11

Isaiah 40 in the NNT

Isaiah 40 in the NNT2

Isaiah 40 in the NNT3

Isaiah 40 in the PDDPT

Isaiah 40 in the PFNT

Isaiah 40 in the RMNT

Isaiah 40 in the SBIAS

Isaiah 40 in the SBIBS

Isaiah 40 in the SBIBS2

Isaiah 40 in the SBICS

Isaiah 40 in the SBIDS

Isaiah 40 in the SBIGS

Isaiah 40 in the SBIHS

Isaiah 40 in the SBIIS

Isaiah 40 in the SBIIS2

Isaiah 40 in the SBIIS3

Isaiah 40 in the SBIKS

Isaiah 40 in the SBIKS2

Isaiah 40 in the SBIMS

Isaiah 40 in the SBIOS

Isaiah 40 in the SBIPS

Isaiah 40 in the SBISS

Isaiah 40 in the SBITS

Isaiah 40 in the SBITS2

Isaiah 40 in the SBITS3

Isaiah 40 in the SBITS4

Isaiah 40 in the SBIUS

Isaiah 40 in the SBIVS

Isaiah 40 in the SBT

Isaiah 40 in the SBT1E

Isaiah 40 in the SCHL

Isaiah 40 in the SNT

Isaiah 40 in the SUSU

Isaiah 40 in the SUSU2

Isaiah 40 in the SYNO

Isaiah 40 in the TBIAOTANT

Isaiah 40 in the TBT1E

Isaiah 40 in the TBT1E2

Isaiah 40 in the TFTIP

Isaiah 40 in the TFTU

Isaiah 40 in the TGNTATF3T

Isaiah 40 in the THAI

Isaiah 40 in the TNFD

Isaiah 40 in the TNT

Isaiah 40 in the TNTIK

Isaiah 40 in the TNTIL

Isaiah 40 in the TNTIN

Isaiah 40 in the TNTIP

Isaiah 40 in the TNTIZ

Isaiah 40 in the TOMA

Isaiah 40 in the TTENT

Isaiah 40 in the UBG

Isaiah 40 in the UGV

Isaiah 40 in the UGV2

Isaiah 40 in the VBL

Isaiah 40 in the VDCC

Isaiah 40 in the YALU

Isaiah 40 in the YAPE

Isaiah 40 in the YBVTP

Isaiah 40 in the ZBP