Matthew 13 (UGV3)

1 Usī din Īsā ghar se nikal kar jhīl ke kināre baiṭh gayā. 2 Itnā baṛā hujūm us ke gird jamā ho gayā ki āḳhirkār wuh ek kashtī meṅ baiṭh gayā jabki log kināre par khaṛe rahe. 3 Phir us ne unheṅ bahut-sī bāteṅ tamsīloṅ meṅ sunāīṅ.“Ek kisān bīj bone ke lie niklā. 4 Jab bīj idhar-udhar bikhar gayā to kuchh dāne rāste par gire aur parindoṅ ne ā kar unheṅ chug liyā. 5 Kuchh pathrīlī zamīn par gire jahāṅ miṭṭī kī kamī thī. Wuh jald ug āe kyoṅki miṭṭī gahrī nahīṅ thī. 6 Lekin jab sūraj niklā to paude jhulas gae aur chūṅki wuh jaṛ na pakaṛ sake is lie sūkh gae. 7 Kuchh ḳhudrau kāṅṭedār paudoṅ ke darmiyān bhī gire. Wahāṅ wuh ugne to lage, lekin ḳhudrau paudoṅ ne sāth sāth baṛh kar unheṅ phalne-phūlne na diyā. Chunāṅche wuh bhī ḳhatm ho gae. 8 Lekin aise dāne bhī the jo zarḳhez zamīn meṅ gire aur baṛhte baṛhte tīs gunā, sāṭh gunā balki sau gunā tak zyādā phal lāe. 9 Jo sun saktā hai wuh sun le!” 10 Shāgird us ke pās ā kar pūchhne lage, “Āp logoṅ se tamsīloṅ meṅ bāt kyoṅ karte haiṅ?” 11 Us ne jawāb diyā, “Tum ko to āsmān kī bādshāhī ke bhed samajhne kī liyāqat dī gaī hai, lekin unheṅ yih liyāqat nahīṅ dī gaī. 12 Jis ke pās kuchh hai use aur diyā jāegā aur us ke pās kasrat kī chīzeṅ hoṅgī. Lekin jis ke pās kuchh nahīṅ hai us se wuh bhī chhīn liyā jāegā jo us ke pās hai. 13 Is lie maiṅ tamsīloṅ meṅ un se bāt kartā hūṅ. Kyoṅki wuh deḳhte hue kuchh nahīṅ deḳhte, wuh sunte hue kuchh nahīṅ sunte aur kuchh nahīṅ samajhte. 14 Un meṅ Yasāyāh Nabī kī yih peshgoī pūrī ho rahī hai:‘Tum apne kānoṅ se sunogemagar kuchh nahīṅ samjhoge,tum apnī āṅkhoṅ se dekhogemagar kuchh nahīṅ jānoge. 15 Kyoṅki is qaum kā dil behis ho gayā hai.Wuh mushkil se apne kānoṅ se sunte haiṅ,unhoṅ ne apnī āṅkhoṅ ko band kar rakhā hai,aisā na ho ki wuh apnī āṅkhoṅ se dekheṅ,apne kānoṅ se suneṅ,apne dil se samjheṅ,merī taraf rujū kareṅaur maiṅ unheṅ shifā dūṅ.’ 16 Lekin tumhārī āṅkheṅ mubārak haiṅ kyoṅki wuh dekh saktī haiṅ aur tumhāre kān mubārak haiṅ kyoṅki wuh sun sakte haiṅ. 17 Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki jo kuchh tum dekh rahe ho bahut-se nabī aur rāstbāz ise dekh na pāe agarche wuh is ke ārzūmand the. Aur jo kuchh tum sun rahe ho ise wuh sunane na pāe, agarche wuh is ke ḳhāhishmand the. 18 Ab suno ki bīj bone wāle kī tamsīl kā matlab kyā hai. 19 Rāste par gire hue dāne wuh log haiṅ jo bādshāhī kā kalām sunte to haiṅ, lekin use samajhte nahīṅ. Phir Iblīs ā kar wuh kalām chhīn letā hai jo un ke diloṅ meṅ boyā gayā hai. 20 Pathrīlī zamīn par gire hue dāne wuh log haiṅ jo kalām sunte hī use ḳhushī se qabūl to kar lete haiṅ, 21 lekin wuh jaṛ nahīṅ pakaṛte aur is lie zyādā der tak qāym nahīṅ rahte. Jyoṅ hī wuh kalām par īmān lāne ke bāis kisī musībat yā īzārasānī se dochār ho jāeṅ to wuh bargashtā ho jāte haiṅ. 22 Ḳhudrau kāṅṭedār paudoṅ ke darmiyān gire hue dāne wuh log haiṅ jo kalām sunte to haiṅ, lekin phir rozmarrā kī pareshāniyāṅ aur daulat kā fareb kalām ko phalne-phūlne nahīṅ detā. Natīje meṅ wuh phal lāne tak nahīṅ pahuṅchtā. 23 Is ke muqābale meṅ zarḳhez zamīn meṅ gire hue dāne wuh log haiṅ jo kalām ko sun kar use samajh lete aur baṛhte baṛhte tīs gunā, sāṭh gunā balki sau gunā tak phal lāte haiṅ.” 24 Īsā ne unheṅ ek aur tamsīl sunāī. “Āsmān kī bādshāhī us kisān se mutābiqat rakhtī hai jis ne apne khet meṅ achchhā bīj bo diyā. 25 Lekin jab log so rahe the to us ke dushman ne ā kar anāj ke paudoṅ ke darmiyān ḳhudrau paudoṅ kā bīj bo diyā. Phir wuh chalā gayā. 26 Jab anāj phūṭ niklā aur fasal pakne lagī to ḳhudrau paude bhī nazar āe. 27 Naukar mālik ke pās āe aur kahne lage, ‘Janāb, kyā āp ne apne khet meṅ achchhā bīj nahīṅ boyā thā? To phir yih ḳhudrau paude kahāṅ se ā gae haiṅ?’ 28 Us ne jawāb diyā, ‘Kisī dushman ne yih kar diyā hai.’Naukaroṅ ne pūchhā, ‘Kyā ham jā kar unheṅ ukhāṛeṅ?’ 29 ‘Nahīṅ,’ us ne kahā. ‘Aisā na ho ki ḳhudrau paudoṅ ke sāth sāth tum anāj ke paude bhī ukhāṛ ḍālo. 30 Unheṅ fasal kī kaṭāī tak mil kar baṛhne do. Us waqt maiṅ fasal kī kaṭāī karne wāloṅ se kahūṅgā ki pahle ḳhudrau paudoṅ ko chun lo aur unheṅ jalāne ke lie gaṭhoṅ meṅ bāndh lo. Phir hī anāj ko jamā karke godām meṅ lāo.’” 31 Īsā ne unheṅ ek aur tamsīl sunāī. “Āsmān kī bādshāhī rāī ke dāne kī mānind hai jo kisī ne le kar apne khet meṅ bo diyā. 32 Go yih bījoṅ meṅ sab se chhoṭā dānā hai, lekin baṛhte baṛhte yih sabziyoṅ meṅ sab se baṛā ho jātā hai. Balki yih daraḳht-sā ban jātā hai aur parinde ā kar us kī shāḳhoṅ meṅ ghoṅsle banā lete haiṅ.” 33 Us ne unheṅ ek aur tamsīl bhī sunāī. “Āsmān kī bādshāhī ḳhamīr kī mānind hai jo kisī aurat ne le kar taqrīban 27 kilogrām āṭe meṅ milā diyā. Go wuh us meṅ chhup gayā to bhī hote hote pūre gundhe hue āṭe ko ḳhamīr banā diyā.” 34 Īsā ne yih tamām bāteṅ hujūm ke sāmne tamsīloṅ kī sūrat meṅ kīṅ. Tamsīl ke baġhair us ne un se bāt hī nahīṅ kī. 35 Yoṅ nabī kī yih peshgoī pūrī huī ki “Maiṅ tamsīloṅ meṅ bāt karūṅga, maiṅ duniyā kī taḳhlīq se le kar āj tak chhupī huī bāteṅ bayān karūṅga.” 36 Phir Īsā hujūm ko ruḳhsat karke ghar ke andar chalā gayā. Us ke shāgird us ke pās ā kar kahne lage, “Khet meṅ ḳhudrau paudoṅ kī tamsīl kā matlab hameṅ samjhāeṅ.” 37 Us ne jawāb diyā, “Achchhā bīj bone wālā Ibn-e-Ādam hai. 38 Khet duniyā hai jabki achchhe bīj se murād bādshāhī ke farzand haiṅ. Ḳhudrau paude Iblīs ke farzand haiṅ 39 aur unheṅ bone wālā dushman Iblīs hai. Fasal kī kaṭāī kā matlab duniyā kā iḳhtitām hai jabki fasal kī kaṭāī karne wāle farishte haiṅ. 40 Jis tarah tamsīl meṅ ḳhudrau paude ukhāṛe jāte aur āg meṅ jalāe jāte haiṅ usī tarah duniyā ke iḳhtitām par bhī kiyā jāegā. 41 Ibn-e-Ādam apne farishtoṅ ko bhej degā, aur wuh us kī bādshāhī se bargashtagī kā har sabab aur sharīat kī ḳhilāfwarzī karne wāle har shaḳhs ko nikālte jāeṅge. 42 Wuh unheṅ bhaṛaktī bhaṭṭī meṅ phaiṅk deṅge jahāṅ log rote aur dāṅt pīste raheṅge. 43 Phir rāstbāz apne Bāp kī bādshāhī meṅ sūraj kī tarah chamkeṅge. Jo sun saktā hai wuh sun le! 44 Āsmān kī bādshāhī khet meṅ chhupe ḳhazāne kī mānind hai. Jab kisī ādmī ko us ke bāre meṅ mālūm huā to us ne use dubārā chhupā diyā. Phir wuh ḳhushī ke māre chalā gayā, apnī tamām milkiyat faroḳht kar dī aur us khet ko ḳharīd liyā. 45 Nīz, āsmān kī bādshāhī aise saudāgar kī mānind hai jo achchhe motiyoṅ kī talāsh meṅ thā. 46 Jab use ek nihāyat qīmtī motī ke bāre meṅ mālūm huā to wuh chalā gayā, apnī tamām milkiyat faroḳht kar dī aur us motī ko ḳharīd liyā. 47 Āsmān kī bādshāhī jāl kī mānind bhī hai. Use jhīl meṅ ḍālā gayā to har qism kī machhliyāṅ pakaṛī gaīṅ. 48 Jab wuh bhar gayā to machheroṅ ne use kināre par khīṅch liyā. Phir unhoṅ ne baiṭh kar qābil-e-istemāl machhliyāṅ chun kar ṭokriyoṅ meṅ ḍāl dīṅ aur nāqābil-e-istemāl machhliyāṅ phaiṅk dīṅ. 49 Duniyā ke iḳhtitām par aisā hī hogā. Farishte āeṅge aur bure logoṅ ko rāstbāzoṅ se alag karke 50 unheṅ bhaṛaktī bhaṭṭī meṅ phaiṅk deṅge jahāṅ log rote aur dāṅt pīste raheṅge.” 51 Īsā ne pūchhā, “Kyā tum ko in tamām bātoṅ kī samajh ā gaī hai?”“Jī,” shāgirdoṅ ne jawāb diyā. 52 Us ne un se kahā, “Is lie sharīat kā har ālim jo āsmān kī bādshāhī meṅ shāgird ban gayā hai aise mālik-e-makān kī mānind hai jo apne ḳhazāne se nae aur purāne jawāhar nikāltā hai.” 53 Yih tamsīleṅ sunāne ke bād Īsā wahāṅ se chalā gayā. 54 Apne watanī shahr Nāsarat pahuṅch kar wuh ibādatḳhāne meṅ logoṅ ko tālīm dene lagā. Us kī bāteṅ sun kar wuh hairatzadā hue. Unhoṅ ne pūchhā, “Use yih hikmat aur mojize karne kī yih qudrat kahāṅ se hāsil huī hai? 55 Kyā yih baṛhaī kā beṭā nahīṅ hai? Kyā us kī māṅ kā nām Mariyam nahīṅ hai, aur kyā us ke bhāī Yāqūb, Yūsuf, Shamāūn aur Yahūdāh nahīṅ haiṅ? 56 Kyā us kī bahneṅ hamāre sāth nahīṅ rahtīṅ? To phir use yih sab kuchh kahāṅ se mil gayā?” 57 Yoṅ wuh us se ṭhokar khā kar use qabūl karne se qāsir rahe.Īsā ne un se kahā, “Nabī kī izzat har jagah kī jātī hai siwāe us ke watanī shahr aur us ke apne ḳhāndān ke.” 58 Aur un ke īmān kī kamī ke bāis us ne wahāṅ zyādā mojize na kie

In Other Versions

Matthew 13 in the ANGEFD

Matthew 13 in the ANTPNG2D

Matthew 13 in the AS21

Matthew 13 in the BAGH

Matthew 13 in the BBPNG

Matthew 13 in the BBT1E

Matthew 13 in the BDS

Matthew 13 in the BEV

Matthew 13 in the BHAD

Matthew 13 in the BIB

Matthew 13 in the BLPT

Matthew 13 in the BNT

Matthew 13 in the BNTABOOT

Matthew 13 in the BNTLV

Matthew 13 in the BOATCB

Matthew 13 in the BOATCB2

Matthew 13 in the BOBCV

Matthew 13 in the BOCNT

Matthew 13 in the BOECS

Matthew 13 in the BOGWICC

Matthew 13 in the BOHCB

Matthew 13 in the BOHCV

Matthew 13 in the BOHLNT

Matthew 13 in the BOHNTLTAL

Matthew 13 in the BOICB

Matthew 13 in the BOILNTAP

Matthew 13 in the BOITCV

Matthew 13 in the BOKCV

Matthew 13 in the BOKCV2

Matthew 13 in the BOKHWOG

Matthew 13 in the BOKSSV

Matthew 13 in the BOLCB

Matthew 13 in the BOLCB2

Matthew 13 in the BOMCV

Matthew 13 in the BONAV

Matthew 13 in the BONCB

Matthew 13 in the BONLT

Matthew 13 in the BONUT2

Matthew 13 in the BOPLNT

Matthew 13 in the BOSCB

Matthew 13 in the BOSNC

Matthew 13 in the BOTLNT

Matthew 13 in the BOVCB

Matthew 13 in the BOYCB

Matthew 13 in the BPBB

Matthew 13 in the BPH

Matthew 13 in the BSB

Matthew 13 in the CCB

Matthew 13 in the CUV

Matthew 13 in the CUVS

Matthew 13 in the DBT

Matthew 13 in the DGDNT

Matthew 13 in the DHNT

Matthew 13 in the DNT

Matthew 13 in the ELBE

Matthew 13 in the EMTV

Matthew 13 in the ESV

Matthew 13 in the FBV

Matthew 13 in the FEB

Matthew 13 in the GGMNT

Matthew 13 in the GNT

Matthew 13 in the HARY

Matthew 13 in the HNT

Matthew 13 in the IRVA

Matthew 13 in the IRVB

Matthew 13 in the IRVG

Matthew 13 in the IRVH

Matthew 13 in the IRVK

Matthew 13 in the IRVM

Matthew 13 in the IRVM2

Matthew 13 in the IRVO

Matthew 13 in the IRVP

Matthew 13 in the IRVT

Matthew 13 in the IRVT2

Matthew 13 in the IRVU

Matthew 13 in the ISVN

Matthew 13 in the JSNT

Matthew 13 in the KAPI

Matthew 13 in the KBT1ETNIK

Matthew 13 in the KBV

Matthew 13 in the KJV

Matthew 13 in the KNFD

Matthew 13 in the LBA

Matthew 13 in the LBLA

Matthew 13 in the LNT

Matthew 13 in the LSV

Matthew 13 in the MAAL

Matthew 13 in the MBV

Matthew 13 in the MBV2

Matthew 13 in the MHNT

Matthew 13 in the MKNFD

Matthew 13 in the MNG

Matthew 13 in the MNT

Matthew 13 in the MNT2

Matthew 13 in the MRS1T

Matthew 13 in the NAA

Matthew 13 in the NASB

Matthew 13 in the NBLA

Matthew 13 in the NBS

Matthew 13 in the NBVTP

Matthew 13 in the NET2

Matthew 13 in the NIV11

Matthew 13 in the NNT

Matthew 13 in the NNT2

Matthew 13 in the NNT3

Matthew 13 in the PDDPT

Matthew 13 in the PFNT

Matthew 13 in the RMNT

Matthew 13 in the SBIAS

Matthew 13 in the SBIBS

Matthew 13 in the SBIBS2

Matthew 13 in the SBICS

Matthew 13 in the SBIDS

Matthew 13 in the SBIGS

Matthew 13 in the SBIHS

Matthew 13 in the SBIIS

Matthew 13 in the SBIIS2

Matthew 13 in the SBIIS3

Matthew 13 in the SBIKS

Matthew 13 in the SBIKS2

Matthew 13 in the SBIMS

Matthew 13 in the SBIOS

Matthew 13 in the SBIPS

Matthew 13 in the SBISS

Matthew 13 in the SBITS

Matthew 13 in the SBITS2

Matthew 13 in the SBITS3

Matthew 13 in the SBITS4

Matthew 13 in the SBIUS

Matthew 13 in the SBIVS

Matthew 13 in the SBT

Matthew 13 in the SBT1E

Matthew 13 in the SCHL

Matthew 13 in the SNT

Matthew 13 in the SUSU

Matthew 13 in the SUSU2

Matthew 13 in the SYNO

Matthew 13 in the TBIAOTANT

Matthew 13 in the TBT1E

Matthew 13 in the TBT1E2

Matthew 13 in the TFTIP

Matthew 13 in the TFTU

Matthew 13 in the TGNTATF3T

Matthew 13 in the THAI

Matthew 13 in the TNFD

Matthew 13 in the TNT

Matthew 13 in the TNTIK

Matthew 13 in the TNTIL

Matthew 13 in the TNTIN

Matthew 13 in the TNTIP

Matthew 13 in the TNTIZ

Matthew 13 in the TOMA

Matthew 13 in the TTENT

Matthew 13 in the UBG

Matthew 13 in the UGV

Matthew 13 in the UGV2

Matthew 13 in the VBL

Matthew 13 in the VDCC

Matthew 13 in the YALU

Matthew 13 in the YAPE

Matthew 13 in the YBVTP

Matthew 13 in the ZBP