Revelation 2 (UGV3)
1 Ifisus meṅ maujūd jamāt ke farishte ko yih likh denā: Yih us kā farmān hai jo apne dahne hāth meṅ sāt sitāre thāme rakhtā aur sone ke sāt shamādānoṅ ke darmiyān chaltā phirtā hai. 2 Maiṅ tere kāmoṅ ko jāntā hūṅ, terī saḳht mehnat aur terī sābitqadmī ko. Maiṅ jāntā hūṅ ki tū bure logoṅ ko bardāsht nahīṅ kar saktā, ki tū ne un kī paṛtāl kī hai jo rasūl hone kā dāwā karte haiṅ, hālāṅki wuh rasūl nahīṅ haiṅ. Tujhe to patā chal gayā hai ki wuh jhūṭe the. 3 Tū mere nām kī ḳhātir sābitqadam rahā aur bardāsht karte karte thakā nahīṅ. 4 Lekin mujhe tujh se yih shikāyat hai, tū mujhe us tarah pyār nahīṅ kartā jis tarah pahle kartā thā. 5 Ab ḳhayāl kar ki tū kahāṅ se gir gayā hai. Taubā karke wuh kuchh kar jo tū pahle kartā thā, warnā maiṅ ā kar tere shamādān ko us kī jagah se haṭā dūṅgā. 6 Lekin yih bāt tere haq meṅ hai, tū merī tarah Nīkuliyoṅ ke kāmoṅ se nafrat kartā hai. 7 Jo sun saktā hai wuh sun le ki Rūhul-quds jamātoṅ ko kyā kuchh batā rahā hai.Jo ġhālib āegā use maiṅ zindagī ke daraḳht kā phal khāne ko dūṅgā, us daraḳht kā phal jo Allāh ke firdaus meṅ hai. 8 Smurnā meṅ maujūd jamāt ke farishte ko yih likh denā: Yih us kā farmān hai jo Awwal aur Āḳhir hai, jo mar gayā thā aur dubārā zindā huā. 9 Maiṅ terī musībat aur ġhurbat ko jāntā hūṅ. Lekin haqīqat meṅ tū daulatmand hai. Maiṅ un logoṅ ke buhtān se wāqif hūṅ jo kahte haiṅ ki wuh Yahūdī haiṅ hālāṅki haiṅ nahīṅ. Asal meṅ wuh Iblīs kī jamāt haiṅ. 10 Jo kuchh tujhe jhelnā paṛegā us se mat ḍarnā. Dekh, Iblīs tujhe āzmāne ke lie tum meṅ se bāz ko jel meṅ ḍāl degā, aur das din tak tujhe īzā pahuṅchāī jāegī. Maut tak wafādār rah to maiṅ tujhe zindagī kā tāj dūṅgā. 11 Jo sun saktā hai wuh sun le ki Rūhul-quds jamātoṅ ko kyā kuchh batā rahā hai.Jo ġhālib āegā use dūsrī maut se nuqsān nahīṅ pahuṅchegā. 12 Pirgamun meṅ maujūd jamāt ke farishte ko yih likh denā:Yih us kā farmān hai jis ke pās dodhārī tez talwār hai. 13 Maiṅ jāntā hūṅ ki tū kahāṅ rahtā hai, wahāṅ jahāṅ Iblīs kā taḳht hai. Tāham tū mere nām kā wafādār rahā hai. Tū ne un dinoṅ meṅ bhī mujh par īmān rakhne kā inkār na kiyā jab merā wafādār gawāh Antipās tumhāre pās shahīd huā, wahāṅ jahāṅ Iblīs bastā hai. 14 Lekin mujhe tujh se kaī bātoṅ kī shikāyat hai. Tere pās aise log haiṅ jo Bilām kī tālīm kī pairawī karte haiṅ. Kyoṅki Bilām ne Balaq ko sikhāyā ki wuh kis tarah Isrāīliyoṅ ko gunāh karne par uksā saktā hai yānī butoṅ ko pesh kī gaī qurbāniyāṅ khāne aur zinā karne se. 15 Isī tarah tere pās bhī aise log haiṅ, jo Nīkuliyoṅ kī tālīm kī pairawī karte haiṅ. 16 Ab taubā kar! Warnā maiṅ jald hī tere pās ā kar apne muṅh kī talwār se un ke sāth laṛūṅgā. 17 Jo sun saktā hai wuh sun le ki Rūhul-quds jamātoṅ ko kyā kuchh batā rahā hai.Jo ġhālib āegā use maiṅ poshīdā man meṅ se dūṅgā. Maiṅ use ek safed patthar bhī dūṅgā jis par ek nayā nām likhā hogā, aisā nām jo sirf milne wāle ko mālūm hogā. 18 Thuātīrā meṅ maujūd jamāt ke farishte ko yih likh denā:Yih Allāh ke Farzand kā farmān hai jis kī āṅkheṅ āg ke sholoṅ aur pāṅw damakte pītal kī mānind haiṅ. 19 Maiṅ tere kāmoṅ ko jāntā hūṅ yānī terī muhabbat aur īmān, terī ḳhidmat aur sābitqadmī, aur yih ki is waqt tū pahle kī nisbat kahīṅ zyādā kar rahā hai. 20 Lekin mujhe tujh se yih shikāyat hai, tū us aurat Īzabil ko jo apne āp ko nabiyā kahtī hai kām karne detā hai, hālāṅki yih apnī tālīm se mere ḳhādimoṅ ko sahīh rāh se dūr karke unheṅ zinā karne aur butoṅ ko pesh kī gaī qurbāniyāṅ khāne par uksātī hai. 21 Maiṅ ne use kāfī der se taubā karne kā mauqā diyā hai, lekin wuh is ke lie taiyār nahīṅ hai. 22 Chunāṅche maiṅ use yoṅ mārūṅga ki wuh bistar par paṛī rahegī. Aur agar wuh jo us ke sāth zinā kar rahe haiṅ apnī ġhalat harkatoṅ se taubā na kareṅ to maiṅ unheṅ shadīd musībat meṅ phaṅsāūṅgā. 23 Hāṅ, maiṅ us ke farzandoṅ ko mār ḍālūṅgā. Phir tamām jamāteṅ jān leṅgī ki maiṅ hī zahnoṅ aur diloṅ ko parakhtā hūṅ, aur maiṅ hī tum meṅ se har ek ko us ke kāmoṅ kā badlā dūṅgā. 24 Lekin Thuātīrā kī jamāt ke aise log bhī haiṅ jo is tālīm kī pairawī nahīṅ karte, aur jinhoṅ ne wuh kuchh nahīṅ jānā jise in logoṅ ne “Iblīs ke gahre bhed” kā nām diyā hai. Tumheṅ maiṅ batātā hūṅ ki maiṅ tum par koī aur bojh nahīṅ ḍālūṅgā. 25 Lekin itnā zarūr karo ki jo kuchh tumhāre pās hai use mere āne tak mazbūtī se thāme rakhnā. 26 Jo ġhālib āegā aur āḳhir tak mere kāmoṅ par qāym rahegā use maiṅ qaumoṅ par iḳhtiyār dūṅgā. 27 Hāṅ, wuh lohe ke shāhī asā se un par hukūmat karegā, unheṅ miṭṭī ke bartanoṅ kī tarah phoṛ ḍālegā. 28 Yānī use wuhī iḳhtiyār milegā jo mujhe bhī apne Bāp se milā hai. Aise shaḳhs ko maiṅ subah kā sitārā bhī dūṅgā. 29 Jo sun saktā hai wuh sun le ki Rūhul-quds jamātoṅ ko kyā kuchh batā rahā hai.