Ephesians 4 (UGV3)
1 Chunāṅche maiṅ jo Ḳhudāwand meṅ qaidī hūṅ āp ko tākīd kartā hūṅ ki us zindagī ke mutābiq chaleṅ jis ke lie Ḳhudā ne āp ko bulāyā hai. 2 Har waqt halīm aur narmdil raheṅ, sabar se kām leṅ aur ek dūsre se muhabbat rakh kar use bardāsht kareṅ. 3 Sulah-salāmatī ke bandhan meṅ rah kar Rūh kī yagāngat qāym rakhne kī pūrī koshish kareṅ. 4 Ek hī badan aur ek hī Rūh hai. Yoṅ āp ko bhī ek hī ummīd ke lie bulāyā gayā. 5 Ek Ḳhudāwand, ek īmān, ek baptismā hai. 6 Ek Ḳhudā hai, jo sab kā wāhid Bāp hai. Wuh sab kā mālik hai, sab ke zariye kām kartā hai aur sab meṅ maujūd hai. 7 Ab ham sab ko Allāh kā fazl baḳhshā gayā. Lekin Masīh har ek ko muḳhtalif paimāne se yih fazl atā kartā hai. 8 Is lie kalām-e-muqaddas farmātā hai, “Us ne bulandī par chaṛh kar qaidiyoṅ kā hujūm giriftār kar liyā aur ādmiyoṅ ko tohfe die.” 9 Ab ġhaur kareṅ ki chaṛhnī kā zikr kiyā gayā hai. Is kā matlab hai ki pahle wuh zamīn kī gahrāiyoṅ meṅ utrā. 10 Jo utrā wuh wuhī hai jo tamām āsmānoṅ se ūṅchā chaṛh gayā tāki tamām kāynāt ko apne āp se māmūr kare. 11 Usī ne apnī jamāt ko tarah tarah ke ḳhādimoṅ se nawāzā. Bāz rasūl, bāz nabī, bāz mubashshir, bāz charwāhe aur bāz ustād haiṅ. 12 In kā maqsad yih hai ki muqaddasīn ko ḳhidmat karne ke lie taiyār kiyā jāe aur yoṅ Masīh ke badan kī tāmīr-o-taraqqī ho jāe. 13 Is tarīqe se ham sab īmān aur Allāh ke Farzand kī pahchān meṅ ek ho kar bāliġh ho jāeṅge, aur ham mil kar Masīh kī māmūrī aur balūġhat ko mun'akis kareṅge. 14 Phir ham bachche nahīṅ raheṅge, aur tālīm ke har ek jhoṅke se uchhalte phirte nahīṅ raheṅge jab log apnī chālākī aur dhokebāzī se hameṅ apne jāloṅ meṅ phaṅsāne kī koshish kareṅge. 15 Is ke bajāe ham muhabbat kī rūh meṅ sachchī bāt karke har lihāz se Masīh kī taraf baṛhte jāeṅge jo hamārā sar hai. 16 Wuhī nasoṅ ke zariye pūre badan ke muḳhtalif hissoṅ ko ek dūsre ke sāth joṛ kar muttahid kar detā hai. Har hissā apnī tāqat ke muwāfiq kām kartā hai, aur yoṅ pūrā badan muhabbat kī rūh meṅ baṛhtā aur apnī tāmīr kartā rahtā hai. 17 Pas maiṅ Ḳhudāwand ke nām meṅ āp ko āgāh kartā hūṅ ki ab se ġhairīmāndāroṅ kī tarah zindagī na guzāreṅ jin kī soch bekār hai 18 aur jin kī samajh andhere kī girift meṅ hai. Un kā us zindagī meṅ koī hissā nahīṅ jo Allāh detā hai, kyoṅki wuh jāhil haiṅ aur un ke dil saḳht ho gae haiṅ. 19 Behis ho kar unhoṅ ne apne āp ko aiyāshī ke hawāle kar diyā. Yoṅ wuh na bujhne wālī pyās ke sāth har qism kī nāpāk harkateṅ karte haiṅ. 20 Lekin āp ne Masīh ko yoṅ nahīṅ jānā. 21 Āp ne to us ke bāre meṅ sun liyā hai, aur us meṅ ho kar āp ko wuh sachchāī sikhāī gaī jo Īsā meṅ hai. 22 Chunāṅche apne purāne insān ko us ke purāne chāl-chalan samet utār denā, kyoṅki wuh apnī dhokebāz shahwatoṅ se bigaṛtā jā rahā hai. 23 Allāh ko āp kī soch kī tajdīd karne deṅ 24 aur nae insān ko pahan leṅ jo yoṅ banāyā gayā hai ki wuh haqīqī rāstbāzī aur quddūsiyat meṅ Allāh ke mushābeh hai. 25 Is lie har shaḳhs jhūṭ se bāz rah kar dūsroṅ se sach bāt kare, kyoṅki ham sab ek hī badan ke āzā haiṅ. 26 Ġhusse meṅ āte waqt gunāh mat karnā. Āp kā ġhussā sūraj ke ġhurūb hone tak ṭhanḍā ho jāe, 27 warnā āp Iblīs ko apnī zindagī meṅ kām karne kā mauqā deṅge. 28 Chor ab se chorī na kare balki ḳhūb mehnat-mashaqqat karke apne hāthoṅ se achchhā kām kare. Hāṅ, wuh itnā kamāe ki zarūratmandoṅ ko bhī kuchh de sake. 29 Koī bhī burī bāt āp ke muṅh se na nikle balki sirf aisī bāteṅ jo dūsroṅ kī zarūriyāt ke mutābiq un kī tāmīr kareṅ. Yoṅ sunane wāloṅ ko barkat milegī. 30 Allāh ke muqaddas Rūh ko dukh na pahuṅchānā, kyoṅki usī se Allāh ne āp par muhr lagā kar yih zamānat de dī hai ki āp usī ke haiṅ aur najāt ke din bach jāeṅge. 31 Tamām tarah kī talḳhī, taish, ġhusse, shor-sharābā, gālī-galoch balki har qism ke bure rawaiye se bāz āeṅ. 32 Ek dūsre par mehrbān aur rahmdil hoṅ aur ek dūsre ko yoṅ muāf kareṅ jis tarah Allāh ne āp ko bhī Masīh meṅ muāf kar diyā hai.
In Other Versions
Ephesians 4 in the ANGEFD
Ephesians 4 in the ANTPNG2D
Ephesians 4 in the AS21
Ephesians 4 in the BAGH
Ephesians 4 in the BBPNG
Ephesians 4 in the BBT1E
Ephesians 4 in the BDS
Ephesians 4 in the BEV
Ephesians 4 in the BHAD
Ephesians 4 in the BIB
Ephesians 4 in the BLPT
Ephesians 4 in the BNT
Ephesians 4 in the BNTABOOT
Ephesians 4 in the BNTLV
Ephesians 4 in the BOATCB
Ephesians 4 in the BOATCB2
Ephesians 4 in the BOBCV
Ephesians 4 in the BOCNT
Ephesians 4 in the BOECS
Ephesians 4 in the BOGWICC
Ephesians 4 in the BOHCB
Ephesians 4 in the BOHCV
Ephesians 4 in the BOHLNT
Ephesians 4 in the BOHNTLTAL
Ephesians 4 in the BOICB
Ephesians 4 in the BOILNTAP
Ephesians 4 in the BOITCV
Ephesians 4 in the BOKCV
Ephesians 4 in the BOKCV2
Ephesians 4 in the BOKHWOG
Ephesians 4 in the BOKSSV
Ephesians 4 in the BOLCB
Ephesians 4 in the BOLCB2
Ephesians 4 in the BOMCV
Ephesians 4 in the BONAV
Ephesians 4 in the BONCB
Ephesians 4 in the BONLT
Ephesians 4 in the BONUT2
Ephesians 4 in the BOPLNT
Ephesians 4 in the BOSCB
Ephesians 4 in the BOSNC
Ephesians 4 in the BOTLNT
Ephesians 4 in the BOVCB
Ephesians 4 in the BOYCB
Ephesians 4 in the BPBB
Ephesians 4 in the BPH
Ephesians 4 in the BSB
Ephesians 4 in the CCB
Ephesians 4 in the CUV
Ephesians 4 in the CUVS
Ephesians 4 in the DBT
Ephesians 4 in the DGDNT
Ephesians 4 in the DHNT
Ephesians 4 in the DNT
Ephesians 4 in the ELBE
Ephesians 4 in the EMTV
Ephesians 4 in the ESV
Ephesians 4 in the FBV
Ephesians 4 in the FEB
Ephesians 4 in the GGMNT
Ephesians 4 in the GNT
Ephesians 4 in the HARY
Ephesians 4 in the HNT
Ephesians 4 in the IRVA
Ephesians 4 in the IRVB
Ephesians 4 in the IRVG
Ephesians 4 in the IRVH
Ephesians 4 in the IRVK
Ephesians 4 in the IRVM
Ephesians 4 in the IRVM2
Ephesians 4 in the IRVO
Ephesians 4 in the IRVP
Ephesians 4 in the IRVT
Ephesians 4 in the IRVT2
Ephesians 4 in the IRVU
Ephesians 4 in the ISVN
Ephesians 4 in the JSNT
Ephesians 4 in the KAPI
Ephesians 4 in the KBT1ETNIK
Ephesians 4 in the KBV
Ephesians 4 in the KJV
Ephesians 4 in the KNFD
Ephesians 4 in the LBA
Ephesians 4 in the LBLA
Ephesians 4 in the LNT
Ephesians 4 in the LSV
Ephesians 4 in the MAAL
Ephesians 4 in the MBV
Ephesians 4 in the MBV2
Ephesians 4 in the MHNT
Ephesians 4 in the MKNFD
Ephesians 4 in the MNG
Ephesians 4 in the MNT
Ephesians 4 in the MNT2
Ephesians 4 in the MRS1T
Ephesians 4 in the NAA
Ephesians 4 in the NASB
Ephesians 4 in the NBLA
Ephesians 4 in the NBS
Ephesians 4 in the NBVTP
Ephesians 4 in the NET2
Ephesians 4 in the NIV11
Ephesians 4 in the NNT
Ephesians 4 in the NNT2
Ephesians 4 in the NNT3
Ephesians 4 in the PDDPT
Ephesians 4 in the PFNT
Ephesians 4 in the RMNT
Ephesians 4 in the SBIAS
Ephesians 4 in the SBIBS
Ephesians 4 in the SBIBS2
Ephesians 4 in the SBICS
Ephesians 4 in the SBIDS
Ephesians 4 in the SBIGS
Ephesians 4 in the SBIHS
Ephesians 4 in the SBIIS
Ephesians 4 in the SBIIS2
Ephesians 4 in the SBIIS3
Ephesians 4 in the SBIKS
Ephesians 4 in the SBIKS2
Ephesians 4 in the SBIMS
Ephesians 4 in the SBIOS
Ephesians 4 in the SBIPS
Ephesians 4 in the SBISS
Ephesians 4 in the SBITS
Ephesians 4 in the SBITS2
Ephesians 4 in the SBITS3
Ephesians 4 in the SBITS4
Ephesians 4 in the SBIUS
Ephesians 4 in the SBIVS
Ephesians 4 in the SBT
Ephesians 4 in the SBT1E
Ephesians 4 in the SCHL
Ephesians 4 in the SNT
Ephesians 4 in the SUSU
Ephesians 4 in the SUSU2
Ephesians 4 in the SYNO
Ephesians 4 in the TBIAOTANT
Ephesians 4 in the TBT1E
Ephesians 4 in the TBT1E2
Ephesians 4 in the TFTIP
Ephesians 4 in the TFTU
Ephesians 4 in the TGNTATF3T
Ephesians 4 in the THAI
Ephesians 4 in the TNFD
Ephesians 4 in the TNT
Ephesians 4 in the TNTIK
Ephesians 4 in the TNTIL
Ephesians 4 in the TNTIN
Ephesians 4 in the TNTIP
Ephesians 4 in the TNTIZ
Ephesians 4 in the TOMA
Ephesians 4 in the TTENT
Ephesians 4 in the UBG
Ephesians 4 in the UGV
Ephesians 4 in the UGV2
Ephesians 4 in the VBL
Ephesians 4 in the VDCC
Ephesians 4 in the YALU
Ephesians 4 in the YAPE
Ephesians 4 in the YBVTP
Ephesians 4 in the ZBP