Romans 4 (UGV3)

1 Ibrāhīm jismānī lihāz se hamārā bāp thā. To rāstbāz ṭhaharne ke silsile meṅ us kā kyā tajrabā thā? 2 Ham kah sakte haiṅ ki agar wuh sharīat par amal karne se rāstbāz ṭhahartā to wuh apne āp par faḳhr kar saktā thā. Lekin Allāh ke nazdīk us ke pās apne āp par faḳhr karne kā koī sabab na thā. 3 Kyoṅki kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, “Ibrāhīm ne Allāh par bharosā rakhā. Is binā par Allāh ne use rāstbāz qarār diyā.” 4 Jab log kām karte haiṅ to un kī mazdūrī koī ḳhās mehrbānī qarār nahīṅ dī jātī, balki yih to un kā haq bantā hai. 5 Lekin jab log kām nahīṅ karte balki Allāh par īmān rakhte haiṅ jo bedīnoṅ ko rāstbāz qarār detā hai to un kā koī haq nahīṅ bantā. Wuh un ke īmān hī kī binā par rāstbāz qarār die jāte haiṅ. 6 Dāūd yihī bāt bayān kartā hai jab wuh us shaḳhs ko mubārak kahtā hai jise Allāh baġhair āmāl ke rāstbāz ṭhahrātā hai, 7 “Mubārak haiṅ wuh jin ke jarāym muāf kie gae.Jin ke gunāh ḍhāṅpe gae haiṅ. 8 Mubārak hai wuh jis kā gunāh Rab hisāb meṅ nahīṅ lāegā.” 9 Kyā yih mubārakbādī sirf maḳhtūnoṅ ke lie hai yā nāmaḳhtūnoṅ ke lie bhī? Ham to bayān kar chuke haiṅ ki Ibrāhīm īmān kī binā par rāstbāz ṭhahrā. 10 Use kis hālat meṅ rāstbāz ṭhahrāyā gayā? Ḳhatnā karāne ke bād yā pahle? Ḳhatne ke bād nahīṅ balki pahle. 11 Aur ḳhatnā kā jo nishān use milā wuh us kī rāstbāzī kī muhr thī, wuh rāstbāzī jo use ḳhatnā karāne se peshtar milī, us waqt jab wuh īmān lāyā. Yoṅ wuh un sab kā bāp hai jo baġhair ḳhatnā karāe īmān lāe haiṅ aur is binā par rāstbāz ṭhaharte haiṅ. 12 Sāth hī wuh ḳhatnā karāne wāloṅ kā bāp bhī hai, lekin un kā jin kā na sirf ḳhatnā huā hai balki jo hamāre bāp Ibrāhīm ke us īmān ke naqsh-e-qadam par chalte haiṅ jo wuh ḳhatnā karāne se peshtar rakhtā thā. 13 Jab Allāh ne Ibrāhīm aur us kī aulād se wādā kiyā ki wuh duniyā kā wāris hogā to us ne yih is lie nahīṅ kiyā ki Ibrāhīm ne sharīat kī pairawī kī balki is lie ki wuh īmān lāyā aur yoṅ rāstbāz ṭhahrāyā gayā. 14 Kyoṅki agar wuh wāris haiṅ jo sharīat ke pairokār haiṅ to phir īmān beasar ṭhahrā aur Allāh kā wādā miṭ gayā. 15 Sharīat Allāh kā ġhazab hī paidā kartī hai. Lekin jahāṅ koī sharīat nahīṅ wahāṅ us kī ḳhilāfwarzī bhī nahīṅ. 16 Chunāṅche yih mīrās īmān se miltī hai tāki is kī buniyād Allāh kā fazl ho aur is kā wādā Ibrāhīm kī tamām nasl ke lie ho, na sirf sharīat ke pairokāroṅ ke lie balki un ke lie bhī jo Ibrāhīm kā-sā īmān rakhte haiṅ. Yihī ham sab kā bāp hai. 17 Yoṅ Allāh kalām-e-muqaddas meṅ us se wādā kartā hai, “Maiṅ ne tujhe bahut qaumoṅ kā bāp banā diyā hai.” Allāh hī ke nazdīk Ibrāhīm ham sab kā bāp hai. Kyoṅki us kā īmān us Ḳhudā par thā jo murdoṅ ko zindā kartā aur jis ke hukm par wuh kuchh paidā hotā hai jo pahle nahīṅ thā. 18 Ummīd kī koī kiran dikhāī nahīṅ detī thī, phir bhī Ibrāhīm ummīd ke sāth īmān rakhtā rahā ki maiṅ zarūr bahut qaumoṅ kā bāp banūṅgā. Aur āḳhirkār aisā hī huā, jaisā kalām-e-muqaddas meṅ wādā kiyā gayā thā ki “Terī aulād itnī hī beshumār hogī.” 19 Aur Ibrāhīm kā īmān kamzor na paṛā, hālāṅki use mālūm thā ki maiṅ taqrīban sau sāl kā hūṅ aur merā aur Sārā ke badan goyā murdā haiṅ, ab bachche paidā karne kī umr Sārā ke lie guzar chukī hai. 20 To bhī Ibrāhīm kā īmān ḳhatm na huā, na us ne Allāh ke wāde par shak kiyā balki īmān meṅ wuh mazīd mazbūt huā aur Allāh ko jalāl detā rahā. 21 Use puḳhtā yaqīn thā ki Allāh apne wāde ko pūrā karne kī qudrat rakhtā hai. 22 Us ke is īmān kī wajah se Allāh ne use rāstbāz qarār diyā. 23 Kalām-e-muqaddas meṅ yih bāt ki Allāh ne use rāstbāz qarār diyā na sirf us kī ḳhātir likhī gaī 24 balki hamārī ḳhātir bhī. Kyoṅki Allāh hameṅ bhī rāstbāz qarār degā agar ham us par īmān rakheṅ jis ne hamāre Ḳhudāwand Īsā ko murdoṅ meṅ se zindā kiyā. 25 Hamārī hī ḳhatāoṅ kī wajah se use maut ke hawāle kiyā gayā, aur hameṅ hī rāstbāz qarār dene ke lie use zindā kiyā gayā.

In Other Versions

Romans 4 in the ANGEFD

Romans 4 in the ANTPNG2D

Romans 4 in the AS21

Romans 4 in the BAGH

Romans 4 in the BBPNG

Romans 4 in the BBT1E

Romans 4 in the BDS

Romans 4 in the BEV

Romans 4 in the BHAD

Romans 4 in the BIB

Romans 4 in the BLPT

Romans 4 in the BNT

Romans 4 in the BNTABOOT

Romans 4 in the BNTLV

Romans 4 in the BOATCB

Romans 4 in the BOATCB2

Romans 4 in the BOBCV

Romans 4 in the BOCNT

Romans 4 in the BOECS

Romans 4 in the BOGWICC

Romans 4 in the BOHCB

Romans 4 in the BOHCV

Romans 4 in the BOHLNT

Romans 4 in the BOHNTLTAL

Romans 4 in the BOICB

Romans 4 in the BOILNTAP

Romans 4 in the BOITCV

Romans 4 in the BOKCV

Romans 4 in the BOKCV2

Romans 4 in the BOKHWOG

Romans 4 in the BOKSSV

Romans 4 in the BOLCB

Romans 4 in the BOLCB2

Romans 4 in the BOMCV

Romans 4 in the BONAV

Romans 4 in the BONCB

Romans 4 in the BONLT

Romans 4 in the BONUT2

Romans 4 in the BOPLNT

Romans 4 in the BOSCB

Romans 4 in the BOSNC

Romans 4 in the BOTLNT

Romans 4 in the BOVCB

Romans 4 in the BOYCB

Romans 4 in the BPBB

Romans 4 in the BPH

Romans 4 in the BSB

Romans 4 in the CCB

Romans 4 in the CUV

Romans 4 in the CUVS

Romans 4 in the DBT

Romans 4 in the DGDNT

Romans 4 in the DHNT

Romans 4 in the DNT

Romans 4 in the ELBE

Romans 4 in the EMTV

Romans 4 in the ESV

Romans 4 in the FBV

Romans 4 in the FEB

Romans 4 in the GGMNT

Romans 4 in the GNT

Romans 4 in the HARY

Romans 4 in the HNT

Romans 4 in the IRVA

Romans 4 in the IRVB

Romans 4 in the IRVG

Romans 4 in the IRVH

Romans 4 in the IRVK

Romans 4 in the IRVM

Romans 4 in the IRVM2

Romans 4 in the IRVO

Romans 4 in the IRVP

Romans 4 in the IRVT

Romans 4 in the IRVT2

Romans 4 in the IRVU

Romans 4 in the ISVN

Romans 4 in the JSNT

Romans 4 in the KAPI

Romans 4 in the KBT1ETNIK

Romans 4 in the KBV

Romans 4 in the KJV

Romans 4 in the KNFD

Romans 4 in the LBA

Romans 4 in the LBLA

Romans 4 in the LNT

Romans 4 in the LSV

Romans 4 in the MAAL

Romans 4 in the MBV

Romans 4 in the MBV2

Romans 4 in the MHNT

Romans 4 in the MKNFD

Romans 4 in the MNG

Romans 4 in the MNT

Romans 4 in the MNT2

Romans 4 in the MRS1T

Romans 4 in the NAA

Romans 4 in the NASB

Romans 4 in the NBLA

Romans 4 in the NBS

Romans 4 in the NBVTP

Romans 4 in the NET2

Romans 4 in the NIV11

Romans 4 in the NNT

Romans 4 in the NNT2

Romans 4 in the NNT3

Romans 4 in the PDDPT

Romans 4 in the PFNT

Romans 4 in the RMNT

Romans 4 in the SBIAS

Romans 4 in the SBIBS

Romans 4 in the SBIBS2

Romans 4 in the SBICS

Romans 4 in the SBIDS

Romans 4 in the SBIGS

Romans 4 in the SBIHS

Romans 4 in the SBIIS

Romans 4 in the SBIIS2

Romans 4 in the SBIIS3

Romans 4 in the SBIKS

Romans 4 in the SBIKS2

Romans 4 in the SBIMS

Romans 4 in the SBIOS

Romans 4 in the SBIPS

Romans 4 in the SBISS

Romans 4 in the SBITS

Romans 4 in the SBITS2

Romans 4 in the SBITS3

Romans 4 in the SBITS4

Romans 4 in the SBIUS

Romans 4 in the SBIVS

Romans 4 in the SBT

Romans 4 in the SBT1E

Romans 4 in the SCHL

Romans 4 in the SNT

Romans 4 in the SUSU

Romans 4 in the SUSU2

Romans 4 in the SYNO

Romans 4 in the TBIAOTANT

Romans 4 in the TBT1E

Romans 4 in the TBT1E2

Romans 4 in the TFTIP

Romans 4 in the TFTU

Romans 4 in the TGNTATF3T

Romans 4 in the THAI

Romans 4 in the TNFD

Romans 4 in the TNT

Romans 4 in the TNTIK

Romans 4 in the TNTIL

Romans 4 in the TNTIN

Romans 4 in the TNTIP

Romans 4 in the TNTIZ

Romans 4 in the TOMA

Romans 4 in the TTENT

Romans 4 in the UBG

Romans 4 in the UGV

Romans 4 in the UGV2

Romans 4 in the VBL

Romans 4 in the VDCC

Romans 4 in the YALU

Romans 4 in the YAPE

Romans 4 in the YBVTP

Romans 4 in the ZBP