1 Corinthians 14 (UGV3)

1 Muhabbat kā dāman thāme rakheṅ. Lekin sāth hī ruhānī nematoṅ ko sargarmī se istemāl meṅ lāeṅ, ḳhusūsan nabuwwat kī nemat ko. 2 Ġhairzabān bolne wālā logoṅ se nahīṅ balki Allāh se bāt kartā hai. Koī us kī bāt nahīṅ samajhtā kyoṅki wuh Rūh meṅ bhed kī bāteṅ kartā hai. 3 Is ke baraks nabuwwat karne wālā logoṅ se aisī bāteṅ kartā hai jo un kī tāmīr-o-taraqqī, hauslā-afzāī aur tasallī kā bāis bantī haiṅ. 4 Ġhairzabān bolne wālā apnī tāmīr-o-taraqqī kartā hai jabki nabuwwat karne wālā jamāt kī. 5 Maiṅ chāhtā hūṅ ki āp sab ġhairzabāneṅ boleṅ, lekin is se zyādā yih ḳhāhish rakhtā hūṅ ki āp nabuwwat kareṅ. Nabuwwat karne wālā ġhairzabāneṅ bolne wāle se aham hai. Hāṅ, ġhairzabāneṅ bolne wālā bhī aham hai basharteki apnī zabān kā tarjumā kare, kyoṅki is se Ḳhudā kī jamāt kī tāmīr-o-taraqqī hotī hai. 6 Bhāiyo, agar maiṅ āp ke pās ā kar ġhairzabāneṅ bolūṅ, lekin mukāshafe, ilm, nabuwwat aur tālīm kī koī bāt na karūṅ to āp ko kyā fāydā hogā? 7 Bejān sāzoṅ par ġhaur karne se bhī yihī bāt sāmne ātī hai. Agar bāṅsrī yā sarod ko kisī ḳhās sur ke mutābiq na bajāyā jāe to phir sunane wāle kis tarah pahchān sakeṅge ki in par kyā kyā pesh kiyā jā rahā hai? 8 Isī tarah agar bigul kī āwāz jang ke lie taiyār ho jāne ke lie sāf taur se na baje to kyā faujī kamarbastā ho jāeṅge? 9 Agar āp sāf sāf bāt na kareṅ to āp kī hālat bhī aisī hī hogī. Phir āp kī bāt kaun samjhegā? Kyoṅki āp logoṅ se nahīṅ balki hawā se bāteṅ kareṅge. 10 Is duniyā meṅ bahut zyādā zabāneṅ bolī jātī haiṅ aur in meṅ se koī bhī nahīṅ jo bemānī ho. 11 Agar maiṅ kisī zabān se wāqif nahīṅ to maiṅ us zabān meṅ bolne wāle ke nazdīk ajnabī ṭhahrūṅga aur wuh mere nazdīk. 12 Yih usūl āp par bhī lāgū hotā hai. Chūṅki āp ruhānī nematoṅ ke lie taṛapte haiṅ to phir ḳhāskar un nematoṅ meṅ māhir banane kī koshish kareṅ jo Ḳhudā kī jamāt ko tāmīr kartī haiṅ. 13 Chunāṅche ġhairzabān bolne wālā duā kare ki is kā tarjumā bhī kar sake. 14 Kyoṅki agar maiṅ ġhairzabān meṅ duā karūṅ to merī rūh to duā kartī hai magar merī aql beamal rahtī hai. 15 To phir kyā karūṅ? Maiṅ Rūh meṅ duā karūṅga, lekin aql ko bhī istemāl karūṅga. Maiṅ Rūh meṅ hamd-o-sanā karūṅga, lekin aql ko bhī istemāl meṅ lāūṅgā. 16 Agar āp sirf Rūh meṅ hamd-o-sanā kareṅ to hāzirīn meṅ se jo āp kī bāt nahīṅ samajhtā wuh kis tarah āp kī shukrguzārī par “Āmīn” kah sakegā? Use to āp kī bātoṅ kī samajh hī nahīṅ āī. 17 Beshak āp achchhī tarah Ḳhudā kā shukr kar rahe hoṅge, lekin is se dūsre shaḳhs kī tāmīr-o-taraqqī nahīṅ hogī. 18 Maiṅ Ḳhudā kā shukr kartā hūṅ ki āp sab kī nisbat zyādā ġhairzabānoṅ meṅ bāt kartā hūṅ. 19 Phir bhī maiṅ Ḳhudā kī jamāt meṅ aisī bāteṅ pesh karnā chāhtā hūṅ jo dūsre samajh sakeṅ aur jin se wuh tarbiyat hāsil kar sakeṅ. Kyoṅki ġhairzabānoṅ meṅ bolī gaī beshumār bātoṅ kī nisbat pāṅch tarbiyat dene wāle alfāz kahīṅ behtar haiṅ. 20 Bhāiyo, bachchoṅ jaisī soch se bāz āeṅ. Burāī ke lihāz se to zarūr bachche bane raheṅ, lekin samajh meṅ bāliġh ban jāeṅ. 21 Sharīat meṅ likhā hai, “Rab farmātā hai ki maiṅ ġhairzabānoṅ aur ajnabiyoṅ ke hoṅṭoṅ kī mārifat is qaum se bāt karūṅga. Lekin wuh phir bhī merī nahīṅ suneṅge.” 22 Is se zāhir hotā hai ki ġhairzabāneṅ īmāndāroṅ ke lie imtiyāzī nishān nahīṅ hotīṅ balki ġhairīmāndāroṅ ke lie. Is ke baraks nabuwwat ġhairīmāndāroṅ ke lie imtiyāzī nishān nahīṅ hotī balki īmāndāroṅ ke lie. 23 Ab farz kareṅ ki īmāndār ek jagah jamā haiṅ aur tamām hāzirīn ġhairzabāneṅ bol rahe haiṅ. Isī asnā meṅ ġhairzabān ko na samajhne wāle yā ġhairīmāndār ā shāmil hote haiṅ. Āp ko is hālat meṅ dekh kar kyā wuh āp ko dīwānā qarār nahīṅ deṅge? 24 Is ke muqābale meṅ agar tamām log nabuwwat kar rahe hoṅ aur koī ġhairīmāndār andar āe to kyā hogā? Wuh sab use qāyl kar leṅge ki gunāhgār hai aur sab use parakh leṅge. 25 Yoṅ us ke dil kī poshīdā bāteṅ zāhir ho jāeṅgī, wuh gir kar Allāh ko sijdā karegā aur taslīm karegā ki filhaqīqat Allāh āp ke darmiyān maujūd hai. 26 Bhāiyo, phir kyā honā chāhie? Jab āp jamā hote haiṅ to har ek ke pās koī gīt yā tālīm yā mukāshafā yā ġhairzabān yā is kā tarjumā ho. In sab kā maqsad Ḳhudā kī jamāt kī tāmīr-o-taraqqī ho. 27 Ġhairzabān meṅ bolte waqt sirf do yā zyādā se zyādā tīn ashḳhās boleṅ aur wuh bhī bārī bārī. Sāth hī koī un kā tarjumā bhī kare. 28 Agar koī tarjumā karne wālā na ho to ġhairzabān bolne wālā jamāt meṅ ḳhāmosh rahe, albattā use apne āp se aur Allāh se bāt karne kī āzādī hai. 29 Nabiyoṅ meṅ se do yā tīn nabuwwat kareṅ aur dūsre un kī bātoṅ kī sehhat ko parkheṅ. 30 Agar is daurān kisī baiṭhe hue shaḳhs ko koī mukāshafā mile to pahlā shaḳhs ḳhāmosh ho jāe. 31 Kyoṅki āp sab bārī bārī nabuwwat kar sakte haiṅ tāki tamām log sīkheṅ aur un kī hauslā-afzāī ho. 32 Nabiyoṅ kī rūh nabiyoṅ ke tābe rahtī haiṅ, 33 kyoṅki Allāh betartībī kā nahīṅ balki salāmatī kā Ḳhudā hai.Jaisā muqaddasīn kī tamām jamātoṅ kā dastūr hai 34 ḳhawātīn jamāt meṅ ḳhāmosh raheṅ. Unheṅ bolne kī ijāzat nahīṅ, balki wuh farmāṅbardār raheṅ. Sharīat bhī yihī farmātī hai. 35 Agar wuh kuchh sīkhnā chāheṅ to apne ghar par apne shauhar se pūchh leṅ, kyoṅki aurat kā Ḳhudā kī jamāt meṅ bolnā sharm kī bāt hai. 36 Kyā Allāh kā kalām āp meṅ se niklā hai, yā kyā wuh sirf āp hī tak pahuṅchā hai? 37 Agar koī ḳhayāl kare ki maiṅ nabī hūṅ yā ḳhās ruhānī haisiyat rakhtā hūṅ to wuh jān le ki jo kuchh maiṅ āp ko likh rahā hūṅ wuh Ḳhudāwand kā hukm hai. 38 Jo yih nazarandāz kartā hai use ḳhud bhī nazarandāz kiyā jāegā. 39 Ġharz bhāiyo, nabuwwat karne ke lie taṛapte raheṅ, albattā kisī ko ġhairzabāneṅ bolne se na rokeṅ. 40 Lekin sab kuchh shāystagī aur tartīb se amal meṅ āe.

In Other Versions

1 Corinthians 14 in the ANGEFD

1 Corinthians 14 in the ANTPNG2D

1 Corinthians 14 in the AS21

1 Corinthians 14 in the BAGH

1 Corinthians 14 in the BBPNG

1 Corinthians 14 in the BBT1E

1 Corinthians 14 in the BDS

1 Corinthians 14 in the BEV

1 Corinthians 14 in the BHAD

1 Corinthians 14 in the BIB

1 Corinthians 14 in the BLPT

1 Corinthians 14 in the BNT

1 Corinthians 14 in the BNTABOOT

1 Corinthians 14 in the BNTLV

1 Corinthians 14 in the BOATCB

1 Corinthians 14 in the BOATCB2

1 Corinthians 14 in the BOBCV

1 Corinthians 14 in the BOCNT

1 Corinthians 14 in the BOECS

1 Corinthians 14 in the BOGWICC

1 Corinthians 14 in the BOHCB

1 Corinthians 14 in the BOHCV

1 Corinthians 14 in the BOHLNT

1 Corinthians 14 in the BOHNTLTAL

1 Corinthians 14 in the BOICB

1 Corinthians 14 in the BOILNTAP

1 Corinthians 14 in the BOITCV

1 Corinthians 14 in the BOKCV

1 Corinthians 14 in the BOKCV2

1 Corinthians 14 in the BOKHWOG

1 Corinthians 14 in the BOKSSV

1 Corinthians 14 in the BOLCB

1 Corinthians 14 in the BOLCB2

1 Corinthians 14 in the BOMCV

1 Corinthians 14 in the BONAV

1 Corinthians 14 in the BONCB

1 Corinthians 14 in the BONLT

1 Corinthians 14 in the BONUT2

1 Corinthians 14 in the BOPLNT

1 Corinthians 14 in the BOSCB

1 Corinthians 14 in the BOSNC

1 Corinthians 14 in the BOTLNT

1 Corinthians 14 in the BOVCB

1 Corinthians 14 in the BOYCB

1 Corinthians 14 in the BPBB

1 Corinthians 14 in the BPH

1 Corinthians 14 in the BSB

1 Corinthians 14 in the CCB

1 Corinthians 14 in the CUV

1 Corinthians 14 in the CUVS

1 Corinthians 14 in the DBT

1 Corinthians 14 in the DGDNT

1 Corinthians 14 in the DHNT

1 Corinthians 14 in the DNT

1 Corinthians 14 in the ELBE

1 Corinthians 14 in the EMTV

1 Corinthians 14 in the ESV

1 Corinthians 14 in the FBV

1 Corinthians 14 in the FEB

1 Corinthians 14 in the GGMNT

1 Corinthians 14 in the GNT

1 Corinthians 14 in the HARY

1 Corinthians 14 in the HNT

1 Corinthians 14 in the IRVA

1 Corinthians 14 in the IRVB

1 Corinthians 14 in the IRVG

1 Corinthians 14 in the IRVH

1 Corinthians 14 in the IRVK

1 Corinthians 14 in the IRVM

1 Corinthians 14 in the IRVM2

1 Corinthians 14 in the IRVO

1 Corinthians 14 in the IRVP

1 Corinthians 14 in the IRVT

1 Corinthians 14 in the IRVT2

1 Corinthians 14 in the IRVU

1 Corinthians 14 in the ISVN

1 Corinthians 14 in the JSNT

1 Corinthians 14 in the KAPI

1 Corinthians 14 in the KBT1ETNIK

1 Corinthians 14 in the KBV

1 Corinthians 14 in the KJV

1 Corinthians 14 in the KNFD

1 Corinthians 14 in the LBA

1 Corinthians 14 in the LBLA

1 Corinthians 14 in the LNT

1 Corinthians 14 in the LSV

1 Corinthians 14 in the MAAL

1 Corinthians 14 in the MBV

1 Corinthians 14 in the MBV2

1 Corinthians 14 in the MHNT

1 Corinthians 14 in the MKNFD

1 Corinthians 14 in the MNG

1 Corinthians 14 in the MNT

1 Corinthians 14 in the MNT2

1 Corinthians 14 in the MRS1T

1 Corinthians 14 in the NAA

1 Corinthians 14 in the NASB

1 Corinthians 14 in the NBLA

1 Corinthians 14 in the NBS

1 Corinthians 14 in the NBVTP

1 Corinthians 14 in the NET2

1 Corinthians 14 in the NIV11

1 Corinthians 14 in the NNT

1 Corinthians 14 in the NNT2

1 Corinthians 14 in the NNT3

1 Corinthians 14 in the PDDPT

1 Corinthians 14 in the PFNT

1 Corinthians 14 in the RMNT

1 Corinthians 14 in the SBIAS

1 Corinthians 14 in the SBIBS

1 Corinthians 14 in the SBIBS2

1 Corinthians 14 in the SBICS

1 Corinthians 14 in the SBIDS

1 Corinthians 14 in the SBIGS

1 Corinthians 14 in the SBIHS

1 Corinthians 14 in the SBIIS

1 Corinthians 14 in the SBIIS2

1 Corinthians 14 in the SBIIS3

1 Corinthians 14 in the SBIKS

1 Corinthians 14 in the SBIKS2

1 Corinthians 14 in the SBIMS

1 Corinthians 14 in the SBIOS

1 Corinthians 14 in the SBIPS

1 Corinthians 14 in the SBISS

1 Corinthians 14 in the SBITS

1 Corinthians 14 in the SBITS2

1 Corinthians 14 in the SBITS3

1 Corinthians 14 in the SBITS4

1 Corinthians 14 in the SBIUS

1 Corinthians 14 in the SBIVS

1 Corinthians 14 in the SBT

1 Corinthians 14 in the SBT1E

1 Corinthians 14 in the SCHL

1 Corinthians 14 in the SNT

1 Corinthians 14 in the SUSU

1 Corinthians 14 in the SUSU2

1 Corinthians 14 in the SYNO

1 Corinthians 14 in the TBIAOTANT

1 Corinthians 14 in the TBT1E

1 Corinthians 14 in the TBT1E2

1 Corinthians 14 in the TFTIP

1 Corinthians 14 in the TFTU

1 Corinthians 14 in the TGNTATF3T

1 Corinthians 14 in the THAI

1 Corinthians 14 in the TNFD

1 Corinthians 14 in the TNT

1 Corinthians 14 in the TNTIK

1 Corinthians 14 in the TNTIL

1 Corinthians 14 in the TNTIN

1 Corinthians 14 in the TNTIP

1 Corinthians 14 in the TNTIZ

1 Corinthians 14 in the TOMA

1 Corinthians 14 in the TTENT

1 Corinthians 14 in the UBG

1 Corinthians 14 in the UGV

1 Corinthians 14 in the UGV2

1 Corinthians 14 in the VBL

1 Corinthians 14 in the VDCC

1 Corinthians 14 in the YALU

1 Corinthians 14 in the YAPE

1 Corinthians 14 in the YBVTP

1 Corinthians 14 in the ZBP