James 2 (UGV3)

1 Mere bhāiyo, lāzim hai ki āp jo hamāre jalālī Ḳhudāwand Īsā Masīh par īmān rakhte haiṅ jānibdārī na dikhāeṅ. 2 Farz kareṅ ki ek ādmī sone kī angūṭhī aur shāndār kapṛe pahne hue āp kī jamāt meṅ ā jāe aur sāth sāth ek ġharīb ādmī bhī maile-kuchaile kapṛe pahne hue andar āe. 3 Aur āp shāndār kapṛe pahne hue ādmī par ḳhās dhyān de kar us se kaheṅ, “Yahāṅ is achchhī kursī par tashrīf rakheṅ,” lekin ġharīb ādmī ko kaheṅ, “Wahāṅ khaṛā ho jā” yā “Ā, mere pāṅwoṅ ke pās farsh par baiṭh jā.” 4 Kyā āp aisā karne se mujrimānā ḳhayālāt wāle munsif nahīṅ sābit hue? Kyoṅki āp ne logoṅ meṅ nārawā farq kiyā hai. 5 Mere azīz bhāiyo, suneṅ! Kyā Allāh ne unheṅ nahīṅ chunā jo duniyā kī nazar meṅ ġharīb haiṅ tāki wuh īmān meṅ daulatmand ho jāeṅ? Yihī log wuh bādshāhī mīrās meṅ pāeṅge jis kā wādā Allāh ne un se kiyā hai jo use pyār karte haiṅ. 6 Lekin āp ne zarūratmandoṅ kī be'izzatī kī hai. Zarā soch leṅ, wuh kaun haiṅ jo āp ko dabāte aur adālat meṅ ghasīṭ kar le jāte haiṅ? Kyā yih daulatmand hī nahīṅ haiṅ? 7 Wuhī to Īsā par kufr bakte haiṅ, us azīm nām par jis ke pairokār āp ban gae haiṅ. 8 Allāh chāhtā hai ki āp kalām-e-muqaddas meṅ mazkūr shāhī sharīat pūrī kareṅ, “Apne paṛosī se waisī muhabbat rakhnā jaisī tū apne āp se rakhtā hai.” 9 Chunāṅche jab āp jānibdārī dikhāte haiṅ to gunāh karte haiṅ aur sharīat āp ko mujrim ṭhahrātī hai. 10 Mat bhūlnā ki jis ne sharīat kā sirf ek hukm toṛā hai wuh pūrī sharīat kā qusūrwār ṭhahartā hai. 11 Kyoṅki jis ne farmāyā, “Zinā na karnā” us ne yih bhī kahā, “Qatl na karnā.” Ho saktā hai ki āp ne zinā to na kiyā ho, lekin kisī ko qatl kiyā ho. To bhī āp us ek jurm kī wajah se pūrī sharīat toṛne ke mujrim ban gae haiṅ. 12 Chunāṅche jo kuchh bhī āp kahte aur karte haiṅ yād rakheṅ ki āzād karne wālī sharīat āp kī adālat karegī. 13 Kyoṅki Allāh adālat karte waqt us par rahm nahīṅ karegā jis ne ḳhud rahm nahīṅ dikhāyā. Lekin rahm adālat par ġhālib ā jātā hai. Jab āp rahm kareṅge to Allāh āp par rahm karegā. 14 Mere bhāiyo, agar koī īmān rakhne kā dāwā kare, lekin us ke mutābiq zindagī na guzāre to us kā kyā fāydā hai? Kyā aisā īmān use najāt dilā saktā hai? 15 Farz kareṅ ki koī bhāī yā bahan kapṛoṅ aur rozmarrā roṭī kī zarūratmand ho. 16 Yih dekh kar āp meṅ se koī us se kahe, “Achchhā jī, Ḳhudā hāfiz. Garm kapṛe pahno aur jī bhar kar khānā khāo.” Lekin wuh ḳhud yih zarūriyāt pūrī karne meṅ madad na kare. Kyā is kā koī fāydā hai? 17 Ġharz, mahz īmān kāfī nahīṅ. Agar wuh nek kāmoṅ se amal meṅ na lāyā jāe to wuh murdā hai. 18 Ho saktā hai koī etarāz kare, “Ek shaḳhs ke pās to īmān hotā hai, dūsre ke pās nek kām.” Āeṅ, mujhe dikhāeṅ ki āp nek kāmoṅ ke baġhair kis tarah īmān rakh sakte haiṅ. Yih to nāmumkin hai. Lekin maiṅ zarūr āp ko apne nek kāmoṅ se dikhā saktā hūṅ ki maiṅ īmān rakhtā hūṅ. 19 Achchhā, āp kahte haiṅ, “Ham īmān rakhte haiṅ ki ek hī Ḳhudā hai.” Shābāsh, yih bilkul sahīh hai. Shayātīn bhī yih īmān rakhte haiṅ, go wuh yih jān kar ḳhauf ke māre thartharāte haiṅ. 20 Hosh meṅ āeṅ! Kyā āp nahīṅ samajhte ki nek āmāl ke baġhair īmān bekār hai? 21 Hamāre bāp Ibrāhīm par ġhaur kareṅ. Wuh to isī wajah se rāstbāz ṭhahrāyā gayā ki us ne apne beṭe Is'hāq ko qurbāngāh par pesh kiyā. 22 Āp ḳhud dekh sakte haiṅ ki us kā īmān aur nek kām mil kar amal kar rahe the. Us kā īmān to us se mukammal huā jo kuchh us ne kiyā 23 aur is tarah hī kalām-e-muqaddas kī yih bāt pūrī huī, “Ibrāhīm ne Allāh par bharosā rakhā. Is binā par Allāh ne use rāstbāz qarār diyā.” Isī wajah se wuh “Allāh kā dost” kahlāyā. 24 Yoṅ āp ḳhud dekh sakte haiṅ ki insān apne nek āmāl kī binā par rāstbāz qarār diyā jātā hai, na ki sirf īmān rakhne kī wajah se. 25 Rāhab fāhishā kī misāl bhī leṅ. Use bhī apne kāmoṅ kī binā par rāstbāz qarār diyā gayā jab us ne Isrāīlī jāsūsoṅ kī mehmān-nawāzī kī aur unheṅ shahr se nikalne kā dūsrā rāstā dikhā kar bachāyā. 26 Ġharz, jis tarah badan rūh ke baġhair murdā hai usī tarah īmān bhī nek āmāl ke baġhair murdā hai.

In Other Versions

James 2 in the ANGEFD

James 2 in the ANTPNG2D

James 2 in the AS21

James 2 in the BAGH

James 2 in the BBPNG

James 2 in the BBT1E

James 2 in the BDS

James 2 in the BEV

James 2 in the BHAD

James 2 in the BIB

James 2 in the BLPT

James 2 in the BNT

James 2 in the BNTABOOT

James 2 in the BNTLV

James 2 in the BOATCB

James 2 in the BOATCB2

James 2 in the BOBCV

James 2 in the BOCNT

James 2 in the BOECS

James 2 in the BOGWICC

James 2 in the BOHCB

James 2 in the BOHCV

James 2 in the BOHLNT

James 2 in the BOHNTLTAL

James 2 in the BOICB

James 2 in the BOILNTAP

James 2 in the BOITCV

James 2 in the BOKCV

James 2 in the BOKCV2

James 2 in the BOKHWOG

James 2 in the BOKSSV

James 2 in the BOLCB

James 2 in the BOLCB2

James 2 in the BOMCV

James 2 in the BONAV

James 2 in the BONCB

James 2 in the BONLT

James 2 in the BONUT2

James 2 in the BOPLNT

James 2 in the BOSCB

James 2 in the BOSNC

James 2 in the BOTLNT

James 2 in the BOVCB

James 2 in the BOYCB

James 2 in the BPBB

James 2 in the BPH

James 2 in the BSB

James 2 in the CCB

James 2 in the CUV

James 2 in the CUVS

James 2 in the DBT

James 2 in the DGDNT

James 2 in the DHNT

James 2 in the DNT

James 2 in the ELBE

James 2 in the EMTV

James 2 in the ESV

James 2 in the FBV

James 2 in the FEB

James 2 in the GGMNT

James 2 in the GNT

James 2 in the HARY

James 2 in the HNT

James 2 in the IRVA

James 2 in the IRVB

James 2 in the IRVG

James 2 in the IRVH

James 2 in the IRVK

James 2 in the IRVM

James 2 in the IRVM2

James 2 in the IRVO

James 2 in the IRVP

James 2 in the IRVT

James 2 in the IRVT2

James 2 in the IRVU

James 2 in the ISVN

James 2 in the JSNT

James 2 in the KAPI

James 2 in the KBT1ETNIK

James 2 in the KBV

James 2 in the KJV

James 2 in the KNFD

James 2 in the LBA

James 2 in the LBLA

James 2 in the LNT

James 2 in the LSV

James 2 in the MAAL

James 2 in the MBV

James 2 in the MBV2

James 2 in the MHNT

James 2 in the MKNFD

James 2 in the MNG

James 2 in the MNT

James 2 in the MNT2

James 2 in the MRS1T

James 2 in the NAA

James 2 in the NASB

James 2 in the NBLA

James 2 in the NBS

James 2 in the NBVTP

James 2 in the NET2

James 2 in the NIV11

James 2 in the NNT

James 2 in the NNT2

James 2 in the NNT3

James 2 in the PDDPT

James 2 in the PFNT

James 2 in the RMNT

James 2 in the SBIAS

James 2 in the SBIBS

James 2 in the SBIBS2

James 2 in the SBICS

James 2 in the SBIDS

James 2 in the SBIGS

James 2 in the SBIHS

James 2 in the SBIIS

James 2 in the SBIIS2

James 2 in the SBIIS3

James 2 in the SBIKS

James 2 in the SBIKS2

James 2 in the SBIMS

James 2 in the SBIOS

James 2 in the SBIPS

James 2 in the SBISS

James 2 in the SBITS

James 2 in the SBITS2

James 2 in the SBITS3

James 2 in the SBITS4

James 2 in the SBIUS

James 2 in the SBIVS

James 2 in the SBT

James 2 in the SBT1E

James 2 in the SCHL

James 2 in the SNT

James 2 in the SUSU

James 2 in the SUSU2

James 2 in the SYNO

James 2 in the TBIAOTANT

James 2 in the TBT1E

James 2 in the TBT1E2

James 2 in the TFTIP

James 2 in the TFTU

James 2 in the TGNTATF3T

James 2 in the THAI

James 2 in the TNFD

James 2 in the TNT

James 2 in the TNTIK

James 2 in the TNTIL

James 2 in the TNTIN

James 2 in the TNTIP

James 2 in the TNTIZ

James 2 in the TOMA

James 2 in the TTENT

James 2 in the UBG

James 2 in the UGV

James 2 in the UGV2

James 2 in the VBL

James 2 in the VDCC

James 2 in the YALU

James 2 in the YAPE

James 2 in the YBVTP

James 2 in the ZBP