Acts 5 (UGV3)

1 Ek aur ādmī thā jis ne apnī bīwī ke sāth mil kar apnī koī zamīn bech dī. Un ke nām Hananiyāh aur Safīrā the. 2 Lekin Hananiyāh pūrī raqam rasūloṅ ke pās na lāyā balki us meṅ se kuchh apne lie rakh chhoṛā aur bāqī rasūloṅ ke pāṅwoṅ meṅ rakh diyā. Us kī bīwī bhī is bāt se wāqif thī. 3 Lekin Patras ne kahā, “Hananiyāh, Iblīs ne āp ke dil ko yoṅ kyoṅ bhar diyā hai ki āp ne Rūhul-quds se jhūṭ bolā hai? Kyoṅki āp ne zamīn kī raqam ke kuchh paise apne pās rakh lie haiṅ. 4 Kyā yih zamīn faroḳht karne se pahle āp kī nahīṅ thī? Aur use bech kar kyā āp paise jaise chāhte istemāl nahīṅ kar sakte the? Āp ne kyoṅ apne dil meṅ yih ṭhān liyā? Āp ne hameṅ nahīṅ balki Allāh ko dhokā diyā hai.” 5 Yih sunte hī Hananiyāh farsh par gir kar mar gayā. Aur tamām sunane wāloṅ par baṛī dahshat tārī ho gaī. 6 Jamāt ke naujawānoṅ ne uṭh kar lāsh ko kafan meṅ lapeṭ diyā aur use bāhar le jā kar dafn kar diyā. 7 Taqrīban tīn ghanṭe guzar gae to us kī bīwī andar āī. Use mālūm na thā ki shauhar ko kyā huā hai. 8 Patras ne us se pūchhā, “Mujhe batāeṅ, kyā āp ko apnī zamīn ke lie itnī hī raqam milī thī?”Safīrā ne jawāb diyā, “Jī, itnī hī raqam thī.” 9 Patras ne kahā, “Kyoṅ āp donoṅ Rab ke Rūh ko āzmāne par muttafiq hue? Dekho, jinhoṅ ne āp ke ḳhāwind ko dafnāyā hai wuh darwāze par khaṛe haiṅ aur āp ko bhī uṭhā kar bāhar le jāeṅge.” 10 Usī lamhe Safīrā Patras ke pāṅwoṅ meṅ gir kar mar gaī. Naujawān andar āe to us kī lāsh dekh kar use bhī bāhar le gae aur us ke shauhar ke pās dafn kar diyā. 11 Pūrī jamāt balki har sunane wāle par baṛā ḳhauf tārī ho gayā. 12 Rasūloṅ kī mārifat awām meṅ bahut-se ilāhī nishān aur mojize zāhir hue. Us waqt tamām īmāndār yakdilī se Baitul-muqaddas meṅ Sulemān ke barāmde meṅ jamā huā karte the. 13 Bāqī log un se qarībī tālluq rakhne kī jurrat nahīṅ karte the, agarche awām un kī bahut izzat karte the. 14 To bhī Ḳhudāwand par īmān rakhne wāle mard-o-ḳhawātīn kī tādād baṛhtī gaī. 15 Log apne marīzoṅ ko chārpāiyoṅ aur chaṭāiyoṅ par rakh kar saṛakoṅ par lāte the tāki jab Patras wahāṅ se guzare to kam az kam us kā sāyā kisī na kisī par paṛ jāe. 16 Bahut-se log Yarūshalam ke irdgird kī ābādiyoṅ se bhī apne marīzoṅ aur badrūh-giriftā azīzoṅ ko lāte, aur sab shifā pāte the. 17 Phir imām-e-āzam Sadūqī firqe ke tamām sāthiyoṅ ke sāth harkat meṅ āyā. Hasad se jal kar 18 unhoṅ ne rasūloṅ ko giriftār karke awāmī jel meṅ ḍāl diyā. 19 Lekin rāt ko Rab kā ek farishtā qaidḳhāne ke darwāzoṅ ko khol kar unheṅ bāhar lāyā. Us ne kahā, 20 “Jāo, Baitul-muqaddas meṅ khaṛe ho kar logoṅ ko is naī zindagī se mutālliq sab bāteṅ sunāo.” 21 Farishte kī sun kar rasūl subah-sawere Baitul-muqaddas meṅ jā kar tālīm dene lage.Ab aisā huā ki imām-e-āzam apne sāthiyoṅ samet pahuṅchā aur Yahūdī adālat-e-āliyā kā ijlās mun'aqid kiyā. Is meṅ Isrāīl ke tamām buzurg sharīk hue. Phir unhoṅ ne apne mulāzimoṅ ko qaidḳhāne meṅ bhej diyā tāki rasūloṅ ko lā kar un ke sāmne pesh kiyā jāe. 22 Lekin jab wuh wahāṅ pahuṅche to patā chalā ki rasūl jel meṅ nahīṅ haiṅ. Wuh wāpas āe aur kahne lage, 23 “Jab ham pahuṅche to jel baṛī ehtiyāt se band thī aur darwāzoṅ par pahredār khaṛe the. Lekin jab ham darwāzoṅ ko khol kar andar gae to wahāṅ koī nahīṅ thā!” 24 Yih sun kar Baitul-muqaddas ke pahredāroṅ kā kaptān aur rāhnumā imām baṛī uljhan meṅ paṛ gae aur sochne lage ki ab kyā hogā? 25 Itne meṅ koī ā kar kahne lagā, “Bāt suneṅ, jin ādmiyoṅ ko āp ne jel meṅ ḍālā thā wuh Baitul-muqaddas meṅ khaṛe logoṅ ko tālīm de rahe haiṅ.” 26 Tab Baitul-muqaddas ke pahredāroṅ kā kaptān apne mulāzimoṅ ke sāth rasūloṅ ke pās gayā aur unheṅ lāyā, lekin zabardastī nahīṅ, kyoṅki wuh ḍarte the ki jamāshudā log unheṅ sangsār na kar deṅ. 27 Chunāṅche unhoṅ ne rasūloṅ ko lā kar ijlās ke sāmne khaṛā kiyā. Imām-e-āzam un se muḳhātib huā, 28 “Ham ne to tum ko saḳhtī se manā kiyā thā ki is ādmī kā nām le kar tālīm na do. Is ke baraks tum ne na sirf apnī tālīm Yarūshalam kī har jagah tak pahuṅchā dī hai balki hameṅ is ādmī kī maut ke zimmedār bhī ṭhahrānā chāhte ho.” 29 Patras aur bāqī rasūloṅ ne jawāb diyā, “Lāzim hai ki ham pahle Allāh kī suneṅ, phir insān kī. 30 Hamāre bāpdādā ke Ḳhudā ne Īsā ko zindā kar diyā, usī shaḳhs ko jise āp ne salīb par chaṛhwā kar mār ḍālā thā. 31 Allāh ne usī ko Hukmrān aur Najātdahindā kī haisiyat se sarfarāz karke apne dahne hāth biṭhā liyā tāki wuh Isrāīl ko taubā aur gunāhoṅ kī muāfī kā mauqā farāham kare. 32 Ham ḳhud in bātoṅ ke gawāh haiṅ aur Rūhul-quds bhī, jise Allāh ne apne farmāṅbardāroṅ ko de diyā hai.” 33 Yih sun kar adālat ke log taish meṅ ā kar unheṅ qatl karnā chāhte the. 34 Lekin ek Farīsī ālim ijlās meṅ khaṛā huā jis kā nām Jamliyel thā. Pūrī qaum meṅ wuh izzatdār thā. Us ne hukm diyā ki rasūloṅ ko thoṛī der ke lie ijlās se nikāl diyā jāe. 35 Phir us ne kahā, “Mere Isrāīlī bhāiyo, ġhaur se socheṅ ki āp in ādmiyoṅ ke sāth kyā kareṅge. 36 Kyoṅki kuchh der huī Thiyūdās uṭh kar kahne lagā ki maiṅ koī ḳhās shaḳhs hūṅ. Taqrīban 400 ādmī us ke pīchhe lag gae. Lekin use qatl kiyā gayā aur us ke pairokār bikhar gae. Un kī sargarmiyoṅ se kuchh na huā. 37 Is ke bād mardumshumārī ke dinoṅ meṅ Yahūdāh Galīlī uṭhā. Us ne bhī kāfī logoṅ ko apne pairokār banā kar baġhāwat karne par uksāyā. Lekin use bhī mār diyā gayā aur us ke pairokār muntashir hue. 38 Yih pesh-e-nazar rakh kar merā mashwarā yih hai ki in logoṅ ko chhoṛ deṅ, inheṅ jāne deṅ. Agar in kā irādā yā sargarmiyāṅ insānī haiṅ to sab kuchh ḳhud baḳhud ḳhatm ho jāegā. 39 Lekin agar yih Allāh kī taraf se hai to āp inheṅ ḳhatm nahīṅ kar sakeṅge. Aisā na ho ki āḳhirkār āp Allāh hī ke ḳhilāf laṛ rahe hoṅ.”Hāzirīn ne us kī bāt mān lī. 40 Unhoṅ ne rasūloṅ ko bulā kar un ko koṛe lagwāe. Phir unhoṅ ne unheṅ Īsā kā nām le kar bolne se manā kiyā aur phir jāne diyā. 41 Rasūl Yahūdī adālat-e-āliyā se nikal kar chale gae. Yih bāt un ke lie baṛī ḳhushī kā bāis thī ki Allāh ne hameṅ is lāyq samjhā hai ki Īsā ke nām kī ḳhātir be'izzat ho jāeṅ. 42 Is ke bād bhī wuh rozānā Baitul-muqaddas aur muḳhtalif gharoṅ meṅ jā jā kar sikhāte aur is ḳhushḳhabrī kī munādī karte rahe ki Īsā hī Masīh hai.

In Other Versions

Acts 5 in the ANGEFD

Acts 5 in the ANTPNG2D

Acts 5 in the AS21

Acts 5 in the BAGH

Acts 5 in the BBPNG

Acts 5 in the BBT1E

Acts 5 in the BDS

Acts 5 in the BEV

Acts 5 in the BHAD

Acts 5 in the BIB

Acts 5 in the BLPT

Acts 5 in the BNT

Acts 5 in the BNTABOOT

Acts 5 in the BNTLV

Acts 5 in the BOATCB

Acts 5 in the BOATCB2

Acts 5 in the BOBCV

Acts 5 in the BOCNT

Acts 5 in the BOECS

Acts 5 in the BOGWICC

Acts 5 in the BOHCB

Acts 5 in the BOHCV

Acts 5 in the BOHLNT

Acts 5 in the BOHNTLTAL

Acts 5 in the BOICB

Acts 5 in the BOILNTAP

Acts 5 in the BOITCV

Acts 5 in the BOKCV

Acts 5 in the BOKCV2

Acts 5 in the BOKHWOG

Acts 5 in the BOKSSV

Acts 5 in the BOLCB

Acts 5 in the BOLCB2

Acts 5 in the BOMCV

Acts 5 in the BONAV

Acts 5 in the BONCB

Acts 5 in the BONLT

Acts 5 in the BONUT2

Acts 5 in the BOPLNT

Acts 5 in the BOSCB

Acts 5 in the BOSNC

Acts 5 in the BOTLNT

Acts 5 in the BOVCB

Acts 5 in the BOYCB

Acts 5 in the BPBB

Acts 5 in the BPH

Acts 5 in the BSB

Acts 5 in the CCB

Acts 5 in the CUV

Acts 5 in the CUVS

Acts 5 in the DBT

Acts 5 in the DGDNT

Acts 5 in the DHNT

Acts 5 in the DNT

Acts 5 in the ELBE

Acts 5 in the EMTV

Acts 5 in the ESV

Acts 5 in the FBV

Acts 5 in the FEB

Acts 5 in the GGMNT

Acts 5 in the GNT

Acts 5 in the HARY

Acts 5 in the HNT

Acts 5 in the IRVA

Acts 5 in the IRVB

Acts 5 in the IRVG

Acts 5 in the IRVH

Acts 5 in the IRVK

Acts 5 in the IRVM

Acts 5 in the IRVM2

Acts 5 in the IRVO

Acts 5 in the IRVP

Acts 5 in the IRVT

Acts 5 in the IRVT2

Acts 5 in the IRVU

Acts 5 in the ISVN

Acts 5 in the JSNT

Acts 5 in the KAPI

Acts 5 in the KBT1ETNIK

Acts 5 in the KBV

Acts 5 in the KJV

Acts 5 in the KNFD

Acts 5 in the LBA

Acts 5 in the LBLA

Acts 5 in the LNT

Acts 5 in the LSV

Acts 5 in the MAAL

Acts 5 in the MBV

Acts 5 in the MBV2

Acts 5 in the MHNT

Acts 5 in the MKNFD

Acts 5 in the MNG

Acts 5 in the MNT

Acts 5 in the MNT2

Acts 5 in the MRS1T

Acts 5 in the NAA

Acts 5 in the NASB

Acts 5 in the NBLA

Acts 5 in the NBS

Acts 5 in the NBVTP

Acts 5 in the NET2

Acts 5 in the NIV11

Acts 5 in the NNT

Acts 5 in the NNT2

Acts 5 in the NNT3

Acts 5 in the PDDPT

Acts 5 in the PFNT

Acts 5 in the RMNT

Acts 5 in the SBIAS

Acts 5 in the SBIBS

Acts 5 in the SBIBS2

Acts 5 in the SBICS

Acts 5 in the SBIDS

Acts 5 in the SBIGS

Acts 5 in the SBIHS

Acts 5 in the SBIIS

Acts 5 in the SBIIS2

Acts 5 in the SBIIS3

Acts 5 in the SBIKS

Acts 5 in the SBIKS2

Acts 5 in the SBIMS

Acts 5 in the SBIOS

Acts 5 in the SBIPS

Acts 5 in the SBISS

Acts 5 in the SBITS

Acts 5 in the SBITS2

Acts 5 in the SBITS3

Acts 5 in the SBITS4

Acts 5 in the SBIUS

Acts 5 in the SBIVS

Acts 5 in the SBT

Acts 5 in the SBT1E

Acts 5 in the SCHL

Acts 5 in the SNT

Acts 5 in the SUSU

Acts 5 in the SUSU2

Acts 5 in the SYNO

Acts 5 in the TBIAOTANT

Acts 5 in the TBT1E

Acts 5 in the TBT1E2

Acts 5 in the TFTIP

Acts 5 in the TFTU

Acts 5 in the TGNTATF3T

Acts 5 in the THAI

Acts 5 in the TNFD

Acts 5 in the TNT

Acts 5 in the TNTIK

Acts 5 in the TNTIL

Acts 5 in the TNTIN

Acts 5 in the TNTIP

Acts 5 in the TNTIZ

Acts 5 in the TOMA

Acts 5 in the TTENT

Acts 5 in the UBG

Acts 5 in the UGV

Acts 5 in the UGV2

Acts 5 in the VBL

Acts 5 in the VDCC

Acts 5 in the YALU

Acts 5 in the YAPE

Acts 5 in the YBVTP

Acts 5 in the ZBP