Proverbs 15 (UGV3)
1 Narm jawāb ġhussā ṭhanḍā kartā, lekin tursh bāt taish dilātī hai. 2 Dānishmandoṅ kī zabān ilm-o-irfān phailātī hai jabki ahmaq kā muṅh hamāqat kā zor se ubalne wālā chashmā hai. 3 Rab kī āṅkheṅ har jagah maujūd haiṅ, wuh bure aur bhale sab par dhyān detī haiṅ. 4 Narm zabān zindagī kā daraḳht hai jabki farebdeh zabān shikastādil kar detī hai. 5 Ahmaq apne bāp kī tarbiyat ko haqīr jāntā hai, lekin jo nasīhat māne wuh dānishmand hai. 6 Rāstbāz ke ghar meṅ baṛā ḳhazānā hotā hai, lekin jo kuchh bedīn hāsil kartā hai wuh tabāhī kā bāis hai. 7 Dānishmandoṅ ke hoṅṭ ilm-o-irfān kā bīj bikher dete haiṅ, lekin ahmaqoṅ kā dil aisā nahīṅ kartā. 8 Rab bedīnoṅ kī qurbānī se ghin khātā, lekin sīdhī rāh par chalne wāloṅ kī duā se ḳhush hotā hai. 9 Rab bedīn kī rāh se ghin khātā, lekin rāstī kā pīchhā karne wāle se pyār kartā hai. 10 Jo sahīh rāh ko tark kare us kī saḳht tādīb kī jāegī, jo nasīhat se nafrat kare wuh mar jāegā. 11 Pātāl aur ālam-e-arwāh Rab ko sāf nazar āte haiṅ. To phir insānoṅ ke dil use kyoṅ na sāf dikhāī deṅ? 12 Tānāzan ko dūsroṅ kī nasīhat pasand nahīṅ ātī, is lie wuh dānishmandoṅ ke pās nahīṅ jātā. 13 Jis kā dil ḳhush hai us kā chehrā khulā rahtā hai, lekin jis kā dil pareshān hai us kī rūh shikastā rahtī hai. 14 Samajhdār kā dil ilm-o-irfān kī talāsh meṅ rahtā, lekin ahmaq hamāqat kī charāgāh meṅ chartā rahtā hai. 15 Musībatzadā ke tamām din bure haiṅ, lekin jis kā dil ḳhush hai wuh rozānā jashn manātā hai. 16 Jo ġharīb Rab kā ḳhauf māntā hai us kā hāl us karoṛpati se kahīṅ behtar hai jo baṛī bechainī se zindagī guzārtā hai. 17 Jahāṅ muhabbat hai wahāṅ sabzī kā sālan bahut hai, jahāṅ nafrat hai wahāṅ moṭe-tāze bachhṛe kī ziyāfat bhī befāydā hai. 18 Ġhusīlā ādmī jhagaṛe chheṛtā rahtā jabki tahammul karne wālā logoṅ ke ġhusse ko ṭhanḍā kar detā hai. 19 Kāhil kā rāstā kāṅṭedār bāṛ kī mānind hai, lekin diyānatdāroṅ kī rāh pakkī saṛak hī hai. 20 Dānishmand beṭā apne bāp ke lie ḳhushī kā bāis hai, lekin ahmaq apnī māṅ ko haqīr jāntā hai. 21 Nāsamajh ādmī hamāqat se lutfandoz hotā, lekin samajhdār ādmī sīdhī rāh par chaltā hai. 22 Jahāṅ salāh-mashwarā nahīṅ hotā wahāṅ mansūbe nākām rah jāte haiṅ, jahāṅ bahut-se mushīr hote haiṅ wahāṅ kāmyābī hotī hai. 23 Insān mauzūṅ jawāb dene se ḳhush ho jātā hai, waqt par munāsib bāt kitnī achchhī hotī hai. 24 Zindagī kī rāh chaṛhtī rahtī hai tāki samajhdār us par chalte hue Pātāl meṅ utarne se bach jāe. 25 Rab mutakabbir kā ghar ḍhā detā, lekin bewā kī zamīn kī hudūd mahfūz rakhtā hai. 26 Rab bure mansūboṅ se ghin khātā hai, aur mehrbān alfāz us ke nazdīk pāk haiṅ. 27 Jo nājāyz nafā kamāe wuh apne ghar par āfat lātā hai, lekin jo rishwat se nafrat rakhe wuh jītā rahegā. 28 Rāstbāz kā dil soch-samajhkar jawāb detā hai, lekin bedīn kā muṅh zor se ubalne wālā chashmā hai jis se burī bāteṅ nikaltī rahtī haiṅ. 29 Rab bedīnoṅ se dūr rahtā, lekin rāstbāz kī duā suntā hai. 30 Chamaktī āṅkheṅ dil ko ḳhushī dilātī haiṅ, achchhī ḳhabar pūre jism ko tar-o-tāzā kar detī hai. 31 Jo zindagībaḳhsh nasīhat par dhyān de wuh dānishmandoṅ ke darmiyān hī sukūnat karegā. 32 Jo tarbiyat kī parwā na kare wuh apne āp ko haqīr jāntā hai, lekin jo nasīhat par dhyān de us kī samajh meṅ izāfā hotā hai. 33 Rab kā ḳhauf hī wuh tarbiyat hai jis se insān hikmat sīkhtā hai. Pahle farotanī apnā le, kyoṅki yihī izzat pāne kā pahlā qadam hai.
In Other Versions
Proverbs 15 in the ANGEFD
Proverbs 15 in the ANTPNG2D
Proverbs 15 in the AS21
Proverbs 15 in the BAGH
Proverbs 15 in the BBPNG
Proverbs 15 in the BBT1E
Proverbs 15 in the BDS
Proverbs 15 in the BEV
Proverbs 15 in the BHAD
Proverbs 15 in the BIB
Proverbs 15 in the BLPT
Proverbs 15 in the BNT
Proverbs 15 in the BNTABOOT
Proverbs 15 in the BNTLV
Proverbs 15 in the BOATCB
Proverbs 15 in the BOATCB2
Proverbs 15 in the BOBCV
Proverbs 15 in the BOCNT
Proverbs 15 in the BOECS
Proverbs 15 in the BOGWICC
Proverbs 15 in the BOHCB
Proverbs 15 in the BOHCV
Proverbs 15 in the BOHLNT
Proverbs 15 in the BOHNTLTAL
Proverbs 15 in the BOICB
Proverbs 15 in the BOILNTAP
Proverbs 15 in the BOITCV
Proverbs 15 in the BOKCV
Proverbs 15 in the BOKCV2
Proverbs 15 in the BOKHWOG
Proverbs 15 in the BOKSSV
Proverbs 15 in the BOLCB
Proverbs 15 in the BOLCB2
Proverbs 15 in the BOMCV
Proverbs 15 in the BONAV
Proverbs 15 in the BONCB
Proverbs 15 in the BONLT
Proverbs 15 in the BONUT2
Proverbs 15 in the BOPLNT
Proverbs 15 in the BOSCB
Proverbs 15 in the BOSNC
Proverbs 15 in the BOTLNT
Proverbs 15 in the BOVCB
Proverbs 15 in the BOYCB
Proverbs 15 in the BPBB
Proverbs 15 in the BPH
Proverbs 15 in the BSB
Proverbs 15 in the CCB
Proverbs 15 in the CUV
Proverbs 15 in the CUVS
Proverbs 15 in the DBT
Proverbs 15 in the DGDNT
Proverbs 15 in the DHNT
Proverbs 15 in the DNT
Proverbs 15 in the ELBE
Proverbs 15 in the EMTV
Proverbs 15 in the ESV
Proverbs 15 in the FBV
Proverbs 15 in the FEB
Proverbs 15 in the GGMNT
Proverbs 15 in the GNT
Proverbs 15 in the HARY
Proverbs 15 in the HNT
Proverbs 15 in the IRVA
Proverbs 15 in the IRVB
Proverbs 15 in the IRVG
Proverbs 15 in the IRVH
Proverbs 15 in the IRVK
Proverbs 15 in the IRVM
Proverbs 15 in the IRVM2
Proverbs 15 in the IRVO
Proverbs 15 in the IRVP
Proverbs 15 in the IRVT
Proverbs 15 in the IRVT2
Proverbs 15 in the IRVU
Proverbs 15 in the ISVN
Proverbs 15 in the JSNT
Proverbs 15 in the KAPI
Proverbs 15 in the KBT1ETNIK
Proverbs 15 in the KBV
Proverbs 15 in the KJV
Proverbs 15 in the KNFD
Proverbs 15 in the LBA
Proverbs 15 in the LBLA
Proverbs 15 in the LNT
Proverbs 15 in the LSV
Proverbs 15 in the MAAL
Proverbs 15 in the MBV
Proverbs 15 in the MBV2
Proverbs 15 in the MHNT
Proverbs 15 in the MKNFD
Proverbs 15 in the MNG
Proverbs 15 in the MNT
Proverbs 15 in the MNT2
Proverbs 15 in the MRS1T
Proverbs 15 in the NAA
Proverbs 15 in the NASB
Proverbs 15 in the NBLA
Proverbs 15 in the NBS
Proverbs 15 in the NBVTP
Proverbs 15 in the NET2
Proverbs 15 in the NIV11
Proverbs 15 in the NNT
Proverbs 15 in the NNT2
Proverbs 15 in the NNT3
Proverbs 15 in the PDDPT
Proverbs 15 in the PFNT
Proverbs 15 in the RMNT
Proverbs 15 in the SBIAS
Proverbs 15 in the SBIBS
Proverbs 15 in the SBIBS2
Proverbs 15 in the SBICS
Proverbs 15 in the SBIDS
Proverbs 15 in the SBIGS
Proverbs 15 in the SBIHS
Proverbs 15 in the SBIIS
Proverbs 15 in the SBIIS2
Proverbs 15 in the SBIIS3
Proverbs 15 in the SBIKS
Proverbs 15 in the SBIKS2
Proverbs 15 in the SBIMS
Proverbs 15 in the SBIOS
Proverbs 15 in the SBIPS
Proverbs 15 in the SBISS
Proverbs 15 in the SBITS
Proverbs 15 in the SBITS2
Proverbs 15 in the SBITS3
Proverbs 15 in the SBITS4
Proverbs 15 in the SBIUS
Proverbs 15 in the SBIVS
Proverbs 15 in the SBT
Proverbs 15 in the SBT1E
Proverbs 15 in the SCHL
Proverbs 15 in the SNT
Proverbs 15 in the SUSU
Proverbs 15 in the SUSU2
Proverbs 15 in the SYNO
Proverbs 15 in the TBIAOTANT
Proverbs 15 in the TBT1E
Proverbs 15 in the TBT1E2
Proverbs 15 in the TFTIP
Proverbs 15 in the TFTU
Proverbs 15 in the TGNTATF3T
Proverbs 15 in the THAI
Proverbs 15 in the TNFD
Proverbs 15 in the TNT
Proverbs 15 in the TNTIK
Proverbs 15 in the TNTIL
Proverbs 15 in the TNTIN
Proverbs 15 in the TNTIP
Proverbs 15 in the TNTIZ
Proverbs 15 in the TOMA
Proverbs 15 in the TTENT
Proverbs 15 in the UBG
Proverbs 15 in the UGV
Proverbs 15 in the UGV2
Proverbs 15 in the VBL
Proverbs 15 in the VDCC
Proverbs 15 in the YALU
Proverbs 15 in the YAPE
Proverbs 15 in the YBVTP
Proverbs 15 in the ZBP