Proverbs 30 (UGV3)
1 Zail meṅ Ajūr bin Yāqā kī kahāwateṅ haiṅ. Wuh Massā kā rahne wālā thā. Us ne farmāyā,Ai Allāh, maiṅ thak gayā hūṅ, ai Allāh, maiṅ thak gayā hūṅ, yih mere bas kī bāt nahīṅ rahī. 2 Yaqīnan maiṅ insānoṅ meṅ sab se zyādā nādān hūṅ, mujhe insān kī samajh hāsil nahīṅ. 3 Na maiṅ ne hikmat sīkhī, na quddūs Ḳhudā ke bāre meṅ ilm rakhtā hūṅ. 4 Kaun āsmān par chaṛh kar wāpas utar āyā? Kis ne hawā ko apne hāthoṅ meṅ jamā kiyā? Kis ne gahre pānī ko chādar meṅ lapeṭ liyā? Kis ne zamīn kī hudūd ko apnī apnī jagah par qāym kiyā hai? Us kā nām kyā hai, us ke beṭe kā kyā nām hai? Agar tujhe mālūm ho to mujhe batā! 5 Allāh kī har bāt āzmūdā hai, jo us meṅ panāh le us ke lie wuh ḍhāl hai. 6 Us kī bātoṅ meṅ izāfā mat kar, warnā wuh tujhe ḍānṭegā aur tū jhūṭā ṭhahregā. 7 Ai Rab, maiṅ tujh se do chīzeṅ māṅgtā hūṅ, mere marne se pahle in se inkār na kar. 8 Pahle, daroġhgoī aur jhūṭ mujh se dūr rakh. Dūsre, na ġhurbat na daulat mujhe de balki utnī hī roṭī jitnī merā haq hai, 9 aisā na ho ki maiṅ daulat ke bāis ser ho kar terā inkār karūṅ aur kahūṅ, “Rab kaun hai?” Aisā bhī na ho ki maiṅ ġhurbat ke bāis chorī karke apne Ḳhudā ke nām kī behurmatī karūṅ. 10 Mālik ke sāmne mulāzim par tohmat na lagā, aisā na ho ki wuh tujh par lānat bheje aur tujhe is kā burā natījā bhugatnā paṛe. 11 Aisī nasl bhī hai jo apne bāp par lānat kartī aur apnī māṅ ko barkat nahīṅ detī. 12 Aisī nasl bhī hai jo apnī nazar meṅ pāk-sāf hai, go us kī ġhilāzat dūr nahīṅ huī. 13 Aisī nasl bhī hai jis kī āṅkheṅ baṛe takabbur se deḳhtī haiṅ, jo apnī palakeṅ baṛe ghamanḍ se mārtī hai. 14 Aisī nasl bhī hai jis ke dāṅt talwāreṅ aur jabṛe chhuriyāṅ haiṅ tāki duniyā ke musībatzadoṅ ko khā jāeṅ, muāshare ke zarūratmandoṅ ko haṛap kar leṅ. 15 Joṅk kī do beṭiyāṅ haiṅ, chūsne ke do āzā jo chīḳhte rahte haiṅ, “Aur do, aur do.”Tīn chīzeṅ haiṅ jo kabhī ser nahīṅ hotīṅ balki chār haiṅ jo kabhī nahīṅ kahtīṅ, “Ab bas karo, ab kāfī hai,” 16 Pātāl, bāṅjh kā rahm, zamīn jis kī pyās kabhī nahīṅ bujhtī aur āg jo kabhī nahīṅ kahtī, “Ab bas karo, ab kāfī hai.” 17 Jo āṅkh bāp kā mazāq uṛāe aur māṅ kī hidāyat ko haqīr jāne use wādī ke kawwe apnī choṅchoṅ se nikāleṅge aur giddh ke bachche khā jāeṅge. 18 Tīn bāteṅ mujhe hairatzadā kartī haiṅ balki chār haiṅ jin kī mujhe samajh nahīṅ ātī, 19 āsmān kī bulandiyoṅ par uqāb kī rāh, chaṭān par sāṅp kī rāh, samundar ke bīch meṅ jahāz kī rāh aur wuh rāh jo mard kuṅwārī ke sāth chaltā hai. 20 Zinākār aurat kī yih rāh hai, wuh khā letī aur phir apnā muṅh poṅchh kar kahtī hai, “Mujh se koī ġhaltī nahīṅ huī.” 21 Zamīn tīn chīzoṅ se laraz uṭhtī hai balki chār chīzeṅ bardāsht nahīṅ kar saktī, 22 wuh ġhulām jo bādshāh ban jāe, wuh ahmaq jo jī bhar kar khānā khā sake, 23 wuh nafratangez aurat jis kī shādī ho jāe aur wuh naukarānī jo apnī mālikan kī milkiyat par qabzā kare. 24 Zamīn kī chār maḳhlūqāt nihāyat hī dānishmand haiṅ hālāṅki chhoṭī haiṅ. 25 Chiyūṅṭiyāṅ kamzor nasl haiṅ lekin garmiyoṅ ke mausam meṅ sardiyoṅ ke lie ḳhurāk jamā kartī haiṅ, 26 bijjū kamzor nasl haiṅ lekin chaṭānoṅ meṅ hī apne ghar banā lete haiṅ, 27 ṭiḍḍiyoṅ kā bādshāh nahīṅ hotā tāham sab pare bāndh kar nikaltī haiṅ, 28 chhipkliyāṅ go hāth se pakaṛī jātī haiṅ, tāham shāhī mahaloṅ meṅ pāī jātī haiṅ. 29 Tīn balki chār jāndār purwaqār andāz meṅ chalte haiṅ. 30 Pahle, sherbabar jo jānwaroṅ meṅ zorāwar hai aur kisī se bhī pīchhe nahīṅ haṭtā, 31 dūsre, murġhā jo akaṛ kar chaltā hai, tīsre, bakrā aur chauthe apnī fauj ke sāth chalne wālā bādshāh. 32 Agar tū ne maġhrūr ho kar hamāqat kī yā bure mansūbe bāndhe to apne muṅh par hāth rakh kar ḳhāmosh ho jā, 33 kyoṅki dūdh bilone se makkhan, nāk ko maroṛne se ḳhūn aur kisī ko ġhussā dilāne se laṛāī-jhagaṛā paidā hotā hai.
In Other Versions
Proverbs 30 in the ANGEFD
Proverbs 30 in the ANTPNG2D
Proverbs 30 in the AS21
Proverbs 30 in the BAGH
Proverbs 30 in the BBPNG
Proverbs 30 in the BBT1E
Proverbs 30 in the BDS
Proverbs 30 in the BEV
Proverbs 30 in the BHAD
Proverbs 30 in the BIB
Proverbs 30 in the BLPT
Proverbs 30 in the BNT
Proverbs 30 in the BNTABOOT
Proverbs 30 in the BNTLV
Proverbs 30 in the BOATCB
Proverbs 30 in the BOATCB2
Proverbs 30 in the BOBCV
Proverbs 30 in the BOCNT
Proverbs 30 in the BOECS
Proverbs 30 in the BOGWICC
Proverbs 30 in the BOHCB
Proverbs 30 in the BOHCV
Proverbs 30 in the BOHLNT
Proverbs 30 in the BOHNTLTAL
Proverbs 30 in the BOICB
Proverbs 30 in the BOILNTAP
Proverbs 30 in the BOITCV
Proverbs 30 in the BOKCV
Proverbs 30 in the BOKCV2
Proverbs 30 in the BOKHWOG
Proverbs 30 in the BOKSSV
Proverbs 30 in the BOLCB
Proverbs 30 in the BOLCB2
Proverbs 30 in the BOMCV
Proverbs 30 in the BONAV
Proverbs 30 in the BONCB
Proverbs 30 in the BONLT
Proverbs 30 in the BONUT2
Proverbs 30 in the BOPLNT
Proverbs 30 in the BOSCB
Proverbs 30 in the BOSNC
Proverbs 30 in the BOTLNT
Proverbs 30 in the BOVCB
Proverbs 30 in the BOYCB
Proverbs 30 in the BPBB
Proverbs 30 in the BPH
Proverbs 30 in the BSB
Proverbs 30 in the CCB
Proverbs 30 in the CUV
Proverbs 30 in the CUVS
Proverbs 30 in the DBT
Proverbs 30 in the DGDNT
Proverbs 30 in the DHNT
Proverbs 30 in the DNT
Proverbs 30 in the ELBE
Proverbs 30 in the EMTV
Proverbs 30 in the ESV
Proverbs 30 in the FBV
Proverbs 30 in the FEB
Proverbs 30 in the GGMNT
Proverbs 30 in the GNT
Proverbs 30 in the HARY
Proverbs 30 in the HNT
Proverbs 30 in the IRVA
Proverbs 30 in the IRVB
Proverbs 30 in the IRVG
Proverbs 30 in the IRVH
Proverbs 30 in the IRVK
Proverbs 30 in the IRVM
Proverbs 30 in the IRVM2
Proverbs 30 in the IRVO
Proverbs 30 in the IRVP
Proverbs 30 in the IRVT
Proverbs 30 in the IRVT2
Proverbs 30 in the IRVU
Proverbs 30 in the ISVN
Proverbs 30 in the JSNT
Proverbs 30 in the KAPI
Proverbs 30 in the KBT1ETNIK
Proverbs 30 in the KBV
Proverbs 30 in the KJV
Proverbs 30 in the KNFD
Proverbs 30 in the LBA
Proverbs 30 in the LBLA
Proverbs 30 in the LNT
Proverbs 30 in the LSV
Proverbs 30 in the MAAL
Proverbs 30 in the MBV
Proverbs 30 in the MBV2
Proverbs 30 in the MHNT
Proverbs 30 in the MKNFD
Proverbs 30 in the MNG
Proverbs 30 in the MNT
Proverbs 30 in the MNT2
Proverbs 30 in the MRS1T
Proverbs 30 in the NAA
Proverbs 30 in the NASB
Proverbs 30 in the NBLA
Proverbs 30 in the NBS
Proverbs 30 in the NBVTP
Proverbs 30 in the NET2
Proverbs 30 in the NIV11
Proverbs 30 in the NNT
Proverbs 30 in the NNT2
Proverbs 30 in the NNT3
Proverbs 30 in the PDDPT
Proverbs 30 in the PFNT
Proverbs 30 in the RMNT
Proverbs 30 in the SBIAS
Proverbs 30 in the SBIBS
Proverbs 30 in the SBIBS2
Proverbs 30 in the SBICS
Proverbs 30 in the SBIDS
Proverbs 30 in the SBIGS
Proverbs 30 in the SBIHS
Proverbs 30 in the SBIIS
Proverbs 30 in the SBIIS2
Proverbs 30 in the SBIIS3
Proverbs 30 in the SBIKS
Proverbs 30 in the SBIKS2
Proverbs 30 in the SBIMS
Proverbs 30 in the SBIOS
Proverbs 30 in the SBIPS
Proverbs 30 in the SBISS
Proverbs 30 in the SBITS
Proverbs 30 in the SBITS2
Proverbs 30 in the SBITS3
Proverbs 30 in the SBITS4
Proverbs 30 in the SBIUS
Proverbs 30 in the SBIVS
Proverbs 30 in the SBT
Proverbs 30 in the SBT1E
Proverbs 30 in the SCHL
Proverbs 30 in the SNT
Proverbs 30 in the SUSU
Proverbs 30 in the SUSU2
Proverbs 30 in the SYNO
Proverbs 30 in the TBIAOTANT
Proverbs 30 in the TBT1E
Proverbs 30 in the TBT1E2
Proverbs 30 in the TFTIP
Proverbs 30 in the TFTU
Proverbs 30 in the TGNTATF3T
Proverbs 30 in the THAI
Proverbs 30 in the TNFD
Proverbs 30 in the TNT
Proverbs 30 in the TNTIK
Proverbs 30 in the TNTIL
Proverbs 30 in the TNTIN
Proverbs 30 in the TNTIP
Proverbs 30 in the TNTIZ
Proverbs 30 in the TOMA
Proverbs 30 in the TTENT
Proverbs 30 in the UBG
Proverbs 30 in the UGV
Proverbs 30 in the UGV2
Proverbs 30 in the VBL
Proverbs 30 in the VDCC
Proverbs 30 in the YALU
Proverbs 30 in the YAPE
Proverbs 30 in the YBVTP
Proverbs 30 in the ZBP