Acts 14 (UGV3)

1 Ikuniyum meṅ Paulus aur Barnabās Yahūdī ibādatḳhāne meṅ jā kar itne iḳhtiyār se bole ki Yahūdiyoṅ aur Ġhairyahūdiyoṅ kī baṛī tādād īmān le āī. 2 Lekin jin Yahūdiyoṅ ne īmān lāne se inkār kiyā unhoṅ ne Ġhairyahūdiyoṅ ko uksā kar bhāiyoṅ ke bāre meṅ un ke ḳhayālāt ḳharāb kar die. 3 To bhī rasūl kāfī der tak wahāṅ ṭhahre. Unhoṅ ne dilerī se Ḳhudāwand ke bāre meṅ tālīm dī aur Ḳhudāwand ne apne fazl ke paiġhām kī tasdīq kī. Us ne un ke hāthoṅ ilāhī nishān aur mojize rūnumā hone die. 4 Lekin shahr meṅ ābād log do gurohoṅ meṅ baṭ gae. Kuchh Yahūdiyoṅ ke haq meṅ the aur kuchh rasūloṅ ke haq meṅ. 5 Phir kuchh Ġhairyahūdiyoṅ aur Yahūdiyoṅ meṅ josh ā gayā. Unhoṅ ne apne līḍaroṅ samet faislā kiyā ki ham Paulus aur Barnabās kī tazlīl karke unheṅ sangsār kareṅge. 6 Lekin jab rasūloṅ ko patā chalā to wuh hijrat karke lukāuniyā ke shahroṅ Lustrā, Dirbe aur irdgird ke ilāqe meṅ 7 Allāh kī ḳhushḳhabrī sunāte rahe. 8 Lustrā meṅ Paulus aur Barnabās kī mulāqāt ek ādmī se huī jis ke pāṅwoṅ meṅ tāqat nahīṅ thī. Wuh paidāish hī se langaṛā thā aur kabhī bhī chal-phir na sakā thā. Wuh wahāṅ baiṭhā 9 un kī bāteṅ sun rahā thā ki Paulus ne ġhaur se us kī taraf dekhā. Us ne jān liyā ki us ādmī meṅ rihāī pāne ke lāyq īmān hai. 10 Is lie wuh ūṅchī āwāz se bolā, “Apne pāṅwoṅ par khaṛe ho jāeṅ!” Wuh uchhal kar khaṛā huā aur chalne-phirne lagā. 11 Paulus kā yih kām dekh kar hujūm apnī maqāmī zabān meṅ chillā uṭhā, “In ādmiyoṅ kī shakl meṅ dewatā hamāre pās utar āe haiṅ.” 12 Unhoṅ ne Barnabās ko Yūnānī dewatā Ziyūs qarār diyā aur Paulus ko dewatā Hirmes, kyoṅki kalām sunāne kī ḳhidmat zyādātar wuh anjām detā thā. 13 Is par shahr se bāhar wāqe Ziyūs ke mandir kā pujārī shahr ke darwāze par bail aur phūloṅ ke hār le āyā aur hujūm ke sāth qurbāniyāṅ chaṛhāne kī taiyāriyāṅ karne lagā. 14 Yih sun kar Barnabās aur Sāūl rasūl apne kapṛoṅ ko phāṛ kar hujūm meṅ jā ghuse aur chillāne lage, 15 “Mardo, yih āp kyā kar rahe haiṅ? Ham bhī āp jaise insān haiṅ. Ham to āp ko Allāh kī yih ḳhushḳhabrī sunāne āe haiṅ ki āp in bekār chīzoṅ ko chhoṛ kar zindā Ḳhudā kī taraf rujū farmāeṅ jis ne āsmān-o-zamīn, samundar aur jo kuchh un meṅ hai paidā kiyā hai. 16 Māzī meṅ us ne tamām Ġhairyahūdī qaumoṅ ko khulā chhoṛ diyā thā ki wuh apnī apnī rāh par chaleṅ. 17 To bhī us ne aisī chīzeṅ āp ke pās rahne dī haiṅ jo us kī gawāhī detī haiṅ. Us kī mehrbānī is se zāhir hotī hai ki wuh āp ko bārish bhej kar har mausam kī fasleṅ muhaiyā kartā hai aur āp ser ho kar ḳhushī se bhar jāte haiṅ.” 18 In alfāz ke bāwujūd Paulus aur Barnabās ne baṛī mushkil se hujūm ko unheṅ qurbāniyāṅ chaṛhāne se rokā. 19 Phir kuchh Yahūdī Pisidiyā ke Antākiyā aur Ikuniyum se wahāṅ āe aur hujūm ko apnī taraf māyl kiyā. Unhoṅ ne Paulus ko sangsār kiyā aur shahr se bāhar ghasīṭ kar le gae. Un kā ḳhayāl thā ki wuh mar gayā hai, 20 lekin jab shāgird us ke gird jamā hue to wuh uṭh kar shahr kī taraf wāpas chal paṛā. Agle din wuh Barnabās samet Dirbe chalā gayā. 21 Dirbe meṅ unhoṅ ne Allāh kī ḳhushḳhabrī sunā kar bahut-se shāgird banāe. Phir wuh muṛ kar Lustrā, Ikuniyum aur Pisidiyā ke Antākiyā wāpas āe. 22 Har jagah unhoṅ ne shāgirdoṅ ke dil mazbūt karke un kī hauslā-afzāī kī ki wuh īmān meṅ sābitqadam raheṅ. Unhoṅ ne kahā, “Lāzim hai ki ham bahut-sī musībatoṅ meṅ se guzar kar Allāh kī bādshāhī meṅ dāḳhil hoṅ.” 23 Paulus aur Barnabās ne har jamāt meṅ buzurg bhī muqarrar kie. Unhoṅ ne roze rakh kar duā kī aur unheṅ us Ḳhudāwand ke sapurd kiyā jis par wuh īmān lāe the. 24 Yoṅ Pisidiyā ke ilāqe meṅ se safr karte karte wuh Pamfīliyā pahuṅche. 25 Unhoṅ ne Pirgā meṅ kalām-e-muqaddas sunāyā aur phir utar kar Attaliyā pahuṅche. 26 Wahāṅ se wuh jahāz meṅ baiṭh kar Shām ke shahr Antākiyā ke lie rawānā hue, us shahr ke lie jahāṅ īmāndāroṅ ne unheṅ is tablīġhī safr ke lie Allāh ke fazl ke sapurd kiyā thā. Yoṅ unhoṅ ne apnī is ḳhidmat ko pūrā kiyā. 27 Antākiyā pahuṅch kar unhoṅ ne īmāndāroṅ ko jamā karke un tamām kāmoṅ kā bayān kiyā jo Allāh ne un ke wasīle se kie the. Sāth sāth unhoṅ ne yih bhī batāyā ki Allāh ne kis tarah Ġhairyahūdiyoṅ ke lie bhī īmān kā darwāzā khol diyā hai. 28 Aur wuh kāfī der tak wahāṅ ke shāgirdoṅ ke pās ṭhahre rahe.

In Other Versions

Acts 14 in the ANGEFD

Acts 14 in the ANTPNG2D

Acts 14 in the AS21

Acts 14 in the BAGH

Acts 14 in the BBPNG

Acts 14 in the BBT1E

Acts 14 in the BDS

Acts 14 in the BEV

Acts 14 in the BHAD

Acts 14 in the BIB

Acts 14 in the BLPT

Acts 14 in the BNT

Acts 14 in the BNTABOOT

Acts 14 in the BNTLV

Acts 14 in the BOATCB

Acts 14 in the BOATCB2

Acts 14 in the BOBCV

Acts 14 in the BOCNT

Acts 14 in the BOECS

Acts 14 in the BOGWICC

Acts 14 in the BOHCB

Acts 14 in the BOHCV

Acts 14 in the BOHLNT

Acts 14 in the BOHNTLTAL

Acts 14 in the BOICB

Acts 14 in the BOILNTAP

Acts 14 in the BOITCV

Acts 14 in the BOKCV

Acts 14 in the BOKCV2

Acts 14 in the BOKHWOG

Acts 14 in the BOKSSV

Acts 14 in the BOLCB

Acts 14 in the BOLCB2

Acts 14 in the BOMCV

Acts 14 in the BONAV

Acts 14 in the BONCB

Acts 14 in the BONLT

Acts 14 in the BONUT2

Acts 14 in the BOPLNT

Acts 14 in the BOSCB

Acts 14 in the BOSNC

Acts 14 in the BOTLNT

Acts 14 in the BOVCB

Acts 14 in the BOYCB

Acts 14 in the BPBB

Acts 14 in the BPH

Acts 14 in the BSB

Acts 14 in the CCB

Acts 14 in the CUV

Acts 14 in the CUVS

Acts 14 in the DBT

Acts 14 in the DGDNT

Acts 14 in the DHNT

Acts 14 in the DNT

Acts 14 in the ELBE

Acts 14 in the EMTV

Acts 14 in the ESV

Acts 14 in the FBV

Acts 14 in the FEB

Acts 14 in the GGMNT

Acts 14 in the GNT

Acts 14 in the HARY

Acts 14 in the HNT

Acts 14 in the IRVA

Acts 14 in the IRVB

Acts 14 in the IRVG

Acts 14 in the IRVH

Acts 14 in the IRVK

Acts 14 in the IRVM

Acts 14 in the IRVM2

Acts 14 in the IRVO

Acts 14 in the IRVP

Acts 14 in the IRVT

Acts 14 in the IRVT2

Acts 14 in the IRVU

Acts 14 in the ISVN

Acts 14 in the JSNT

Acts 14 in the KAPI

Acts 14 in the KBT1ETNIK

Acts 14 in the KBV

Acts 14 in the KJV

Acts 14 in the KNFD

Acts 14 in the LBA

Acts 14 in the LBLA

Acts 14 in the LNT

Acts 14 in the LSV

Acts 14 in the MAAL

Acts 14 in the MBV

Acts 14 in the MBV2

Acts 14 in the MHNT

Acts 14 in the MKNFD

Acts 14 in the MNG

Acts 14 in the MNT

Acts 14 in the MNT2

Acts 14 in the MRS1T

Acts 14 in the NAA

Acts 14 in the NASB

Acts 14 in the NBLA

Acts 14 in the NBS

Acts 14 in the NBVTP

Acts 14 in the NET2

Acts 14 in the NIV11

Acts 14 in the NNT

Acts 14 in the NNT2

Acts 14 in the NNT3

Acts 14 in the PDDPT

Acts 14 in the PFNT

Acts 14 in the RMNT

Acts 14 in the SBIAS

Acts 14 in the SBIBS

Acts 14 in the SBIBS2

Acts 14 in the SBICS

Acts 14 in the SBIDS

Acts 14 in the SBIGS

Acts 14 in the SBIHS

Acts 14 in the SBIIS

Acts 14 in the SBIIS2

Acts 14 in the SBIIS3

Acts 14 in the SBIKS

Acts 14 in the SBIKS2

Acts 14 in the SBIMS

Acts 14 in the SBIOS

Acts 14 in the SBIPS

Acts 14 in the SBISS

Acts 14 in the SBITS

Acts 14 in the SBITS2

Acts 14 in the SBITS3

Acts 14 in the SBITS4

Acts 14 in the SBIUS

Acts 14 in the SBIVS

Acts 14 in the SBT

Acts 14 in the SBT1E

Acts 14 in the SCHL

Acts 14 in the SNT

Acts 14 in the SUSU

Acts 14 in the SUSU2

Acts 14 in the SYNO

Acts 14 in the TBIAOTANT

Acts 14 in the TBT1E

Acts 14 in the TBT1E2

Acts 14 in the TFTIP

Acts 14 in the TFTU

Acts 14 in the TGNTATF3T

Acts 14 in the THAI

Acts 14 in the TNFD

Acts 14 in the TNT

Acts 14 in the TNTIK

Acts 14 in the TNTIL

Acts 14 in the TNTIN

Acts 14 in the TNTIP

Acts 14 in the TNTIZ

Acts 14 in the TOMA

Acts 14 in the TTENT

Acts 14 in the UBG

Acts 14 in the UGV

Acts 14 in the UGV2

Acts 14 in the VBL

Acts 14 in the VDCC

Acts 14 in the YALU

Acts 14 in the YAPE

Acts 14 in the YBVTP

Acts 14 in the ZBP