Hebrews 7 (UGV3)

1 Yih Malik-e-sidq, Sālim kā bādshāh aur Allāh T'ālā kā imām thā. Jab Ibrāhīm chār bādshāhoṅ ko shikast dene ke bād wāpas ā rahā thā to Malik-e-sidq us se milā aur use barkat dī. 2 Is par Ibrāhīm ne use tamām lūṭ ke māl kā daswāṅ hissā de diyā. Ab Malik-e-sidq kā matlab “Rāstbāzī kā Bādshāh” hai. Dūsre, “Sālim kā Bādshāh” kā matlab “Salāmatī kā Bādshāh” hai. 3 Na us kā bāp yā māṅ hai, na koī nasabnāmā. Us kī zindagī kā na to āġhāz hai, na iḳhtitām. Allāh ke Farzand kī tarah wuh abad tak imām rahtā hai. 4 Ġhaur kareṅ ki wuh kitnā azīm thā. Hamāre bāpdādā Ibrāhīm ne use lūṭe hue māl kā daswāṅ hissā de diyā. 5 Ab sharīat talab kartī hai ki Lāwī kī wuh aulād jo imām ban jātī hai qaum yānī apne bhāiyoṅ se paidāwār kā daswāṅ hissā le, hālāṅki un ke bhāī Ibrāhīm kī aulād haiṅ. 6 Lekin Malik-e-sidq Lāwī kī aulād meṅ se nahīṅ thā. To bhī us ne Ibrāhīm se daswāṅ hissā le kar use barkat dī jis se Allāh ne wādā kiyā thā. 7 Is meṅ koī shak nahīṅ ki kamhaisiyat shaḳhs ko us se barkat miltī hai jo zyādā haisiyat kā ho. 8 Jahāṅ Lāwī imāmoṅ kā tālluq hai fānī insān daswāṅ hissā lete haiṅ. Lekin Malik-e-sidq ke muāmale meṅ yih hissā us ko milā jis ke bāre meṅ gawāhī dī gaī hai ki wuh zindā rahtā hai. 9 Yih bhī kahā jā saktā hai ki jab Ibrāhīm ne māl kā daswāṅ hissā de diyā to Lāwī ne us ke zariye bhī yih hissā diyā, hālāṅki wuh ḳhud daswāṅ hissā letā hai. 10 Kyoṅki go Lāwī us waqt paidā nahīṅ huā thā to bhī wuh ek tarah se Ibrāhīm ke jism meṅ maujūd thā jab Malik-e-sidq us se milā. 11 Agar Lāwī kī kahānat (jis par sharīat mabnī thī) kāmiliyat paidā kar saktī to phir ek aur qism ke imām kī kyā zarūrat hotī, us kī jo Hārūn jaisā na ho balki Malik-e-sidq jaisā? 12 Kyoṅki jab bhī kahānat badal jātī hai to lāzim hai ki sharīat meṅ bhī tabdīlī āe. 13 Aur hamārā Ḳhudāwand jis ke bāre meṅ yih bayān kiyā gayā hai wuh ek farq qabīle kā fard thā. Us ke qabīle ke kisī bhī fard ne imām kī ḳhidmat adā nahīṅ kī. 14 Kyoṅki sāf mālūm hai ki Ḳhudāwand Masīh Yahūdāh qabīle kā fard thā, aur Mūsā ne is qabīle ko imāmoṅ kī ḳhidmat meṅ shāmil na kiyā. 15 Muāmalā mazīd sāf ho jātā hai. Ek farq imām zāhir huā hai jo Malik-e-sidq jaisā hai. 16 Wuh Lāwī ke qabīle kā fard hone se imām na banā jis tarah sharīat taqāzā kartī thī, balki wuh lāfānī zindagī kī quwwat hī se imām ban gayā. 17 Kyoṅki kalām-e-muqaddas farmātā hai,“Tū abad tak imām hai,aisā imām jaisā Malik-e-sidq thā.” 18 Yoṅ purāne hukm ko mansūḳh kar diyā jātā hai, kyoṅki wuh kamzor aur bekār thā 19 (Mūsā kī sharīat to kisī chīz ko kāmil nahīṅ banā saktī thī) aur ab ek behtar ummīd muhaiyā kī gaī hai jis se ham Allāh ke qarīb ā jāte haiṅ. 20 Aur yih nayā nizām Allāh kī qasam se qāym huā. Aisī koī qasam na khāī gaī jab dūsre imām bane. 21 Lekin Īsā ek qasam ke zariye imām ban gayā jab Allāh ne farmāyā,“Rab ne qasam khāī haiaur is se pachhtāegā nahīṅ,‘Tū abad tak imām hai.’” 22 Is qasam kī wajah se Īsā ek behtar ahd kī zamānat detā hai. 23 Ek aur farq, purāne nizām meṅ bahut-se imām the, kyoṅki maut ne har ek kī ḳhidmat mahdūd kie rakhī. 24 Lekin chūṅki Īsā abad tak zindā hai is lie us kī kahānat kabhī bhī ḳhatm nahīṅ hogī. 25 Yoṅ wuh unheṅ abadī najāt de saktā hai jo us ke wasīle se Allāh ke pās āte haiṅ, kyoṅki wuh abad tak zindā hai aur un kī shafā'at kartā rahtā hai. 26 Hameṅ aise hī imām-e-āzam kī zarūrat thī. Hāṅ, aisā imām jo muqaddas, bequsūr, bedāġh, gunāhgāroṅ se alag aur āsmānoṅ se buland huā hai. 27 Use dūsre imāmoṅ kī tarah is kī zarūrat nahīṅ ki har roz qurbāniyāṅ pesh kare, pahle apne lie phir qaum ke lie. Balki us ne apne āp ko pesh karke apnī is qurbānī se un ke gunāhoṅ ko ek bār sadā ke lie miṭā diyā. 28 Mūswī sharīat aise logoṅ ko imām-e-āzam muqarrar kartī hai jo kamzor haiṅ. Lekin sharīat ke bād Allāh kī qasam Farzand ko imām-e-āzam muqarrar kartī hai, aur yih Farzand abad tak kāmil hai.

In Other Versions

Hebrews 7 in the ANGEFD

Hebrews 7 in the ANTPNG2D

Hebrews 7 in the AS21

Hebrews 7 in the BAGH

Hebrews 7 in the BBPNG

Hebrews 7 in the BBT1E

Hebrews 7 in the BDS

Hebrews 7 in the BEV

Hebrews 7 in the BHAD

Hebrews 7 in the BIB

Hebrews 7 in the BLPT

Hebrews 7 in the BNT

Hebrews 7 in the BNTABOOT

Hebrews 7 in the BNTLV

Hebrews 7 in the BOATCB

Hebrews 7 in the BOATCB2

Hebrews 7 in the BOBCV

Hebrews 7 in the BOCNT

Hebrews 7 in the BOECS

Hebrews 7 in the BOGWICC

Hebrews 7 in the BOHCB

Hebrews 7 in the BOHCV

Hebrews 7 in the BOHLNT

Hebrews 7 in the BOHNTLTAL

Hebrews 7 in the BOICB

Hebrews 7 in the BOILNTAP

Hebrews 7 in the BOITCV

Hebrews 7 in the BOKCV

Hebrews 7 in the BOKCV2

Hebrews 7 in the BOKHWOG

Hebrews 7 in the BOKSSV

Hebrews 7 in the BOLCB

Hebrews 7 in the BOLCB2

Hebrews 7 in the BOMCV

Hebrews 7 in the BONAV

Hebrews 7 in the BONCB

Hebrews 7 in the BONLT

Hebrews 7 in the BONUT2

Hebrews 7 in the BOPLNT

Hebrews 7 in the BOSCB

Hebrews 7 in the BOSNC

Hebrews 7 in the BOTLNT

Hebrews 7 in the BOVCB

Hebrews 7 in the BOYCB

Hebrews 7 in the BPBB

Hebrews 7 in the BPH

Hebrews 7 in the BSB

Hebrews 7 in the CCB

Hebrews 7 in the CUV

Hebrews 7 in the CUVS

Hebrews 7 in the DBT

Hebrews 7 in the DGDNT

Hebrews 7 in the DHNT

Hebrews 7 in the DNT

Hebrews 7 in the ELBE

Hebrews 7 in the EMTV

Hebrews 7 in the ESV

Hebrews 7 in the FBV

Hebrews 7 in the FEB

Hebrews 7 in the GGMNT

Hebrews 7 in the GNT

Hebrews 7 in the HARY

Hebrews 7 in the HNT

Hebrews 7 in the IRVA

Hebrews 7 in the IRVB

Hebrews 7 in the IRVG

Hebrews 7 in the IRVH

Hebrews 7 in the IRVK

Hebrews 7 in the IRVM

Hebrews 7 in the IRVM2

Hebrews 7 in the IRVO

Hebrews 7 in the IRVP

Hebrews 7 in the IRVT

Hebrews 7 in the IRVT2

Hebrews 7 in the IRVU

Hebrews 7 in the ISVN

Hebrews 7 in the JSNT

Hebrews 7 in the KAPI

Hebrews 7 in the KBT1ETNIK

Hebrews 7 in the KBV

Hebrews 7 in the KJV

Hebrews 7 in the KNFD

Hebrews 7 in the LBA

Hebrews 7 in the LBLA

Hebrews 7 in the LNT

Hebrews 7 in the LSV

Hebrews 7 in the MAAL

Hebrews 7 in the MBV

Hebrews 7 in the MBV2

Hebrews 7 in the MHNT

Hebrews 7 in the MKNFD

Hebrews 7 in the MNG

Hebrews 7 in the MNT

Hebrews 7 in the MNT2

Hebrews 7 in the MRS1T

Hebrews 7 in the NAA

Hebrews 7 in the NASB

Hebrews 7 in the NBLA

Hebrews 7 in the NBS

Hebrews 7 in the NBVTP

Hebrews 7 in the NET2

Hebrews 7 in the NIV11

Hebrews 7 in the NNT

Hebrews 7 in the NNT2

Hebrews 7 in the NNT3

Hebrews 7 in the PDDPT

Hebrews 7 in the PFNT

Hebrews 7 in the RMNT

Hebrews 7 in the SBIAS

Hebrews 7 in the SBIBS

Hebrews 7 in the SBIBS2

Hebrews 7 in the SBICS

Hebrews 7 in the SBIDS

Hebrews 7 in the SBIGS

Hebrews 7 in the SBIHS

Hebrews 7 in the SBIIS

Hebrews 7 in the SBIIS2

Hebrews 7 in the SBIIS3

Hebrews 7 in the SBIKS

Hebrews 7 in the SBIKS2

Hebrews 7 in the SBIMS

Hebrews 7 in the SBIOS

Hebrews 7 in the SBIPS

Hebrews 7 in the SBISS

Hebrews 7 in the SBITS

Hebrews 7 in the SBITS2

Hebrews 7 in the SBITS3

Hebrews 7 in the SBITS4

Hebrews 7 in the SBIUS

Hebrews 7 in the SBIVS

Hebrews 7 in the SBT

Hebrews 7 in the SBT1E

Hebrews 7 in the SCHL

Hebrews 7 in the SNT

Hebrews 7 in the SUSU

Hebrews 7 in the SUSU2

Hebrews 7 in the SYNO

Hebrews 7 in the TBIAOTANT

Hebrews 7 in the TBT1E

Hebrews 7 in the TBT1E2

Hebrews 7 in the TFTIP

Hebrews 7 in the TFTU

Hebrews 7 in the TGNTATF3T

Hebrews 7 in the THAI

Hebrews 7 in the TNFD

Hebrews 7 in the TNT

Hebrews 7 in the TNTIK

Hebrews 7 in the TNTIL

Hebrews 7 in the TNTIN

Hebrews 7 in the TNTIP

Hebrews 7 in the TNTIZ

Hebrews 7 in the TOMA

Hebrews 7 in the TTENT

Hebrews 7 in the UBG

Hebrews 7 in the UGV

Hebrews 7 in the UGV2

Hebrews 7 in the VBL

Hebrews 7 in the VDCC

Hebrews 7 in the YALU

Hebrews 7 in the YAPE

Hebrews 7 in the YBVTP

Hebrews 7 in the ZBP