Proverbs 8 (UGV3)
1 Suno! Kyā hikmat āwāz nahīṅ detī? Hāṅ, samajh ūṅchī āwāz se elān kartī hai. 2 Wuh bulandiyoṅ par khaṛī hai, us jagah jahāṅ tamām rāste ek dūsre se milte haiṅ. 3 Shahr ke darwāzoṅ par jahāṅ log nikalte aur dāḳhil hote haiṅ wahāṅ hikmat zordār āwāz se pukārtī hai, 4 “Ai mardo, maiṅ tumhīṅ ko pukārtī hūṅ, tamām insānoṅ ko āwāz detī hūṅ. 5 Ai sādālauho, hoshyārī sīkh lo! Ai ahmaqo, samajh apnā lo! 6 Suno, kyoṅki maiṅ sharāfat kī bāteṅ kartī hūṅ, aur mere hoṅṭ sachchāī pesh karte haiṅ. 7 Merā muṅh sach boltā hai, kyoṅki mere hoṅṭ bedīnī se ghin khāte haiṅ. 8 Jo bhī bāt mere muṅh se nikle wuh rāst hai, ek bhī pechdār yā ṭeṛhī nahīṅ hai. 9 Samajhdār jāntā hai ki merī bāteṅ sab durust haiṅ, ilm rakhne wāle ko mālūm hai ki wuh sahīh haiṅ. 10 Chāṅdī kī jagah merī tarbiyat aur ḳhālis sone ke bajāe ilm-o-irfān apnā lo. 11 Kyoṅki hikmat motiyoṅ se kahīṅ behtar hai, koī bhī ḳhazānā us kā muqābalā nahīṅ kar saktā. 12 Maiṅ jo hikmat hūṅ hoshyārī ke sāth bastī hūṅ, aur maiṅ tamīz kā ilm rakhtī hūṅ. 13 Jo Rab kā ḳhauf māntā hai wuh burāī se nafrat kartā hai. Mujhe ġhurūr, takabbur, ġhalat chāl-chalan aur ṭeṛhī bātoṅ se nafrat hai. 14 Mere pās achchhā mashwarā aur kāmyābī hai. Merā dūsrā nām samajh hai, aur mujhe quwwat hāsil hai. 15 Mere wasīle se bādshāh saltanat aur hukmrān rāst faisle karte haiṅ. 16 Mere zariye ra'īs aur shurafā balki tamām ādil munsif hukūmat karte haiṅ. 17 Jo mujhe pyār karte haiṅ unheṅ maiṅ pyār kartī hūṅ, aur jo mujhe ḍhūṅḍte haiṅ wuh mujhe pā lete haiṅ. 18 Mere pās izzat-o-daulat, shāndār māl aur rāstī hai. 19 Merā phal sone balki ḳhālis sone se kahīṅ behtar hai, merī paidāwār ḳhālis chāṅdī par sabqat rakhtī hai. 20 Maiṅ rāstī kī rāh par hī chaltī hūṅ, wahīṅ jahāṅ insāf hai. 21 Jo mujh se muhabbat rakhte haiṅ unheṅ maiṅ mīrās meṅ daulat muhaiyā kartī hūṅ. Un ke godām bhare rahte haiṅ. 22 Jab Rab taḳhlīq kā silsilā amal meṅ lāyā to pahle us ne mujhe hī banāyā. Qadīm zamāne meṅ maiṅ us ke dīgar kāmoṅ se pahle hī wujūd meṅ āī. 23 Mujhe azal se muqarrar kiyā gayā, ibtidā hī se jab duniyā abhī paidā nahīṅ huī thī. 24 Na samundar kī gahrāiyāṅ, na kasrat se phūṭne wāle chashme the jab maiṅ ne janm liyā. 25 Na pahāṛ apnī apnī jagah par qāym hue the, na pahāṛiyāṅ thīṅ jab maiṅ paidā huī. 26 Us waqt Allāh ne na zamīn, na us ke maidān, aur na duniyā ke pahle ḍhele banāe the. 27 Jab us ne āsmān ko us kī jagah par lagāyā aur samundar kī gahrāiyoṅ par zamīn kā ilāqā muqarrar kiyā to maiṅ sāth thī. 28 Jab us ne āsmān par bādaloṅ aur gahrāiyoṅ meṅ sarchashmoṅ kā intazām mazbūt kiyā to maiṅ sāth thī. 29 Jab us ne samundar kī haddeṅ muqarrar kīṅ aur hukm diyā ki pānī un se tajāwuz na kare, jab us ne zamīn kī buniyādeṅ apnī apnī jagah par rakhīṅ 30 to maiṅ māhir kārīgar kī haisiyat se us ke sāth thī. Roz baroz maiṅ lutf kā bāis thī, har waqt us ke huzūr rangraliyāṅ manātī rahī. 31 Maiṅ us kī zamīn kī satah par rangraliyāṅ manātī aur insān se lutfandoz hotī rahī. 32 Chunāṅche mere beṭo, merī suno, kyoṅki mubārak haiṅ wuh jo merī rāhoṅ par chalte haiṅ. 33 Merī tarbiyat mān kar dānishmand ban jāo, use nazarandāz mat karnā. 34 Mubārak hai wuh jo merī sune, jo roz baroz mere darwāze par chaukas khaṛā rahe, rozānā merī chaukhaṭ par hāzir rahe. 35 Kyoṅki jo mujhe pāe wuh zindagī aur Rab kī manzūrī pātā hai. 36 Lekin jo mujhe pāne se qāsir rahe wuh apnī jān par zulm kartā hai, jo bhī mujh se nafrat kare use maut pyārī hai.”
In Other Versions
Proverbs 8 in the ANGEFD
Proverbs 8 in the ANTPNG2D
Proverbs 8 in the AS21
Proverbs 8 in the BAGH
Proverbs 8 in the BBPNG
Proverbs 8 in the BBT1E
Proverbs 8 in the BDS
Proverbs 8 in the BEV
Proverbs 8 in the BHAD
Proverbs 8 in the BIB
Proverbs 8 in the BLPT
Proverbs 8 in the BNT
Proverbs 8 in the BNTABOOT
Proverbs 8 in the BNTLV
Proverbs 8 in the BOATCB
Proverbs 8 in the BOATCB2
Proverbs 8 in the BOBCV
Proverbs 8 in the BOCNT
Proverbs 8 in the BOECS
Proverbs 8 in the BOGWICC
Proverbs 8 in the BOHCB
Proverbs 8 in the BOHCV
Proverbs 8 in the BOHLNT
Proverbs 8 in the BOHNTLTAL
Proverbs 8 in the BOICB
Proverbs 8 in the BOILNTAP
Proverbs 8 in the BOITCV
Proverbs 8 in the BOKCV
Proverbs 8 in the BOKCV2
Proverbs 8 in the BOKHWOG
Proverbs 8 in the BOKSSV
Proverbs 8 in the BOLCB
Proverbs 8 in the BOLCB2
Proverbs 8 in the BOMCV
Proverbs 8 in the BONAV
Proverbs 8 in the BONCB
Proverbs 8 in the BONLT
Proverbs 8 in the BONUT2
Proverbs 8 in the BOPLNT
Proverbs 8 in the BOSCB
Proverbs 8 in the BOSNC
Proverbs 8 in the BOTLNT
Proverbs 8 in the BOVCB
Proverbs 8 in the BOYCB
Proverbs 8 in the BPBB
Proverbs 8 in the BPH
Proverbs 8 in the BSB
Proverbs 8 in the CCB
Proverbs 8 in the CUV
Proverbs 8 in the CUVS
Proverbs 8 in the DBT
Proverbs 8 in the DGDNT
Proverbs 8 in the DHNT
Proverbs 8 in the DNT
Proverbs 8 in the ELBE
Proverbs 8 in the EMTV
Proverbs 8 in the ESV
Proverbs 8 in the FBV
Proverbs 8 in the FEB
Proverbs 8 in the GGMNT
Proverbs 8 in the GNT
Proverbs 8 in the HARY
Proverbs 8 in the HNT
Proverbs 8 in the IRVA
Proverbs 8 in the IRVB
Proverbs 8 in the IRVG
Proverbs 8 in the IRVH
Proverbs 8 in the IRVK
Proverbs 8 in the IRVM
Proverbs 8 in the IRVM2
Proverbs 8 in the IRVO
Proverbs 8 in the IRVP
Proverbs 8 in the IRVT
Proverbs 8 in the IRVT2
Proverbs 8 in the IRVU
Proverbs 8 in the ISVN
Proverbs 8 in the JSNT
Proverbs 8 in the KAPI
Proverbs 8 in the KBT1ETNIK
Proverbs 8 in the KBV
Proverbs 8 in the KJV
Proverbs 8 in the KNFD
Proverbs 8 in the LBA
Proverbs 8 in the LBLA
Proverbs 8 in the LNT
Proverbs 8 in the LSV
Proverbs 8 in the MAAL
Proverbs 8 in the MBV
Proverbs 8 in the MBV2
Proverbs 8 in the MHNT
Proverbs 8 in the MKNFD
Proverbs 8 in the MNG
Proverbs 8 in the MNT
Proverbs 8 in the MNT2
Proverbs 8 in the MRS1T
Proverbs 8 in the NAA
Proverbs 8 in the NASB
Proverbs 8 in the NBLA
Proverbs 8 in the NBS
Proverbs 8 in the NBVTP
Proverbs 8 in the NET2
Proverbs 8 in the NIV11
Proverbs 8 in the NNT
Proverbs 8 in the NNT2
Proverbs 8 in the NNT3
Proverbs 8 in the PDDPT
Proverbs 8 in the PFNT
Proverbs 8 in the RMNT
Proverbs 8 in the SBIAS
Proverbs 8 in the SBIBS
Proverbs 8 in the SBIBS2
Proverbs 8 in the SBICS
Proverbs 8 in the SBIDS
Proverbs 8 in the SBIGS
Proverbs 8 in the SBIHS
Proverbs 8 in the SBIIS
Proverbs 8 in the SBIIS2
Proverbs 8 in the SBIIS3
Proverbs 8 in the SBIKS
Proverbs 8 in the SBIKS2
Proverbs 8 in the SBIMS
Proverbs 8 in the SBIOS
Proverbs 8 in the SBIPS
Proverbs 8 in the SBISS
Proverbs 8 in the SBITS
Proverbs 8 in the SBITS2
Proverbs 8 in the SBITS3
Proverbs 8 in the SBITS4
Proverbs 8 in the SBIUS
Proverbs 8 in the SBIVS
Proverbs 8 in the SBT
Proverbs 8 in the SBT1E
Proverbs 8 in the SCHL
Proverbs 8 in the SNT
Proverbs 8 in the SUSU
Proverbs 8 in the SUSU2
Proverbs 8 in the SYNO
Proverbs 8 in the TBIAOTANT
Proverbs 8 in the TBT1E
Proverbs 8 in the TBT1E2
Proverbs 8 in the TFTIP
Proverbs 8 in the TFTU
Proverbs 8 in the TGNTATF3T
Proverbs 8 in the THAI
Proverbs 8 in the TNFD
Proverbs 8 in the TNT
Proverbs 8 in the TNTIK
Proverbs 8 in the TNTIL
Proverbs 8 in the TNTIN
Proverbs 8 in the TNTIP
Proverbs 8 in the TNTIZ
Proverbs 8 in the TOMA
Proverbs 8 in the TTENT
Proverbs 8 in the UBG
Proverbs 8 in the UGV
Proverbs 8 in the UGV2
Proverbs 8 in the VBL
Proverbs 8 in the VDCC
Proverbs 8 in the YALU
Proverbs 8 in the YAPE
Proverbs 8 in the YBVTP
Proverbs 8 in the ZBP