Isaiah 5 (UGV3)

1 Āo, maiṅ apne mahbūb ke lie gīt gāūṅ, ek gīt jo us ke angūr ke bāġh ke bāre meṅ hai.Mere pyāre kā bāġh thā. Angūr kā yih bāġh zarḳhez pahāṛī par thā. 2 Us ne goḍī karte karte us meṅ se tamām patthar nikāl die, phir behtarīn angūr kī qalameṅ lagāīṅ. Bīch meṅ us ne mīnār khaṛā kiyā tāki us kī sahīh chaukīdārī kar sake. Sāth sāth us ne angūr kā ras nikālne ke lie patthar meṅ hauz tarāsh liyā. Phir wuh pahlī fasal kā intazār karne lagā. Baṛī ummīd thī ki achchhe mīṭhe angūr mileṅge. Lekin afsos! Jab fasal pak gaī to chhoṭe aur khaṭṭe angūr hī nikle the. 3 “Ai Yarūshalam aur Yahūdāh ke bāshindo, ab ḳhud faislā karo ki maiṅ us bāġh ke sāth kyā karūṅ. 4 Kyā maiṅ ne bāġh ke lie har mumkin koshish nahīṅ kī thī? Kyā munāsib nahīṅ thā ki maiṅ achchhī fasal kī ummīd rakhūṅ? Kyā wajah hai ki sirf chhoṭe aur khaṭṭe angūr nikle? 5 Patā hai ki maiṅ apne bāġh ke sāth kyā karūṅga? Maiṅ us kī kāṅṭedār bāṛ ko ḳhatm karūṅga aur us kī chārdīwārī girā dūṅgā. Us meṅ jānwar ghus āeṅge aur char kar sab kuchh tabāh kareṅge, sab kuchh pāṅwoṅ tale raund ḍāleṅge! 6 Maiṅ us kī zamīn banjar banā dūṅgā. Na us kī beloṅ kī kāṅṭ-chhāṅṭ hogī, na goḍī kī jāegī. Wahāṅ kāṅṭedār aur ḳhudrau paude ugeṅge. Na sirf yih balki maiṅ bādaloṅ ko bhī us par barasne se rok dūṅgā.” 7 Suno, Isrāīlī qaum angūr kā bāġh hai jis kā mālik Rabbul-afwāj hai. Yahūdāh ke log us ke lagāe hue paude haiṅ jin se wuh lutfandoz honā chāhtā hai. Wuh ummīd rakhtā thā ki insāf kī fasal paidā hogī, lekin afsos! Unhoṅ ne ġhairqānūnī harkateṅ kīṅ. Rāstī kī tawaqqo thī, lekin mazlūmoṅ kī chīḳheṅ hī sunāī dīṅ. 8 Tum par afsos jo yake bād dīgare gharoṅ aur khetoṅ ko apnāte jā rahe ho. Āḳhirkār dīgar tamām logoṅ ko nikalnā paṛegā aur tum mulk meṅ akele hī rahoge. 9 Rabbul-afwāj ne merī maujūdagī meṅ hī qasam khāī hai, “Yaqīnan yih muta'addid makān wīrān-o-sunsān ho jāeṅge, in baṛe aur ālīshān gharoṅ meṅ koī nahīṅ basegā. 10 Das ekaṛ zamīn ke angūroṅ se mai ke sirf 22 liṭar baneṅge, aur bīj ke 160 kilogrām se ġhallā ke sirf 16 kilogrām paidā hoṅge.” 11 Tum par afsos jo subah-sawere uṭh kar sharāb ke pīchhe paṛ jāte aur rāt-bhar mai pī pī kar mast ho jāte ho. 12 Tumhārī ziyāfatoṅ meṅ kitnī raunaq hotī hai! Tumhāre mehmān mai pī pī kar sarod, sitār, daf aur bāṅsrī kī surīlī āwāzoṅ se apnā dil bahlāte haiṅ. Lekin afsos, tumheṅ ḳhayāl tak nahīṅ ātā ki Rab kyā kar rahā hai. Jo kuchh Rab ke hāthoṅ ho rahā hai us kā tum lihāz hī nahīṅ karte. 13 Isī lie merī qaum jilāwatan ho jāegī, kyoṅki wuh samajh se ḳhālī hai. Us ke baṛe afsar bhūke mareṅge, aur awām pyās ke māre sūkh jāeṅge. 14 Pātāl ne apnā muṅh phāṛ kar kholā hai tāki qaum kī tamām shān-o-shaukat, shor-sharābā, hangāmā aur shādmān afrād us ke gale meṅ utar jāeṅ. 15 Insān ko past karke ḳhāk meṅ milāyā jāegā, aur maġhrūr kī āṅkheṅ nīchī ho jāeṅgī. 16 Lekin Rabbul-afwāj kī adālat us kī azmat dikhāegī, aur quddūs Ḳhudā kī rāstī zāhir karegī ki wuh quddūs hai. 17 Un dinoṅ meṅ lele aur moṭī-tāzī bheṛeṅ jilāwatanoṅ ke khanḍarāt meṅ yoṅ chareṅgī jis tarah apnī charāgāhoṅ meṅ. 18 Tum par afsos jo apne qusūr ko dhokebāz rassoṅ ke sāth apne pīchhe khīṅchte aur apne gunāh ko bailgāṛī kī tarah apne pīchhe ghasīṭte ho. 19 Tum kahte ho, “Allāh jaldī jaldī apnā kām nipṭāe tāki ham is kā muāynā kareṅ. Jo mansūbā Isrāīl kā Quddūs rakhtā hai wuh jaldī sāmne āe tāki ham use jān leṅ.” 20 Tum par afsos jo burāī ko bhulā aur bhalāī ko burā qarār dete ho, jo kahte ho ki tārīkī raushnī aur raushnī tārīkī hai, ki kaṛwāhaṭ mīṭhī aur miṭhās kaṛwī hai. 21 Tum par afsos jo apnī nazar meṅ dānishmand ho aur apne āp ko hoshyār samajhte ho. 22 Tum par afsos jo mai pīne meṅ pahalwān ho aur sharāb milāne meṅ apnī bahādurī dikhāte ho. 23 Tum rishwat khā kar mujrimoṅ ko barī karte aur bequsūroṅ ke huqūq mārte ho. 24 Ab tumheṅ is kī sazā bhugatnī paṛegī. Jis tarah bhūsā āg kī lapeṭ meṅ ā kar rākh ho jātā aur sūkhī ghās āg ke shole meṅ churmur ho jātī hai usī tarah tum ḳhatm ho jāoge. Tumhārī jaṛeṅ saṛ jāeṅgī aur tumhāre phūl gard kī tarah uṛ jāeṅge, kyoṅki tum ne Rabbul-afwāj kī sharīat ko radd kiyā hai, tum ne Isrāīl ke Quddūs kā farmān haqīr jānā hai. 25 Yihī wajah hai ki Rab kā ġhazab us kī qaum par nāzil huā hai, ki us ne apnā hāth baṛhā kar un par hamlā kiyā hai. Pahāṛ laraz rahe aur galiyoṅ meṅ lāsheṅ kachre kī tarah bikhrī huī haiṅ. Tāham us kā ġhussā ṭhanḍā nahīṅ hogā balki us kā hāth mārne ke lie uṭhā hī rahegā. 26 Wuh ek dūr-darāz qaum ke lie faujī jhanḍā gāṛ kar use apnī qaum ke ḳhilāf khaṛā karegā, wuh sīṭī bajā kar use duniyā kī intahā se bulāegā. Wuh dekho, dushman bhāgte hue ā rahe haiṅ! 27 Un meṅ se koī nahīṅ jo thakāmāṅdā ho yā laṛkhaṛā kar chale. Koī nahīṅ ūṅghtā yā soyā huā hai. Kisī kā bhī paṭkā ḍhīlā nahīṅ, kisī kā bhī tasmā ṭūṭā nahīṅ. 28 Un ke tīr tez aur kamān tane hue haiṅ. Un ke ghoṛoṅ ke khur chaqmāq jaise, un ke rathoṅ ke pahie āṅdhī jaise haiṅ. 29 Wuh shernī kī tarah garajte haiṅ balki jawān sherbabar kī tarah dahāṛte aur ġhurrāte hue apnā shikār chhīn kar wahāṅ le jāte haiṅ jahāṅ use koī nahīṅ bachā saktā. 30 Us din dushman ġhurrāte aur mutalātim samundar kā-sā shor machāte hue Isrāīl par ṭūṭ paṛeṅge. Jahāṅ bhī dekho wahāṅ andherā hī andherā aur musībat hī musībat. Bādal chhā jāne ke sabab se raushnī tārīk ho jāegī.

In Other Versions

Isaiah 5 in the ANGEFD

Isaiah 5 in the ANTPNG2D

Isaiah 5 in the AS21

Isaiah 5 in the BAGH

Isaiah 5 in the BBPNG

Isaiah 5 in the BBT1E

Isaiah 5 in the BDS

Isaiah 5 in the BEV

Isaiah 5 in the BHAD

Isaiah 5 in the BIB

Isaiah 5 in the BLPT

Isaiah 5 in the BNT

Isaiah 5 in the BNTABOOT

Isaiah 5 in the BNTLV

Isaiah 5 in the BOATCB

Isaiah 5 in the BOATCB2

Isaiah 5 in the BOBCV

Isaiah 5 in the BOCNT

Isaiah 5 in the BOECS

Isaiah 5 in the BOGWICC

Isaiah 5 in the BOHCB

Isaiah 5 in the BOHCV

Isaiah 5 in the BOHLNT

Isaiah 5 in the BOHNTLTAL

Isaiah 5 in the BOICB

Isaiah 5 in the BOILNTAP

Isaiah 5 in the BOITCV

Isaiah 5 in the BOKCV

Isaiah 5 in the BOKCV2

Isaiah 5 in the BOKHWOG

Isaiah 5 in the BOKSSV

Isaiah 5 in the BOLCB

Isaiah 5 in the BOLCB2

Isaiah 5 in the BOMCV

Isaiah 5 in the BONAV

Isaiah 5 in the BONCB

Isaiah 5 in the BONLT

Isaiah 5 in the BONUT2

Isaiah 5 in the BOPLNT

Isaiah 5 in the BOSCB

Isaiah 5 in the BOSNC

Isaiah 5 in the BOTLNT

Isaiah 5 in the BOVCB

Isaiah 5 in the BOYCB

Isaiah 5 in the BPBB

Isaiah 5 in the BPH

Isaiah 5 in the BSB

Isaiah 5 in the CCB

Isaiah 5 in the CUV

Isaiah 5 in the CUVS

Isaiah 5 in the DBT

Isaiah 5 in the DGDNT

Isaiah 5 in the DHNT

Isaiah 5 in the DNT

Isaiah 5 in the ELBE

Isaiah 5 in the EMTV

Isaiah 5 in the ESV

Isaiah 5 in the FBV

Isaiah 5 in the FEB

Isaiah 5 in the GGMNT

Isaiah 5 in the GNT

Isaiah 5 in the HARY

Isaiah 5 in the HNT

Isaiah 5 in the IRVA

Isaiah 5 in the IRVB

Isaiah 5 in the IRVG

Isaiah 5 in the IRVH

Isaiah 5 in the IRVK

Isaiah 5 in the IRVM

Isaiah 5 in the IRVM2

Isaiah 5 in the IRVO

Isaiah 5 in the IRVP

Isaiah 5 in the IRVT

Isaiah 5 in the IRVT2

Isaiah 5 in the IRVU

Isaiah 5 in the ISVN

Isaiah 5 in the JSNT

Isaiah 5 in the KAPI

Isaiah 5 in the KBT1ETNIK

Isaiah 5 in the KBV

Isaiah 5 in the KJV

Isaiah 5 in the KNFD

Isaiah 5 in the LBA

Isaiah 5 in the LBLA

Isaiah 5 in the LNT

Isaiah 5 in the LSV

Isaiah 5 in the MAAL

Isaiah 5 in the MBV

Isaiah 5 in the MBV2

Isaiah 5 in the MHNT

Isaiah 5 in the MKNFD

Isaiah 5 in the MNG

Isaiah 5 in the MNT

Isaiah 5 in the MNT2

Isaiah 5 in the MRS1T

Isaiah 5 in the NAA

Isaiah 5 in the NASB

Isaiah 5 in the NBLA

Isaiah 5 in the NBS

Isaiah 5 in the NBVTP

Isaiah 5 in the NET2

Isaiah 5 in the NIV11

Isaiah 5 in the NNT

Isaiah 5 in the NNT2

Isaiah 5 in the NNT3

Isaiah 5 in the PDDPT

Isaiah 5 in the PFNT

Isaiah 5 in the RMNT

Isaiah 5 in the SBIAS

Isaiah 5 in the SBIBS

Isaiah 5 in the SBIBS2

Isaiah 5 in the SBICS

Isaiah 5 in the SBIDS

Isaiah 5 in the SBIGS

Isaiah 5 in the SBIHS

Isaiah 5 in the SBIIS

Isaiah 5 in the SBIIS2

Isaiah 5 in the SBIIS3

Isaiah 5 in the SBIKS

Isaiah 5 in the SBIKS2

Isaiah 5 in the SBIMS

Isaiah 5 in the SBIOS

Isaiah 5 in the SBIPS

Isaiah 5 in the SBISS

Isaiah 5 in the SBITS

Isaiah 5 in the SBITS2

Isaiah 5 in the SBITS3

Isaiah 5 in the SBITS4

Isaiah 5 in the SBIUS

Isaiah 5 in the SBIVS

Isaiah 5 in the SBT

Isaiah 5 in the SBT1E

Isaiah 5 in the SCHL

Isaiah 5 in the SNT

Isaiah 5 in the SUSU

Isaiah 5 in the SUSU2

Isaiah 5 in the SYNO

Isaiah 5 in the TBIAOTANT

Isaiah 5 in the TBT1E

Isaiah 5 in the TBT1E2

Isaiah 5 in the TFTIP

Isaiah 5 in the TFTU

Isaiah 5 in the TGNTATF3T

Isaiah 5 in the THAI

Isaiah 5 in the TNFD

Isaiah 5 in the TNT

Isaiah 5 in the TNTIK

Isaiah 5 in the TNTIL

Isaiah 5 in the TNTIN

Isaiah 5 in the TNTIP

Isaiah 5 in the TNTIZ

Isaiah 5 in the TOMA

Isaiah 5 in the TTENT

Isaiah 5 in the UBG

Isaiah 5 in the UGV

Isaiah 5 in the UGV2

Isaiah 5 in the VBL

Isaiah 5 in the VDCC

Isaiah 5 in the YALU

Isaiah 5 in the YAPE

Isaiah 5 in the YBVTP

Isaiah 5 in the ZBP