Psalms 82 (UGV3)
1 Āsaf kā zabūr.Allāh ilāhī majlis meṅ khaṛā hai, mābūdoṅ ke darmiyān wuh adālat kartā hai, 2 “Tum kab tak adālat meṅ ġhalat faisle karke bedīnoṅ kī jānibdārī karoge? (Silāh) 3 Pasthāloṅ aur yatīmoṅ kā insāf karo, musībatzadoṅ aur zarūratmandoṅ ke huqūq qāym rakho. 4 Pasthāloṅ aur ġharīboṅ ko bachā kar bedīnoṅ ke hāth se chhuṛāo.” 5 Lekin wuh kuchh nahīṅ jānte, unheṅ samajh hī nahīṅ ātī. Wuh tārīkī meṅ ṭaṭol ṭaṭol kar ghūmte-phirte haiṅ jabki zamīn kī tamām buniyādeṅ jhūmne lagī haiṅ. 6 Beshak maiṅ ne kahā, “Tum Ḳhudā ho, sab Allāh T'ālā ke farzand ho. 7 Lekin tum fānī insān kī tarah mar jāoge, tum dīgar hukmrānoṅ kī tarah gir jāoge.” 8 Ai Allāh, uṭh kar zamīn kī adālat kar! Kyoṅki tamām aqwām terī hī maurūsī milkiyat haiṅ.