Acts 18 (UGV3)

1 Is ke bād Paulus Athene ko chhoṛ kar Kurinthus Shahr āyā. 2 Wahāṅ us kī mulāqāt ek Yahūdī se huī jis kā nām Akwilā thā. Wuh Puntus kā rahne wālā thā aur thoṛī der pahle apnī bīwī Priskillā samet Iṭalī se āyā thā. Wajah yih thī ki shahanshāh Klaudiyus ne hukm sādir kiyā thā ki tamām Yahūdī Rom ko chhoṛ kar chale jāeṅ. Un logoṅ ke pās Paulus gayā 3 aur chūṅki un kā peshā bhī ḳhaime silāī karnā thā is lie wuh un ke ghar ṭhahar kar rozī kamāne lagā. 4 Sāth sāth us ne har Sabat ko Yahūdī ibādatḳhāne meṅ tālīm de kar Yahūdiyoṅ aur Yūnāniyoṅ ko qāyl karne kī koshish kī. 5 Jab Sīlās aur Tīmuthiyus Makiduniyā se āe to Paulus apnā pūrā waqt kalām sunāne meṅ sarf karne lagā. Us ne Yahūdiyoṅ ko gawāhī dī ki Īsā kalām-e-muqaddas meṅ bayān kiyā gayā Masīh hai. 6 Lekin jab wuh us kī muḳhālafat karke us kī tazlīl karne lage to us ne ehtijāj meṅ apne kapṛoṅ se gard jhāṛ kar kahā, “Āp ḳhud apnī halākat ke zimmedār haiṅ, maiṅ bequsūr hūṅ. Ab se maiṅ Ġhairyahūdiyoṅ ke pās jāyā karūṅga.” 7 Phir wuh wahāṅ se nikal kar ibādatḳhāne ke sāth wāle ghar meṅ gayā. Wahāṅ Titus Yūstus rahtā thā jo Yahūdī nahīṅ thā, lekin Ḳhudā kā ḳhauf māntā thā. 8 Aur Krispus jo ibādatḳhāne kā rāhnumā thā apne gharāne samet Ḳhudāwand par īmān lāyā. Kurinthus ke bahut sāre aur logoṅ ne bhī jab Paulus kī bāteṅ sunīṅ to īmān lāe aur baptismā liyā. 9 Ek rāt Ḳhudāwand royā meṅ Paulus se hamkalām huā, “Mat ḍar! Kalām kartā jā aur ḳhāmosh na ho, 10 kyoṅki maiṅ tere sāth hūṅ. Koī hamlā karke tujhe nuqsān nahīṅ pahuṅchāegā, kyoṅki is shahr meṅ mere bahut-se log haiṅ.” 11 Phir Paulus mazīd ḍeṛh sāl wahāṅ ṭhahar kar logoṅ ko Allāh kā kalām sikhātā rahā. 12 Un dinoṅ meṅ jab Galliyo sūbā Aḳhayā kā gawarnar thā to Yahūdī muttahid ho kar Paulus ke ḳhilāf jamā hue aur use adālat meṅ Galliyo ke sāmne lāe. 13 Unhoṅ ne kahā, “Yih ādmī logoṅ ko aise tarīqe se Allāh kī ibādat karne par uksā rahā hai jo hamārī sharīat ke ḳhilāf hai.” 14 Paulus jawāb meṅ kuchh kahne ko thā ki Galliyo ḳhud Yahūdiyoṅ se muḳhātib huā, “Suneṅ, Yahūdī mardo! Agar āp kā ilzām koī nāinsāfī yā sangīn jurm hotā to āp kī bāt qābil-e-bardāsht hotī. 15 Lekin āp kā jhagaṛā mazhabī tālīm, nāmoṅ aur āp kī Yahūdī sharīat se tālluq rakhtā hai, is lie use ḳhud hal kareṅ. Maiṅ is muāmale meṅ faislā karne ke lie taiyār nahīṅ hūṅ.” 16 Yih kah kar us ne unheṅ adālat se bhagā diyā. 17 Is par hujūm ne Yahūdī ibādatḳhāne ke rāhnumā Sosthines ko pakaṛ kar adālat ke sāmne us kī piṭāī kī. Lekin Galliyo ne parwā na kī. 18 Is ke bād bhī Paulus bahut din Kurinthus meṅ rahā. Phir bhāiyoṅ ko ḳhairbād kah kar wuh qarīb ke shahr Kinḳhriyā gayā jahāṅ us ne kisī mannat ke pūre hone par apne sar ke bāl munḍwā die. Is ke bād wuh Priskillā aur Akwilā ke sāth jahāz par sawār ho kar Mulk-e-Shām ke lie rawānā huā. 19 Pahle wuh Ifisus pahuṅche jahāṅ Paulus ne Priskillā aur Akwilā ko chhoṛ diyā. Wahāṅ bhī us ne Yahūdī ibādatḳhāne meṅ jā kar Yahūdiyoṅ se bahs kī. 20 Unhoṅ ne us se darḳhāst kī ki mazīd waqt un ke sāth guzāre, lekin us ne inkār kiyā 21 aur unheṅ ḳhairbād kah kar kahā, “Agar Allāh kī marzī ho to maiṅ āp ke pās wāpas āūṅgā.” Phir wuh jahāz par sawār ho kar Ifisus se rawānā huā. 22 Safr karte karte wuh Qaisariyā pahuṅch gayā, jahāṅ se wuh Yarūshalam jā kar maqāmī jamāt se milā. Is ke bād wuh Antākiyā wāpas chalā gayā 23 jahāṅ wuh kuchh der ṭhahrā. Phir āge nikal kar wuh Galatiyā aur Farūgiyā ke ilāqe meṅ se guzarte hue wahāṅ ke tamām īmāndāroṅ ko mazbūt kartā gayā. 24 Itne meṅ ek fasīh Yahūdī jise kalām-e-muqaddas kā zabardast ilm thā Ifisus pahuṅch gayā thā. Us kā nām Apullos thā. Wuh Misr ke shahr Iskandariyā kā rahne wālā thā. 25 Use Ḳhudāwand kī rāh ke bāre meṅ tālīm dī gaī thī aur wuh baṛī sargarmī se logoṅ ko Īsā ke bāre meṅ sikhātā rahā. Us kī yih tālīm sahīh thī agarche wuh abhī tak sirf Yahyā kā baptismā jāntā thā. 26 Ifisus ke Yahūdī ibādatḳhāne meṅ wuh baṛī dilerī se kalām karne lagā. Yih sun kar Priskillā aur Akwilā ne use ek taraf le jā kar us ke sāmne Allāh kī rāh ko mazīd tafsīl se bayān kiyā. 27 Apullos sūbā Aḳhayā jāne kā ḳhayāl rakhtā thā to Ifisus ke bhāiyoṅ ne us kī hauslā-afzāī kī. Unhoṅ ne wahāṅ ke shāgirdoṅ ko ḳhat likhā ki wuh us kā istiqbāl kareṅ. Jab wuh wahāṅ pahuṅchā to un ke lie baṛī madad kā bāis banā jo Allāh ke fazl se īmān lāe the, 28 kyoṅki wuh alāniyā mubāhasoṅ meṅ zabardast dalāyl se Yahūdiyoṅ par ġhālib āyā aur kalām-e-muqaddas se sābit kiyā ki Īsā Masīh hai.

In Other Versions

Acts 18 in the ANGEFD

Acts 18 in the ANTPNG2D

Acts 18 in the AS21

Acts 18 in the BAGH

Acts 18 in the BBPNG

Acts 18 in the BBT1E

Acts 18 in the BDS

Acts 18 in the BEV

Acts 18 in the BHAD

Acts 18 in the BIB

Acts 18 in the BLPT

Acts 18 in the BNT

Acts 18 in the BNTABOOT

Acts 18 in the BNTLV

Acts 18 in the BOATCB

Acts 18 in the BOATCB2

Acts 18 in the BOBCV

Acts 18 in the BOCNT

Acts 18 in the BOECS

Acts 18 in the BOGWICC

Acts 18 in the BOHCB

Acts 18 in the BOHCV

Acts 18 in the BOHLNT

Acts 18 in the BOHNTLTAL

Acts 18 in the BOICB

Acts 18 in the BOILNTAP

Acts 18 in the BOITCV

Acts 18 in the BOKCV

Acts 18 in the BOKCV2

Acts 18 in the BOKHWOG

Acts 18 in the BOKSSV

Acts 18 in the BOLCB

Acts 18 in the BOLCB2

Acts 18 in the BOMCV

Acts 18 in the BONAV

Acts 18 in the BONCB

Acts 18 in the BONLT

Acts 18 in the BONUT2

Acts 18 in the BOPLNT

Acts 18 in the BOSCB

Acts 18 in the BOSNC

Acts 18 in the BOTLNT

Acts 18 in the BOVCB

Acts 18 in the BOYCB

Acts 18 in the BPBB

Acts 18 in the BPH

Acts 18 in the BSB

Acts 18 in the CCB

Acts 18 in the CUV

Acts 18 in the CUVS

Acts 18 in the DBT

Acts 18 in the DGDNT

Acts 18 in the DHNT

Acts 18 in the DNT

Acts 18 in the ELBE

Acts 18 in the EMTV

Acts 18 in the ESV

Acts 18 in the FBV

Acts 18 in the FEB

Acts 18 in the GGMNT

Acts 18 in the GNT

Acts 18 in the HARY

Acts 18 in the HNT

Acts 18 in the IRVA

Acts 18 in the IRVB

Acts 18 in the IRVG

Acts 18 in the IRVH

Acts 18 in the IRVK

Acts 18 in the IRVM

Acts 18 in the IRVM2

Acts 18 in the IRVO

Acts 18 in the IRVP

Acts 18 in the IRVT

Acts 18 in the IRVT2

Acts 18 in the IRVU

Acts 18 in the ISVN

Acts 18 in the JSNT

Acts 18 in the KAPI

Acts 18 in the KBT1ETNIK

Acts 18 in the KBV

Acts 18 in the KJV

Acts 18 in the KNFD

Acts 18 in the LBA

Acts 18 in the LBLA

Acts 18 in the LNT

Acts 18 in the LSV

Acts 18 in the MAAL

Acts 18 in the MBV

Acts 18 in the MBV2

Acts 18 in the MHNT

Acts 18 in the MKNFD

Acts 18 in the MNG

Acts 18 in the MNT

Acts 18 in the MNT2

Acts 18 in the MRS1T

Acts 18 in the NAA

Acts 18 in the NASB

Acts 18 in the NBLA

Acts 18 in the NBS

Acts 18 in the NBVTP

Acts 18 in the NET2

Acts 18 in the NIV11

Acts 18 in the NNT

Acts 18 in the NNT2

Acts 18 in the NNT3

Acts 18 in the PDDPT

Acts 18 in the PFNT

Acts 18 in the RMNT

Acts 18 in the SBIAS

Acts 18 in the SBIBS

Acts 18 in the SBIBS2

Acts 18 in the SBICS

Acts 18 in the SBIDS

Acts 18 in the SBIGS

Acts 18 in the SBIHS

Acts 18 in the SBIIS

Acts 18 in the SBIIS2

Acts 18 in the SBIIS3

Acts 18 in the SBIKS

Acts 18 in the SBIKS2

Acts 18 in the SBIMS

Acts 18 in the SBIOS

Acts 18 in the SBIPS

Acts 18 in the SBISS

Acts 18 in the SBITS

Acts 18 in the SBITS2

Acts 18 in the SBITS3

Acts 18 in the SBITS4

Acts 18 in the SBIUS

Acts 18 in the SBIVS

Acts 18 in the SBT

Acts 18 in the SBT1E

Acts 18 in the SCHL

Acts 18 in the SNT

Acts 18 in the SUSU

Acts 18 in the SUSU2

Acts 18 in the SYNO

Acts 18 in the TBIAOTANT

Acts 18 in the TBT1E

Acts 18 in the TBT1E2

Acts 18 in the TFTIP

Acts 18 in the TFTU

Acts 18 in the TGNTATF3T

Acts 18 in the THAI

Acts 18 in the TNFD

Acts 18 in the TNT

Acts 18 in the TNTIK

Acts 18 in the TNTIL

Acts 18 in the TNTIN

Acts 18 in the TNTIP

Acts 18 in the TNTIZ

Acts 18 in the TOMA

Acts 18 in the TTENT

Acts 18 in the UBG

Acts 18 in the UGV

Acts 18 in the UGV2

Acts 18 in the VBL

Acts 18 in the VDCC

Acts 18 in the YALU

Acts 18 in the YAPE

Acts 18 in the YBVTP

Acts 18 in the ZBP