Mark 5 (UGV3)

1 Phir wuh jhīl ke pār Garāsā ke ilāqe meṅ pahuṅche. 2 Jab Īsā kashtī se utrā to ek ādmī jo nāpāk rūh kī girift meṅ thā qabroṅ meṅ se nikal kar Īsā ko milā. 3 Yih ādmī qabroṅ meṅ rahtā aur is naubat tak pahuṅch gayā thā ki koī bhī use bāndh na saktā thā, chāhe use zanjīroṅ se bhī bāndhā jātā. 4 Use bahut dafā beṛiyoṅ aur zanjīroṅ se bāndhā gayā thā, lekin jab bhī aisā huā to us ne zanjīroṅ ko toṛ kar beṛiyoṅ ko ṭukṛe ṭukṛe kar diyā thā. Koī bhī use kanṭrol nahīṅ kar saktā thā. 5 Din rāt wuh chīḳheṅ mār mār kar qabroṅ aur pahāṛī ilāqe meṅ ghūmtā-phirtā aur apne āp ko pattharoṅ se zaḳhmī kar letā thā. 6 Īsā ko dūr se dekh kar wuh dauṛā aur us ke sāmne muṅh ke bal girā. 7 Wuh zor se chīḳhā, “Ai Īsā Allāh T'ālā ke Farzand, merā āp ke sāth kyā wāstā hai? Allāh ke nām meṅ āp ko qasam detā hūṅ ki mujhe azāb meṅ na ḍāleṅ.” 8 Kyoṅki Īsā ne use kahā thā, “Ai nāpāk rūh, ādmī meṅ se nikal jā!” 9 Phir Īsā ne pūchhā, “Terā nām kyā hai?”Us ne jawāb diyā, “Lashkar, kyoṅki ham bahut-se haiṅ.” 10 Aur wuh bār bār minnat kartā rahā ki Īsā unheṅ is ilāqe se na nikāle. 11 Us waqt qarīb kī pahāṛī par suaroṅ kā baṛā ġhol char rahā thā. 12 Badrūhoṅ ne Īsā se iltamās kī, “Hameṅ suaroṅ meṅ bhej deṅ, hameṅ un meṅ dāḳhil hone deṅ.” 13 Us ne unheṅ ijāzat dī to badrūheṅ us ādmī meṅ se nikal kar suaroṅ meṅ jā ghusīṅ. Is par pūre ġhol ke taqrīban 2,000 suar bhāg bhāg kar pahāṛī kī ḍhalān par se utre aur jhīl meṅ jhapaṭ kar ḍūb mare. 14 Yih dekh kar suaroṅ ke gallābān bhāg gae. Unhoṅ ne shahr aur dehāt meṅ is bāt kā charchā kiyā to log yih mālūm karne ke lie ki kyā huā hai apnī jaghoṅ se nikal kar Īsā ke pās āe. 15 Us ke pās pahuṅche to wuh ādmī milā jis meṅ pahle badrūhoṅ kā lashkar thā. Ab wuh kapṛe pahne wahāṅ baiṭhā thā aur us kī zahnī hālat ṭhīk thī. Yih dekh kar wuh ḍar gae. 16 Jinhoṅ ne sab kuchh dekhā thā unhoṅ ne logoṅ ko batāyā ki badrūh-giriftā ādmī aur suaroṅ ke sāth kyā huā hai. 17 Phir log Īsā kī minnat karne lage ki wuh un ke ilāqe se chalā jāe. 18 Īsā kashtī par sawār hone lagā to badrūhoṅ se āzād kie gae ādmī ne us se iltamās kī, “Mujhe bhī apne sāth jāne deṅ.” 19 Lekin Īsā ne use sāth jāne na diyā balki kahā, “Apne ghar wāpas chalā jā aur apne azīzoṅ ko sab kuchh batā jo Rab ne tere lie kiyā hai, ki us ne tujh par kitnā rahm kiyā hai.” 20 Chunāṅche ādmī chalā gayā aur Dikapulis ke ilāqe meṅ logoṅ ko batāne lagā ki Īsā ne mere lie kyā kuchh kiyā hai. Aur sab hairatzadā hue. 21 Īsā ne kashtī meṅ baiṭhe jhīl ko dubārā pār kiyā. Jab dūsre kināre pahuṅchā to ek hujūm us ke gird jamā ho gayā. Wuh abhī jhīl ke pās hī thā 22 ki maqāmī ibādatḳhāne kā ek rāhnumā us ke pās āyā. Us kā nām Yāīr thā. Īsā ko dekh kar wuh us ke pāṅwoṅ meṅ gir gayā 23 aur bahut minnat karne lagā, “Merī chhoṭī beṭī marne wālī hai, barāh-e-karm ā kar us par apne hāth rakheṅ tāki wuh shifā pā kar zindā rahe.” 24 Chunāṅche Īsā us ke sāth chal paṛā. Ek baṛī bhīṛ us ke pīchhe lag gaī aur log use gher kar har taraf se dabāne lage. 25 Hujūm meṅ ek aurat thī jo bārah sāl se ḳhūn bahne ke marz se rihāī na pā sakī thī. 26 Bahut ḍākṭaroṅ se apnā ilāj karwā karwā kar use kaī tarah kī musībat jhelnī paṛī thī aur itne meṅ us ke tamām paise bhī ḳharch ho gae the. To bhī koī fāydā na huā thā balki us kī hālat mazīd ḳharāb hotī gaī. 27 Īsā ke bāre meṅ sun kar wuh bhīṛ meṅ shāmil ho gaī thī. Ab pīchhe se ā kar us ne us ke libās ko chhuā, 28 kyoṅki us ne sochā, “Agar maiṅ sirf us ke libās ko hī chhū lūṅ to maiṅ shifā pā lūṅgī.” 29 Ḳhūn bahnā fauran band ho gayā aur us ne apne jism meṅ mahsūs kiyā ki mujhe is aziyatnāk hālat se rihāī mil gaī hai. 30 Lekin usī lamhe Īsā ko ḳhud mahsūs huā ki mujh meṅ se tawānāī niklī hai. Us ne muṛ kar pūchhā, “Kis ne mere kapṛoṅ ko chhuā hai?” 31 Us ke shāgirdoṅ ne jawāb diyā, “Āp ḳhud dekh rahe haiṅ ki hujūm āp ko gher kar dabā rahā hai. To phir āp kis tarah pūchh sakte haiṅ ki kis ne mujhe chhuā?” 32 Lekin Īsā apne chāroṅ taraf deḳhtā rahā ki kis ne yih kiyā hai. 33 Is par wuh aurat yih jān kar ki mere sāth kyā huā hai ḳhauf ke māre laraztī huī us ke pās āī. Wuh us ke sāmne gir paṛī aur use pūrī haqīqat khol kar bayān kī. 34 Īsā ne us se kahā, “Beṭī, tere īmān ne tujhe bachā liyā hai. Salāmatī se jā aur apnī aziyatnāk hālat se bachī rah.” 35 Īsā ne yih bāt abhī ḳhatm nahīṅ kī thī ki ibādatḳhāne ke rāhnumā Yāīr ke ghar kī taraf se kuchh log pahuṅche aur kahā, “Āp kī beṭī faut ho chukī hai, ab ustād ko mazīd taklīf dene kī kyā zarūrat?” 36 Un kī yih bāt nazarandāz karke Īsā ne Yāīr se kahā, “Mat ghabrāo, faqt īmān rakho.” 37 Phir Īsā ne hujūm ko rok liyā aur sirf Patras, Yāqūb aur us ke bhāī Yūhannā ko apne sāth jāne kī ijāzat dī. 38 Jab ibādatḳhāne ke rāhnumā ke ghar pahuṅche to wahāṅ baṛī afrā-tafrī nazar āī. Log ḳhūb giryā-o-zārī kar rahe the. 39 Andar jā kar Īsā ne un se kahā, “Yih kaisā shor-sharābā hai? Kyoṅ ro rahe ho? Laṛkī mar nahīṅ gaī balki so rahī hai.” 40 Log haṅs kar us kā mazāq uṛāne lage. Lekin us ne sab ko bāhar nikāl diyā. Phir sirf laṛkī ke wālidain aur apne tīn shāgirdoṅ ko sāth le kar wuh us kamre meṅ dāḳhil huā jis meṅ laṛkī paṛī thī. 41 Us ne us kā hāth pakaṛ kar kahā, “Talithā qūm!” Is kā matlab hai, “Chhoṭī laṛkī, maiṅ tujhe hukm detā hūṅ ki jāg uṭh.” 42 Laṛkī fauran uṭh kar chalne-phirne lagī. Us kī umr bārah sāl thī. Yih dekh kar log ghabrā kar hairān rah gae. 43 Īsā ne unheṅ sanjīdagī se samjhāyā ki wuh kisī ko bhī is ke bāre meṅ na batāeṅ. Phir us ne unheṅ kahā ki use khāne ko kuchh do.

In Other Versions

Mark 5 in the ANGEFD

Mark 5 in the ANTPNG2D

Mark 5 in the AS21

Mark 5 in the BAGH

Mark 5 in the BBPNG

Mark 5 in the BBT1E

Mark 5 in the BDS

Mark 5 in the BEV

Mark 5 in the BHAD

Mark 5 in the BIB

Mark 5 in the BLPT

Mark 5 in the BNT

Mark 5 in the BNTABOOT

Mark 5 in the BNTLV

Mark 5 in the BOATCB

Mark 5 in the BOATCB2

Mark 5 in the BOBCV

Mark 5 in the BOCNT

Mark 5 in the BOECS

Mark 5 in the BOGWICC

Mark 5 in the BOHCB

Mark 5 in the BOHCV

Mark 5 in the BOHLNT

Mark 5 in the BOHNTLTAL

Mark 5 in the BOICB

Mark 5 in the BOILNTAP

Mark 5 in the BOITCV

Mark 5 in the BOKCV

Mark 5 in the BOKCV2

Mark 5 in the BOKHWOG

Mark 5 in the BOKSSV

Mark 5 in the BOLCB

Mark 5 in the BOLCB2

Mark 5 in the BOMCV

Mark 5 in the BONAV

Mark 5 in the BONCB

Mark 5 in the BONLT

Mark 5 in the BONUT2

Mark 5 in the BOPLNT

Mark 5 in the BOSCB

Mark 5 in the BOSNC

Mark 5 in the BOTLNT

Mark 5 in the BOVCB

Mark 5 in the BOYCB

Mark 5 in the BPBB

Mark 5 in the BPH

Mark 5 in the BSB

Mark 5 in the CCB

Mark 5 in the CUV

Mark 5 in the CUVS

Mark 5 in the DBT

Mark 5 in the DGDNT

Mark 5 in the DHNT

Mark 5 in the DNT

Mark 5 in the ELBE

Mark 5 in the EMTV

Mark 5 in the ESV

Mark 5 in the FBV

Mark 5 in the FEB

Mark 5 in the GGMNT

Mark 5 in the GNT

Mark 5 in the HARY

Mark 5 in the HNT

Mark 5 in the IRVA

Mark 5 in the IRVB

Mark 5 in the IRVG

Mark 5 in the IRVH

Mark 5 in the IRVK

Mark 5 in the IRVM

Mark 5 in the IRVM2

Mark 5 in the IRVO

Mark 5 in the IRVP

Mark 5 in the IRVT

Mark 5 in the IRVT2

Mark 5 in the IRVU

Mark 5 in the ISVN

Mark 5 in the JSNT

Mark 5 in the KAPI

Mark 5 in the KBT1ETNIK

Mark 5 in the KBV

Mark 5 in the KJV

Mark 5 in the KNFD

Mark 5 in the LBA

Mark 5 in the LBLA

Mark 5 in the LNT

Mark 5 in the LSV

Mark 5 in the MAAL

Mark 5 in the MBV

Mark 5 in the MBV2

Mark 5 in the MHNT

Mark 5 in the MKNFD

Mark 5 in the MNG

Mark 5 in the MNT

Mark 5 in the MNT2

Mark 5 in the MRS1T

Mark 5 in the NAA

Mark 5 in the NASB

Mark 5 in the NBLA

Mark 5 in the NBS

Mark 5 in the NBVTP

Mark 5 in the NET2

Mark 5 in the NIV11

Mark 5 in the NNT

Mark 5 in the NNT2

Mark 5 in the NNT3

Mark 5 in the PDDPT

Mark 5 in the PFNT

Mark 5 in the RMNT

Mark 5 in the SBIAS

Mark 5 in the SBIBS

Mark 5 in the SBIBS2

Mark 5 in the SBICS

Mark 5 in the SBIDS

Mark 5 in the SBIGS

Mark 5 in the SBIHS

Mark 5 in the SBIIS

Mark 5 in the SBIIS2

Mark 5 in the SBIIS3

Mark 5 in the SBIKS

Mark 5 in the SBIKS2

Mark 5 in the SBIMS

Mark 5 in the SBIOS

Mark 5 in the SBIPS

Mark 5 in the SBISS

Mark 5 in the SBITS

Mark 5 in the SBITS2

Mark 5 in the SBITS3

Mark 5 in the SBITS4

Mark 5 in the SBIUS

Mark 5 in the SBIVS

Mark 5 in the SBT

Mark 5 in the SBT1E

Mark 5 in the SCHL

Mark 5 in the SNT

Mark 5 in the SUSU

Mark 5 in the SUSU2

Mark 5 in the SYNO

Mark 5 in the TBIAOTANT

Mark 5 in the TBT1E

Mark 5 in the TBT1E2

Mark 5 in the TFTIP

Mark 5 in the TFTU

Mark 5 in the TGNTATF3T

Mark 5 in the THAI

Mark 5 in the TNFD

Mark 5 in the TNT

Mark 5 in the TNTIK

Mark 5 in the TNTIL

Mark 5 in the TNTIN

Mark 5 in the TNTIP

Mark 5 in the TNTIZ

Mark 5 in the TOMA

Mark 5 in the TTENT

Mark 5 in the UBG

Mark 5 in the UGV

Mark 5 in the UGV2

Mark 5 in the VBL

Mark 5 in the VDCC

Mark 5 in the YALU

Mark 5 in the YAPE

Mark 5 in the YBVTP

Mark 5 in the ZBP