Matthew 19 (UGV3)
1 Yih kahne ke bād Īsā Galīl ko chhoṛ kar Yahūdiyā meṅ Dariyā-e-Yardan ke pār chalā gayā. 2 Baṛā hujūm us ke pīchhe ho liyā aur us ne unheṅ wahāṅ shifā dī. 3 Kuchh Farīsī āe aur use phaṅsāne kī ġharz se sawāl kiyā, “Kyā jāyz hai ki mard apnī bīwī ko kisī bhī wajah se talāq de?” 4 Īsā ne jawāb diyā, “Kyā tum ne kalām-e-muqaddas meṅ nahīṅ paṛhā ki ibtidā meṅ Ḳhāliq ne unheṅ mard aur aurat banāyā? 5 Aur us ne farmāyā, ‘Is lie mard apne māṅ-bāp ko chhoṛ kar apnī bīwī ke sāth paiwast ho jātā hai. Wuh donoṅ ek ho jāte haiṅ.’ 6 Yoṅ wuh kalām-e-muqaddas ke mutābiq do nahīṅ rahte balki ek ho jāte haiṅ. Jise Allāh ne joṛā hai use insān judā na kare.” 7 Unhoṅ ne etarāz kiyā, “To phir Mūsā ne yih kyoṅ farmāyā ki ādmī talāqnāmā likh kar bīwī ko ruḳhsat kar de?” 8 Īsā ne jawāb diyā, “Mūsā ne tumhārī saḳhtdilī kī wajah se tum ko apnī bīwī ko talāq dene kī ijāzat dī. Lekin ibtidā meṅ aisā na thā. 9 Maiṅ tumheṅ batātā hūṅ, jo apnī bīwī ko jis ne zinā na kiyā ho talāq de aur kisī aur se shādī kare, wuh zinā kartā hai.” 10 Shāgirdoṅ ne us se kahā, “Agar shauhar aur bīwī kā āpas kā tālluq aisā hai to shādī na karnā behtar hai.” 11 Īsā ne jawāb diyā, “Har koī yih bāt samajh nahīṅ saktā balki sirf wuh jise is qābil banā diyā gayā ho. 12 Kyoṅki kuchh paidāish hī se shādī karne ke qābil nahīṅ hote, bāz ko dūsroṅ ne yoṅ banāyā hai aur bāz ne āsmān kī bādshāhī kī ḳhātir shādī karne se inkār kiyā hai. Lihāzā jo yih samajh sake wuh samajh le.” 13 Ek din chhoṭe bachchoṅ ko Īsā ke pās lāyā gayā tāki wuh un par apne hāth rakh kar duā kare. Lekin shāgirdoṅ ne lāne wāloṅ ko malāmat kī. 14 Yih dekh kar Īsā ne kahā, “Bachchoṅ ko mere pās āne do aur unheṅ na roko, kyoṅki āsmān kī bādshāhī in jaise logoṅ ko hāsil hai.” 15 Us ne un par apne hāth rakhe aur phir wahāṅ se chalā gayā. 16 Phir ek ādmī Īsā ke pās āyā. Us ne kahā, “Ustād, meṅ kaun-sā nek kām karūṅ tāki abadī zindagī mil jāe?” 17 Īsā ne jawāb diyā, “Tū mujhe nekī ke bāre meṅ kyoṅ pūchh rahā hai? Sirf ek hī nek hai. Lekin agar tū abadī zindagī meṅ dāḳhil honā chāhtā hai to ahkām ke mutābiq zindagī guzār.” 18 Ādmī ne pūchhā, “Kaun-se ahkām?”Īsā ne jawāb diyā, “Qatl na karnā, zinā na karnā, chorī na karnā, jhūṭī gawāhī na denā, 19 apne bāp aur apnī māṅ kī izzat karnā aur apne paṛosī se waisī muhabbat rakhnā jaisī tū apne āp se rakhtā hai.” 20 Jawān ādmī ne jawāb diyā, “Maiṅ ne in tamām ahkām kī pairawī kī hai, ab kyā rah gayā hai?” 21 Īsā ne use batāyā, “Agar tū kāmil honā chāhtā hai to jā aur apnī pūrī jāydād faroḳht karke paise ġharīboṅ meṅ taqsīm kar de. Phir tere lie āsmān par ḳhazānā jamā ho jāegā. Is ke bād ā kar mere pīchhe ho le.” 22 Yih sun kar naujawān māyūs ho kar chalā gayā, kyoṅki wuh nihāyat daulatmand thā. 23 Is par Īsā ne apne shāgirdoṅ se kahā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki daulatmand ke lie āsmān kī bādshāhī meṅ dāḳhil honā mushkil hai. 24 Maiṅ yih dubārā kahtā hūṅ, amīr ke āsmān kī bādshāhī meṅ dāḳhil hone kī nisbat zyādā āsān yih hai ki ūṅṭ sūī ke nāke meṅ se guzar jāe.” 25 Yih sun kar shāgird nihāyat hairatzadā hue aur pūchhne lage, “Phir kis ko najāt hāsil ho saktī hai?” 26 Īsā ne ġhaur se un kī taraf dekh kar jawāb diyā, “Yih insān ke lie to nāmumkin hai, lekin Allāh ke lie sab kuchh mumkin hai.” 27 Phir Patras bol uṭhā, “Ham to apnā sab kuchh chhoṛ kar āp ke pīchhe ho lie haiṅ. Hameṅ kyā milegā?” 28 Īsā ne un se kahā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ, duniyā kī naī taḳhlīq par jab Ibn-e-Ādam apne jalālī taḳht par baiṭhegā to tum bhī jinhoṅ ne merī pairawī kī hai bārah taḳhtoṅ par baiṭh kar Isrāīl ke bārah qabīloṅ kī adālat karoge. 29 Aur jis ne bhī merī ḳhātir apne gharoṅ, bhāiyoṅ, bahnoṅ, bāp, māṅ, bachchoṅ yā khetoṅ ko chhoṛ diyā hai use sau gunā zyādā mil jāegā aur mīrās meṅ abadī zindagī pāegā. 30 Lekin bahut-se log jo ab awwal haiṅ us waqt āḳhir hoṅge aur jo ab āḳhir haiṅ wuh awwal hoṅge.
In Other Versions
Matthew 19 in the ANGEFD
Matthew 19 in the ANTPNG2D
Matthew 19 in the AS21
Matthew 19 in the BAGH
Matthew 19 in the BBPNG
Matthew 19 in the BBT1E
Matthew 19 in the BDS
Matthew 19 in the BEV
Matthew 19 in the BHAD
Matthew 19 in the BIB
Matthew 19 in the BLPT
Matthew 19 in the BNT
Matthew 19 in the BNTABOOT
Matthew 19 in the BNTLV
Matthew 19 in the BOATCB
Matthew 19 in the BOATCB2
Matthew 19 in the BOBCV
Matthew 19 in the BOCNT
Matthew 19 in the BOECS
Matthew 19 in the BOGWICC
Matthew 19 in the BOHCB
Matthew 19 in the BOHCV
Matthew 19 in the BOHLNT
Matthew 19 in the BOHNTLTAL
Matthew 19 in the BOICB
Matthew 19 in the BOILNTAP
Matthew 19 in the BOITCV
Matthew 19 in the BOKCV
Matthew 19 in the BOKCV2
Matthew 19 in the BOKHWOG
Matthew 19 in the BOKSSV
Matthew 19 in the BOLCB
Matthew 19 in the BOLCB2
Matthew 19 in the BOMCV
Matthew 19 in the BONAV
Matthew 19 in the BONCB
Matthew 19 in the BONLT
Matthew 19 in the BONUT2
Matthew 19 in the BOPLNT
Matthew 19 in the BOSCB
Matthew 19 in the BOSNC
Matthew 19 in the BOTLNT
Matthew 19 in the BOVCB
Matthew 19 in the BOYCB
Matthew 19 in the BPBB
Matthew 19 in the BPH
Matthew 19 in the BSB
Matthew 19 in the CCB
Matthew 19 in the CUV
Matthew 19 in the CUVS
Matthew 19 in the DBT
Matthew 19 in the DGDNT
Matthew 19 in the DHNT
Matthew 19 in the DNT
Matthew 19 in the ELBE
Matthew 19 in the EMTV
Matthew 19 in the ESV
Matthew 19 in the FBV
Matthew 19 in the FEB
Matthew 19 in the GGMNT
Matthew 19 in the GNT
Matthew 19 in the HARY
Matthew 19 in the HNT
Matthew 19 in the IRVA
Matthew 19 in the IRVB
Matthew 19 in the IRVG
Matthew 19 in the IRVH
Matthew 19 in the IRVK
Matthew 19 in the IRVM
Matthew 19 in the IRVM2
Matthew 19 in the IRVO
Matthew 19 in the IRVP
Matthew 19 in the IRVT
Matthew 19 in the IRVT2
Matthew 19 in the IRVU
Matthew 19 in the ISVN
Matthew 19 in the JSNT
Matthew 19 in the KAPI
Matthew 19 in the KBT1ETNIK
Matthew 19 in the KBV
Matthew 19 in the KJV
Matthew 19 in the KNFD
Matthew 19 in the LBA
Matthew 19 in the LBLA
Matthew 19 in the LNT
Matthew 19 in the LSV
Matthew 19 in the MAAL
Matthew 19 in the MBV
Matthew 19 in the MBV2
Matthew 19 in the MHNT
Matthew 19 in the MKNFD
Matthew 19 in the MNG
Matthew 19 in the MNT
Matthew 19 in the MNT2
Matthew 19 in the MRS1T
Matthew 19 in the NAA
Matthew 19 in the NASB
Matthew 19 in the NBLA
Matthew 19 in the NBS
Matthew 19 in the NBVTP
Matthew 19 in the NET2
Matthew 19 in the NIV11
Matthew 19 in the NNT
Matthew 19 in the NNT2
Matthew 19 in the NNT3
Matthew 19 in the PDDPT
Matthew 19 in the PFNT
Matthew 19 in the RMNT
Matthew 19 in the SBIAS
Matthew 19 in the SBIBS
Matthew 19 in the SBIBS2
Matthew 19 in the SBICS
Matthew 19 in the SBIDS
Matthew 19 in the SBIGS
Matthew 19 in the SBIHS
Matthew 19 in the SBIIS
Matthew 19 in the SBIIS2
Matthew 19 in the SBIIS3
Matthew 19 in the SBIKS
Matthew 19 in the SBIKS2
Matthew 19 in the SBIMS
Matthew 19 in the SBIOS
Matthew 19 in the SBIPS
Matthew 19 in the SBISS
Matthew 19 in the SBITS
Matthew 19 in the SBITS2
Matthew 19 in the SBITS3
Matthew 19 in the SBITS4
Matthew 19 in the SBIUS
Matthew 19 in the SBIVS
Matthew 19 in the SBT
Matthew 19 in the SBT1E
Matthew 19 in the SCHL
Matthew 19 in the SNT
Matthew 19 in the SUSU
Matthew 19 in the SUSU2
Matthew 19 in the SYNO
Matthew 19 in the TBIAOTANT
Matthew 19 in the TBT1E
Matthew 19 in the TBT1E2
Matthew 19 in the TFTIP
Matthew 19 in the TFTU
Matthew 19 in the TGNTATF3T
Matthew 19 in the THAI
Matthew 19 in the TNFD
Matthew 19 in the TNT
Matthew 19 in the TNTIK
Matthew 19 in the TNTIL
Matthew 19 in the TNTIN
Matthew 19 in the TNTIP
Matthew 19 in the TNTIZ
Matthew 19 in the TOMA
Matthew 19 in the TTENT
Matthew 19 in the UBG
Matthew 19 in the UGV
Matthew 19 in the UGV2
Matthew 19 in the VBL
Matthew 19 in the VDCC
Matthew 19 in the YALU
Matthew 19 in the YAPE
Matthew 19 in the YBVTP
Matthew 19 in the ZBP